sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:16th Jul 2011, 10:04pm |
|
|
shebi ap regular aya karain...apko aisa feel nahi hoga ke old members new members se bat nahi karte
|
shebi
|
Group: Members Joined: 03rd Apr, 2011 Topic: 30 Post: 155 Age:
29
|
|
Posted on:20th Jul 2011, 4:45am |
|
|
sunehri reguler ana bohat mushkil he mam duty kafi tough hoti he kabhi kabhi to 2 ,2 din gher nahi aya jata he...... |
hot_sajid
|
Group: Members Joined: 28th Feb, 2011 Topic: 10 Post: 503 Age:
|
|
Posted on:21st Jul 2011, 12:24pm |
|
|
sunehri76 ji Asslam O Alaykum,
Ab hum roz Aate hai to app gayab rahti hai. |
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:21st Jul 2011, 4:27pm |
|
|
sajid mai yehi hoon ...apne bulaya to mai a gayi :)
|
hot_sajid
|
Group: Members Joined: 28th Feb, 2011 Topic: 10 Post: 503 Age:
|
|
Posted on:22nd Jul 2011, 8:54am |
|
|
sunehri ji Asslam O Alaykum,
Aaj kal app kaha rahti hai..sab kheriyat to hai na.. Aur sunaye app ke husband month me 1-2 bar nashta banate hai ya nahi.. ya bahar se nashta le kar Aate hai. |
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:23rd Jul 2011, 12:51am |
|
|
sajid mai kahi nahi hun.yahan hi hoti hun aur sab khairiyat hai ...aisa har mahine thodi hota hai ?? waise hum ziadatar nashta bred ke sath karte hain ...to aise nashte ko tayar karne me ziada time nahi lagta
|
hot_sajid
|
Group: Members Joined: 28th Feb, 2011 Topic: 10 Post: 503 Age:
|
|
Posted on:23rd Jul 2011, 6:46am |
|
|
sunehri ji Asslam O Alaykum,
Mera khayal hai ki har family ho month me 1-2 baar bahar ghumne jana chahiye aur bahar hi kahi restaurent me khana khana chahiye is ke 2 faiyde hai
1) family ka mood fresh bhi ho jayega. 2) jo house wife lady hoti hai thoda unko Aaram dena chahiye..Aakhir wo bhi to insan hi hoti hai...is baat se app ka khayal hai...
Masha Aallah se meri family sunday ko kahi ghumne jate hai aur bahar kahi restaurent me hi khana khate hai.. is se puri family ka mood fresh ho jata hai...aur gumna fhirna bhi ho jata hai.... |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:13th Aug 2011, 8:34pm |
|
|
alirajput ko Bewaqoof ki naseehat
tumhari koi ghalti nahi, lekin forum per tum abhi ziadah mature nahi ho mere khayal se iss forum ko jetna senior members (myrizvi, Diplomat, eagle fly, dr. waterr, sunehri, s4u, maryam, ch babar, ozon, hasna etc etc) samajhtay hai abhi tum otna nahi samajhtay. lekin new members mai tum iss forum ko sab se ziadah samajhtay ho. tumhare liye meri naseehat 1. yeh forum aaj tak kisi ka nahee hua, lehaza iss forum se kabhi bhi koi personal achchi baat tawaqo nahi rakhna. iss forum per kaii members ne din raat kaam kya, apna bahut qeemti waqt lagaya; maslan sooth, veer lekin aik moqa per onho ne forum se kuch personal tawaquat wabasta ker li jo keh poori nahi huyee tu woh yaha se mayoos ho ker chale gaye. 2. Bewaqoof iss forum ka active, regular, helpful member hai. woh kisi ka bura nahi chahta, kisi ko nuqsan nahi pohnchata, lekin abhi tak iss forum per woh kisi ka bhi nahi hua aur na ainda hoga. lehaza os se kisi bhi qisim ka personal jazbati tluq paida na karna. warna baad mai afsos hi hoga. 3. hamesha yaad rakhna keh yeh aik commercial website hai, commercial ka matlab paisa kamana hota hai. lehaza iss website ka maqsad bhi paisa kamana hai. iss website se bhi legal tareeqa se paisa kamaya jaa raha hai. lekin yeh aik eemandar website hai, yaha per kisi bhi qisim ka illigal kam na hota hai aur na hi illegal kaam kerne ka tasawar bhi kya jaata hai. 4. yeh aik faida pohnchane wali website hai, iss ne lakho logo ko faida pohncchaya hai, lakho nojawano ki zindagi change ker di hai. tum bhi iss forum se faida uthane ki koshish karo. mai ne Dr. Waterr ko bhi yahi mashwara dia tha keh woh yaha per reply kertey huye apni writing skill behtar karain aur onho ne os par amal kya aur aaj ki Dr. Waterr ki tahreer mai aur two years pehle wali Dr. Waterr ki tahreer mai zameen aasman ka farq hai. meri nazar mai Dr. Waterr aik achchi doctor hi nahi balkeh aik achchi writer bhi hain. 5. iss forum ke wafadar raho lekin iss forum ki khatir forum ke kisi member se relationship kharab na karo. kio keh waqt ne yahi sikhaya hai keh yeh forum kisi bhi member ka nahi hua, lehaza iss forum ki khatir doosro se taluqat kharab kerna nadani aur bewaqoofi hai. 6. forum per kafi taleemyafta aur knowledgeable members mojood hai, on se dosti karo, on se discussion ker ke apni maloomat mai izafa karo aur saath saath zehni aasoodgi hasil karo. achche logo ki sohbat mai insaan achcha hi hota hai. 7. bahut ziadah tezi na dekhao, kio keh tumhari tezi tumhare kuch friends ko achchi nahi lagti hogi. aur forum ke liye tum jetni bhi tezi dekha do iss forum ki nazar mai tumhari ahmiat doosre member se kabhi bhi ziadah nahi hogi. chahe moderator ban jaao, senior moderator ban jaao; forum ki nazar mai tumhari haisiat aik mamooli member hi jaisi rahe gi. lehaza forum ki khatir ziadah takleef uthane aur time zaye kerne ki zaroorat nahi. 8. yeh forum Search Engine se chalta hai aur agar yaha post per reply kerne wale aik bhi member na rahe tab bhi yeh forum Search Engine se chalata rahe ga. iss waqt post per reply kerne walo ki aksariat bhi Search Engine ke zaria hi aaye hai. issi liye iss forum ka salogan hai keh "Yaha Na Kisi Member Ko Ghar Se Bulaya Jaata Hai aur Na Hi Kisi Member Ko Yaha Se Bhagaya Jaata Hai" aur tamam sabqa khidaat ko nazar andaz kertay huye saaf saaf kaha jaata hai keh "Yaha Stay Kerna Hai Tu Karain Nahi Stay Kerna Hai Tu Nahi Karai Aap Ki Marzi" matlab yeh keh forum ki taraf se kisi bhi qisim ki hamdardi aur thanks ka izhar nahi hota. 9. Mukhtasar baat yeh hai keh Forum per slowly chalo, ziadah tezi na dekhao, forum ki khatir apne doosre friends se narazgi nahi mol lo. dukh sukh mai tumhare friend hi tumhare kaam aaye ge yeh forum nahi. 10. aur aakhri baat yeh hai keh forum ke wafadar raho aur aise tamam member per nazar rakho jo forum ko kisi bhi qisim ka nuqsaan pohnchana chahtay hai. matlab yeh keh iss forum ko apna ghar aur school tasawar karo, yaha se jetna bhi seekh saktay ho aur faida utha saktay ho uthao, aur jis tarah apne ghar aur school ki hifazat kertay ho osi tarah iss forum ki bhi hifazat karo.
|
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:13th Aug 2011, 9:58pm |
|
|
moderator permission re: "mein yahaan ka Moderator Nahin Ban paonga .... "
moderator banna koi bari baat nahi. agar mai sifarish ker doo ya koshish karoo tu umeed hai keh aap aaj hi senior moderator ban saktay hai. lekin mai aap ko yeh samjhana chah raha hoo keh yeh koi aham post nahi, especially forum ki nazar mai moderator, senior moderator aur member sab barabar hai. lehaza moderator ship ke liye ziadah jazbati hone ka koi faida nahi. mai ne veer aur sooth ki misal di thi.
dar asal yeh forum akela hai, kisi ka nahi. kaii members iss forum se jazbati lagao laga chukey hai aur ainda bhi lagaye ge. lekin forum sirf aur sirf apni policy per rawan dawan hai, ose kuch bhi nazar nahi aata, na kisi ki khidmat aur na hi kisi ka jazbati lagao. woh sab ko aik hi nazar se dekhta hai, iss liye forum se jazbati lagao rakhne walo ko end mai dukh aur afsos hi hota hai. lehaza mera mashwara yahi hai keh forum se kisi bhi qisim ka jazbati lagao na rakhain.
Senior moderator ka matlab hai keh moderator warning/note dena, irrelevant matter ko delete/edit kerna. abusive member ko Block kerna. yeh sab makhsoos permission ki madad se hota hai. yeh permission forum ke beshumar member ke paas hai, lekin iss forum ki policy hai keh koi bhi nahi bataye ga keh kis ke paas kia permission hai, aur on sab ko yeh permission beghair mange aur beghair announcement di jaati hai.
yeh tamam permission aap ko bhi mil sakti hai. jis din iss forum ke admin ko ehsaas hoga keh aap ko permission di jaa sakti hai de di jaaye gi. kisi ko kano kaan khabar tak nahi hogi. lekin agar aap ne zara bhi permission ko misuse kia ya doosro ko batay keh aap ke paas kia kia permission hai tu woh tamam permission waps le li jaaye gi. iss forum per edit ki permission new members ku 6 months se qabal hi de di jaati hai. lekin tajarba ne sabit kya keh beshtar member os permission ko misuse kerne lagtay hai, lehaza on se woh permission wapas le li jaati hai.
aakhir mai aap ko yahi mashwara hai keh forum se ziadah jazbati taluq na qaim karain. senior members ke vote ki koi ahmiat nahi, jis din admin ne mahsoos ker lia keh aap ne iss forum ki policy aur mizaj ko achchi tarah samajh lia hai os din aap ko beghair mange tamam permission mil jaaye gi. |
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 53 Post: 3436 Age:
37
|
|
Posted on:14th Aug 2011, 4:35pm |
|
|
Azadi k din qaid kia koi bata sakta hay k aaj azadi k din alirajput ko kis ny aur q qaid kar diya hay ?
alirajput ko kisi jurm ki saza di gayee hay ? |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:14th Aug 2011, 7:31pm |
|
|
alirajput Blocked really mujhe bahut hairani ho rahi hai alirajput ko Block dekh ker. mai ne tamam thread achchi tarah dekh daalay, lekin mujhe alirajput ka kabhi bhi koi aisa post nazar nahi aaye jis ki bunyad per ose Block kya jaaye.
tamam members se request hai keh woh agar jaantay ho tu batay keh alirajput ka konsa post aisa hai jis ki bunyad per ose Block kerna zaroori hai.
Admin se bhi request hai keh agar yaha per member os thread ya post ki nishan dahi na ker sakain jin ki bunyad per alirajput ko Block kya hai tu please alirajput ko UnBlock kya jaaye aur os member ki permission per bhi nazar sani ki jaaye jis ne alirajput ko Block kya hai.
|
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:17th Aug 2011, 7:00pm |
|
|
re: alirajput re: "Married women sextion mein ek sister neye likha hein ke wooh marna chahti hein."
Yeh website alirajput, bewaqoof, sunehri aur Wehshi ke beghair bhi chal sakta hai. lehaza forum per kon hai aur kon nahi pareshan hone ki zaroorat nahi. |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:20th Sep 2011, 10:08pm |
|
|
forum per khidmat aur members ki narazgi re: "lekin khidmat karne se sab members ki dosti kharaab ho jaati hain"
mera mashwarah hai keh forum ki khatir aap members se dosti kharab na karain.
re: "Forum pe Members se zaada piyaar karne walaa member bhi Wehshi iss waqt naraazgi pe hain."
aap ko chahiye ke forum per WEHSHI ko tarjeeh dain. aur os ki narazgi door karain. agar woh aap ki forum per activities se naraz hai tu aap ko chahiye keh apni activities forum per mahdood ker dain. agar aap ki activities se forum ke members naraz ho rahay hai tu yeh forum ki khidmat nahi.
yeh forum jaise pehle chal raha tha baad mai bhi chalta rahe ga. yeh forum alirajput ya bewaqoof ka mohtaj nahi, in logo ke beghair bhi forum rawan dawan rahey ga. lehaza forum ki khatir dost ko naraz kerna aur naraz rakhna sahi nahi. aap ko finally yahi mashwara hai keh agar aap ki kisi harkat se aap ke dost naraz ho rahay hai tu aap isey forum per Ehsan na samjhai balkeh forum ki nazar mai aap Nadaan hai jo forum ki khatir apni dosti kharab ker rahe hai. |
WEHSHI
|
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 46 Post: 2532 Age:
49
|
|
Posted on:21st Sep 2011, 3:18am |
|
|
narazgi aur forum yeh forum kisi k azati nhn
aur mera nhn khayal k kisi se bhi narazgi sirif is liyay ho i sforum per k woh narazgi personal ban jai
is forum per mojood woh members jin k pass kisi bhi qisam k koi bhi option hai meray hisab se woh forum ki family hain aur unhain aam member ki nisbat forum k rules ka ziyadah khayal rakhna chahyay
ager un members ki kisi bhi ghalti se aam member ko problem ho to us ki nishandahi kerna zaruri hai aur is nishandahi ko na to zati tanqeed samjha jai aur na hi koi zati narazgi
jahn tak meri bat hai to meri koshish hai k is forum per koi siyasat na ho k jis se is forum ko nuqsan ho ya aam members is se badzan hon
main en isi liyay usi thread main baat khatam bhi ker di hai takay yeh kisi leraai ki shakal ikhtiyaar an ker jai kiun k mujhay andaza huwa k meri narazgi ko aik terah se grouping ka nateeja samjha ja rah ahai
siyasat meri hobby hai au rus k liyay meray pass bohat open aur bera medan hai is liyay main n akhud is forum per siyasat kerta hun aur na hi tergheeb deta hun k yahan siyasat ki jai
yeh forum chal raha hai au rchalta rehan chayay
kiun k shayed abhi humain is main itni activity nazar nhn aarahi lekin mustaqbil qareeb main mujhay yahan bohat cheahal pehal nazar aarahi hai
bewaqoof ka shukriya k un ki bat se mujhay bhi shayed apni ghalti sudharnay ka moqa mial
:):):):) |
muneebigin
|
Group: Members Joined: 08th Aug, 2011 Topic: 2 Post: 20 Age:
25
|
|
Posted on:23rd Sep 2011, 8:12am |
|
|
I AM NEW mai apna post kaise dekh sakta hun. Plz guide me
|
Guide
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 6 Post: 982 Age:
51
|
|
Posted on:23rd Sep 2011, 9:10am |
|
|
Apna post dekhne ka tareeqa muneebigin: aap apna post dekhna chahti hai tu pehle forum per login honN. aap ko page ke oopar hi My Profile likha nazar aaye ga.aap My Profile ko click karain tu aap ke post waha nazar aaiN ge.
aap ne jis category mai post kya hai aap ko apna post waha bhi nazar aaye ga. lekin post kertay waqt agar aap ne ghalat category ka intekhab kya hai tu os category ko change bhi ker dya jaata hai.
agar aap ne sex related koi sawal kya hai tu ose Men Health ya Women Health mai bhi talasj ker lain. kio keh kuch post ko oss category mai bhi shift ker dya jaata hai. |
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:1st Oct 2011, 9:26pm |
|
|
Bewaqoof where are you ???? kaise hain ap aur kahan ghaeb hain
|
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:2nd Oct 2011, 10:11am |
|
|
Sunehri ham wahan hain jahan se ham ko bhi
kuch hamari khabar nahi ati
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7720 Age:
55
|
|
Posted on:2nd Oct 2011, 10:33am |
|
|
khair to hai naa ???
کوئی امید بر نہیں آتی |
کوئی صورت نظر نہیں آتی |
آگے آتی تھی حالِ دل پہ ہنسی |
اب کسی بات پر نہیں آتی |
ہم وہاں ہیں جہاں سے ہم کو بھی |
اپنی کچھ خبر نہیں آتی |
کعبہ کس منہ سے جائو گے غالب |
شرم تم کو مگر نہیں |
bewaqoof bhai! kia chacha Ghaalib ko apna imaam banaa lia hai lol ... ap kissi "mai.khanay" maiN madhosh paRay haiN k apni bhi kuch khabar nahi.. |
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:2nd Oct 2011, 11:11pm |
|
|
Bewaqoof & rizvi bro @rizvi bro ...ap ye kya naksha khainch rahe hain...khaufnaak sa...
acha apko wo msg nahi mile the,abhi tak apki taraf se koi responce nahi aya??
@Bewaqoof khairiyat to haina ? apni ap khabar to do surton me nahi hoti ...ya to us surat jo rizvi bro ne kahi ya phir ishq me ???
apni khabar rakha karain ...lol
|
|
For More Detail Click On Page No: 1 2 3 >> |
|