Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
forum new question
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Sad Poetry:Aakhir Tum Mar Q nahi Jate

Urdu   >>   Urdu Poetry
 
 
MMMM Group: Members  Joined: 15th Jan, 2011  Topic: 2  Post: 84  Age:  23  
Posted on:21st Jan 2011, 5:57pm
 

Chahat

Mein raat bhar rota rahi
Khuli ankhon sotti rahi
Nikalte ansoon se mein
Apna taan yoon hi bhigoti rahi

Ek ek ansoo kutch kehta raha
Diye us dard ko mein
Raat raat bhaar sehti rahi

Badi shiddat se chaha tha tujhko
Kuch jhoote sapne mein sujota rahi
Tere pyaar mein apni zindagi
Ko Mein yoon hi piroti rahi

Teri hansi ko apni hansi banati rahi
Tere dard ko mein apnati rahi
Tere pyaar ki ek umeed ko
Sapno mein sajati rahi

Mila to sirf tanhai ka aalam
Mein dil ko jhoote sapne dikhati rahi
Tu aayega mujhe manane
Mein is dil ko sunati rahi

Toot ke bikhaar chukki hoon ab
Tere diye zakham sehlati rahi
Tu mera nahi raha ab
Is dil ko yahi yakeen dilati rahi,,
MMMM Group: Members  Joined: 15th Jan, 2011  Topic: 2  Post: 84  Age:  23  
Posted on:21st Jan 2011, 6:11pm
 

Rishta

Najane q meri shairi ka unwan ban jate ho tum,
Sub kuch jante howe bhi anjan ban jate ho tum,

Na koi rishta hay tum se na koi talluk,
phir bhi na jane q mera man ban jate ho tum,

Me jo bhi likhta hon bat zara qarene se,
Mera geet meri shaira mera deewan ban jate ho tum,

Dil se jo nikalti hai, labon pe aa k dum tor deti hay,
Woh tamanna, wo hasrat wo arman ban jate ho tum.

Main lakh karon koshish tum se tark-e-tlluq ki,
Phir bhari mehfil main meri pehchan ban jate ho tum.

MMMM Group: Members  Joined: 15th Jan, 2011  Topic: 2  Post: 84  Age:  23  
Posted on:21st Jan 2011, 6:17pm
 

Kya Ho Tum

“Kahun K Kya Ho Tum….?”

Mere liye meri Duniya ho Tum,
Cho k jo Guzre wo Hawa ho Tum,

Maine jo Mangi wo Dua ho Tum,
Kya maine Mehsos wo Ehsas ho Tum,

Meri Nazar ki Talash ho Tum,
Meri Zindagi ka Qarar ho Tum,

Maine jo Chaha wo Pyar ho Tum,
Mere Intizar ki Rahat ho Tum,

Mere Dil ki Chahat ho Tum,
Tum ho tu Duniya hai Meri,

Kaise Kahun k Sirf Pyar Nahin,
Meri zinadgi ho Tum.

MMMM Group: Members  Joined: 15th Jan, 2011  Topic: 2  Post: 84  Age:  23  
Posted on:21st Jan 2011, 6:17pm
 

Kya Ho Tum

“Kahun K Kya Ho Tum….?”

Mere liye meri Duniya ho Tum,
Cho k jo Guzre wo Hawa ho Tum,

Maine jo Mangi wo Dua ho Tum,
Kya maine Mehsos wo Ehsas ho Tum,

Meri Nazar ki Talash ho Tum,
Meri Zindagi ka Qarar ho Tum,

Maine jo Chaha wo Pyar ho Tum,
Mere Intizar ki Rahat ho Tum,

Mere Dil ki Chahat ho Tum,
Tum ho tu Duniya hai Meri,

Kaise Kahun k Sirf Pyar Nahin,
Meri zinadgi ho Tum.

i-salmaan Group: Members  Joined: 19th Jan, 2011  Topic: 1  Post: 181  Age:   
Posted on:21st Jan 2011, 6:36pm
 

beautifull

good going......
MMMM Group: Members  Joined: 15th Jan, 2011  Topic: 2  Post: 84  Age:  23  
Posted on:22nd Jan 2011, 9:05am
 

Meri Hasrat

Meri hasrat k janazy ko uthany waly,
kitny bedard hain yeh loag zamany waly,

koi apna nahi matlab ki hai yeh dunya sari,
ab kahan milty hain woh yar purany waly,

main dua go hon sada nendain mubarik tum ko,
hijar ka dard dy k muj ko jagany waly,

bus yeh he soch kar har bar manati hon usy,
loat k aaty hain kahan rooth k jany waly,

un k dil main kabhi jhank ker dekho to sahi Saqi,
kitny afsurda hain auron ko hansany waly,

MMMM Group: Members  Joined: 15th Jan, 2011  Topic: 2  Post: 84  Age:  23  
Posted on:22nd Jan 2011, 9:08am
 

Aaj Jo Tanha

Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein
Zaroor Mujh ko us Ney Socha ho ga

Khuvabon aur Khyaalon Mein
Mera hi Chehra Tarasha Ho ga

Raah Chaltey jo us ko
Mera khyaal Aaya Ho ga

Aik Nazar Ruk ke Asmaan Pe Chand ko Dekha Ho ga
Jab Saath They to Roz hi larta Tha Mujh sey

Ab Din Mein so Baar khud peh Bigarta Ho ga
Mail Box Kholtey hi Naam mera Dhondta Ho ga

Aur na Pa ke Mujhey

Aap hi Aap Mujh sey Rothta Ho ga
Zaror Masrof Hon buhat ya koi Test hai Mera

Tawelein Ghurr ke khud hi Behalta Ho ga
Tanha Sard Raat Mein

Yuon hi Sarak peh Tehaltey Huvey
Khyaalon hi Khyaalon Mein

Haath us ney Mera Thama Ho ga

Phir Kisi Pool ke Nechey Ruk kar
Aankhon Mein Mere us ney Jhaanka Ho ga

M Amin Group:   Joined: 01st Jan, 1970  Topic: 11  Post: 175  Age:   
Posted on:23rd Jan 2011, 10:47am
 

Kanwal Jheel

Teri Surat ko Nigahon me Basa ker rakhon

Dil ye kehta hy Tujhy Tujh se Chura kar rakhon

Tujhy Dekhon

Tujhy Chahon

Tujhi Sy Piyar karon

Tery Rang-o-Roop ko main sab sy Chupa kar rakhon

Kar lon Qaid apny Dil me tery Jivan ko

Tujhy main Ishq ki Zanjeer Pahna kar rakhon

Koi bhi Jn na paye teri Ankhon ki Gehrai

Main Tujhe aisi KANWAL JHEEL bana kar rakhon

Dil ye kehta hy Tery baad koi Tujh sa na ho

Main Tujhy Akhri Tehreer bana kar rakhon

M Amin Group:   Joined: 01st Jan, 1970  Topic: 11  Post: 175  Age:   
Posted on:23rd Jan 2011, 10:51am
 

Very Nice

Sister MMMM very niced poetry Main ne bohat koshish ki but......... copy nahi kar saka. Mostly Chahat Aj Jo Tanha...... Keep it continue Allah Bless U
MMMM Group: Members  Joined: 15th Jan, 2011  Topic: 2  Post: 84  Age:  23  
Posted on:23rd Jan 2011, 11:36pm
 

Shukriya

thank our asi koi baat nahi apki poetry entkhab bhot acha hota hai shaed hum yehe ghalti kartay hein k khud ko dosrun se kum smajhne lagte hein asa kuch nahi.
MMMM Group: Members  Joined: 15th Jan, 2011  Topic: 2  Post: 84  Age:  23  
Posted on:23rd Jan 2011, 11:44pm
 

*** UMMID ***


Mayoos mat hona yeh aik gunnah hota hai
Milta wahi hai jo qismat main likha hota hai

Har cheez miley humain yeh zaroori tou nahi
Kuch cheezon ka zikar doosre jahan main hota hai

Jo khud ko kostey hain woh shayed bekhabar hain
Kuch paalene ka ikhtiyar khud pe bhi hota hai

Har aik ko barsar-e-ilzam kiun thehrayein hum
Apne
samne bhi tou aik ayeena hota hai

Hum apni zindagi se kiun haar jayein
Gar doobta hai sooraj tou kal bhi ujala hota hai

MMMM Group: Members  Joined: 15th Jan, 2011  Topic: 2  Post: 84  Age:  23  
Posted on:23rd Jan 2011, 11:53pm
 

Pardes mein


Pardes mein yaad jab teri ati he..
Dil rota he, ankh bhar ati he..
Kya gunah kiya tha hamne?
Pardes mein yaad jab teri ati he..

Kesi yeh ajeeb pareshani he..
Yaad bhi teri ek pareshani he..
Kabhi to sakoon milega dil ko
Kesi yeh ajeeb pareshani he..

Din lambe, Raaten bhi lambi hein..
Yaad mein hosh bhula bethe hein..
Talaash ki justujo kise nehi
Din lambe, Raaten bhi lambi hein..

Dil ke darwaze pe dastak ho rahi he..
Aaj pirr ek yaad sata rahi he..
Dil ki gehrayon me jhaank ke dekh..
Pardes me aaj phirr teri yaad aa rahi he..

MMMM Group: Members  Joined: 15th Jan, 2011  Topic: 2  Post: 84  Age:  23  
Posted on:23rd Jan 2011, 11:58pm
 

~*~Meri Zindagi~*~


Kuch Masoom Say Jazbey Hain,
Kuch Un-dekhay Sapney Hain,
Mager Woh Nahi Janta Shayad...!!!
Meri bhi Zindagi To .............Hai..!!!!!!

Tufan mein kashti ko kinare bhi milte hain
jahaan mein logon ko sahare bhi milte hain
duniya mein sabse pyari hai zindagi
kuch log zindagi se pyare bhi milte hain.

Har kadam pe imtihaan leti hai Zindagi
Her waqt naye sadme deti hai Zindagi
Hum Zindagi se shikwa kaise karen?
Aap Jaise Pyaare Dost Bi tho deti hai Zindagi.

Zindagi mein hamesha naye log milenge
Kahi Zyaada tho kahi kam milenge
Aitbaar zara sochkar karna
Mumkin nahi her jagah tumhe hum hii milegi.

M Amin Group:   Joined: 01st Jan, 1970  Topic: 11  Post: 175  Age:   
Posted on:24th Jan 2011, 12:29am
 

Pardesi Logg

Pardesi Logg bhi ajeeb hoty Hain.........

Door rah kar bhi Dil k Qareeb hoty Hain........

Mery Pardesi Tu itna Gham na kar..........

Yeh apny apny Naseeb hoty Hain........

Piyar milta hy jin ko Dunia me.........

Wo Pardesi barry Khush-Naseeb hoty Hain..........

Jitna bhi koi door Bhagta hy In sy........

Wo itny he Dil k Qareeb hoty Hain........

Dard Mill kar Jo bant laety Hain.......

Wo Pardesi barry Khush-Naseeb hoty Hain........

Itna na Tarrpp Pardesi ki yad me........

'''Pardesi Logg Barry Majboor hoty Hain........

M Amin Group:   Joined: 01st Jan, 1970  Topic: 11  Post: 175  Age:   
Posted on:24th Jan 2011, 12:40am
 

Bool k Labb Azad Hain

1>........Meri har Sanss sy Wabasta hain teri Yadain

........Shayad k tery Khayalon me mera Namm tak nahi

2-------->Tumhary Piyar k Wasty rakhy hain do hi Tohfy

............''DIL Ibteda k liye or ''JAN'' I nteha k leye

3------>Tanha Mily koi to karin Dil ki baat bhi

.......Saya sa laga huwa hy Har AADMI k sath

4------->Kabhi Toota hi nahi meri Soch sy Teri yadon ka Silselah

............Meri her Sanss sy wabasta hain tery Naam ki TASBIHAN

M Amin Group:   Joined: 01st Jan, 1970  Topic: 11  Post: 175  Age:   
Posted on:24th Jan 2011, 12:44am
 

Sister

Copy means main apny pass save karna chaht tha. But I could not.....

MMMM Group: Members  Joined: 15th Jan, 2011  Topic: 2  Post: 84  Age:  23  
Posted on:24th Jan 2011, 7:04am
 

Talash kar

Meri taqdeer se poochh meri Qismat ka faisla,
Meri muskrahat pe na ja mera dard talash ker,
Aankhon se pooch mere intizar ki had,
Imtehan pe na ja mera sabar talash ker,
Mere doston se pooch meri dosti ka aalam,
Soorat pe na ja meri seerat talash ker,
Jo mill jaye tujh ko meri baaton ka jawab,
To phir tu mujhe khud mein talash ker…….

MMMM Group: Members  Joined: 15th Jan, 2011  Topic: 2  Post: 84  Age:  23  
Posted on:24th Jan 2011, 8:05am
 

Wo nahi janta

Wo ik shakhs jo hamain zindagi sy peyara hay
Baghair us k viraan ye jahan sara hay

Wo nahi janta k us ki zaat kiya hay
Wohi tou hay jo muhabbat ka ik sitara hay

Nahi milta tou dil ki halat ajeeb hoti hay
K is mein mera nahi dil ka kasoor sara hay

Wo apni sub baton ko chup chup k beyan karta hay
Yehi tou ada hay jis ny hamain mara hay

Wo kya tha, kya hay, kya hoga, kya khabar?
Yehi pata hay k wo jesa bhi hay buspyar hamara hay

MMMM Group: Members  Joined: 15th Jan, 2011  Topic: 2  Post: 84  Age:  23  
Posted on:24th Jan 2011, 8:10am
 

kabhi Jo Hum Nahi Hoon Gay..

kabhi jo hum nahi hoon gay,
kaho kis ko batao gy,

wo apni uljahnain sari,
wo becheni main dooby pal,

wo ankhon main chupe ansu,
kise phir tum dikhao ye,

kabhi jo hum nahi hoon gay,
bohat bechain ho gy tum,

bohat tanha reh jao gay,
abhi b tum nahi sumjhe,

hamari unkahi batein,
mager jub yaad aayen gi,

bohat tum ko rulayen gi,
bohat chaho gy phir b tum,

humein na dhoond pao gay,
kabhi jo hum nahi hoon gay..

MMMM Group: Members  Joined: 15th Jan, 2011  Topic: 2  Post: 84  Age:  23  
Posted on:24th Jan 2011, 8:17am
 

Dil hi dukhany k liye

Ranjish hi sahi dil hi dukhany k liye aa

aa phir e mjhy chor k jany k liye aa

pehly se marasim na sahi phir b kabi to

rasm-o-rahy dunya hi nibhany k liye aa

kis kis ko bataen ge judai ka sabab hum

tu mujh se khafa hai to zamany k liye aa

ab tak dil-e-khush fehem ko tujh se hain umeeden

ye aakhri shammen b bujhany k liye aa

For More Detail Click On Page No: 1 2 3 4 5  >>
 
 
 
Pakistani in Italy  How To Get Visa For Japan  Indian Students Dance In USA

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 30th May 2014