Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
a
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please Exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
    Start New Topic  My Profile
 

Ek Din Wehshi ke sath

Chatting
 
 
DrKamiAli Group: Members  Joined: 12th May, 2011  Topic: 1  Post: 377  Age:  34  
Posted on:26th Sep 2011, 9:40am
 

Eik shaam wehshi bhai k saath

Dear wehshi bhai,

Aapki favourite English book kaunsi hai? Aur favourite English writer?

Thanks

glamour Group: Members  Joined: 13th May, 2011  Topic: 15  Post: 1123  Age:  28  
Posted on:26th Sep 2011, 9:50am
 

as salam o alikum

wehshi bhai bhat aacha laga aap kay jawabat ko parh kay or aap ko jan kay .khair meri entry kafi late ho gahi hai per dair aayad drust aayad ;-))

1)aap kisi se pehli mulaqat main us ki kin 3 baton ka jahiza laitay hain or kisi ki shaksiat main pehli baat kia nte kartay hain ?

2)kia aap magror hain ya anapasand?

3)aap ka star kia hai ?

4)kia bachay 2 hi aachay hotay hain ;-))??

5)aap ki ek aachi aadat or 1 buri aadat ? ( baki buri aadaton ka nahi pochti ) ;-)

6)aaisa kon sa kam hai jo aap karnay kay lihay her waqt tayar rehtay hain thakan kay bawajood?

7)koi aaisa waqia jis n aap ki zindagi ko mutasir kia ho ya aap ki life main "U" turn ka bais bana ho ?

8)kia aap muhabat per yakeen rakhtay hain ? ya phir ye waqti jazba or zarorat pori karna ka andaz hai ?

9)aap apnai personality ko kin 3 lafzon ain bayan karain ?

10)aap ki kis tarha kay logon se jald understanding ho jati hai ?

11) aap councling kartay hain kabhi aaisa howa kay aap ki kisi ne councling ki ho ?

12) aap nay bataya tha kay aap ka apna message center tha to kai aap ne kisi ka message kia ;-p ( optional hai ) pitahi nahi kar daina hahahaha

13)shadeed gussay main aap ka rad e amal kia hota hai ?

14) kia aap ne kabhi 1 hi shaks se 2 bar dhoka khaya?

15)kia aap ki zindagi main koi kami ya hasrat hai ?

i think kafi hain abhi itnay hi pata nahi jawab aata b hai ya gusa aata hai wehshi bhai ka hahahaha khair ager jawabat mil gahay to aaay b koshish jari rahay gi warna ....... ;-)

1 baat jo wehshi bhai kay mutaliq meray zehan main thi i know bht tafreeh wali baat hai per main kia karon meray zehan main thi balkay ab b hai .kay wehshi bhai kaisay hon gay .........main sochti thi ager young hain to dhuwan dramay kay nabeel jaisay hon gay ( jab dhuwan drana on air aataa tha tab main bht choti thi or shok se daikti thi ) or ager aged hain to mubashir lucman jaisay hon gay ager nahi b hon gay to boltay to lazmi un ki tarha hon gay .hahahahahaha .;-p allah janay ye khayal meray dimagh main kaisay or ku aaya mujhay khud b nahi pata ;-))




myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 131  Post: 7913  Age:  56  
Posted on:26th Sep 2011, 10:48am
 

Allah Maafi

glamour sis: apnay saray sawaal aj hi kar diyeh ...
glamour Group: Members  Joined: 13th May, 2011  Topic: 15  Post: 1123  Age:  28  
Posted on:26th Sep 2011, 12:08pm
 

rizvi bhai

saray nahi kiye kuch kiye hain ager jawabat aahay to baki kiye jahain gay warna gol kar dain gay ;-p

chalo isi bahanay aap kau gunah to kam howay .allah aap ko maaf karay ameen ;-p

WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 46  Post: 2536  Age:  50  
Posted on:26th Sep 2011, 3:16pm
 

myrizvi

1.din to apkay saath "manaya" hi jarahay hai, lekin agar shaam yaa raat "manaany" ki baat ho to apka "jawaab" kia hoga:)
JO MIZAJ E YAAR MAIN AAI
raat manan kuch ZU MAANI ho jai ga au rkuch nhn :)
2. sir g ... ap pni kis adaat say aksar "nalaaN" rahtay haiN aur apni kis adat say khush :)
main apni is aadet se hamesha nalan raha hun k planing ker k paisay kherach nhn ker sakta jab khatam ho jatay hain to yad ata hai k planing kerni thi
aur is adet se khush kkabhi paisay jama kernay ka khayal nhn aaya :)
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 46  Post: 2536  Age:  50  
Posted on:26th Sep 2011, 3:18pm
 

dr. kami ali

main english books bohat kam perhta hun lekin aik book bohat perhi

shecspier ka novel

MERCHANT OF VENIS

is k ilawa PERSOSNS CHANGED THE WORLD bohat pehlay perhi thi

aur aik mother of novels ROOTS

WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 46  Post: 2536  Age:  50  
Posted on:26th Sep 2011, 3:33pm
 

glamour

1)aap kisi se pehli mulaqat main us ki kin 3 baton ka jahiza laitay hain or kisi ki shaksiat main pehli baat kia nte kartay hain ?

us ka face takay us ak dil perha ja sakay, us ki eyes takay us ki soch perhi ja sakay, us k hathon ki movment takay us ka iradah jana ja sakay


2)kia aap magror hain ya anapasand?

ana pasand hun ana perast nhn

3)aap ka star kia hai ?

leo

4)kia bachay 2 hi aachay hotay hain ;-))??

hadees hai k us aurat se shadi kero jo bohat bachay denay wali ho is liyay hadees k khilaf ja ker iman nhn ganwana chahta, lekin bachay hona Allah ki teraf se hai :)

5)aap ki ek aachi aadat or 1 buri aadat ? ( baki buri aadaton ka nahi pochti ) ;-)
buri aadet yeh hai k main sab ko khush rakhnay ki koshish nhn kerta

achi aadet bhi main hi btaaun ga to yaqeenan munafqat hogi


6)aaisa kon sa kam hai jo aap karnay kay lihay her waqt tayar rehtay hain thakan kay bawajood?
main kisi aik kam k liyay tayar nhn rehta bas jo us waqt samjh aajai k zaruri hai


7)koi aaisa waqia jis n aap ki zindagi ko mutasir kia ho ya aap ki life main "U" turn ka bais bana ho ?

main hamesha streight chalta hun isi liyay 'U' turn ki gunjaish nhn aur jo tha woh yahan biyan nhn ker sakta kiun k woh tareekh ban chuka hai

8)kia aap muhabat per yakeen rakhtay hain ? ya phir ye waqti jazba or zarorat pori karna ka andaz hai ?
mohabat hamesha takmeel chahty hai adhuri mohabat ya to wehshat ban jati hai ya himaqat


9)aap apnai personality ko kin 3 lafzon ain bayan karain ?
jo insan khud ko judge ker sakta hai wohbohat azeem log hotay hain main abhi us muqaam ki rah tak bhi nhn pohancha k khud ko judge ker sakun


10)aap ki kis tarha kay logon se jald understanding ho jati hai ?
asaan logon se pecheedah logon se bohat gehri hoti hai lekin mukhtasir


11) aap councling kartay hain kabhi aaisa howa kay aap ki kisi ne councling ki ho ?
bohat logon ne try ki lekin apnay bal nochtay huway bhag gai kiun k counsoliing dil aur damagh dono se ki jati hai


12) aap nay bataya tha kay aap ka apna message center tha to kai aap ne kisi ka message kia ;-p ( optional hai ) pitahi nahi kar daina hahahaha
jihan jab start kiya tah to kuch din kiya phir staff agaya to main sirif guide kerta tha 3 saal chalay tah clinic


13)shadeed gussay main aap ka rad e amal kia hota hai ?

depend kerta hai samnay ager sunanay wala ho to khoob sunata hun au rphir khamoshi werna khamoshi lekin jald khud hi ghusa khatan ker deta hun aur sorry bhi keh deta hun ager ghalty meri ho to

14) kia aap ne kabhi 1 hi shaks se 2 bar dhoka khaya?

itna sacha momin nhn ban saka koshish k bawajood k hadees per pura uter sakun is liyay kai bar khaya hai

15)kia aap ki zindagi main koi kami ya hasrat hai ?

Allah ak shuker hai koi kami nhn jo us ne diya us qabil nhn hun main en kabhi doalt ki tamna hinhn ki is liyay us ki kabhi kami mehsoos nhn hui

baqi beti ki kami hai aur thi aur rahay gi main ne try ki puri kernay ki lekin Allah se koi nhn ler sakta jo koshish kerta hai woh bohat khuwar hota hai is liyay ab kabhi nhn socha

bas itnay hi thay ??????

:):):)

shoher Group: Members  Joined: 30th Aug, 2011  Topic: 2  Post: 51  Age:  28  
Posted on:26th Sep 2011, 4:09pm
 

Ek din Wehshi k saath..........


Wesay tu main bhi isi forum ka ek adnaa sa member hu, kabhi zaroorat nahi pari ziada likhnay ki, ek do confusions thi wo clear karnay k liay bus kuch questions kiay thay. main bhi Wehshi ko parhta hu or kuch sawalat karna chatha hu :

1) Aap ka sab say ziada pasandeeda member kon hay is forum per ?

2) esi konsi stupid mistake hay aap ki jis ko yaad kar k aaj hassi ati hay ?

3) aap ko kis nay mashwara dia Pakistan say baher janay ka ? jab aap Pakistan main rehtay hi nahi hain tu aksar apni society per critisize kyu kartay hain ? kya aap ko right hay is cheeze ka ?

4) aap nay farmaya k aap ko kai saal ho gai Pakistan aiey huay ? kya yeh such hay ? kya aap ek dafa bhi nahi aiey In salo main ? tu aap Apnay parents say kesay miltay hain ? ya aap ki life main aap k bachay or humari bhabi hi ek mukamal family hay ?

5) aap decent kisam k insan hain ya Moo-phat or non-sense kisam ka attitude hay aap ka ?

6) aap ki pasandeeda car konsi hay ?

7) aap ko ghulami ki zindagi kyu pasand hay ? kya isi frustration nay aap ko Wehshi bana dia hay ?

8) aap kay samnay chawal or roti ho tu aap sab say pehlay kya khao gay ?

9) Aap ka or noor clinic ka saath paanch saal ka hay, aap nay isi general forum ko kyu choose kia ? kisi professional or intihai creative forum per aap kyu nahi addict huay ? kya yeh andho main kana raja wali baat nahi hay ?

10) aap suiting kartay ho ya amooman kurtay shalwaar main rehtay ho ?

11) kya ap ko accesories ka shok hay, executive nazar anay ka shok hay, ya aap kurtay k neechay dhoti, moo main paan chaba kar or thora say mooncho ko tao dekay chalna pasand kartay ho ?

12) jab aap kisi khoobsorat aurat ko dekhtay ho tu aap ki doosri nazar us k baalo per jati hay ya us k pero per ?

13) Ek din wehshi k saath" ammoman esay programo main khanay peenay ka ehtmam bhi hota hay, lakin aap nay jhootay moo bhi nahi offer ki abhi tak kisi ko, jab k ek din choro shayad ek hafta ho gya hay...........kya aap mehman nawaz insaan nahi hain ? kya koi mil jai aap ko tu sir derd shruu ho jati hay ?



WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 46  Post: 2536  Age:  50  
Posted on:26th Sep 2011, 7:52pm
 

shoher

shoher id hai aap ki lagta hai ap kisi female member k husband hain :)

any how ap k sawal hain to jawab to dena hi ho ga

1) Aap ka sab say ziada pasandeeda member kon hay is forum per ?

meray liyay sab beraber hain han kuch mohtram hain

2) esi konsi stupid mistake hay aap ki jis ko yaad kar k aaj hassi ati hay ?

woh aisi thi k us se bohat bera nuqsan bhi ho sakta tah itna bera k shayed 100 insan mer jatay lekin bachat ho gai detail nhnbtaun ga bs yeh hai k afghanistan main hui thi 1987 main

3) aap ko kis nay mashwara dia Pakistan say baher janay ka ? jab aap Pakistan main rehtay hi nahi hain tu aksar apni society per critisize kyu kartay hain ? kya aap ko right hay is cheeze ka ?

meri apni factory thi pak main fan n water pumps ki lekin 1993 main ajb PPP GOVT ai to political problems ki wajh se woh auction kerdi gai us waqt mujhay kisi ne kaha k tum baher chalay jao kiun k kuch offer thi
main 11 saal se pak nhn aj saka kuch problems ho gain yahan lekin meray parents se bat hoti hai aur kuch mulaqat bhi haj umra k through
jo log dooseri shehriyat le ker pakistan ki siyasat main pangay le saktay hain to kya main pakistani passport rakh ker pakistani muasheray ki bat nhn ker sakta mujhay kisi se haq lenay ki zaruret nhn aur na hi koi maai ka laal cheen sakta hai yeh haq

4) aap nay farmaya k aap ko kai saal ho gai Pakistan aiey huay ? kya yeh such hay ? kya aap ek dafa bhi nahi aiey In salo main ? tu aap Apnay parents say kesay miltay hain ? ya aap ki life main aap k bachay or humari bhabi hi ek mukamal family hay ?

parents se bat hoti hai aur kuch mulaqat bhi haj umra k through

5) aap decent kisam k insan hain ya Moo-phat or non-sense kisam ka attitude hay aap ka ?

munh phat kya decent nhn hota??? jo sach bol de bina khoaaf k usay aj kal non sence au rmunh phat kaha jata hai

6) aap ki pasandeeda car konsi hay ?

AUDI, CHEEROKI, DURINGO, CARNIWAL

7) aap ko ghulami ki zindagi kyu pasand hay ? kya isi frustration nay aap ko Wehshi bana dia hay ?

main gher mulk main hun lekin ghulam nhn kam az kam un se behter hun jo pakistan main reh ker bhi gulamon se badter hain mera yahan per apany sponsor k sath case chal rah ahai last 5 years se us k baqajood main yahan asani se kam bhi ker raha hun aur sab kuch avail bhi kerta hun is liyay main to azad hun bohton ki nisbat

8) aap kay samnay chawal or roti ho tu aap sab say pehlay kya khao gay ?

pehlay khanay ki bat nhn main khaun ga hi chawal

9) Aap ka or noor clinic ka saath paanch saal ka hay, aap nay isi general forum ko kyu choose kia ? kisi professional or intihai creative forum per aap kyu nahi addict huay ? kya yeh andho main kana raja wali baat nahi hay ?

yeh aik free forum hai jahan her koi aa sakta hai ager profashional hi kern ahota to main apni website bhi bana sakta tha no prob. yeh urdu main pehla forum hai jo fully equipd hai lekin msuse ho raha hai

10) aap suiting kartay ho ya amooman kurtay shalwaar main rehtay ho ?

main jeans main hi hota hun aksermeray supiriors akser naraz rehtay hain k tum main managerial atitude nhn hai kiun k tumhari derssing anagerial nhn hai
lekin main jesay comfirtable rehta hun wohi pehanta hun

11) kya ap ko accesories ka shok hay, executive nazar anay ka shok hay, ya aap kurtay k neechay dhoti, moo main paan chaba kar or thora say mooncho ko tao dekay chalna pasand kartay ho ?

dhoti kurta pehanta hun KHUSSA bhi kabhi kabhi PESHAWERI bhi ajati hain pak se puer aviation tyres k soal wali accessories ka shoq hai lekin use nhn kerta
MEETAH PAN, TAMBAKOO WAL PAN, GUTKA, NASWAR, sigerete sab ka shoq kerta hun kabhi kabhi adat nhn kisi ki bhi

12) jab aap kisi khoobsorat aurat ko dekhtay ho tu aap ki doosri nazar us k baalo per jati hay ya us k pero per ?

main dil aur soch dekhta hun aur us k liyay face hi sab se best medium hai is liyay pehli bhi aur aakhiri nazar bhi face per hi hoti hai

13) Ek din wehshi k saath" ammoman esay programo main khanay peenay ka ehtmam bhi hota hay, lakin aap nay jhootay moo bhi nahi offer ki abhi tak kisi ko, jab k ek din choro shayad ek hafta ho gya hay...........kya aap mehman nawaz insaan nahi hain ? kya koi mil jai aap ko tu sir derd shruu ho jati hay ?

janab yeh to sunehri ne apnay gher rakhi hai woh aisi mezban hain k gher bula ker khud ghayeb hain lagt ahai unhain PIA ki AIR HOSTESS ki training hai
:):):)

hope i awnserd u????

info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 600  Age:  32  
Posted on:27th Sep 2011, 6:40am
 

kuch sawal meri taraf se bhi... :)

1) apni life ka nichore likhnay ko kaha jaey tau aap kia likhain gy ?

2) life k is hissay main bhi khud ma khamian talash karnay ki koshish kartay hain? koi aapko apki khami btaey aur woh aap se kam darjay par ho tau "dil se kesa mehsus kartay hian?" aur "response kia detay hain?" (wazahat: dil par ikhtyar nahi hota lekin response apnay ikhtyar main hota hai)

3) har insan ki zindgi ka safar 3 marahil se guzarta hai. pehla qadam 1) mutalea karna.. mutalea wasee ho kar aglay marhalay "mushahida" main tabdeel ho jata hai.. mushahida wasee ho kar akhri marhalay "hikmat" main tabdeel ho jata hai.... yeh asool har shobay se mutallik hai chahay woh medical feild ho, engineering ho, arts ho ya "deen-e-fitrat" ho...
ap apni abhi tak ki life main khud ko kis marhalay par samajhtay hain?

WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 46  Post: 2536  Age:  50  
Posted on:27th Sep 2011, 8:54am
 

info1234

1 apni life ka nichore likhnay ko kaha jaey tau aap kia likhain gy ?

WOH AIK SAJDAH JISAY TU GARAN SAMJHTA HAI
وہ ایک سجـدہ جسـے تـو گـراں سمجھـتـا ھـے 
HAZAAR SAJDON S EDETA HAI AADMI KO NIJAAT
ھـزار سجـدوں سے دیتـا ھـے آدمـی کـو نجـات

2 life k is hissay main bhi khud ma khamian talash karnay ki koshish kartay hain? koi aapko apki khami btaey aur woh aap se kam darjay par ho tau "dil se kesa mehsus kartay hian?" aur "response kia detay hain?" (wazahat: dil par ikhtyar nahi hota lekin response apnay ikhtyar main hota hai)

INSAN KI FITRAT HAI K APNI KHAMI NAZAR NHN AATI Y AJANT AHAI K YEH KHAMI HAI LEKIN MANTA NHN AUR MAIN BHI NISAN HUN AISA HOTA HAI K AGER KOI CHOTA KHAMI BTAAI TO SHAYED DANT KER BHAGA DUN LEKIN SOCHTA ZARUR HUN K US NE JO KAHA SAHI THA YA GHALAT AUR SAHI TAH TO KIUN SAHI TAH AUR IS KA HAL KYA HAI

3 har insan ki zindgi ka safar 3 marahil se guzarta hai. pehla qadam 1) mutalea karna.. mutalea wasee ho kar aglay marhalay "mushahida" main tabdeel ho jata hai.. mushahida wasee ho kar akhri marhalay "hikmat" main tabdeel ho jata hai.... yeh asool har shobay se mutallik hai chahay woh medical feild ho, engineering ho, arts ho ya "deen-e-fitrat" ho...

ap apni abhi tak ki life main khud ko kis marhalay par samajhtay hain?
main sirif deen k muamlay main in 3 asoolon per karband hun
lekin zindagi k baqi kamon main mujhay OBSERVATIONAL learning per trust hai
kiun k mera profeshion meri education k against ya us se bohat alag hai
main ne B-COM, LLb kiya hai as basic education aur main is waqt aik steel factory main prodiction manager hun is liyay main apnay tareeqay main kamyaab hun mera mushahida pehlay ata hai phir hikmat aur us k sath sath mutaleaa
deen fitrat aik ais asilsial hai k insan puri zindagi main an to mutaleaa pura ker sakta hai na mushahida jab k hikmat ki had tak pohanchna her aik k bas ki baat nhn kiun k us k liyay PESH BEENI yani FORE SIEGHT ki zaruret hoti hai jo k chashma laga ker bhi hasil nhn ho saki :) is liyay mutelaa aur mushagida ki koshish kertay hain agay Allah janta hai k us main bhi hum haq ada ker paa rahay hain ya nhn
 
umeed hai jawabat de diya main en apni teraf se
glamour Group: Members  Joined: 13th May, 2011  Topic: 15  Post: 1123  Age:  28  
Posted on:28th Sep 2011, 4:06am
 

more questions .....



as salam oalikum

aap ki khush naseebi ya meri bad naseebi kay 15 question aaj subah yahan type kar kay post kiye thay jo kay nahi ho sakay or mujhay il m b nahi tha kay nai howa ager us waqt pata chalta to main paste kar daiti per khair masla not .....maion phir se try karti hon wasiyb bari mushkil se dastyab howay hain aap ;-p

1)aap meethay paan .tambako walay paan gutkay kay ilawa or kia kia shok or shugal farmatay hain ? ;-)

2)aap kay nazdeek sab members barabar hain per kuch muhtaram hain kia un muhtaram members kay naam disclose karain gay ?

3)aap ka pasandeda mashroob...?

4)muhabat ki takmeel kia hai ? ager jismani hai to phir rooh ka rishta kia bay mani hai ?aap ki rahay ?

5)aap ki school life ki koi shararat jis ko yaad kar kay ab b aap kay labon p muskurahat a jati ho?

6)aap ka pehla crush ;-) ? ya aap p kisi ka pehla crush ? both r optional ;-p

7)aap nay apnay message centre main khud b kam kia kuch arsa to kia islamicaly aap ko is main koi hasitation nahi howi ? ye sawal is lihay ku kay aap kay akser jawabat islami talemat kay mutabiq hotay hain .

8)kisi kay chahray ko parhna or us kay ander tak jhank laina (means khayalt) wo b bila ijazat kia ye zati mamlat main midakhilat kay zumray main aahay ga ya just for fun ? ;-)

9)agr koi bina daikhay kisi kay features bata day ya us ka gahibana scath bna day to is fum ko kia naam dia jahay ga ?kia aap kay sath kabhi aaisa howa ager haan to kitni had tak drust sabit howa?

10 )kia aap ki shaksiat main double standered paya jata hai ?

11) jis wehshi jo hum forum p jantay thay wo ithai rude or gussay wala dikhta tha per jis se hum question kar rahay hain wo rude nahi hai balkay frank hai ?aaisa ku ? kia ye khol tha aap kay oper ? ;-)

12) khaboon ki tarha hai na khayalon ki tarha hai
wo shaks to riazi kay sawalon ki tarha hai
uljha howa aaisa kah ykabhi kul nahi paya
juljha howa aaisa kay misalon ki tarha hai
( is ka jawab aap jaisay chahain day saktay hain ;-))

13)aap councling kay shubay se wabasta hai to logon ko kai hab tak zehni tor p samajh laitay hain . yahan n.c.f kay kin 2 members kay baray main aap ye keh saktay hain kay aap in ko samajh chukay hain ya in ki nature jan chukay hain ? (note: kindly ye bonga bahana na kia jahay kay sab hi barabar hain ya to ans na dain kay nahi batana ya phir sahi se bata dain nawazish ho gi hahahahaha)

14)ncf kay kin 2 members se aap ki nahi banti ? r kin 2 se ziada banti hai ?

15)lochay ka kia kmatlab hai exict meaning of " LOCHA" . AAP NE PEHLA LOCH KAB PAKRA OR KIS KA PAKRA NC KAY HAWALAY SE POCH RHI HON? ;-) ...... or aap ne lochay pakarnay ka diploma kahan se lia ?

16) kia aap b typical mard hai jo ye kehtay hain kay ghar ki murgi daal barabar.......;-p

bas itna hi ;-))
baki aahinda

WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 46  Post: 2536  Age:  50  
Posted on:28th Sep 2011, 9:01am
 

glamour

1)aap meethay paan .tambako walay paan gutkay kay ilawa or kia kia shok or shugal farmatay hain ? ;-)
main na to shoq fermata hun na shughal bas yeh hai k jahan tak jaiz lagay mehfil ka sath deta hun werna uth jata hun


2)aap kay nazdeek sab members barabar hain per kuch muhtaram hain kia un muhtaram members kay naam disclose karain gay ?
forum per pabandi hai k identity disclose na ki jai to pasand kesay dis close ki jasakty hai wesay ap ki tassali k liyay mohtram members main koi sinf e nazuk nhn kiun k sab bohat choti hain age main :)


3)aap ka pasandeda mashroob...?
CHATI KI LASSI, MOUSY(NON ALCOHLIC), 7 UP with LEMON, POWER HORSE



4)muhabat ki takmeel kia hai ? ager jismani hai to phir rooh ka rishta kia bay mani hai ?aap ki rahay ?
sach yeh hai k merd aurat k her na mehram rishtay ki takmeel jismani hai chahay mohabat ho ya dosty ab yeh alag bat hai k koi apni buzdili ko sharafat ka naam day lay


5)aap ki school life ki koi shararat jis ko yaad kar kay ab b aap kay labon p muskurahat a jati ho?
ab to koi khas yad nhn lekin aik lerki bohat bolty thi class main us ki seat per DAMAR laga diya tah us ka face k impretions aaj bhi yad hain


6)aap ka pehla crush ;-) ? ya aap p kisi ka pehla crush ? both r optional ;-p
pehla ishaq nurse se kiya tah :) husan perast hain is liyay kabhi ginty nhn ki


7)aap nay apnay message centre main khud b kam kia kuch arsa to kia islamicaly aap ko is main koi hasitation nahi howi ? ye sawal is lihay ku kay aap kay akser jawabat islami talemat kay mutabiq hotay hain .
ji han lekin us waqt itna ilam nhn tha islam ka aur jo tha us per amal nhn kerta tha

8)kisi kay chahray ko parhna or us kay ander tak jhank laina (means khayalt) wo b bila ijazat kia ye zati mamlat main midakhilat kay zumray main aahay ga ya just for fun ? ;-)
main chera nhn dil perhta hun aur samnay walay k liyay hi perhta hun shoqiya fankar nhn main akser khas logon k sath kerta hun takay unhain ehsas ho k woh shayed kuch khas hainmeray liyay nhn apnay liyay aur apnon k liyay is liyay jo woh kertay hain soch ker kiay kerain kahin un k us kernay se un k apno ko takleef na hoti ho


9)agr koi bina daikhay kisi kay features bata day ya us ka gahibana scath bna day to is fum ko kia naam dia jahay ga ?kia aap kay sath kabhi aaisa howa ager haan to kitni had tak drust sabit howa?
isay irtikaz e tawajoh kehtay hain aur ager yeh kisi ki zat main kiy ajai to ais aho sakta hai aur meray sath nhn kiy akisi ne main kerta hun kisi kisi k sath


10 )kia aap ki shaksiat main double standered paya jata hai ?
her insan k 2 rukh hotay hain aik us ki zaat jo us k ander chupi hoti hai aur jis ka shayed 25% bhi baher nhn aata double standered aur cheez hai double personality aur


11) jis wehshi jo hum forum p jantay thay wo ithai rude or gussay wala dikhta tha per jis se hum question kar rahay hain wo rude nahi hai balkay frank hai ?aaisa ku ? kia ye khol tha aap kay oper ? ;-)
ji nhn woh wehshi rude nhn lekin streight hai, strict hai, aur bold hai isi liyay akser kerwa lagta hai


12) khaboon ki tarha hai na khayalon ki tarha hai
wo shaks to riazi kay sawalon ki tarha hai
uljha howa aaisa kah ykabhi kul nahi paya
juljha howa aaisa kay misalon ki tarha hai
( is ka jawab aap jaisay chahain day saktay hain ;-))
MAIN KHAYAL HUN KISI AUR KA MUJHAY SOCHTA KOI AUR HAI
SAR E AIYNA MERA AKS HAI PAS E AIYNA KOI AUR HAI

MAIN KISI K DAST E TALAB MAIN HUN TO KISI K HERAF E DUA MAIN HUN
MUJHAY AAS HAI KISI AUR SE MUJHAY MANGTA KOI AUR HAI
AJAB ETBAAR WA BE ETBAAR MAIN GUZRI HAI ZINDAGI
MAIN QAREEB HUN KISI AUR K MUJHAY JANTA KOI AUR HAI

aap k sher ka jawab hai sher main is ka matlab nhn nikaliyay ga apni soch k hisab se:):):)


13)aap councling kay shubay se wabasta hai to logon ko kai hab tak zehni tor p samajh laitay hain . yahan n.c.f kay kin 2 members kay baray main aap ye keh saktay hain kay aap in ko samajh chukay hain ya in ki nature jan chukay hain ? (note: kindly ye bonga bahana na kia jahay kay sab hi barabar hain ya to ans na dain kay nahi batana ya phir sahi se bata dain nawazish ho gi hahahahaha)
ji han 2 nhn bohat members hain jin k baray kuch na kuch samjhnay ki koshish ki hai ab kis k baray aur kay samjha hun sorry nhn bata sakta kiun k kisi k baray kuch bhi kehan sahi nhn kiun k main nhn samjhta k jo main samjha huun 100% sahi hai to kesay kisi ak naam le doon ? :):):)


14)ncf kay kin 2 members se aap ki nahi banti ? r kin 2 se ziada banti hai ?
yeh to aap khud jam sakti hain forum dekh ker lekin aik bat k jin se nhn banti un s ekoi zati problem nhn balkay sirif nazriyat ka ikhtilaf hai


15)lochay ka kia kmatlab hai exict meaning of " LOCHA" . AAP NE PEHLA LOCH KAB PAKRA OR KIS KA PAKRA NC KAY HAWALAY SE POCH RHI HON? ;-) ...... or aap ne lochay pakarnay ka diploma kahan se lia ?
abhi yeh jo kuch sawal ap ne NCF k members k baray poochay yeh LOCHAY walay sawal thay jis city main aap rehty hain LOCHA wahin ka aam lafaz hai jis ka matlab hai GHAPLA LOCHAY pakrnay ka diploma nhn degree ki hai LLB ki :):):)


16) kia aap b typical mard hai jo ye kehtay hain kay ghar ki murgi daal barabar.......;-p
merd merd hota hai typical ya kuch aur nhn wesay meray gher main murghi nhn kiun k jahan main rehta hun wahan murghi palna hi nhn zinda bechan bhi qanoonan juram hai ;)

umeed hai jawabat de diyay hain main ne saray :):):)

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 131  Post: 7913  Age:  56  
Posted on:28th Sep 2011, 4:37pm
 

only YES or NO maiN jawaab daiN

kuch wakhray type k sawaalaat pesh haiN jinka jawaab ap nay sirf YES or NO maiN dena hai... yaa to issi "shart" par jawaab daiN yaa phir saaf saaf jawaab daiN :)

1. kia apnay bhabi ko mazeed bewaqoof banaa.na choR dia hai (YES /NO) :)

2. kia (apki /onki) shadi k baad apki "saheliyouN" nay apka saath choR dia (yes /No) :)

3. kia apkay female gaahakouN :) (customers) nay appar etbaar karnaa shooroo kardia hai (yes No)

PS: ab bhagoooooooo patli gali say myrizvi......qabl iskay k bhaagnay ka bhi moqah nah milay lol
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 46  Post: 2536  Age:  50  
Posted on:28th Sep 2011, 4:55pm
 

myrizvi

1. kia apnay bhabi ko mazeed bewaqoof banaa.na choR dia hai (YES /NO) :)
janab bat kuch isterah hai k meray naam per 7 guns hain licensed aur meri begum ko sab chalana aati hain ab us k baad bhi risk leta to ab tak maqtool ho gaya hota

2. kia (apki /onki) shadi k baad apki "saheliyouN" nay apka saath choR dia (yes /No) :)
main en shadi k baad begum ko sab se milwa diya tah samnay samnay aur abto koi saheli hai hi nhn wesay bhi meri begum k pass meri 12 ki 12 ids k password hain is liyay no tention

3. kia apkay female gaahakouN :) (customers) nay appar etbaar karnaa shooroo kardia hai (yes No)
janab meri services free hain is liyay customers ka sawal hi peda nhnhota ya to woh MAREEZ hain ya MUREED :):):)
1 sher araz hai shayed ap samjh jain halat ko
 
KOI BOHAT DER YAHAN RUKTA NHN
کــوئــي بہــت دیــر یہــاں رکتــا نہیــں
LOG KEHTAY HAIN MERAY DIL PE TERA SAYA HAI
لـوگ کہتـے مـرے دل پہ تـرا سـایـہ ھـے
WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 56  Post: 3522  Age:  23  
Posted on:28th Sep 2011, 4:55pm
 

Hello

Kese ho wehshi bro kiya haal hai. Kiya karna hai iss thread mai?
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 46  Post: 2536  Age:  50  
Posted on:28th Sep 2011, 5:04pm
 

welknown

main thee aap sunaao

is thread ko sunehri76 ne start kiya hai aur main duty nibha raha hun aap bhi perhiyay aur hasb e istitaat hisa len

WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 56  Post: 3522  Age:  23  
Posted on:28th Sep 2011, 5:17pm
 

Topic Name *Ek Din Wehshi ke sath*

Par wo konsa din wehshi ke sath hai.
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 46  Post: 2536  Age:  50  
Posted on:28th Sep 2011, 10:27pm
 

welknown, alirajput

jis din aap log aajao wohi din ho ga:):):)
WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 56  Post: 3522  Age:  23  
Posted on:29th Sep 2011, 8:51am
 

Kaha

Wehshi kaha ana parega.
For More Detail Click On Page No: 1 2 3 4 5 6 7  >>
 
 
 
Pakistani Driver Honesty In Dubai  How To Fill Out A Job Application  Bangladeshi Community Celebrating Canada Day In Toronto

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us