khan jee
|
Group: Members Joined: 27th Dec, 2008 Topic: 18 Post: 123 Age:
29
|
|
Posted on:14th Apr 2011, 3:29pm |
|
|
Where From Download A Book Named Bahishti Zewar ?
aoa any one can help im looking for any web site from where i can down load islamic book bahiste zewar in urdu im out of pakistan n i cant get it here so i will be thankful to u if any one can get me any web side from i can down load thid book pls ALLAH HAFIZ
|
WEHSHI
|
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 44 Post: 2452 Age:
48
|
|
Posted on:14th Apr 2011, 4:50pm |
|
|
khanjee quranurdudotcom
se ap ko sab books mil jain gi shaye bahishti zewerbhi mil jai
-- |
khan jee
|
Group: Members Joined: 27th Dec, 2008 Topic: 18 Post: 123 Age:
29
|
|
Posted on:15th Apr 2011, 9:47am |
|
|
thanx thank you i will cahk it tc |
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 50 Post: 3240 Age:
36
|
|
Posted on:15th Apr 2011, 2:50pm |
|
|
bahisti zewar waiy yeh to aik book ka name hay ...laiken kia koi bata sakta hay k behashti zewar sy kia muraad hay ? |
WEHSHI
|
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 44 Post: 2452 Age:
48
|
|
Posted on:15th Apr 2011, 4:22pm |
|
|
diplomate yeh book molana Ehtisham ul haq thanwi saheb ne apni beti k liyay likhi thi aur beti ko shadi main jahaiz k sath di thi k main koi khas zewer nhn de sakta is liyay yeh bahishti zewer de raha hun
us k baad logon ne israr kiya k ap ne apni beti ko to aik aisi kitab di jo bahisht ka zewer hai to baqi musalmanon ki betiyan bhi to hain
is liyay is kitaab ko publish kiya gaya
is kitab main jo kuch hai us per behas aik alag bat hai |
khan jee
|
Group: Members Joined: 27th Dec, 2008 Topic: 18 Post: 123 Age:
29
|
|
Posted on:16th Apr 2011, 9:56am |
|
|
wehshi i hav checked that side but can get only in english i want it in urdu so can any one tell me from where i can get this book in urdu plc
ALLAH HAFIZ |
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 50 Post: 3240 Age:
36
|
|
Posted on:16th Apr 2011, 12:13pm |
|
|
wehshi bro aap ny book ki tareekh bata di jab k mera sawal tha ka bahshti zewar kisy kehty hain ? iss sy kia muraad hay? please iss baat ka answer karain ..thanks |
khan jee
|
Group: Members Joined: 27th Dec, 2008 Topic: 18 Post: 123 Age:
29
|
|
Posted on:18th Apr 2011, 12:54pm |
|
|
diplomate bhai bahshti i think behshat se nikla hai jis ka matlab hai janat aur zewar ka matlab to ap ko pata hoga
tc
|
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 99 Post: 4655 Age:
37
|
|
Posted on:18th Apr 2011, 4:41pm |
|
|
Naam se ye book bohat interisting lag rahi hai...
I think is me ache ache Hints honge..buraiyon se bachne ke lye aur Allah ki Pasand ke mutabik dhalne ke lye ache mashware...
agar kisi ko ye book urdu me mile to mujhe bhi plz link dena..want to read this book also
|
WEHSHI
|
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 44 Post: 2452 Age:
48
|
|
Posted on:18th Apr 2011, 6:58pm |
|
|
Bahshty Zewar diplomate
bahishti zewar ka asal matlab hai k
jesay yahan per singhaar k liyay aur apnay aap ko saheb e serwat sabit kernay k liyay zewar pehnay ya dikhaai jatay hain usi terah janat main insaan jis cheez per rashak keray ga woh na to zewar hon gay na aur kuch balkay woh derjaat hon gay jo Allah atta keray ga
aur jannat main jis cheez se insaan ki zeb o zeenat ho gi aur singhaar ho ga woh us k behter aamal ka sila hai
isi liyay is book main bhi achay aamal ki tafseel aur aik aurat ko kis terah gher aur duniya aur deen le ker chalna chahyay likha hai
is main achaar ki terkeeb se le ker taweez aur hakeemi nuskhay aur shiraai masail bhi hain
lakin maazrat k saath kahin kahin kuch sakhti aur intehaaa ko pohancha di gai hai jo k islam se mach nhn kerti |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6589 Age:
54
|
|
Posted on:18th Apr 2011, 11:10pm |
|
|
bahashti zewar 1. aik achi kitaab hai, aam muslim khatoon k liyeh. issay har ghar maiN hona chaahiyeh as a reference book.
2. yeh aik "insaani takhleeq" hai lehaza like other insaani takhleeqaat, iski tamaam mundarjaat say tamaam logouN ka muttafiq hona zaroori nahi.
3. yeh kitaab urdu jannay walay mosalmaanoun k aksar tabqouN maiN maqbool hai. |
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 50 Post: 3240 Age:
36
|
|
Posted on:20th Apr 2011, 11:37pm |
|
|
re behishti zewar re "janat main insaan jis cheez per rashak keray ga woh na to zewar hon gay na aur kuch balkay woh derjaat hon gay jo Allah atta keray ga"
aap k kehny ka matlab yeh hay k jo ihasaat aur jazbaat insan k liye zindagi main hain chahy dunavi chamak dhamak k bary main hi hon waisy hi ihsasat aur jazbaat janat main b hon gy chahy jannat main yeh ihasasat naik amaal k bary main hi hon? agar aap ka yahi matlab hay jo mujhy samjh ayee hay to main aap ki baat sy agree nahi karta laiken agar aap ka matlab kuch auer hay to please zara detail main wazy karain ?
main agree iss liye nahi hon k insan ko jo yeh jism ata kiya geya hay iss ka kaam sirf insan ki rooh( fitrat) ko cover karna aur insan k fitri taqzon ko poora karny main mu'aawan ban'na hay , aaj hum duniya daari main jo b karty hain (rashak , hasad , takabbur waghaira) wo jism ki khuwahish par karty hain aur iss trah hum ny rooh (fitrat) ko jism k matehat kar rakha hay laiken qiyamat k waqt ya hshar k din jism aur rooh hon gy to yahi magar rooh jism ki taby nahi balky jism rooh k tabhy hoga aur rooh ko jis trah allah ny khalaq kiya aur kaha k "khalaqna-al insan fee ahsan taqweem" kabi b rashak jaisa ihsaas nahi kar sakti ... |
WEHSHI
|
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 44 Post: 2452 Age:
48
|
|
Posted on:23rd Apr 2011, 4:16am |
|
|
khanjee
yeh aik site hai jahan se ap pay kr k hasil kr saktay ho in ka toll free nomber bhi hai site ka link yahan nhn de saktay is liyay change kr rah ahun ap adjust kr lena -- |
WEHSHI
|
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 44 Post: 2452 Age:
48
|
|
Posted on:23rd Apr 2011, 4:17am |
|
|
khan jee
web link edited
other webs publicity is not allowed here
|
|