Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics
Recent Reply
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

I Wana Leave The Noor Clinic forever

Chatting
 
 
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5405  Age:   
Posted on:20th Jul 2010, 12:24am
 

I Wana Leave The Noor Clinic forever

Asslam o Alikum.
kese hain ap sab?omeed hai aur Allah se dua bhi k aap log khosh & theik hon.

samjh nahi ati kahan se shoro kron.ye jga jahan aik arsa guzara hai bilkul ghar jesi lagne lagi thi.kabhi socha bhi na tha k yahan se jana bhi par jae ga aik din:(

lekin kabhi halat ese ho jate hain na chahtey hoe bhi jana parta h.yahan meri zindagi k buhot buhot hi ache din guzre jo main byan n ker sakti.yahan kuch naey rishte mile koi bhai mila koi behn,koi waliden jesa.,koi uncle,koi aunty.sab se mojhe dheer sara pyar mila jo main kabhi apni life me nahi bholon gi.specially in logon ko,My Rizvi unlce,Raja bhai,Beeji,Bewaqoof bhai,Kali aunty,Maryam Sis,Hitman,Beauty Star,Sunehri aunty,Red Chilli,Saim.System bhai.Sunny,Dr.Qasim,Dip uncle,Ozone Hasna,Hamzi bhai,Veer bhai,Zebi bhai EF bhai aur bhi buhot sare members.jinhe bhola nahi ja sakta.
aur is forum se buhot kuch seeekha maine,buhot help mili.


aur maine yahan kuch logon ko buhot ziyada hurt bhi kia (sorry).


yahan per old members k sath buhot maza aya kis kis ka nam likhon,sare hi buhot ache friends mile mojhe.yahan beth ker posting kerna buhot acha lgta tha.main buhot miss kron gi is jga ko...:)


ab jab ise chorne me kuch din reh gae hain mera dil chahta hai main roun:((...esa feel ho raha hai jese kisi se keh dia jae k aap ki life me kuch din baqi reh gae, jitna jeena hai jee lein...per hain kuch din k mehman..
:(
samjh nahi ati k kese reh paon gi is jga ko chor k aik sath itne sare friends se dor reh ker.aik din yahan na ati to wo din buhot bura guzarta,ab humesha k lie chorna, pta nahi kese hoga:(

per ghalati hi meri hai main khod hi chhorr rahi hon apni marzi se.

jab kabhi yahan se guzar hoa to dil buhot dukhi ho ga ise chorrne per.
main yahan se ziyada achi aur kuch bori yadein samait ker ja rahi hon.dua kijiye ga mojhe achi yadein hi yad rahein.

apni duaon me yad rakhiye ga.

kisi ka meri waja se dil dukha  ho to main abhi se keh rahi hon forgive me plz.
bad me gilla na kijiye ga.(kuch log to khosh bhi houn ge k humare rastey ka kanta/pathar dor ho gya, jan choti.chalein khosh ho lein aap ko bhi khosh hone ka haq hai)

I'll miss this place,this home & all the moment that I spent here with all of u.

Aur haan main yahan se happy happy jana chahti hon so main happy happy & ache ache replies ki muntazir hon.koi udasi wali bat nahi chale ge.

jatey jatey aik bat likhon gi k kabhi kisi cheez se itna dil na lgana k phir ose chorne per dukh ho.jese mojhe ho raha h.Allah Tala mojhe sabar de.
(ameen)
jab kabhi insan kisi aik friend se juda hota hai to ose buhot dukh & udasi hoti h.main aik sath itne sare friends chor rahi hon.mojh pe jo guzar rahi hai ye mojhe pta h.
acha ji ab mojhe ijazat....
now take care & khosh rahiye humesha.
Allah hafiz



H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:20th Jul 2010, 2:08am
 

s4u

Ye keya hay abi keya ho giyaa ya essi keya wajaa hay jo ap forum say etni attachment kay ba wajood forum chorny pay mujboor hoi ho? ap esa nahi kurin, meah nay bhe forum chorny ka fasila keya thaa meah bhe hurt howa thaa lakin apky replies say nahi, lakin yaha koch log mojood zuroor hen jo pechy he pur jaty hen, lakin ap ony reply na kurin na wo post read kurin yeh he ek elaaj hay, jo meah sumaj paya hon , meah forum pay wapis aya apny readers members or respectable doctors kay kehny pay, lakin es meah koi shuk nahi yeh forum jaha hum ghunto surf kurty hen esy ek onsss ek peyaar sa hey meah esy ek durss ghaah tasuwar kurtaa hon jaha na serf khod seekhty hen bulky dosro ko bhe sikhaaty hen 

ap apny fasily pay nuzur saani kuro or forum chorny ki batin ni kuro zuroor kisi nay apko hurt keya hay, dont leave forum, yeh forum kisi ek ki mulkiyaat nahi hayye forum sub ka hy or sub members apny apny muslik ki namayndghi bhe yaaha kurty hen,  meah yeh he kaho gha dont leave forum please.,

fourm ek hunss mokh member say mehroom ho jay gah, or wesy bhe female members phely he kum hen , female members ka hona bot zuroori hy forum pay, or ap jesy senior members jo bursoo say fourm pay time day ray hen enko hurgezz ni jana chayeh

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7720  Age:  55  
Posted on:20th Jul 2010, 2:43am
 

kia kahouN?

agar ap really jana chaahti haiN to apko jaanay say koi rok nahi saktaa... jiss taraah yahaaN aanay say kissi ko rokaa nahi jasakta, issi tarah yahaaN say jaanay walay ko bhi koi nahi rok saktaa.

agar apnay jaanay ka faislah kar hi lia hai to take care aur Allah haafiz... jahaan rahaiN khush rahaiN.

lekin behtar yehi hota, as Dr Qasim said k ap jaisay member yahaaN maujood rahtay. agar ap members ki pur zore farmaish par rok sakti haiN to maiN bhi Dr sb ki tarah ap say request karouNga k ap apnay faislay par nazar saani karaiN, if u can.

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:20th Jul 2010, 3:09am
 

S4U....

Main myrizvi bhai ki han main han milaty howey aur unn sy agree karty howey aik baat karna chahoon ga k aap iss forum ki aik aysi member hain jis ny sab ko apni pyari pyari batoon sy mehzooz kiya...main jub dil bardashta hota tha aap ki chilbli batain parr kar udasi jati rehti thi...aur yeh jazba aik bhai behan sy agy kuch na tha

iss liye aap k guzry howey yahan waqt ki agar kul estimation ki jaye to main yeh baat mukamal wasooq sy keh sakta hoon k aap kisi member sy hurt ho kar ya dilbardashta hokar yahan sy nahi jarehi hain aap ki kuch personal majbooriyaan hoon gi jin ki bina aap ko forum chorrna parr raha hey ...

jub majboori khuwahish sy ziyada bhari ho jaye to uss k tabey hona hi parrta hey iss liye shaid aap apna faisla to na badal sakain ...laiken hum aik intehaiee achy aur khush dil freind sy mehroom hony k dukh main itna kehny ka haq to rakhty hain k ...PLEASE MAT JAIEN....
ozone Group: Members  Joined: 19th Jun, 2008  Topic: 26  Post: 1412  Age:   
Posted on:20th Jul 2010, 3:24am
 

bubbly kabi nahi jaaye gi.

arey achanak itna bara faisla ??? aap ne to muje kaha tha k shadi ho gi to tab jaun gi , agar shadi ho rahi hai to jao , agar nahi ho rahi to jaaney ki ijazat nahi hai ....

agar aap nok jhok ki baat kar rahi hein to members mein nok jhok hoti rehti hai iss se dilbardashta ho k forum hee nahi chor dena chahye ...... aap chali gaein to yahan par ronaq khatam ho jaye gi , aap k ilawa yahan baqi sab boring hein ;)

hamara waqt yaqeenan bohot acha guzra , zaahir hai jahan rishte qayem hotey hein wahan nok jhok b hoti hai aur iss k baghair rishte ki ahmiyyat ka andaza b nahi hota ...

lehaaza mein to aap ko nahi jaaney doon ga naa hee aap ko jaaney ki ijazat hai...

ab nakhrey karne ki bajaye apne faisla wapis le lo warnaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa :P
Neha_83 Group: Members  Joined: 17th Dec, 2009  Topic: 2  Post: 167  Age:  31  
Posted on:20th Jul 2010, 12:16pm
 

s4u madam

tussi kithe challe ho  , naale kalle kalle ho ??
oye ap to meri badi sister hain,mai regular ana shuru hui aur ap jane ki bataen kar rai hai? kyuunnn ap gai to mai wi nai ana..mai kia karu yaha??

mazak ek taraf.ap yaha se har giz na jaen ap to yaha ki jan hai.haina? sab kaise rahenge apke beghir

jaldi se khushkhabri sunaye ke ap kahi nai jaengi.

saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 44  Post: 2214  Age:  36  
Posted on:21st Jul 2010, 3:24am
 

s4u

kiya ho gaya?

kam sey kam janey ka reason tu bataya hota

yar na jao

Raja Taqi Group: Members  Joined: 17th Sep, 2010  Topic: 31  Post: 2017  Age:  48  
Posted on:21st Jul 2010, 3:32am
 

S4u ki wapsi

S4u k jany ki khabar sun ker realy mein aissy laga jessy life hi hath se niqli ja rahi he S4u se iss silsily mein bohat mozakraat jarri raye aik waqat aissa bi aya k last time jub ye prove ho giya k S4u kissi hal mein bi wapuss nahi aa sukein gi to mein bi ro diya

phir hum ne specialy aik 2 members ne in k ghar phon ker k in k abu aur ami se mozakraat shuroo kiye aur akhir kar unoon ne hamari baat man ker apni jan charrwa li aur hamari jan phir mushkal mein daal di aur hokam huwa k aap issy forum noor clinic le jayein laiken ye hamari nazroon se door raye gi  issi faisly per hum ne ameen kiya aur khushi ka mary samaye nahi gaye

ye forum ki pehli member hein jin ki wapsi forum noorclinic k liye unn k ghar tak jana purra iss forum noorclinic ki dilchuspi ne members k gharoon ko bi preshan ker diya.

ulbata ye baat such he k uger S4u ki wapsi na hoti to yahan se aur bohat sary members bi in k sath hi chaly jaty

lehaza aap sub ko phir se S4u mobarak ho

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5405  Age:   
Posted on:21st Jul 2010, 3:47am
 

rE:meri tang to na khinchein

Dr,Qasim thanx 4 ur positive reply.

Rizvi uncle,Dip uncle,Neha,Ozi Raja bhai,Saim aap sab ka buhot buhot shukria.

esa lag raha h jese main ja rahi hon aur sab meri tang khinch rahe hain k mat jao:-P

main yahan se kabhi bhi nahi jana chahti.aur na hi main kisi se hurt hoi hon,kisi ki himmat jo mojhe hurt kare:D
actually bat ye h k humare DSL connection ka problem hai.ghar walon ko lgta hai k khtam kra dia jae.koi use hi nahi krta...agar in hi kuch dinu me problem solve ho jae to main dobara se yahan active ho sakti hon.dua karein.

aur haan waqi me raja bhai ki halat buhot hi nazuk thi.ye to bilkul bachon ki trha rone lag gae th:(

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7720  Age:  55  
Posted on:21st Jul 2010, 3:53am
 

Raja g... it's NOT fair

etni jaldi drop scene... abhi to pardah oThaa thaa... rung nikhraa thaa... mokaalmay start howay thay.... abhi to saf bandiyaan honi baqi theeN, s4u ki hemayat aur mokhalfat main bayanaat aanay thay... phir in bayanaat par bayanaat aanay thay...raunaq mela lagna thaa...magar aap aur apkay khufia saathiyouN nay pardah girnay ka hi elaan kardia lol

ab hum yahaan kia karaiN??? s4u ko "welcome" kahaiN... abhi to onkay jaanaay ka "yaqeen' bhi nahi howaa thaa k ap onkay "aanay" ki "yaqeen dahanai" karaanay lag gaye :)

ab aap aisaa karaiN ... meray ghar ka pataa bhi lay laiN, meray susraal, meri begum k susraal aur bachouN k nanehaal o dadhiyaal k patay, phone numbers, post box, email etc etc...kia khabar kal kalaan ko apko aur apki team ko inki zaroorat par jaa.ay... par tab 'etni jaldi" nah kijyeh gaa.... haaaaa haaa

 

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7720  Age:  55  
Posted on:21st Jul 2010, 3:56am
 

Raja Bhai ki haalat..

Re: raja bhai ki halat buhot hi nazuk thi.ye to bilkul bachon ki trha rone lag gae th:(

44 baras ki age maiN bachoun ki taarh ro rahay thay... jawanoun ki tarah kia 88 baras main royengay... aurtoun ki tarah ronay ki to phir baari hi nahi aayegi lol

saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 44  Post: 2214  Age:  36  
Posted on:21st Jul 2010, 4:00am
 

good

chalien yeh tu acha howa key s4u wapis a gai
Raja Taqi Group: Members  Joined: 17th Sep, 2010  Topic: 31  Post: 2017  Age:  48  
Posted on:21st Jul 2010, 4:00am
 

myrizvi G

aik martba to aissy huwa k S4u k aba ne apna joota utar liya aur shukar he k hum phon per thay aur unoon ne apna joota S4u k sar per de mara aur phon bandh ho giya

uss k bhad thorri dair mein try ki to S4u ko phon ki her bell per joota purrny shuroo ho giya last seven bells per ssat jooty purry phi athwein bell per unoon ne phon uthaya aur ghussa itni dair mein kum ho giya tha

ub aap agye bateyin k kiya huwa

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7720  Age:  55  
Posted on:21st Jul 2010, 4:04am
 

s4u k kaan khaiNcho

s4u k tamaam uncles n aunties (jo 99.99% of the members haiN) ko chhaiyeh k iss bachi k kaan khaiNchaiN... oss waqt tak jab tak yeh "taubah" nah karlay....... yahaaN say jaanay ka sochnay wali harkat say ...... yaaaa...... sab ko uncle /aunty kahnay say........ uncles to koi khaas faraq nahi paRtaa lekin jab woh "females" ko Aunty kahti hain to woh (dil hi dil maiN) jal kar kabaab hotay howay kahti haiN... plz mujhay aunty to nah kaho naa lol
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7720  Age:  55  
Posted on:21st Jul 2010, 4:09am
 

ghussah kam hogayaa thaa?

onkay pass kull seven adad (3.5 pairs) jotay hi thay naa iss liyeh... aik jootah masjid main ghaib hogaya thaa... 7 jootay s4u ki "nazar" ho gayee... aur s4u ki ammi nay "notice" day dia k ab apko koi joota shoota nahi milegaa...ab bila jooti hi phira karo...bus yeh suntay hi onka ghussah jhaag ki taarh baiTh gayaa...... dat's it

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:21st Jul 2010, 4:11am
 

acha to yeh baat hey

theek hey big brother rizvi sahib main ap ki suggestion par amal karty howey sab sy pehly s4u bateeji k kaan kheenchta hoon.....ey su4 kaan idhar kroo....:)

waisy s4u agar DSL ki problem hey to pehly q nahi btaya...shaid hum yahan sy hi aap ki madad kar daity.....khair abb btaien k DSL ki kia problem hey...:)
Raja Taqi Group: Members  Joined: 17th Sep, 2010  Topic: 31  Post: 2017  Age:  48  
Posted on:21st Jul 2010, 4:12am
 

myrizvi G

ubi in ghar aap bi phon kerein phon in k aba hi uthayein gay aur kehna k mein ne S4u se baat kerna he aur ye keh ker phon bundh ker dein to iss k bhad ye aap ko aunti nahi kaye gi
Raja Taqi Group: Members  Joined: 17th Sep, 2010  Topic: 31  Post: 2017  Age:  48  
Posted on:21st Jul 2010, 4:22am
 

myrizvi G

S4u k aba ne jub hamri baat na mani to hum ne S4u ki ami se baat kerna chahi to S4u k aba ne apny 2no jooty utar liye aur aik to S4u k sar laga aur dusra S4u ki ami ne apny sar se pakarr kar sath khurry huwaye S4u k fiance k sar per de mara iss tarah hamry mozakraat kafi dair tukk jari raye
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5405  Age:   
Posted on:21st Jul 2010, 4:28am
 

aur to aur

Raja bhai ne kal se khana peena bhi band ker rakha h.mere sath sath in k bhi kan khinchne chahiye
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:21st Jul 2010, 4:31am
 

raja bhai ka khana peena band karna...

s4u aap iss khush fehmi main na rehain k raja bhai ny aap k forum chorrny k gham main khana peena tark kiya howa hey.......bulky raja bbhai to aaj kal acidity ki takleef sy larr rehy hain ....app awien e khush na hoon....lol
For More Detail Click On Page No: 1 2 3  >>
 
 
 
Pakistani in Italy  How to find job with no work experience  Bangladeshi Community Celebrating Canada Day In Toronto

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us