Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics
Recent Reply
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Saim is Back Now

Chatting
 
 
saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 44  Post: 2214  Age:  36  
Posted on:5th Jul 2012, 9:58pm
 

Saim is Back Now

How are you guys? It's been long time since I talked to you. I got little busy with my life, but I missed all my firends. Or sab sunaine kiya nai tazi hey ajj kal?
Raja ji ,Ozi,Bhimji, Maryam, myrizvi bhai or baqi sarey dost kasey hain?


myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7720  Age:  55  
Posted on:7th Jul 2012, 9:23am
 

Walekum Assalam saim1

alhamdolillah ham sab khairiyat say haiN ... jahaaN jahaaN bhi haiN :)
ajkal kaafi saray member long leave par haiN jaisay maryam, bhimji, ozone aik arsay say nazar nahi aa.ay... Raja g kabhi kabhar apnay darshan karaa jatay haiN :)

net forums maiN yeh sab to chalta hi rahta hai... ap sonayaiN sab khairiyat hai naa... bus aati jaati rahaiN to shayad apko aataa dekh kar baqi log bhi aanaa shooroo kardaiN :)
Raja Taqi Group: Members  Joined: 17th Sep, 2010  Topic: 31  Post: 2017  Age:  48  
Posted on:9th Jul 2012, 7:10am
 

Saim-Ji

W.Alaikum Salam

Saim yaqeen nahi aa rah k ye aap hi ki reply he ya aap ki atma ki ,mein ne aap ko bohat talash kya laiken kahein se aap ki khabar nahi ayi,khair aap ne bi net ki dunya wala hi hisab kya ,Maryam tu aisy khamosh huee jessy vo iss dunya se hi niqal chuki ho aur Bhimji,lagta he abnormal ho chuka he,ozone ki khabar mili thi k kuch bemar he,aur insna idher udher chakar lagata hi rehta he,S4u pehly ki tarah rosham o rukshan he ...Aap sunao bachay aur Hamid pya kessy hein aur itna arsa ghaib rehny ki waja kya thi sari detail sach sach likhna...
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7720  Age:  55  
Posted on:9th Jul 2012, 9:58am
 

welcome back raja Bhai

chalo shukar hai saim k peechay peechay ap bhi aaga.ay :) warnah ham to samjhay thay k ... bhai kuch nahi samjhay just kidding... ab ap maryam ko bhi idhar hi bolwalaiN ... aik baar raunaq mela lag jayega sab k aaney say...
Raja Taqi Group: Members  Joined: 17th Sep, 2010  Topic: 31  Post: 2017  Age:  48  
Posted on:10th Jul 2012, 6:59am
 

Taayia ji

Saim k any se forum mein ronaq dobara lag jaye gi agar ronaq ko dobala kerny ka program he tu phir aap S4u ko bi invite kerein,Maryam ki talash jari he jessy hi koi itlah mili vo bi aa niqly gi...Albata saim ka ana hamary liye bohat kuch he.
saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 44  Post: 2214  Age:  36  
Posted on:10th Jul 2012, 7:31am
 

AOA

Raja ji and myrizvi Bhai may theak hon, bas thora zindagi ke maslon may ulajh gai thi. Kher zindagi may bhout kuch hota rahta hey. Detail baud my likhongi. App koshish Karen key Maryam say rabta ho jai
eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2109  Age:   
Posted on:10th Jul 2012, 8:08am
 

saim sister+Raja Taqi bhai

welcome back to NCF!
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7720  Age:  55  
Posted on:11th Jul 2012, 3:56am
 

Raja Taqi bach.chay :)

koshishaiN jari rakho... Allah tumhari talaash ko kaamyaab karay... aur tum gum.shodah maryam n company ko yahaaN laanay maiN kaam yaab ho jaa'o ... tumhara Taya dua go hai :)

saim sis: zindagi naam hi dukh aur sukh ka hai... asal maiN Allah nay hamara imtehan lena hai...chaahay woh dukh dekar lay yaa sukh dekar... dukh maiN hamaiN SABR karna hai aur sukh maiN SHUKR ... bus yeh sabr o shokr hamari okharwi kaamyaabi ka waseelah hai

agar ap chahaiN to apni beeti yahaaN share karaiN... dukh share karnay say kam aur sukh /khushiyaaN share karnay say baRhti hain :) hai na ajeeb baat ... jahaaN tak mumkin ho apnay halaat ko qalam.band kardaiN... iss say bhi g halka hota hai, bilkhasoos khawateen ka lol
Raja Taqi Group: Members  Joined: 17th Sep, 2010  Topic: 31  Post: 2017  Age:  48  
Posted on:11th Jul 2012, 6:51am
 

Saim -Ji

Taaiya rizvi ne jo kuch likh dya he iss se agy gunjaish tu nahi banti laiken,haqiqat ye hi he k her insan kissi na kissi masail mein zaroor preshan he laiken preshani ka alam alag alag he ager mein yahan apni aap beeti share kerny baith jaon tu uss k badly mein aap ki preshani ki ratio zero niqly gi halanke mujy andaza he k aap ki preshani kya he,laiken uss k bawajood aap ki preshani mery moqably mein kuch bi nahi bar haal Allah ham sab per apna saya rukhy zindgi uss ki di huee amanat he issy her andaz se pass kerna he aap fikar mand na hon sab theek ho jaye ga.

Taayia ji.Maryam ki kami yahan mojood raye gi ager Maryam ham sab ko khalose dill se muaf ker k sab kuch bhola dein tu ye un ki mehrbani ho gi ham unn k liye dua kerty rahein gay k unn k dill mein hamary liye reham aa jaye,otherwise dusra hull ye he k unn k dill ka operation ker k unn k dill mein S4u ka dill laga dya jaye aur S4u ka dill niqal ker Saim mein laga dya jaye aur Saim ka dill fry ker k 200 bandy ki roti bana li jaye .

eagle fly bhi.thanx for welcome us
saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 44  Post: 2214  Age:  36  
Posted on:11th Jul 2012, 11:40pm
 

Asalamalikum

thanks eagle fly

Raja bhai and myrizvi bahi, preshani chooti ho ya bari pareshani bherhal preshani hey. Raja bhai Allah tala appki tammam mushkilon ko khatam kar dey ( Ameen)

bas zindagi may kabhi khushi hey to kabhi gham, Feb 2012 may Pak gai thi or 2 months rahi wahan par, 12 sal baud gai thi bhout enjoy kiya bhout maza aya. Or Dubai ka bhi visit kiya. Allah ka sukar sab bhout acha raha. Lakin abhi pichley month marey abbu ki death ho gai. May unnko bhout miss kar rahi hon yeh khala kabhi bhi poora nahi ho sakta. Mujhey unnkey janey ka dukh nahi hey ku key yeh jan Allah ki amanat hey, or sab ney iss dunya say jana hey. lakin afsos iss bat ka hey key may ney unnki khidmat nahi ki, ku key unho ney kabhi moqa hi nahi diya. kabhi appni takleef kisi ko nahi batai. Kash may unkey janey say phley un say mafi mang leti, kashi thori unki khidmat kar leti. Lakin bas waqt guzar jata hey or bat rah jati hey

may bas sab logon say jo jo iss post ko read kar rahey hain yeh hi kahongi key please appney parents ka bhout khyal rakhien. unki bhout khidmat karien. or agar maa, baap dant bhi daien to unki baton ka bura na manien. ku key jab hum khud maa ya baap ban jatey hain to andaza hota hey key wo jo bhi khtey hain appney bachon key bhaley key liya khtey hain.









Raja Taqi Group: Members  Joined: 17th Sep, 2010  Topic: 31  Post: 2017  Age:  48  
Posted on:12th Jul 2012, 3:30am
 

Saim

Aap k abu ka sun ker intehaee dukk huwa Allah pak unnein un k sabar ka sila zaroor dein gay hamari dua he k Allah unnein Janat mein aissa ghar atta farmayein jahan un ki rooh pur sakoon raye.
Aap ki ye baat bilqul drust he k waldain hamesha bachon k liye behtar hi sochty hein jab ham khud iss stage per aty hein tu humein ye ehsas hota he k vo hamary liye kin kin raston se guzerty chaly jaty hein,Aap apny abu k isaale sawab k liye maskeeno ,mazoron, mareezon aur mehtaj log ki khamoshi se khidmat ker k unn k liye dua karwati rahein iss ka ujjar aap ko yahan bi mily ga aur aap k abu ki rooh ko bi taskeen mily gi
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7720  Age:  55  
Posted on:12th Jul 2012, 5:07am
 

Saim

Allah apkay Abbu ko jannatul firdaus main jagah ataa karay aur onki khataaouN ko maaf karay....

yaad rakhiyeh ...shadi k baad, laRki apnay parents ki khidmat ki zimmah daar nahi hoti... oski jannat maaN baap ki khidmat maiN nahi balkay apnay shauher ki khidmat /razaa mandi main hoti hai ... aur abhi ap kay pass yeh OPTION maujood hai k Allah k baad apnay shauher ki razaa hasil karkay jannat ki seat pakki karwalaiN :)

waldain k janay ka dukh apni jagah...onkay liyeh eesalay sawaab karain... sab say asaan sawaab yeh k har namaaz k baad 3 baar soorat ikhlaas (qul howallaho ahad) paRh kar iskay sawab apnay walid ko eesaal kardaiN. insha Allah onhaiN aik quran ka sawab pahonch jayega. iss tarah aap aik din maiN 5 quran ka sawaab eesaal karsakti haiN... aur agar moqah milay to soorat yaseen paRh kar eesaal kar dain 1 soorat yaseen ka sawaab 10 quran ki telawat k baraba hai... bajaa.ay onhaiN dukh k saath yaad karnay aur onka tazkerah karnay k ...yeh kaam karain to woh bhi wahaaN khush hongay aur apnay ird gird ki arwaah say kahengay k beTi ho to saim jaisi :)

agar maali sadqah karnay ki niyyat /istetaa'at ho to koi aisaa kaam karain jo sadqah jaaria k ziman main ho.... koi welfare ka aisa project chota baRa complete karkay walid k liyeh sadqah kardaiN... quran with translation ki hasbay taufeeq copies purchase karkay dost ahbaab ko send kardaiN, kisis ghareeb aabaadi maiN kissi masjid, madarsah ki tameeraat main hissah daal dain, kissi jagah pani k handpumps lagwadain... etc etc

jaanay waloun k liyeh ham yehi kuch karsaktay hain aur apni jannat apnay hubby ki aisi khidmat karain k woh dil say apkay liyeh dua karay :) oski dua apkay liyeh baRi maani rakhti hai
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7720  Age:  55  
Posted on:12th Jul 2012, 9:26am
 

heart surgeon Raja Taqi

- Maryam ki kami yahan mojood raye gi ager Maryam ham sab ko khalose dill se muaf ker k sab kuch bhola dein tu ye un ki mehrbani ho gi

** Aap ko maryam k dill k khaloos par yaqeen nahi hai yaa ham sab ki khataa hi naaqabilay maafi hai :)

- ham unn k liye dua kerty rahein gay k unn k dill mein hamary liye reham aa jaye,

** dua to ham sab k liyeh kartay hi rahtay haiN, khaah woh forum par maujood ho ya maujood nahi ho ... lekin kia apka yeh ilzaam durust hai k onkay dill maiN hamaray liyeh raham nahi hai ???, jiski ap dua maang rahay hain ):):

- otherwise dusra hull ye he k unn k dill ka operation ker k unn k dill mein S4u ka dill laga dya jaye

** goya ap aik teer say 2 shikaar karna chaahtay haiN... iss dil ki adla badli maiN to medically doouN faut nahi hojayengi ???

- aur S4u ka dill niqal ker Saim mein laga dya jaye

** to kia saim k seenay maiN dil nahi hai :) kia woh yahaan bay.dilli say aati haiN ???

- aur Saim ka dill fry ker k 200 bandy ki roti bana li jaye .
** yeh saim ka dil hai yaa elephant ka ... jo 200 bandouN ko khelaanay ka program hai... heart surgeon sb... apki surgery say nah janay ketnay log bad.dili ka shikaar hojayengay.... ap jaisay dil k marouN say Allah sab ko mahfooz rakhay lol




saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 44  Post: 2214  Age:  36  
Posted on:12th Jul 2012, 8:45pm
 

Asalamalikum

myrizvi bhai appki bat bhi theak hey, lakin bas mujhey afsos rah gaya hey iss bat ka key may un key liya kuch nahi kar saki. May to akhri waqt may unhey mil bhi nahi saki. unki tabyat bhout kharab thi or woh hospital may admit thay. May to unsey milney ja rahi thi ku key ghar wale sab kah rahey thay key unki halat sahi nahi hey tum aa kar mil lo. Meri flight thi jis din uss say aik din phley hi unki death ho gai. Sara khandan unsey miley gaya tha hospital, lakin may nahi mil saki. Lakin may phir yeh hi sochti hon key shyad iss may bhi Allah ki koi maslihat hogi. Shyad unki takleef ko dekh kar may bardasht nahi kar pati. Lakin may jab bhi unkey barey may sochti hon to bas yeh hi khayal ata hey key unho ney sari zindagi mehnat ki. sirif hamrey liya, or appney liya unho ney kuch bhi nahi kiya. Wo bhout achey baap thay. Hamari bhout achi tarbiyat ki unho ney. May to unkey inn ahsano ka badla kabhi bhi nahi chuka sakti. Bas un key liya dua kar sakti hon key Allah unhey jannat may jagha dey or unkey gunahon ki bakhshish karey(ameen)
Wasey marey dil ko itna itmenan hey key wo bhout achi jagha par hain ku key wo khud bhout achey thay.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7720  Age:  55  
Posted on:13th Jul 2012, 5:07am
 

last molaqaat

walekum Assalam saim

apnay azeezouN say akheri molaqaat nah honeka dukh to sab ko hi hota hai, lekin yeh hamaray bas maiN nahi hota... akheri waqt nah janay kab kis ka aur kahaaN aa jaa.ay. ham har waqt to sab k saath nahi rah saktay... phir jo log mulk say bahar bahoot door hotay haiN, onkay liyeh to yeh aur mushkil hota hai... aur khawateen k liyeh double mushkil k woh apnay husband bachoun ki zimmah daariyoun ko chor bhi nahi sakteen ... aaiyyeh main aik waqea apko sonata houn, shayad apnay pahlay bhi sona ho...lekin iss maiN bahoot kuch hai hamaray liyeh

daure resaalat main kissi khatoon ka husband tejarat ki gharz say bairoonay shahar jaa raha thaa... oss nay janay sya pahlay apni biwi say kahaa k k jab tak maiN ghar wapis nah aaoun, tum ghar say bahar qadam nah nikaalnaa... pahlay zamaanay main yeh aam baat thi k aurtaiN ghar say bahar qadam nahi nikaalti thee, bila zaroorat ... india maiN hamaray nanaa ka ghar bahoot bara thaa...hamari aami batlaati hain k naani shadi karkay jab say nanaa k ghar aayeeN, oskay baad say aik din bhi onhouN nay nana k ghar ki bahar qadam nahi nikalaa :) ... khair woh sahab chalay ga.aay karna khoda ka yeh howa k shauher ki wapsi say qabal khatoon k walid ka inteqaal hogayaa... inteqaal say pahlay woh beemaar bhi howay hongay, shayad bimari ki ittelaa bhi mili hogi, lekin khatoon nay shauher k hukm ki khilaf warzi nah ki...lekin jab onkay walid ka inteqaal hogaya aur onkay maikay walay ossay lenay aa.ay k woh apnay walid ka aakheri deedaar karlay... khatoon k liyeh aisaa karna mushkil bhi nah thaa...lekin woh nah gayee k shauher ka hukm thaa k jab tak wapis nah aayouN, ghar sya bahar qadam nah nikaalnaa

khair onkay walid ki tadfeen kardi gayee...kuch dinoun baad onka husband wapis aayaa to zaahir hai woh onsay khafaa bhi howi hogi k tumharay hukm ki wajah say maiN apnay baap ka aakheri deedar nah kar saki...chounkay Rasool oss waqt maujood thay, lehaza woh apni shikayat lekar darbaaray resaalat main pahonch gayee. shikayat k jawaab main rasool nay farmaya k kia tum iss baat par khush nahi ho k tumhaari iss 'qurbani' ki wajah say Allah nay tumharay walid ko bakhsh dia hai. oss khatoon nay apni shikayat wapis lay li aur kahaa k haaN ...Ay Allah k rasool, maiN ab raazi houN

mujhay nahi maloom k iss rewayat ka talluq kiss rasool k ahad say hai...lekin yeh reyawat shadi shudah (aur bah zaahir majboor, khufd mukhtaar nahi, like men) khawateen k liyeh apnay ander sabaq liyeh howay hai k agar oss ki niyyat naik ho, aur woh apnay ghar k faraaiz ahsan tareeqay say adaa kar rahi ho to osski iss qism ki situatinal qurbani ka Allah ossay behtareen ajar deta hai.




goodman Group: Members  Joined: 11th Oct, 2007  Topic: 62  Post: 7612  Age:  33  
Posted on:13th Jul 2012, 7:43am
 

saim

saim ap kay abu kee death ka sun ker bohat afssos howa...Allah ap koo Sabar day..
Raja Taqi Group: Members  Joined: 17th Sep, 2010  Topic: 31  Post: 2017  Age:  48  
Posted on:13th Jul 2012, 9:57am
 

Taaiya rizvi-ji

Saim fill hal afsurda hein iss liye in k dill per roshni dalna mushkal he ,Albata Maryam aur S4u k dillon per roshni dali ja sukti he Sab se pehly ham S4u k dill ki taraf aty hein ye aik aissa dill he jiss mein aitmi tawanaee zyada miqdar mein banti he aur iss ki radiation se kissi ki bi halakat ho sukti he jessa k Maryam etc..

Maryam ka dill ...ye dill shafaf pani mein reh reh ker bhujj sa gya he iss ki narmi ne kafi nuqsan uthaye in k dill ki tuning hona baqi he.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7720  Age:  55  
Posted on:13th Jul 2012, 10:04am
 

bach.cha jamhoora!

mujhay to maaf hi rakhaiN dilouN walay iss khail say ):

dil dil say mat khelo, khelauna TooT jayega :)

aur sonayain kia haal chaal haiN... i know k chaal to wohi hogi, haal hi ki kuch sonayaiN k ajkal kia horaha hai?




Raja Taqi Group: Members  Joined: 17th Sep, 2010  Topic: 31  Post: 2017  Age:  48  
Posted on:14th Jul 2012, 2:54pm
 

Taaiya rizvi

Jab mein 8th class mein tha tu meri aik class fellow ne kaha k mujjy apna dill de 2 tu mein ne ussy apna dill de dya shaam ko vo mujjy dill wapiss ker k chali gayi kehny lagi k mera BP low ho gya he mein ne ussy kah k chalo tum apna dill mujy ab deti chalo tu kehny lagi vo tu mein ne sari class k larrkon mein taqseem ker dya he suba kissi aik se le ker aap ko de don gi
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7720  Age:  55  
Posted on:15th Jul 2012, 5:04am
 

bachay taqi

iss waqe'a say to aik baat confirm hoti hai k aap kam az kam 8 jamaat tak to laazmi parhay howay hain :) baqi kahaani to just zaib.e.daastan k liyehTheek hai. ap 8veeN jamaat say dil phaiNk waqe howay hain. iss maiN hairat ki koi baat nahi, ghaalib nay kahaa thaa k ... kahtay haiN jisko ishq, khalal hai dimagh ka ... goyaa apko dimaaghi aarza bachpan say hai, yeh pach.pan maiN nahi start howa lol
For More Detail Click On Page No: 1 2  >>
 
 
 
Pakistani Student In Michigan University Usa  Medical School Admission Story  Indian Students Dance In USA

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us