Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
a
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please Exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
  Start New Topic  My Profile
   

Should My Sunni Friend be Married With Shia Girl?

Social Problem   >>  Family and Love
   
  Honolulu Hawaii Bar Dance Shows Urdu Safarnama
 
sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 44  Post: 4204  Age:   
Posted on:22nd Nov 2008, 7:50pm
 

piyara

dear brother

main ne kisi k khilaf kuch nahi kaha hai, main ne yahan par wahi post kia hai jo Quran aur Hadith kehta hai.

forum k sab members mere  bhaie aur behne hain, en k khilaf main kuch nahi keh sakta.

take care

Piyara Group: Members  Joined: 21st Sep, 2008  Topic: 10  Post: 71  Age:  29  
Posted on:22nd Nov 2008, 9:11pm
 

Dear piyare SUNNY007

Main janta hoon k aap ne kisi k khilaf kuch nhi kaha or main aap se agree kerta hoon k aap ne jo kuch kaha wohi sab kuch QURAN or hadith kehti hain. main janta hoon k aap ka dil b saaf tha na k kisi ko takleef dena. i read your comments deeply. i feel you have much knowledge about Quran and hadith.but yar humein doosron k aqeiday ka b ahtraam kena chahiye.hum sab muslim hai kon acha or kon bad muslim hai, kon ghalat hai ko theek hai ye sab ALLAH janta hai. tum apni zindagi us tarha guzaro jo Quran Hadith kehti hai or jis tarha Hazrat MUHAMMAD(PBUH) ne guzari.ALLAH b khush ho ga or tumhare dil ko b sakoon milay ga. har insaan(MOSTLY) ko ALLAH ne mind  dia hai us se us ko khud sochna chahiye k kia ghalat hai or kia theek hai? ager phir b kuch ghalat kare gay ALLAH ki zzat sab se aala hai. DONT WORRY

HAMESHA KUSH RAHO

sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 44  Post: 4204  Age:   
Posted on:22nd Nov 2008, 9:51pm
 

piyare

yes

i totally agree with u

muzaffar11 Group: Members  Joined: 23rd Feb, 2009  Topic: 0  Post: 1  Age:  31  
Posted on:23rd Feb 2009, 12:50pm
 

Mera Ansr ye hain ke

Agar Ladki shia hain ladka sunni hain

tu main yee chahata hoon ke Ladka wo ladki se shaadi na kare

kyun ke ladki shia hain aur shia ladki syed hain

aur ladka syed nahi hain. moula naraaz hoote hain ke syed ladki khair syed se

shaadi hoo

isliye main chahata hoon ke sunni ladka sunni ladki se shaadi kare

agar ladka shia hain ladki sunni hain tu ladka syed

Zaara Group: Members  Joined: 01st Dec, 2008  Topic: 5  Post: 95  Age:   
Posted on:31st Mar 2009, 12:57am
 

zeb

kiya shia sect k maulvi sunni sect k larke aur larki ka nikkah parha sakte hain? aur cort marriage ki islam mein kiya hesiyat hae?
zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13607  Age:  34  
Posted on:31st Mar 2009, 9:23am
 

zaara

sorry dear

mujhey is barey mein sahi tarhan pata nahi hai

is liye main kuch nahi keh skta is barey mein

~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4251  Age:  30  
Posted on:31st Mar 2009, 10:33am
 

rE: Zara

Agar aesi sorathaal hoti hai k nikaah k liyain shia mualvi k ilawa available na hon tou wo bhi nikah parha saktey hain, likin main surety se nahi keh raha per app dekhti hain k jab shia aur sunni larka larki apas main shadi kartay hain tou ek hi nikah khuan hota hai na k larki (shia hai tou) k liyain shia moulvi aur larka (suni hai tou) suni mualvi ho.........(observed)

Islam main ek valid nikah ki jo shartain hain agar wo pori hojati hain tou court marriage ki hesiyat dosre darjeh ki nahi na is say inkaar hai, requirements jo zarori hain unmain "2 reliable gawahon ka hona, larka larki ki razamandi ijab o kobool k zaryai (orally and written), larki k sarparaston ki razamandi (in case), aur akhir main meher .........agar court marriage main ye requirements pori horahi hain tou nikah valid hota hai, aur is tarha kiya jasakta hai court main......iskey ilawa agar marriage ko publically kiya jae tou ye zyada acha hota hai sunnat k nazaryai se......
koyal Group: Members  Joined: 17th Dec, 2008  Topic: 0  Post: 500  Age:  28  
Posted on:7th May 2009, 7:29pm
 

zara

hum sab muslim hain zaara ye firqa wariat humne banayi hay my husband is shia n im sunni aur ALhamdolillah hum buhut khush hain hamare beech aisa koi masla nahi hoa aur na hi aisi koi baat jis se mujhe ikhtilaaf ho hum bas suni sunai baton pe yakeen kartey hain nikah koi bhi molvi parha sakta hay

court marriage hamari banayi cheez hay aur tab ke liye jab 2 baligh fareekain apni merzi aur pasand se shadi karna chahtey hain jabke unke ghar walay razamand nahi hotey tu kaanooni nukta nazar se court unko shaadi ki ijazet deta hay uske baad unke khilaf koi kanooni karwayi nahi ki ja sakti na hi us shaadi ko jhutlaya ja sakta hay ye us surat main jabke aisa koi khatra ho agar nahi tu molvi ke paas jakay bhi nikah kya ja sakta hay islam ki ruh se agar lakra larki aik doosrey ke liye khuda ko hazir nazir jaan kar aik doosrey ko kubool karen tu bhi nikah ho jata hay

waseem08 Group: Members  Joined: 27th Apr, 2009  Topic: 13  Post: 1304  Age:  33  
Posted on:7th May 2009, 9:28pm
 

please stop,,,,

salam aplogo se ki c ne kuch ray mangi he na k apas me larai or han mere bahi ap apne dost ko usi k maslak k alim k pas lekr jay or un muhtrma ko b unhi k alim k pas lekr jay phr ap un dono ki ray khud maloom kare i m sure k wo dono ki ray badal jay gi q k jitne achey or elmi andaz me alim samjha sakta he koi dosra hrgz hrgz ny samjh sakta he or han meri trf se un dono k liye ek khas masage he k agr wo dono apne apne mazhab me waqeyi sanjidha he to phr meri baat zoroor mane...salaam

zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13607  Age:  34  
Posted on:15th May 2009, 7:35am
 

me also agreed to

hitman
cactus1 Group: Members  Joined: 26th Aug, 2009  Topic: 0  Post: 2  Age:  32  
Posted on:6th Sep 2009, 10:01pm
 

Islam

Sunni ,Ahle hadith or duobandi k motabik shiya .....edit.... hain or on se shadi zaize nahe  ap loog apni zuban snbhal k baat karain.jub kisi cheez ka pata nahe hota khas tor pe Islam k masle pe tu khama kha comments na diya karain take ap ka Emaan kharab na ho.or shiya larky ya lake se os waqat shadi ke ja sakti he jub wo apne akaid thek kar len.



paroot Group: Members  Joined: 23rd Nov, 2008  Topic: 67  Post: 1663  Age:  34  
Posted on:7th Sep 2009, 1:10am
 

koyal sis

app ke dastaan sunn ker dukh hua. app ne dono ko bahur asaane se meela deya ... Nikah muslim ka muslim se hota hai na k muslim ka badmazhab ya kafir se... Aur ghareeloo zindagi mein problem jab aigee jab sunne ka imaan mazboot hogaa aur wo shia k aqaid k khelaaf khara hogaa agar uss ne apna iman ko ahmeeyat he na dee aur shadi karlee aur baad mein bhi koi behes na kee tu usse apne iman he ke parwaa nahi hai tu phir kaha se kuch hogaa aur khush halee he rahegee ghar mein
hussain ja Group: Members  Joined: 06th Dec, 2007  Topic: 8  Post: 222  Age:  28  
Posted on:7th Sep 2009, 1:11pm
 

Moderator

Moderator sy request krta houn ki above jo replies cuctus or paroot ny kiye hai un k khalaif action lia jaye warna may b chup nahi rahoun ga,,yaha kon muslim or kon kafer hai ye hoty kon hai faisla karny waly,,,,

hamay nazdeek wahabi kafer or murtid hain,,,ap donoun cuctus or paroot ager is p behs karni hai tu ajye may bata sakta houn ki kon kafer hai???????

apni zuban sambal k baat karain ainda may yaha mojood houn ager phir apni gandi zuban sy aisy alfaf boly tu dekhna ap k jo ....edit.... unk liye meri zubaan khula hai or wo sub bol doun ga jis ko sun k ainda aisi herkat nahi karo gy,,

 

ALLAH hafiz

Moderator plz take action againts them

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6552  Age:  37  
Posted on:7th Sep 2009, 1:23pm
 

g haaa

yes can
Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1868  Age:  32  
Posted on:7th Sep 2009, 3:20pm
 

Shia Sunni marriage

Aise bht se cases hamaray ird gird paey jaate hain jis main 2 mukhlif Islamic sects ke loag aapis main Nikkah kar ke reh rahe hain. Koyal ne apni misaal b de di. Hamari apni family main bht se aise cases mojood hain Jahan larka Shia tha aur larki sunni and vice versa. Kehne ka matlab hai ke aisi shadiyan na sirf ho skti hain bakeh ho rahi hain aur kamyabi se chal b rahi hain. Iss main kisi firqay ko bura bhala kehne ki koi logic nahin bnti jesa ke bauz members ki taraf se kia ja raha hai aur yeh thread aaj hi meri nazroon se guzra tou dukh iss baat par hua ke thread ke start se hi discussion ka rukh ghalat taraf morrne walay sahib aik qabl-e-Ehtram aur ilmi bnde hain jinhoon ne bjaey sawaal ka seedha sadha jawab dene ke aik nai behes ka aghaz kar dia aur kam ilm, nalayeq aur Jaahil logoon ko aik doosre par kufar ke fatway laganay main aasani ho gai. Herat iss baat par b hai ke Moderators b itna kch hone ke bawjood soey rehte hain.

Azfar-K Group: Members  Joined: 01st Mar, 2009  Topic: 3  Post: 767  Age:   
Posted on:7th Sep 2009, 4:05pm
 

I agree with paroot,sunny007 and myrizvi bahi

Kehne ka matlab hai ke aisi shadiyan na sirf ho skti hain bakeh ho rahi hain aur kamyabi se chal b rahi hain.

Baat chalne ki nahi hai yahan k couple khush hain ya nahi...
Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1868  Age:  32  
Posted on:7th Sep 2009, 4:18pm
 

Ok

Apni apni soch hai lkn main inn teenu shakhsiyaat se bilkul b agree nahin krta kyun ke aise bht se cases mere saamne mojood hain. Couple khush hi hon tou aesi shadi chalti hai warna nahin. Bass baat zara taassub ki ainak utaarne ki hai jo ke makhsoos school of thought se belong krne walay mutassab logoon ke liay kafi jaan jokhoon ka kaam hota hai.    

haideri Group: Members  Joined: 29th Aug, 2009  Topic: 12  Post: 114  Age:  31  
Posted on:15th Sep 2009, 4:29pm
 

shia sunni

bhai mere aap ko ek bat bata doun apne mazab se sab se zada muhabbat karo etni karo tumhari koi jan b lay lay tab b apne mazab ko mat chorna or is par hi chalna or hamesha is k sath hi chalna

yehhi tumhare liye bther he tum jante ho islam kitna pyara or sacha mazab he jis ki khusbo main rena bahut par sakoooq he

or main tumhain apni bat batata hon main ek larki ko pasand karta hon wo muslim nahi he or main tu muslim hona

maine us ko saaf keh diya tum muj se shadi karo gi tu tumhain muslim honah paray ga us ne ussi time keh diya muje manzor he muslim hona maine kaha sachay dil se hona ye nahi aj huhi kal se nahi rahin tu

or us ko main abi se dawat dera hon muslim hone ki wo acha khasa amal b shoro kar chuki he

meri bat karne ka maqsad ye he ager wo muslim nahi hoti tu main kabi b usse shadi nahi karta

muje apna mazab pyara he us ka pyar nahi

halake main usse bahut pyar karta hon bahut pyar mager apne mazab se zada nahi

ager wo muslim hone se inkar kardati tu tab main us ko chor deta pher kya fahhida us k sath muje pyar karne ka

ALLAH ki muhabbat k samnne kuch nahi he wo

or koi b

 

bas us ne meri bat mani inshallla agay manti rahay gi tu ek din bahut naiq orat hogi

AMEeen

tena Group: Members  Joined: 30th Mar, 2009  Topic: 11  Post: 197  Age:  31  
Posted on:15th Sep 2009, 5:55pm
 

thats true

shia sunni marriage men shia father ho ya mother buchy shia hi hoty hen. bcz shai's he ...edit... wo buchon ko buchpan sy hi apny aqaid pr laga dety hen. or esi shadiyan aksar nakam hi ho jati hen. i think esa nai hona chahiye.
AZIZ BHAI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2009  Topic: 2  Post: 10  Age:  25  
Posted on:15th Sep 2009, 6:14pm
 

Kafir se shaadi karni nahe chahe ye

agar larki muslmaan ban ja aay to shaadi ho sakti hai, warna  kafir ke saath shaadi nahi karni chahe ye. apne dost ko bolo ke pyar se bad kar EMAAN hota hai

Moderator Note: Dont use abusive words about other sects of Islam. 

For Detail Click On Page No: 1 2 3 4 5 6 7  >>
 
 
 
 
 
 
 
Pakistani in Italy  How to find job with no work experience  Bangladeshi Community Celebrating Canada Day In Toronto

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us

Last Updated: 11th Sep 2014