|
manni_guy |
Group: Members
Joined: 22nd Jan, 2010
Topic: 7
Post: 8
Age: 32
|
|
Posted on:13th Apr 2011, 6:51pm |
|
|
Plan To Marry With Arabic Girl - Will It Be Right Choice ?
asalam walekum
mera sawal yeh hai kay agar aap koi larki pasand ho aur woh arab ki ho tou kya shadi kamiyab hoti yah nahin aur agar larki pasand ho aur maa baap nahin manay tou kya karna chahayee please positive reply
Best Regards
|
s4u |
Group: Members
Joined: 18th Mar, 2011
Topic: 92
Post: 5159
Age: 16
|
|
Posted on:13th Apr 2011, 7:54pm |
|
|
♥·´¯`·Re:
wa alikum asalam wrwb....:)
agar achi life ko azaab bnane ka shoq ho to arabian girls se shadi kr li jae.zindagi khod ba-khod jahanum ban jae gi.
main KSA me hi peda hoi,aur kafi pehle se yahan reh rahe h.(alhamdulillah)...to humara aksar esi khwateen se wasta para h.is lie mera mashwara yehi hai k apni zindagi ko azab na bnaya jaya.agar shadi krni hi hai to sab se pehle apni family me dekhein agar nahi to koi aur achi larki dekhein.lekin arabian se kabhi bhi na krna.
aksar ye log talaq ko khail samjhte h,aur inki agar larai ho jae to aram se nahi larte,maar peet se samjh ati h inhe...aur intahai ayyash hoti h.din rat nokar agay piche phirte rahein,har waqt markets me jana,dinner bahir krna etc....:(
aur agar husband k pas itna na ho to wo apni joti ki nok pr bhi n rakhti aur foran se keh deti h k talaq chahiye...chahe ye khod itne ameer tareen ghar se na hon lekin in ki soch buhot onchi hoti h.aur khas kr agar koi ghair mulki in se shadi kr le to phir to os ka jina haram h.hr waqt dhamkiyaan milti rehti h k humari ye bat na mani to aapko aap k ghar pohncha dia jae ga.
koi 100 me se 1 ba-mushkil achi ho to aur bat h lekin hoti n
|
hot_sajid |
Group: Members
Joined: 28th Feb, 2011
Topic: 7
Post: 53
Age: 25
|
|
Posted on:14th Apr 2011, 5:37am |
|
|
s4u ``` ♥·´¯`·Re:
kya app bhi saudi arabia jesi ladki hai....
|
WEHSHI |
Group: Members
Joined: 17th Aug, 2010
Topic: 0
Post: 315
Age: 41
|
|
Posted on:14th Apr 2011, 4:31pm |
|
|
manni_guy main bhi ksa main hi hun aur arabian grlz ki nature aisi hai khumaray han k merd aur khandan unhain accept nhn kersaktay
kiun k aik to arab socity apnay gheronmain bohat open hain bohat si batain aisi hain k jin ka aj bhi humaray han kehna asan nhn in k han aram se keh diya jata hai
is k ilaa yeh shuru se apnay parets ko dekhty hain k jesay woh hain wesa hi yeh rehty hain
in ka mehar itn aziyadah hai k aam admi k bas se baher hai yahan to jo pakistani saudi national hain woh pak se baho latay hain to ap to shayed phir bhi pakistani ho
in grls ki nature main apn zaat ko muqadam rakhna sab se pehli kharabi hai
is k sath sath woh gher walon ki khidmat k lafaz se aari hain
alag gher, un ki merzi ki decoration, aik khadma, din k 3 time main se kam e kam 1 baher khaya jai ga ya baher se aai ga
weekly shoping au rbohat kuch jo yahan biyan nhn kiya ja sakta
agay aap khud aqalmand hain |
yasir_123 |
Group: Members
Joined: 11th Feb, 2011
Topic: 0
Post: 55
Age: 27
|
|
Posted on:14th Apr 2011, 5:07pm |
|
|
Dear Manni Dear Maniguy.
Well I am also residing in ksa. In logo k saath rehna wakai bohat mushkil hay or woh bhi in ko bv bana lena tu uff. Dear Arab main humesha say rawaj tha aglo ko ghulam bunanay ka, or woh cheeze in k ander aaj bhi hay, poora nizaam ko agar aap dekho tu uss main ghulami ki badboo wazaay tor per mehsoos hoti hay. In ki zehniat main barai mojood hay. shaoori tor per bhi yeh jahil hain, apni baat in ko samjhana behns k agay been bajanay k mutradif hota hay. Shadi karnay k liay aap ko bohat paisa chaiyay hoga kyun k in main larki ek tareekay say khareedi jati hay, paisa dena parta hay, saath hi apna alag ghar show karna parta hay k main seperate rakh sakta hun larki ko, yeh tu sirf larki k baap k dramay hain, jab shadi ho jati hay, tu woh larki jo aap ki BV bun chuki hay abb usay kaam kaaj k liay ghar main ek permanent servant/Maid chaiyay hoti hay, umda pocket money, shopping be-shumaar, umda miyaar k zeverat or makeup ki Ashyaa, mehanga tareen ghar, Hadd-harami ki tamam hadaain paar kar rahi hoti hay woh taqreeban, yeh sab bhi yahan khatam nahi hota usaay aap say umdaa karkardagi ki bhi tawakoaat wabista hoti hain. Tum shayad is society main nahi rahay iss liay yahan k Dhool suhanay lag rahay hain door say sun kar :) Regards. |
myrizvi |
Group: Members
Joined: 20th Apr, 2008
Topic: 88
Post: 3781
Age:
|
|
Posted on:14th Apr 2011, 11:22pm |
|
|
cultural differences 1. shadi ki kaamyaabi k liyeh 2nouN afraad /families k maabain cultural differences ka kam say kam hona aur aik doosray k liyeh 'compatible' honaa baRi ahmiat rakhta hai.
2. 2 afraad alag alag /apni apni jagah bahoot achay mosalmaan /momin hosaktay haiN...lekin agar inkay darmayaan cultural differences ki khaleej haail ho yaa yeh dounouN apas main 'compatible' hi nah houN to inki shadi kabhi kaamyaab nahi hogi... yaa to TooT jayegi yaa dounouN ki zindagi haraam hojayegi.......... sahabah karam o saahabiyaat RA bila shubah bahoot achay mosalmaan thay...... lekin inmaiN say aksar o beshtar nay talaaq dia ya lia... woh beghair laray jhagRay bhi aik doosray ko talaaq day dia kartay thay jab woh yeh yeh feel kartay thay k woh aik doosray k saath nahi rah saktay... nabi kareem saw nay bhi onhaiN bilamoom talaaq denay /lenay say manaa nahi kia. aap taareekhay islam oTha kar dekh laiN yahaan details ki zaroorat nahi
3. barre.sagheer say talluq rakhnay walay mosalmaan aik "different cultural back ground" say talluq rakhtay haiN... in muslims k aabaa o ajdaad ki aksariyat hindu thee... jahaan "shadi ka bandhan saat janam tak" nibhaanay ka "azm" hota hai. yahaaN biwi, bewah hokar pati ki chitaa par jal mar jaya karti thee.. talaaq yaa bewah ki shadi to amalan naa.mumkin hi thaa aur hai..... yehi AKS yahaaN k muslim gharanay maiN bhi maujood hai k yeh "zindagi bhar k liyeh shadi" kartay haiN. aur aaj bhi yahaaN ki "muslim bewah /mutleqah" ki shadi taqreeban naa.mumkin hai (illah masha Allah)
4. aalamay arab...bilkhasoos saudi arabians ki mo'aashi khush.haali ko abhi zeyadah arsah nahi guzraa... 1965 tak one pak rs = 3 saudi reyaal thaa.1947 say pahlay hyderabad dakkan (india) k nizaam apni zakaat saudia bhejaa kartay thay jo laakhouN maiN howaa karti thee... kahnay ka matlab yeh hai k jinhouN nay apni aankhouN say aaj k saudies ko dekha hai, woh petro dollars say qabal k saudies k rahan sahan ko bhi zaroor paRhaiN... woh tab bhi otnay hi muslim thay jetnay aaj haiN (except their political concept / internal n global politcs)... shadi beyaah k basic tareeqah kal bhi wohi thaa aaj bhi wohi hai... talaaqaiN kal bhi easily hoti theen aaj bhi hoti haiN... shadiyaaN kal bhi saudi men kasrat say kia kartay thay aaj bhi kartay haiN... farq sirf yeh hai k aj daulat mand hain to daulat kaa jaa o bejaa use bhi kartay haiN... kal nahi thaa to daulat k beghair hi woh "guzaaraa" kia kartay thay
4. 100 saal qabal, "ham indians" ameer thay to hamaraa bhi wohi style thaa jo aaj ameer arabs ka hai. khodaa jab (daulat ka ) husn deta hai to "nazaakat" aa hi jati hai :) yeh ameeri ghareebi, inferaadi hasiyat main bhi aur qaumi hasiyat main bhi aani jaani shaii hai.... insaan /qaum ki pahchaan iss aani jaani shaii say mawaraa hoti hai /honi chaahiyeh.
5. saudi arab main rahnay walay "pakistani muslims" bilkhasoos saudiyouN say nalaaN hi rahtay haiN...jabkay pakistani k moqaablay maiN indians /bengladeshi iss behaviours ka mozaahera nahi kartay.... 1970s say qabal saudi pakistaniyouN ki baRi izzat /qadar kartay thay...aaj amoomi taur par aisaa nahi hai...... aakhir kiyouN...koi "pakistani" apnay garebaaN maiN jhaankna pasand nahi kartaa k "onki izzat" sirf 3-4 decades maiN etni gir kiyouN gayee... ab iss arsay maiN saudi to "badalnay" say rahay k onkay haaN iss arsay main koi nomayaaN samaji /iqtesaadi /seyaasi tabdeeli nahi aayee
6. being a muslims hamaiN yeh bhi yaad rakhna chahaiyeh k hamara deeni qiblah "makkah-madinah" hai... makkah madeenah k baasiyouN k baray maiN nabi kareem saw ki ahaadees wazah haiN k inki jo cheez achi lagay, lay lo...jo baat giraaN guzray, onhaiN nazar andaaz kardo... onsay kissi maamlay maiN jhagRa nah karo (nah amali nah qauli) ... arabs say mohabbat karo, kiyouNkay maiN (Nabi saw) bhi arabi houN, quraan bhi arabi maiN hai aur jannat ki zobaan bhi arabi hogi) makah-madeenah say qareeb tar (zamaani o makaani dounouN) maujood ISLAM hi behtar hai (mafaaheemay ahaadees)..sahaa.ay sattah main iss topic par baaqaidah books maujood haiN.
7. mujhay nahi maloom k islam ka dawaa karnay walay mosalmaan...in ahaadees ki maujoodgi maiN kis tarah alal elaan arabs, specially saudies say izhaaray nafrat kartay hain... shayad woh "garohay monaafeqeen" k propaganDay say motaasir haiN yaa phir ibleesi white house k zeray asar hainN :)
Allah ham sab muslims ko real tajzeya karnay, aur sab say pahlay apnay aap ko dekhnay ki taufeeq ataa farmaa.ay k jin ki qabaa gonaahoun k dhabbouN say aaloodah houN, onhain yeh zeb nahi detaa k woh "sufaid poshouN" k qabaa par aik aadh dhaba ki taraf ungli oThayaiN |
s4u |
Group: Members
Joined: 18th Mar, 2011
Topic: 92
Post: 5159
Age: 16
|
|
Posted on:15th Apr 2011, 12:49am |
|
|
♥·´¯`·Re: Rizvi uncle
"1970s say qabal saudi pakistaniyouN ki baRi izzat /qadar kartay thay...aaj amoomi taur par aisaa nahi hai...... aakhir kiyouN...koi "pakistani" apnay garebaaN maiN jhaankna pasand nahi kartaa k "onki izzat" sirf 3-4 decades maiN etni gir kiyouN gayee... "
Pakistaniyon ki ab izzat km hai is ki waja kia h ye hr Pakistani buhot achi trha janta h...jin k hukmrano ko wo nahi pochte to onki awaam ko kia izzat dein ge? jab Pak k hukumraan sahe th to Pakistaniyoon ki izzat bhi thi...aur esa sirf KSA me nahi hai aap kisi dosre country me jaein wahan bhi yehi hal h.
khair yahan k khod saudi shaikh log bhi apni hi larkiyoon se shadi nahi krte.wo chahte hain k koi pakistani ho koi aur ho. ab last month ki baat hai.aik shaikh ne pakistaniyyon k ghar rishta bheeja.aur onka kehna tha k pakistani larkiyaan acha guzara krti h is lie main pakistani larki se shadi krna chahta hon...aur wo rishta mere lie tha...is se pehle bhi isi trha k rishte aa chuke h jo saudi th....kiu k wo khod jante hain k humari larkiyaan kesi h.Aur jahan tk talaq hr jga hone ki bat h to is pr aik choti si misal deti hon.kisi ki Maa khrab hoti h lekin beti achi magar humesha oski Maa ko hi dekh k bat ki jati h. kiu k ye bat sb me mash'hor hoti h.isi trha KSA me talaqein zayada hoti h Indo Pak ki nisbat
agar insan ko koi burai nazar ati hai to wohi btata hai na.hume is jga se mohabbat h apne Nabi Pak (s.a.w) se hai.
lekin hum ne jo bhi oper likha wo khod aik saudi ki zuban me likha
|
yasir_123 |
Group: Members
Joined: 11th Feb, 2011
Topic: 0
Post: 55
Age: 27
|
|
Posted on:15th Apr 2011, 6:41am |
|
|
Dear S4u
Tu phir aap nay kya socha iss Rishta anay per :) did u agree with them ? Rizvi. Yaar hum itnay achay log tu hain kamaskum k humari thori bohat izzat ki jai, her pakistani dunya main jahan per bhi ho ek mannerable life guzar raha hay, lakin in leaders ki waja say abb her pakistani Maqrooz hay, or Maqrooz bunday ki amooman izzat nahi hoti as a matter of fact. U can find Pakistani her in leading roles, in top managements where they are leading from front, the behavior is ausum, lifestyle is excellent as well, lakin kuch law and order ki conditions ki waja say or kuch present leaders ki waja say her pakistani zaleel ho raha hay. Leadership ka bohat dakhal hota hay poori nation per, hopefully thinks will get better by time. Regards
|
myrizvi |
Group: Members
Joined: 20th Apr, 2008
Topic: 88
Post: 3781
Age:
|
|
Posted on:15th Apr 2011, 7:34am |
|
|
Hmmmmm maiN iss baat k khilaaf houN k kissi qaumiat (group of peoples) as a whole boraa kaha jaa.ay..... khaah oss qaum k aksar o beshtar log aksar o beshtar maamlaat maiN kharaab hi kiyouN nah ho (go k aisaa rare hi hota hai)
saudi peoples ko as whole jab bhi bora bhala kaha jata hai...onki kissi aik khaami, personal experience, pasand naa.pasand, cultural differences ki binaa par to mujhay bahoot ranj hota hai... kuch arsaa main bhi saudi maiN rah chukaa houn... aur iskay bawajood k meray zaati marasaam kabhi bhi kissi saudi say achay /qareebi nahi rahay.... aur wahaaN aanaa jana bhi laga rahta hai, aur as a "ghair mulki" mujhay wahaaN problems bhi hoti haiN...... in sab k bawajood maiN kabhi bhi onhaiN boraa bhalaa nahi kahtaa..... aur nah hi kissi ko kahnay detaa houN..... iss liyeh k as a muslim saudi log pakistaniyouN say bahooooooot achay haiN..... aur as a muslim hamaray pass yehi waahid criteria hona chhaiyeh kissi ko achaa boraa kahnay kaa....... saudiyoun ki khamiyaan apni jagah lekin agar ham onhaiN boraa gardaannay lagay to laa mahaalaa iskay baad ham "kissi aur" ko achaa kahengay.
aik dunyaa daar aashiq naujawaan to sagay laila (laila k kuttay) say bhi mohabbat karta hai...mahaz laila say "talluq" k sabab...... kia ham Nabi kareem say "talluq" k sabab in saudiyouN say "har haal" maiN mohabbat nahi kar saktay...... yaa kam az kam nafrat to nah karaiN...onki shikayataiN to nah karaiN...k yeh Hubbay Rasool saw ka taqazaa bhi hai aur nabi kareem saw ki talqeen bhi.
Allah ham sab ko aqlay saleem ataa karay aameen.
inferaadi maamlaat ko inferadi satah par hi rahnay dia jaa.ay.... asian females ko onki asians khasoosiyat ki wajah say dunya bhar maiN pasand kia jata hai.... west k mard bhi asian girls say shadi k khahish.mand hotay hain khaah woh muslim houN yaa non-muslims....... yeh pasand aur naa pasand ki baat hai..... jaisay kabhi indians gori maim ko pasand kia kartay thay... jo bhi yahaaN say walayat gayaa, maim zaroor saath layaa..... iss tarah k trends change hotay rahtay haiN |
UNLEASHED- |
Group:
Joined: 31st Dec, 1969
Topic: 0
Post: 107
Age:
|
|
Posted on:15th Apr 2011, 5:40pm |
|
|
jawab arabic larkiyaan bari badtameez hoti hai,(meri is raye se muttafiq hona zarori nai kisi ka likin its a fact of experience) chahay koi pakistani larki bhi wahan pe peda hokar jab bari ho to wahin k tor tareke seekh jati hai,sab nahi likin ziada tar ka yehi haal hai. aur uper wali baton se agree hon main.
jhot bolti hain, idhar ki udhar karna, laraye karna kyun k apni ghalti tasleem nahi kartin, badzabaani badtameezi, izzat ka satya naas kardeti hain banday ki,jealous hoti hain, dheet buhut ziada, in sab kay baad kehti hai. mai nay kia kiya mai to masoom hon, sari buraye tum mai hai :)) :)) :)) |
Sem2011 |
Group: Members
Joined: 15th Apr, 2011
Topic: 0
Post: 1
Age: 22
|
|
Posted on:15th Apr 2011, 7:24pm |
|
|
hi me aik aisi larki hoo jo ksa me peda hua aur yehi pur apni poori zindagi guzaar di. meri bhi yehi rai hai k apko arabian larki se shaadi ke baare me nai sochna chaye. issliye nai k wo badtameez ya bad kirdaar hai ya unn k nakhre zada hai pur iss liye k app aik completely different background se taaluk rakhte hai.
Shayd me ye baat apse pehle na kehti pur me khud issi masle ki shikaar hui hoo. Ap jitne bi zada mohabbat kurne wale insaan kyu na ho, ap hargiz kisi arabian larki k saath compatible nai hai.
aur ye baat bi such hai k jo pakistani larkia itna arsa arab countries me rehti hai unhe is mahol ka asar ajata hai.
Meri shaadi aik pakistani se hui hai. jub me pakistan gai to waha pur logo ne socha saudi me rehti hai hur wakt abaya pehne gi, narrow minded hogi ya nai bi hai to hum bana denge. Lekin sachai ye hai k yaha rehne wale log jinka status thora acha hai wo buht open minded hojate hai. yaha ki pakistani larkia din raat jeans t shirt me ghoomti hai, aur arab to buht expose kurne wale dresses. ap pakistan me iss tarah apni wife ko apne parents k saamne nai le ja sakte. ap mana kare ge to apki shaadi kharab hojai gi aur masle honge. ye to sirf aik maamla hai. jub zindagi ki hakeekat saamne ati hai to muhabbat bi khatam hojati hai.
Mene bhi pasand se shaadi ki magar aik pakistani admi se jo pakistan me rehte the. Unn ko support kya aur visa provide kya. aaj aik buht achi job hai unki. ghur le kur dya hai, set kya hai, pakistan me bi kya hai aur gaari bi di hai. lekin agur main aik cheez ki farmaish kurdoo to buss yehi sunna purta hai k pakistani larki hoti to jese bi guzaara kur leti ya apni maa k ghur se le aao itna shok hai to. Jese k mene koi gunah kya hai farmaish kur k kissi aise insaan se jo laakho me earn karte ho.
Lekin ye baat such hai k pakistani aadmi buht khuddaar hai. unho ne aik baar bi acknowledge nai kya k mere ghur wale achay hai. Bulkay mujhe sirf sunni parti hai k mere ghur wale kya cheez hai, nuks nikalta hai, mere parents k shehr se buht door rakh dya gya mujhe. mere baat kurne pur aur jeans ya kuch bi pehne pur paabandi hai. halanke yaha pur aisa koi masla nai hai. me qualified hoon lekin pakistani husband ne job pur pabandi lagai hui hai. bus ghur pur raho aur hur wakt apni aur apne ghur walo ki burai suno un ke moo se aur un k khandan se, yaha tuk k un ki family mujhe sakht dislike kurti hai.
agur ap me aik pakistani mard ki ye saari qualities hai to please ap uss arabian larki se shaadi na karen kyunke pakistani admi samajhte hai k wo bilkul change kur de ge kissi larki k rehna sehna zor zaburdasti se to ye ghalat hai. agur ap ussko aik insaan ki tarah independent samajhte hai aur usko apne pehnne ourhne aur job kurne se manna nai kurte to ap beshak uss se shaadi kur le. kyunke aik arabian larki ko ap pakistani born n bred larki ki tarah shayd apni property nai bana sakte.
aur jo log kehte hai k inka kharcha aur nokar aur gaari zada hai is liye na karo. to honestly speaking hur arab aurat aik working lady hai aur issliye woh itna kharcha kurti hai apne aap pur aur independent hai. So dont ever tell her not to work.
|
|