Shahazad |
Group: Members Joined: 02nd Nov, 2008 Topic: 2 Post: 7 Age:
37
|
|
Posted on:13th Nov 2008, 12:10pm |
|
|
Mere Andar Confidence Ki Kami Hai
assalamu alaikum
me advertising k field se wabasta hoon. lekin mere andar confidence ki kami
hai. kisi client se baat karte howe mere haath kaampne lag jate hain.
baat tasalsul k saath nahi karsakta. plz mujhe bataye k me kya karoon jis mere
andar confidence peda ho.
is kamzori ki waja se mera kaam mutasir horaha hai. plz help me.
|
Shahazad |
Group: Members Joined: 02nd Nov, 2008 Topic: 2 Post: 7 Age:
37
|
|
Posted on:13th Nov 2008, 12:16pm |
|
|
CONFIDENCE KI KAMI HAR WAQT EK ANJANA SA KHOF MEHSOOS KARTA HOON.. KABHI KAROBAAR ME NUQSAN KA KHOF KABHI MOT KA KHOF... HALANKE MUJHE APNA RAB PAR POORA BHAROSA HAI. AOUR MERA IMAAN HAI KE NAFA AOUR NUQSAN KA MALIK ALLAH HAI. LEKIN PHIR BHI YE KHOF HAR WAQT MEHSOOS HOTA REHTA HAI. |
sharmily |
Group: Members Joined: 08th Nov, 2008 Topic: 5 Post: 398 Age:
25
|
|
Posted on:13th Nov 2008, 6:15pm |
|
|
This is part of the game look brother this
faida and nuqsan is part of this game so u should be ready for both of them,, aur jo kam hoa nahin hai os ke barre pehli se kia sochna, sab Allah par chordeji agar app zakat deti rahi aur ka neyat acha ho to Allah ap ki kamoo mein barkat dali ga aur nuqsan nahin hoga..... zakat deni se rozi barti hai..
haat khanpni ki liye mein bhi pehli aise thi likin abb tori tek ho app logo se ziyada batten kare i think this will help u to build ur confidence........ :-)
God bless u |
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:14th Nov 2008, 5:11am |
|
|
agreed to shermily dekho dear
aisa hota hai bht se logon k sath jin mein ye problems hoti hain jo ap face ker rahey ho
dont u worry
khud k under confidence lao
aur jub bhi kisi client se ya kisi se bat kero to ye mat socho k tum confuse ho...balek bila jhijak bat kiya kero....agar tum ye socho gay k tum nahi ker sktey to kabhi nahi ker sako gay...is liye hamesha positive socha kero....
aur yar wese bhi koi bhi kaam ho us mein experience bht count kerta hai...experience aur time k sath sath insan mein confidence level bhi develop hota jata hai
|
sunny007 |
Group: Members Joined: 22nd Dec, 2007 Topic: 44 Post: 4214 Age:
|
|
Posted on:14th Nov 2008, 5:22am |
|
|
yes agreed to last words of zebo brother |
KNIGHT |
Group: Joined: 31st Dec, 1969 Topic: 18 Post: 259 Age:
|
|
Posted on:14th Nov 2008, 9:59am |
|
|
@ Shahazad think possitive, that the only factor......try from today and whenever you feel negative thoughts comes in your mind, chnage it with positive thougts for example:
apka client apkay samnay hai app kay demagh main khayal ata hai main nahi bol paoonga iskay samney ya mai sahe nahi bol paoonga, ya phir main kahin ghalat na bol don, jesay hi apko ye soch aye app isko masbat soch mai badal do jesay k yes mai confident hon, mai client k samnay bol sakta ho, mujhe sab info hai, mai buhut teez hon, samnay wala meray samnay kuch nahe.........client kay andar confidence mujhse zyada nahe hai waghera
app practice kartay raho, one day you will see the difference.
net per bhi self confidence say related article mojood hain app unko parhain us say apko fayeda hoga. |
Shahazad |
Group: Members Joined: 02nd Nov, 2008 Topic: 2 Post: 7 Age:
37
|
|
Posted on:14th Nov 2008, 12:32pm |
|
|
aap dosto ka buhat shukrya AAP DOSTO KA BUHAT BUHAT SHUKRYA APP LOGO NE ACHE MASHWARE DIYE.
INSHALLAH ME KOSHISH KAROONGA K KISI BHI MOQE PAR NA GHABRAOO. AOR EK BAAR PHIR AAP LOGO KA BUHAT BUHAT SHUKRYA. |
sunny007 |
Group: Members Joined: 22nd Dec, 2007 Topic: 44 Post: 4214 Age:
|
|
Posted on:14th Nov 2008, 12:45pm |
|
|
shahzad u welcome dear |
saahilbhai |
Group: Members Joined: 31st Oct, 2007 Topic: 17 Post: 971 Age:
28
|
|
Posted on:15th Nov 2008, 2:06am |
|
|
To all Friends Assalam alikum
App sab ne bauhat ache reply diye magar badqismati se mere sath bhi yehi problem hai mein bachpan se hi sharmile type ka larka hoo ziyada kisi se baat nai karta khandaan mein bhi mein magroor k naam se mashhoor hoo magar beleive me mein bilkul magroor nahi hoo mein kisi se baat hi nai kar sakta mujh mein confidence ki bauhat kami hai aur larkyon se to bilkul nai kar sakta kisi baat karte hue ghabra jata hoo kuch samajh nai ata kya bolo mein apni fiancee se bhi baat karte hue ghabra jata hoo magar phone per nai face to face thora nervous ho jata hoo office mein bhi ziyada chup chaap rehta hoo mere under yehi dar lagta hai k mein kuch aisa na bol do kuch galat na bol do larki se baat karoga to kya sochegi bas vehem hota hai plz mujhe bhi iss ka hal bata dein k mere under confidence kaise develop hoga app sab ka mein bauhat shukar guzaar rahoga Allah app sab ko jazaye khair de |
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:15th Nov 2008, 3:45am |
|
|
saahil bhai dont u worry dear
aisa hi hota hai
main bhi aisa hi hun
logon se face to face bat kerney mein kafi jhijak hoti hai mujhye
lekin jub ahista ahista frankness berh ajye to main freely bat ker leta hun
ap ghabrayen nahi...bus koshishzaroor kiya keryn bateyn kerne ki...involve honey ki....takey ap mein ye jhijak khatam ho
baki rahi finacee ki bat to ye achi bat hai k ap face to face ziada bat nahi ker sktay....shadi k bad sub thik ho jaye ga...dont worry abt it |
sweet iman |
Group: Members Joined: 29th Oct, 2011 Topic: 0 Post: 6 Age:
23
|
|
Posted on:20th Jan 2012, 9:13am |
|
|
problem aoa..plz mere help koe karay...i m v very shy girl..ma kisi se bat nae kr skti.mje kahen b koe janay ko kahay.ma inkar kr dati hun..mera kahe jane ko dil nae krta..........even k ma apni univaresity b bht kam jati hun..mje azzab lgta hai jana iclie k ma jaoge ,,,class ma mje bethna prega..auragar kisi sir mam ne question kr lia ma kase jawab duge..mane aj tk apne 3 4 frnz k elawa kisi se baat nae ki...sb may b rude smjhte hon..bt reason is that m v hvng less or hv no confidence,...kisi lrke se to bilkul b copnfidently baat nae kr skti..aur lrkio se b..zayada logo me beth k baat nae kr skte..apko shayd hasi arae ho..bt agar ma late ho jao mtlb class ma dair se jano to me ye hi sochti reh jati ma andar kase jaoge..kase sb mje daikhengay...chahay teacher na b aya ho abi tb bhi...ma kase ja k apni seat dhondu ge...ye sb fazool baten meri life ko distrb kr rae hn..ma kahe evwn shoping krne b nae jaskte...ma kya krun...m veery depressd..plz do sgest me sme thing...ma apni life ko confidently jeena chahti hun..agar ma kahe jane ka fasla kr b lun..tb bhi mje sari raat dar khooof rahay ga k mane jana,...ma kase jao gi..mera kahe jane ka faida b kia k mane bolna to hai nae.....
ye sb cheezain ma kase khatam krun?mje kya doctor ko dikaha chaeye?kyya krun ma? |
sweet_cute |
Group: Members Joined: 07th Jan, 2012 Topic: 1 Post: 22 Age:
25
|
|
Posted on:20th Jan 2012, 2:42pm |
|
|
Solution Iman, Shahzad and sahil.... nice to meet all of u
sab se pahly dear ap log is cheez ka shikar nahi hain is duniya main lakhon log is cheez ka shikar hain... aur maze k baat yeh hai k main khud is cheez ka shikar hun :)
hum log jis cheez ka shikar hain use social anxiety kahte hain, jis main insaan ko apne envrment se khof ata hai, wo logon se comunnicate nahi kar pata....
but dosto yeh koi beemari nahi hai, sirf aik negative soch hai jis ko hum ne kai saon se apne dimagh main jama kar k rakha hua hai, hum ne khud ko force kar k yeh yakeen dialaya k hum dare hue hain, duniya k samne hum darte hain, jo pahly hamare bas main tha kai salon tak is soch ko palte palte ab yeh hamare control main nahi raha, ab hum chah k b ise nahi nikal pa rahe hain....
lekin is ko nikalana namumkin nahi hai, bus time k zarurat hai....
yakeen maniye yeh time k sath khatam hojaeg... kiyn k main itna low confidence tha and ab b hun k apne ghar walon se b baat karte hue main sharmata tha and agar wo thora b mazak karte with me main paseena pseena hojata tha, lekin ab main ne itna confidence develop kar liya hai k main apne ghar walo k sath confidence se baat karta hun and kai doston se b, but still i m on way to completly overcome it...
so dear main ap logon k sath share karunga k kese ap logis ko control karein....
lekin yeh jaan lejiye k yeh ap se hamesha hamesha k liye khatam hojaega but time needed... koi b cheez raton raat khatam nahi hojat... jo zakham salon se hai wo aik raat main ya kuch dino tak nahi bharega....
hope k we will b confident |
sweet iman |
Group: Members Joined: 29th Oct, 2011 Topic: 0 Post: 6 Age:
23
|
|
Posted on:21st Jan 2012, 2:29pm |
|
|
sweet_cute tnx apne reply kia..but ye sb kase khatm hoga...ic k lie kayaa krne ki zrurat hai?mje kisi sicetrist ko dikhana chaeye? |
eagle fly |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2010 Topic: 74 Post: 2117 Age:
|
|
Posted on:21st Jan 2012, 4:07pm |
|
|
Lack Of Self Confidence - How To Regain Self Confidence Read: Lack Of Self Confidence - How To Regain Self Confidence |
sweet iman |
Group: Members Joined: 29th Oct, 2011 Topic: 0 Post: 6 Age:
23
|
|
Posted on:6th Jun 2012, 2:31am |
|
|
worried n tense
salam...ma bht preshan hun...mere andar koe change nae aya...i hv still no confidence...ma mba ki studnt hun..aur mje apnay ap per afsoos n gusa ata k ma kisi se confidently aagy barh k baat nae kr pati,...ab mere presntation hne wali hn..mere halt ajeeb hore ha..ap ko hasi aege..k mje suba uth k bacho jasa khof dar hota mane uni jana..aur ma jb b uthte hun...dil ma koe logo ko face krnnay ka khof liay..uni nae jati..ghr rehti hun..asa kb tk chaly ga??ma ak energetic life chahti hun..i want to face pepole..aur ye mere stdz mere future ko brbad kra ha.... help me plz..mje agar koe mslay ka hal bteye..ya koe islami wazeefa b?/ kch b,,bs hal cheye
|
Raadie |
Group: Members Joined: 06th Jul, 2012 Topic: 1 Post: 4 Age:
21
|
|
Posted on:6th Jul 2012, 5:50pm |
|
|
sweet iman plz contact me sweet iman yeh id mai ne ap k lie register ki hia kyun k ham donu ka
problem 101% same hai pura 1 saal mai ne zaya kiya issi problem ki waja
se phir ghar walun k kehne [pr aaj e mai punjab uni men entry test form
submit kr k aya hun lakin mujhe phir se wohi tension ho rahi hai k
presentation kon dega confidence kaise aeyga mujhe bht ghabrahat horai
hai mujhe lgta hai k hamen ek dusre ki help krni chahiye
|
maree |
Group: Members Joined: 05th Sep, 2011 Topic: 5 Post: 19 Age:
25
|
|
Posted on:9th Jul 2012, 2:07pm |
|
|
same condition aoa.mare sath b bilkul yahi same condition hy.ma ny msc ker li hy lakin pher b koi confidance nhe hy.mare gher wale khete hain jaio job kero q fareg ho.haqeeqat to ye hy muje logo ke baton se bohat hoof aata hy.ager koi baat ker jaie muje to pora din or raat tention se need nhe aati?or ye b mare sath masla hy k jab b koi muj se koi question pochy to os k samny nhe aata lakin jab aakaly ma hoti hon tab sab samj ma aajata hy?kisi k samny sab kuch bool jata hy.or baat kerte hoye soch me perjate hon? kia ap ke pass is ka koi hal hy??muje kia kerna chaheye? |
delhivishu |
Group: Members Joined: 21st Dec, 2012 Topic: 0 Post: 2 Age:
20
|
|
Posted on:31st Dec 2012, 4:23am |
|
|
suffering frm d same condition social anxiety sweet iman, raadie, maree mai bhi exact isi situation se guzar raha hu, zindgi maut se bhi badtar ho chuki hai.. meri tum teeno se request hai k agar tum facebook par ho to meri id facebook.com/sgndvishupar request bhejo. plz kisi bhi tarah mujse contact karo, hum sabko ek dusre se judna chahiye... |
delhivishu |
Group: Members Joined: 21st Dec, 2012 Topic: 0 Post: 2 Age:
20
|
|
Posted on:31st Dec 2012, 4:26am |
|
|
suffering frm d same condition social anxiety sweet iman, raadie, maree mai bhi exact isi situation se guzar raha hu, zindgi maut se bhi badtar ho chuki hai.. meri tum teeno se request hai k agar tum facebook par ho to meri id facebook.com/sgndvishupar request bhejo. plz kisi bhi tarah mujse contact karo, hum sabko ek dusre se judna chahiye... |
|