myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7720 Age:
55
|
|
Posted on:15th Sep 2011, 5:17pm |
|
|
s4u Ke Kai Relative Dengue Fever Ka Shikar Hain dengue mareezouN k liyeh dua kijyeh sister s4u k kai relative lahore maiN dengue fever maiN mobtalaa haiN. dua kijyeh k Allah ta'ala s4u k azeezouN samait tamaam mareezouN ko sehatay kaamlah o aajlah ataa farmaa.ay aameen summah aameen |
WellKnOwN
|
Group: Members Joined: 06th Sep, 2011 Topic: 55 Post: 3517 Age:
22
|
|
Posted on:15th Sep 2011, 5:19pm |
|
|
Ameen Bi rahmateka ya arrhamar rahimin. |
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:15th Sep 2011, 7:34pm |
|
|
Ameen Allah sab ko sehat ata farmaye . Ameen
|
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 53 Post: 3436 Age:
37
|
|
Posted on:16th Sep 2011, 2:40am |
|
|
dengue bukhaar , dua-e-sehat dil sy dua hay k jald az jald allah ta'ala dengue jaisi moozi marz ko pakistan sy khatam kar day , aur iss waba ki waja sy jo jo b jahan jahan b bemaar hay allah ussy apny habeeb (s.a.a.w) k sadqa main sehat ataa kary ...ameen
myrizvi bro aap ko kaisy pata chala k s4u k relatives dengue bukhaar main mubtelaa hain , aap yaqeenan unn k touch main hongy to agar aysa hay to s4u sy kahain k wo yahan kuch mazeed details sy aga karain ..thanks |
H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 185 Post: 6560 Age:
36
|
|
Posted on:16th Sep 2011, 3:37am |
|
|
Dangue Fever
Pakistan meah Mojood Jetny bhe Log Dague Fever say motasir hain Allah onko Shifaa day , S4u kay relatives be esy motasir hen , Last year mera Brother ko be Dangue fever howa, Allah nay Shifa de , Alkhumdolilla, meri dua hay S4u or enky sath jetny log esy motasir hen Allah on sub ko shifa day, Ameen, Aj Kul Hospitals meah bot rush hay, dangue fever kay Khof meah log mobtilaa ho gay hen, dangue fever test meah jub diagnose ho jay tu agur Platelets bot ziyada kum ho gay hon ya Vomiting ya bleeding ho rahi ho tu fori Admit ho jana chayeh, agur Platelets be etny kum nahi hain or or severe symptoms nahi tu doctor ko check kurwany kay bhad doctor say mushwara kurny kay bhad ghur pur he treatment lain, Hospitals meah bot rush hay, doctors serious patients ko he admit kur ray hen, Ghuro meah pani na khura hony dain, pory kupry pehnain, Full sleeve shirts use kurin,
|
Waterr
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3783 Age:
27
|
|
Posted on:16th Sep 2011, 4:22am |
|
|
Duwa : Allah s4u kay relatives aur tamam log jo iss pareschani mai mubtalah haiN ko sehat ata Farmaye ameen aur hamari qoum pe rehmat karey ameenjo media daikha raha ha oos say kaheeN zaydah buri situation ha Allah reham farmaye . dr qasim jiss frequency say barish ho rahe ha behad koshish kay baadwajood pani to khara hota ha. haqeeqat yeh ha keh iss waqat qoum kay haal peh Allah hee reham farmaye aur ijtamaie magfrat ki zaroorat ha warnah har qisam ki natural or man made calamity mulk mai ho rahe ha. |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7720 Age:
55
|
|
Posted on:16th Sep 2011, 6:56am |
|
|
Dr Qasim & Dr Waterr agar monasib samjhaiN to ap log iss dengue fever say related awareness par mabni koi article, ehteyati tadaabeer, etc say sab member ko agaar karaiN...kia pata kab kis ka bhala hojaa.ay
maiN nay sna a hai k papeetah /papaya k tree k tazah leaves ka joshandah banaa kar peenay say dengue fever say bacha jasakta hai...last year jab yeh fever aayaa tha to maiN nay apnay tamaam ghar walouN ko yeh joshandah pilaya thaa... just leaves cut karkay water maiN boil karlia thaa kuch dair tak
issi tarah nursery maiN neyaaz.boo ka paudah, jiskay pattay ki chaTni bhi banti hai... agar yeh plant gamlay maiN ghar k enterance door /windows k pass rakh dia jaa.ay to mach.char ghar maiN enter nahi aatay
waisay few years pahlay mujhay bhi dengue say waasah para thaa... kai week hospitalize rahna paRa thaa... platelets minimum par pahonch gayaa thaa... lekin shukar hai k phir platelets khud bah khut increase kargayaa thaa |
H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 185 Post: 6560 Age:
36
|
|
Posted on:16th Sep 2011, 9:33am |
|
|
Myrizvi
agur ap ko yaad ho jub Pechly saal dangue fever phala tah tub he hum nay es pur koch likaa ta jis meah ap ki meri or doctor waterr ki posts mojood hen or haal he meah chund din phaly es thread ko again meah nay active keya tah Please visit : Dengue fever: Causes and Treatment Ehtayati Tudaabeer - full body ko cover kurin, jis meah full sleeve shirts use kee jain,
- Muchur mar spry keya jay ghur meah or Ghur say baher agur pani khura hay
- ghuli mohulla meah kain pani khura hay tu tu Government edaro ko Etlaah dain, or spry kurwain,
- Apny ghur kay sath sath apny erd gherd aros puroos kay ghuro meah
- awareness phalain , logo ko btain kay ghuro meah pani na khura hony dain, or onko jo ap ko Tudaaber puta hain apny aros puroos kay logo ko be btain,
- Eska yeh mutlab nahi apny ghur ko puchuro say pak kur leya hay tu ap ki buchat ho ghi hay , apny purosiyoon ko be btain kay woh be esa kurin onki be help kurin,
- Pani kay burtan dhaamp kur rukhain,
- Sham or soba kay time baher Sahen meah bathny say ejtanaab kurin
- Windows pur jaliyaan lugain.
- Apni Ghuli Mohuly meah ek kumati bunain esy fight kurny kay leyeh jo apny ghuro or mohula meah ghuli meah pani jo khura hay osy remove kurin or os pur muchur mar spry kurin
- Sub mil kur esy Fight kurin yeh ek Qodurati afat hay, eska khatima mil jol kur ho sukta hay,
- Apny ghur kay sath sath apny aros puros ghuli mohaala ka be khiyal kurin ta kay problem ko jur say khutam keya jay,
- Hospitals meah doctors or nurso say Tahawan kurin, or onki Hudayat pur amal kurin
|
hasna
|
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 41 Post: 2016 Age:
27
|
|
Posted on:16th Sep 2011, 12:44pm |
|
|
Allah reham kre me s4u k relatives k liye dil se dua krti hu k Allah pak unko shifaa yaab kre Ameen.Allah pak sabko apne hifzo amaaan me rkhay Ameen.
meri csin k husband last year is bukhar me mubtlaa hogye aur hospital rehna pra aur ab Allah ka shukar hai k wo theek hein........agur waqat per dawai lay li jaye ot is marz se bchaa jasakta hai. |
info1234
|
Group: Members Joined: 27th Nov, 2009 Topic: 14 Post: 600 Age:
31
|
|
Posted on:18th Sep 2011, 9:11pm |
|
|
bad news Allah s4u k relatives aur tamam mareezon ko shifa ata farmaey... ameen |
WEHSHI
|
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 46 Post: 2532 Age:
49
|
|
Posted on:18th Sep 2011, 9:15pm |
|
|
Dangue fever Allah sab ko is se mehfooz rakhay au rinfected ko sehat de
S4U k rishta daron bhi Allah shifa de
Aameen |
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 99 Post: 5405 Age:
|
|
Posted on:19th Sep 2011, 1:03am |
|
|
♥·´¯`·Re: Asslam o Alikum wrwb.
jazak Allah aap sab ne dua ki aur abhi bhi aap sab ki duaon ki zarorat hai.kiu k on ki halat din ba din bigarti ja rahi hai. aur roz ba roz peshani bhi.bas dua hai k Allah tala sab ko is jese bure marz se bachaye.
chand rat ko mere faince k friend ki halat buhot nazuk thi wo bhi dengue se hi.to onhe blood ki zarorat thi magar hospital me nahi tha aur friendz sabhi ne kaha k subh Eid hai kon ata hai aapko blood dene.aik to wahan time pr masla hota hai chez nahi mil pati....:( lekin agar onhe blood na milta to shayad aj wo bhi Allah ko pyare hote.lekin Allah ka shukar hai k onhe time pr mere faince ne ponch k blood de dia.
ab meri aunty jin ki tabiyat roz khrab ho rahi h to doctors ka kehna hai k ho sakta hai blood ki zarorat ho...:( bas halat buhot khrab hai.plz aap sab on k lie dua zaror kia karein
|
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 99 Post: 5405 Age:
|
|
Posted on:19th Sep 2011, 1:50am |
|
|
Ali bhai heerani hoi.k mojh jesi ko bhi miss kia jata hai.
|
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 99 Post: 5405 Age:
|
|
Posted on:19th Sep 2011, 2:06am |
|
|
ji shayad mojhe is forum se pyar ho gya tha.aur dil jan se koshish krti k forum ki khidmat bhi kron.lekin ab nahi
|
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 99 Post: 5405 Age:
|
|
Posted on:19th Sep 2011, 2:23am |
|
|
♥·´¯`·Re: insha Allah main koshish kr sakti hon.1 ghanta to ziyada hai lekin kuch time k lie aane ki koshish kron gi.pehle free thi lekin ab baby aa gya hai to is lie os se fursat tb milti hai jab thak haar k sona ho.insha Allah rozon k bad time dene ki koshish krti hon.
bas ap yahan itna dil na lgana kiu k jis ne dil lgaya os k sath yahan buhot kuch hota hai...;) ap samjh jaein ge waqt k sath sath.
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7720 Age:
55
|
|
Posted on:19th Sep 2011, 2:31am |
|
|
ghair Allah say ishq ki had tak piyaar mojhe is forum se pyar ho gya tha.,,,
aur ab ali bhai bhai ko honay lagaa hai :)
ghair Allah say ishq ki had tak piyaar o mohabbat ka "anjaam" amooman "acha" nahi hotaa... hamaiN just sab k haqooq adaa karnay ki had tak hi onsay rishtah natah rakhna chaahiyeh.
as a member, iss forum k ham par kuch haqooq haiN, jinhaiN adaa karna hamara farz hai aur hamaiN apni si poori koshish karni bhi chahaiyeh...magar iss say piyar, ishq wishq ki had tak nahi warnah... :) | |
|
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 99 Post: 5405 Age:
|
|
Posted on:19th Sep 2011, 2:44am |
|
|
tussi vi na Allah k huqooq pore krne k bad jo uns ho jata hai ye wo wala tha.lekin wo bhi ras nahi aya
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7720 Age:
55
|
|
Posted on:19th Sep 2011, 4:13am |
|
|
ali bhai meray kahnay ka matlab yeh nahi k ap yahaaN waqt kam ya zeyadah lagayaiN...jiskay pass jetna free waqt ho, woh yahaaN lagaa sakta hai...magar iss forum samait kissi bhi jagah /cheez say kabhi bhi dil nah laganaa warnah phir dil Tootega to bahoot takleef hogi. agay apki marzi :) |
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:19th Sep 2011, 6:19am |
|
|
s4u chalain meri to ap ne mani nahi , par apko yahan dekh ke khushi hui.....ati rahyega!!!!!!!!!!!!!!
|
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 99 Post: 5405 Age:
|
|
Posted on:19th Sep 2011, 1:43pm |
|
|
Sunehri aunty aunty main apni traf se yahan se jan chura k ja chuki hoti hon lekin phir kuch esa hota hai k ana pr jata hai.ab sab ne dua ki hai aur mojhe se out of forum jb pocha to mojhe phir lga k yahan bhi sab ne yad kia hai to aa gai sab ko shukria kehne |
|
For More Detail Click On Page No: 1 2 >> |
|