Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

  Sexually Transmitted Diseases
Sexually Transmitted Diseases In Urdu And Roman Hindi
Pneumonia | Namonyia In Urdu And Hindi
Pneumonia | Namonyia In Urdu And Hindi
Sexually Transmitted Diseases
Sexually Transmitted Diseases In Urdu And Roman Hindi
Leucorrhoea
Leucorrhoea | Causes and Treatment
 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
 
    Start New Topic  My Profile
 

What Is The True Religion?

Religion and Culture   >>  Religious Questions
 
 
 
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 103  Post: 5466  Age:  53  
Posted on:10th May 2010, 4:50am
 

that is NOT mazhab

agar kissi ko imaaniyaat +ibaadaat say koi dilchaspi nahi to ossay kia zaroorat hai kissi mazhab ki chatri oRhnay ki........... dunya ka koi bhi mazhab...batil ho k haq...... imaaniyaat o ibaadaat k beghair 'mokammal' nahi hotaa....... jo log bewaqoof ki above batouN par "imaan" rakhtay haiN........ aur aisay bahoot say laa.deen log iss dunyaa main maujood haiN jo non-beliver kahlaatay haiN..... inka kissi bhi mazhab say koi lena dena nahi hotaa...aur yeh log public dealing k rules regulations /ikhlaqiyaat par bhi bah khoobi aamal kartay haiN.. aur kartay rahengay... inki soch bith to death k darmayaan mahdood hoti hai....... chounkay nah onhai birth say qabalaur nah death k baad ki fikar hoti hai, lehaza yeh aik kissi bhi model farm k cattle ki tarah apni zindagi ko khus o khurram taur par guzaarnay ki ahliat rakhtay haiN... aur inka kissi bhi mazhab say koi ikhtelaaf bhi nahi hotaa..... ehaza ap apnay ID card k mazhab walay khaanay maiN non-believer /laa.deen likhwa laiN aur chain ki bansri bajaayaiN. Allah Allah khair sallah 
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 181  Post: 6101  Age:  34  
Posted on:10th May 2010, 7:09am
 

True Religion

ar aadmi apni marzi aur khahish ke mutabiq aqeeda aur ebadat kare.

aj jitny bhe firky or tafurkaa or muzhub meah bighaar ap dayk ray hen esi waja say hay kay hur koi apni murzi say or apni khuwaish say islam ko mom ki nak sumaj kay jidur murzi apni murzi say more lay bus wo theek hay, yeh he wajaah hay jo aj ap sub koch or yeh koch dayk ray hen, Quran nay ek ke baat khol khol ky biyaan kur dee tu pher apni murzi ki ebaadut kesi , islam Mussawaat, Itfaaq , baahum ruwaadari, humdurdi, ka durss dataa hay ek esaa muzhub ek esaa deen jis meah ameer ghureeb kaaly gory , meah koi onch neech nai agur koi furq hay tu Tuqwaa kay haay lakin humari sufoo wo Itehaad mojod he nahi hay, agur tafurqaa hay firqy hen muslak ki bonyaad pay tu os cheez os Hudayit ko ku nai pukurty os Roshny kay mumby say roshni ku nahi hasil kurty jis say sub nay hasil ki Quran or Hudess,  agur hur koi apni murzi say ebadat or apni murzi ka aqeeda rukh lay bunaa lay tu pher islam ka nam o nishaan mit janaa .

ek wahaz or Nussiyaat kurny walay ka kam bat ko ponchaa dena hay ksi kay sur pay sotaa ni mara jaa sukta zor suburdusti nai ki jaa sukti ,  sedi rah or tari raah dono Allah nay waazeh kur dee hen, meah esy agree ni kurta kay apni murzi ka aqeeda ho yaa apni murzi ki ebaadat ho ,

Ehbaadut or aqeeda ek ho , jis say Mussaawaat, bahum ruwaadari , qorbani , husad boghuz , keenaa, or tumaam esy rohaani bemariyoon ka khatima ho jay or muslimaan apus meah bahi bahi ho jayin na kay apni murzi kur kur kay ek ghur meah teen teen chaar char muslik bunaa layin or islam ki taleem ko he bholao dayin,

islam ki Jitni ebaadaat hen , numaz , rozaa Huj zukaat en sub ka muqsud keya hay , ap sub janty hen,  

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 48  Post: 3142  Age:  35  
Posted on:10th May 2010, 7:26am
 

True Religion vs Mazhabi janooniyat

Re :- "agar kisi tarah in inteha pasand mazhabi janoonion ko khatam ker dia jaaye tu iss dunia mai har taraf sakoon hi sakoon nazar aaye ga." 

jo inn inteha pasand mazhabi janonioon ko khatam krny ki than ly ga dar haqeeqat wo khud b aik mazhabi janooni hi kehlaye ga..uss aman psand main aur aik mazhabi janooni main kuch fraq nahi rehy ga..

waisy iss wqt duniya main haqeeqi Islam k muqabley main aik adad new Isalm marz-e-wajood main aa chuka hey aur uss Islam ka name Islam-e- amreci hey ...iss amreci Islam ny Islam-e-Muhammadi (s.a.a.w) ki aysi shakal bigharr kar rakh di hey k ab asal Islam kaheen nazar nahi ata aur bas rah'na dar Islam hi nazar araha hey 

aaj iss amreci Islam ny hamari mu'ashrey main apny panjy iss mazbooti sy gharr liye hain k hum apna mazhabi diffa krny k liye b issi nam nihad islam k peechy hi bhagty howey nazar arehy hain ...hum apni mushkalat ka hal n issi amreci islam k pero karoon sy mang rehy hain aur khuwab-e-ghaflat main hain shaid hum ayn islam pr chal rehy hain ...yeh bilkul issi trah jaisy hum kisi Dr. k pas ilaj k liye jaien aur wo humain danista ya na'dinsta tour pr koi ghalt medicine dy to hum phir b uss Dr. sy hi ilaj karty raihain aur apny ta'yeen smjtey rahy k hamara theek ilaj ho raha hey... 

yani jis ny hamara qatal karna chaha ussy hi hum apna maseeha b samjty hain ..
aaj k dour main jahan hum ny khud apny hathoon sy islam-e-Muhammadi (s.a.a.w) ko ghaib kar rakha hey aur iss ikhalaq aur ikhlaqiyaat sy bharpoor Deen pr gard dal rakhi hey to iss sorat main hum aik mazeed ikhlaqiyat aur aman-o-ashti waly new mazhab ki q talash main hain... 

yeh sab ikhalakiyat aur aman jis ka rona roya ja raha hey kia yeh sab deen-e-Muhammad (s.a.a.w) yani asal Islam main majood nahi hain..??? ...yaqeenan hain ..aur Islam ki to taleemat hi aman aur bhai chary ki hain ..agar ham khud hi inn taleemat sy ghafil ho kar asal deen ko hi chupa dain aur khud hi ayn islamic taleemat yani aman bhai chara akhuwat par amal na krain to phir inn sab khoobiyoon sy labraiz kisi new deen ki demand ya khuwahish ka b koi tuk nahi bnta chy jey k hum new deen k liye apni trf sy kuch asool aur pemany muqarar karty phirain.......

iss liye guzarish hey k Deen-e-Muhammad(s.a.a.w) par parri dhool aur matti ko saaf kar k uss ki asal shakal ko bahar laien yani apis main tfrqa bazi ko khatam karain....humain nahi chahiye k hum ikhlaqiyaat sy bharpoor aur haq deen hony k bawjood ham kisi naye so called haq deen ki khuwahish zahir karty phirain...

iss liey Islam-e-amreci ko chorrain jo k tazzadat aur jungi jnoniyat par mushtmil hey aur Islam-e-Muhammadi(s.a.a.w) ko apnaien jo k aman aur ashti aur bhai chray sy labraiz hey aur issi ikhlaqiyat ki tarjamani b krta hey...
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 103  Post: 5466  Age:  53  
Posted on:10th May 2010, 9:40am
 

true religion ki pahchaan

1. aik true religion 'open' hota hai 'khufia' nahi.... iski tamaam taleemaat / mazhabi adaray, ibadat khaanay har khaas o aam k liyeh open hotay haiN, har aik ki access maiN hotay haiN...

yeh aik aham criteria hai... iss criteria ko lay kar ap chand baray baRay mazaahab /masaalak par research karaiN to apko khud andazah hojayega k bahoot say mazaahab k mannay walay apni bahoot see literature ko khufia rakhtay haiN, activities /ibadat ko khufia rakhtay haiN......... hatta k apnay hi mazhab /maslak k aam admi tak iski rasayee nahi hoti jaisay....

hindu mazhab walay apni mazhabi books ko nichaly darjay k hindu ki access maiN nahi detay... zikri,  agha khani, bohri etc etc masaalak k roohani peshwa apnay ldeeni literature aur ibadatoun ko doosray logouN say chopaa kar rakhtay haiN... shia mazhab ki bhi beshtar basic aham books aam market maiN nahi milteeN.... osoolay kafi, shia mazhab ki aik aham book hai...meri apnay aik qareebi shia dost say issi topic par debate howi to woh nah manaa k shia ki books 'sab k access maiN nahi hoti'... maiN nay kahaa k acha zara aap osoolay kafi hi laakar batlaa dain... woh apnay maslak ki baRay marakaz maiN gayaa magar ossay kissi nay yeh book nah dee...wazah rahay k mausoof aik sarkaari adaaray main zimmah daar afsar hai.....
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 103  Post: 5466  Age:  53  
Posted on:10th May 2010, 9:45am
 

true islam kaun saa hai

islam maiN bahoot say 72 say bhi zayad firqay haiN...aur aik hadees ki roo say saray firqay jahannami (ghalat islam walay) haiN...sirf aik "firqah" aisaa hai jo jannat maiN jayegaa (goya saray firqay nah to durust haiN , nah jannati) aur woh firqah woh hoga jo Rasool Allah ki layee howi quran aur sunnat par mabni hogaa 9mafhoom)........... goya agar within islam, sahi /true religion sirf aur sirf aik hosakta hai, bahoot saray nahi........... aur within in different religions, sirf aur sirf islam hi aik true religion hai............ true religion ki har tashreeh /tabeer ki roo say
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 48  Post: 3142  Age:  35  
Posted on:11th May 2010, 5:56am
 

true religion ki pahchaan..aur maslki books ki adam dastyabi..!!!

"hatta k apnay hi mazhab /maslak k aam admi tak iski rasayee nahi hoti jaisay.."

true religion ki pehchan main jo formula mery fazal dost myrizivi bhai sahib ny paish kiya hey yeh sirf aur sirf aik zehni ikhtrakh pr mushtmal hey yani khud skhta hey

agar yehi formula kar'amad ho to phir to ahl-e-sunnat wal jammat ki aik buhat barri tasneef "so'ayq-e-murka" (allama hajar makki) wo b itni asani sy dastyab nahi hey aur har kisi ki pouhnch main b nahi hey ..issi trah ahl-e-hadees ki aik mutbar kitaab "niday-e-ya Muhammad(s.a.a.w ki tehqeeq" b markeet main asani sy available nahi hey to goya hum is baat ka yeh matlab lain k inn main aik ya sary hi true maslak nahi hain iss liye unhoon ny inn books ko aam dastyabi sy door rakha howa hey

aur jis trah myrizivi bhai sahib keh rehy hain uss baat sy to yehi guman ho raha hey k asal bat ko pas-e-pushat dal kar aik new bat kar di jaye ta'k members asal topic sy hat aik new behas main ulaj jaien....main iss liye aik baat guzararish karna chahoon ga k plz plz kisi b discussion main baat krty waqt apny zehni mafroozy paish na kiye jain.... shukriya..waslam 
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 103  Post: 5466  Age:  53  
Posted on:11th May 2010, 9:57am
 

dastyaab nah honaa aur khufia honaa

maiN zameen assman ka farq hai....... bahoot see kutub nayaab, out of stock yaa kissi aur wajah say easily dastyaab nahi hoti, aam logouN ko.......

iskay bar.aks aik hota hai apni kutub ko aam access say door rakhnaa, khufia rakhnaa, sirf apnay hi group /maslak k aham akaabereen hi ki dastrust maiN rakhnaa

Diplomat bhai, mera khayaal hai k ap etnay naa.samajh bhi nahi k in dounouN maiN faraq ko na samajh sakaiN....... meri muraad iss doosri qism say thee k aik true religion /firqay /maslak k log apnay aqeeday //ibadaat /rasoomaat /mazhabi /maslaki books ko "khufia nahi rakhtay"....... balkay fact to yeh hai k iski tableegh kartay haiN, issay zeyadah say zeyadah aam kartay haiN, iski tareef o tauseef kartay haiN

Namaz Ka Tareeqa In Urdu


issay post howay taqreeban aik maah hochukay haiN yeh aik informative thread thee k iss maiN har maslak k namaaz k tareeqay bayaan kiyeh jayaiN takay logouN ki maloomaat maiN izafah ho... magar sewaa.ay aik maslak k kissi aur maslak ki namaaz ka tareeqah yahaaN kissi nay post karna monaasib nah samjhaa... aakhir kiyouN??? mukhtalif masaalak /firqouN say wabistah log apni apni namaazoun tak ko "khufia" rakhna chaahtay haiN kia???? yaa iss forum maiN sirf aik hi maslak k log maujood hotay haiN... ab ap khud andazah laga laiN k asal baat kia hosakti hai
ab ap iss thread hi ko dekh laiN



myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 103  Post: 5466  Age:  53  
Posted on:11th May 2010, 10:08am
 

asal Topic

hi yeh hai k "true Religion" kaun saa hai yaa kaun saa hosakta hai....... true religion hi k silsilay maiN maiN nay apni daanist maiN bahoot say aisay khasoosiyaat bayaan kiyeh haiN jo aik true religion k honay chhaiyeh...abhi tak meri sirf aik khasoosiyat par tanqeed ki gayee jo ghalat saabit howi.......... aur kissi aur nay aik true religion ki khasoosiyat bayaan hi nahi ki ...
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 103  Post: 5466  Age:  53  
Posted on:12th May 2010, 9:24am
 

True Religion Aasman say otartaa hai

sab say aham baat yeh k aik true religion kabhi bhi kissi political, social party ki tarah bar saray zameen tashkeel nahi pataa. aik true religion ko koi insaan /insaani groh tashkeel day hi nahi saktaa illa yeh k iss kainaat ka Rabb aik true religion ko apnay kissi muntakhib banday (Nabi /rasool) ki maarfat zameen par otaaray.

aik true religion aasman sau naazil hota hai, zameen pay tashkeel nahi pataa
paroot Group: Members  Joined: 23rd Nov, 2008  Topic: 66  Post: 1660  Age:   
Posted on:12th May 2010, 11:49pm
 

thread ka naam sahi nahi

Kya hum yaha true religion per discuss karne bethe hai kya ess discussion mein koi essa shaks bhi hai jese apne religion per shak ke bina per yaha clear karne aya hoo??????????
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 48  Post: 3142  Age:  35  
Posted on:13th May 2010, 10:34am
 

Ilogical Baat....!!!!

Re:- "aik true religion /firqay /maslak k log apnay aqeeday //ibadaat /rasoomaat /mazhabi /maslaki books ko "khufia nahi rakhtay"

aap kaisi illogical baat karty hain....

  • roye wind main hony waly azeem ijtemah main kabi b apni mazhabi rsoomaat / ibadaat ko posheeda nahi rakha geya
  • 12 rabi ul awwal ko kabi b apni mazhabi aur maslki rsoomat ko posheeda nahi rakkha jata..taqreeban sara saal muhafil ka silsala b chalta rehta hey
  • awal muharam sy 10 muharam tak aur phir pura sal kbi b majalis ka silsla nahi rukta jo k khuly aam apna mazhabi parchar hota hey
  • tableeghi jamatoon k kafily sary aam apny maqasid ki takmeel mainlagy rehty hain 
  • talbaan sar-e-aam apni mazhabi aqayed ka parchar karty nazar aty hain
  • goya har maslik ki masjad main Juma k roz sar-e-aam apny apny maslik ki tarjmani ki ja rehi hoti hey
iss k ilawa aur b buhat sari misalain hain..aap k formula ko madd-e-nazar rakhty howy inn sab masaalik ko haq aur true hi kehna chahiye q k ye sab apni ibdaat ko aur mazhabi rasoomaat ko posheeda aur makhfi nahi rakhty

Taham main pehly b araz kar chuka hoon k zehni ikhtarah sy kam na liya jaye aur asal baat pr ghor kiya jaye..true religion ki pehchan kabi b kisi illogical baat sy sabit nahi ki ja skti

bulky True religion ki pehchan ka wahid tareeqa uss maslik / mazahab / deen ka parchar aur taleemat hain ..aap kabi b followers ki kaseer tadad ya ibdaat ka khuly aam bja lany sy kisi true mazahab ki pehchan ka miyaar qayem nahi kar sakty..

agar iss trah hi miyaar qyem krna hey to phir zra Pakistan sy bahir k mumalik main nzar durraien to aap ko maloom ho ga k jis mulik main jonsa b mazhab sarkari aur aksreeyat main hey wahan uss mazhab ki ibdaat khuly aam ki jati hain uss mazhab ki books aam muyassar hoti hain aur aap k kehny k mutabiq apny followers sy makhfi ya posheeda b nahi hoti hain..to allawa az islam sab adyaan ko drusat aur haq man kiya jaye ..aap k mutabiq..

lehza aap ki di gayee daleel main koi wazan nazar nahi ata.. 
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 103  Post: 5466  Age:  53  
Posted on:13th May 2010, 10:36pm
 

phir wohi murGhay ki aik TaaNg

maiN nay apni daanist maiN aik true religion ki bahoot see khasoosiyaat ginwayee haiN....... Diplomat bhai ko sirf aik khasoosiyat etny "bori" lagi hai, Thaah kar kay k woh bar baar issi ki takraar aur issi ki "tardeed" kiye jarahay haiN...patah nahi kiyouN...

jin masaalak k "open" honay ki ap "wakalat" kar rahay haiN, oska iss post main kissi nay including me, tazkera bhi nahi kia hai........ bur sirf aik general rule pesh kia hai k HAQ hamesha  OPEN hota hai, closed yaa khufia nahi... pata nahi ap iss baat say chiR kiyouN rahay hain... kaheeN daal main kuch kalaa kalaa to nahi :)

Stalker Group: Members  Joined: 21st Dec, 2009  Topic: 14  Post: 356  Age:  32  
Posted on:14th May 2010, 2:43am
 

myrizvi

Myrizvi bhai ka mazkoora bala "quality" jo aik true religion mein honi chahye , ye 'quality" sahi hai ya nahi ye aik alag behes hai lekin myrizvi baton baton mein apni bayan karda iss quality ko aik aur rang dene ki koshish kar rahey hein jo k mein aur shaied diplomate bakhoobi samaj rahey hein ....


shia mazhab k barey mein kaha jata hai / baaz dafa babar sahab aur shaied myrizvi bhi keh chukey hein k shia apni ibadaat /rasoomat ko posheeda rakhte hein , iss thoery ko ghalat sabit karne k liye diplomate ki daleel kaafi hai k moharram k baad bhi majalis ka silsila jaari o saari rehta hai ...Lehaza kuch khufia nahi hai...


Myrizvi bhai shaied "Asool e Kaafi" ki janib ishara kar rahe hein k wo market mein available nahi hai , tou ye sab propaganda hai , Agar kisi ko Asool E Kaafi chahye tou lahore aur deegar shehron mein easily available hai ...."Iftekhaar book depot.Lhr" se aap khareed sakte hein uss ki tamam jildein ...Agar "jaib" ijazat de tou ...

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 103  Post: 5466  Age:  53  
Posted on:14th May 2010, 4:59am
 

stalker

welcome back again... lagtaa hai k ap mouNh ka zaiqah badalnay k liyeh iss ID say login hotay haiN lol

apnay ab tak above main honay wali kissi sehat.mand bahas regarding "true religion" maiN iss ID say koi hissah nahi lia hai. ab to hathi guzar chuka hai, ab ap dum pakaR kar baiTh gaye haiN :).... ap khul kar bhi meray iss point ki TARDEED karsaktay haiN k aik true religion hamesha open hota hai... yaa to saad saaf tasdeeq karaiN yaa tardeed ... Yes or No k beech wali baat  zaraa naa.monaasib see hoti hai, aisay mawaqay par...

btw meraray access maiN osooli kafi samait bahoot say deger literature bhi haiN...ap meri fikar nah karaiN... bahas ko zaatiyaat ki taraf lejaanay ki bajaa.ay ossoli baat ki jaa.ay to debate sehat.mand rahti hai.........

main nay aik true religion k jetnay bhi pounts raise kiyeh haiN... kissi nay nah to onki tayeed ki nah tardeed..... nah hi apni taarf say koi single nuktah pesh kia k true religion aisaa hota hai waisaa hota hai but  iskay bawajood log iss thread main aa jaa rahay haiN, pata nahi kiyouN???

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 249  Post: 4160  Age:  37  
Posted on:19th May 2010, 11:06pm
 

True religion ki pehchan

true religion mai doosre se nafrat aur tashaddad ka sabaq nahi hota. woh har haal mai sirf aur sirf mohabbat ka dars deta hai.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 103  Post: 5466  Age:  53  
Posted on:19th May 2010, 11:08pm
 

wrong

dunyaa k har religion main "haq o baatil" ki jang ka dars dia jata hai.... dunyaa ka koi aisaa religion (true ho yaa false) nahi jo "false" say nafrat /jang ki encourage nah karta ho......... religion to baRI cheez hai... dunyaa ka koi bhi aisaa ijtyemayee sytem nahi jo "false" ko bazoray quwwat khatam karnay ki talqeen nah karta ho..... kia police /army /security forces "mohabbat phailaanay" k liyeh banaayee jati haiN.... yeh forces har "ghalat kaam karnay walay" ko taqat say rokti haiN aur nah rokay to ossay halaak kardeti haiN... az khud yaa bazaryah adalat....

true religion to in sab say afzal aur balaa tar "adarah" hota hai... woh aam logouN say mohabbat... aur ghalat /batil /samajh dushman anaasar say nafrat /jang ki talqeen karta hai... aur agar baatil forces quwwat ka mozahira karaiN to onhaiN qatal karnay ka bhi hukm deta hai........ hindu.mat main mahaa.bharat haq o baatil ki jang hi to hai.... usa ka iraq /afghanistan k khilaaf jang "haq o batil ki jang hi to hai... woh muslims ko "batil" aur khud ko "haq" par tasawwer kartay howay "muslims ki taqat" ko asleha k zor say, qatlay aam karkay khatam kardena chaahta hai.

"muslim society" main bhi kuch log usa ki taraf aur kuch muslim ummat ki taraf "kiyouN" hain......... issi liyeh naa k kuch log usa n allies (kuffar) ko HAQ par samajhtay hain aur kuch log BATIL samajh kar onkay khilaaf jang kartay haiN...

HAQ o batil ki jang azal say hai aur abad tak jari rahegi........ aik "true-religion iss afaaqi haqeeqat say dooooooor kaisay rah saktaa hai......... sirf MONAAFIQ woh groh hai jo "sab say mohabbat" ka naraah lagataa hai....... dil say yeh monaafiqs bhi apnay "tarafdaarouN" k hamayti hotay haiN.... but "bawajooh" aisaa kholay aam kahnay ki jurrat nahi rakhtay, taab nahi laa saktay yaa inkay mazhab "monaafeqat" iski ijazat nahi detaa

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 48  Post: 3142  Age:  35  
Posted on:20th May 2010, 9:36am
 

kia yeh khula tazzad nahi...!!!!

true religion to in sab say afzal aur balaa tar "adarah" hota hai... woh aam logouN say mohabbat... aur ghalat /batil /samajh dushman anaasar say nafrat /jang ki talqeen karta hai... aur agar baatil forces quwwat ka mozahira karaiN to onhaiN qatal karnay ka bhi hukm deta hai........ hindu.mat main mahaa.bharat haq o baatil ki jang hi to hai.... usa ka iraq /afghanistan k khilaaf jang "haq o batil ki jang hi to hai..woh muslims ko "batil" aur khud ko "haq" par tasawwer kartay howay "muslims ki taqat" ko asleha k zor say, qatlay aam karkay khatam kardena chaahta hai.

aap ka formula braye true religion aap ki apni bat sy hi takra raha hey..
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 249  Post: 4160  Age:  37  
Posted on:20th May 2010, 12:02pm
 

aqeeda ki khatir qatal kerna

aqeeda ke ikhtelaf per kisi se jang kerna aur ose qatal kerna ..... meri nazar mai sahi nahi hai.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 103  Post: 5466  Age:  53  
Posted on:20th May 2010, 11:18pm
 

saray qatal aqeedah ki bunyaad par hi hotay haiN

1. police dakoo ko aur dakoo police ko bhi 'apnay apnay aqeday" hi ki bunyaad par qatal kartay haiN.

2. lekin aqeedah ki khaatir "qatal" oss waqt hota hai jab "mokhalif aqeeday walay"...... kissi bhi sabab say aik doosray k "moqaabil" aa kar aik doosray k "mofadaat' ko "nuqsaan" pahonchaanay ki koshish kartay haiN.......... jaisay Dakoo "bila wajah" thanay par hamlah karkay  aur police dakoo k ghar jaa kar onhaiN qatal nahi kartay (in normal halaat)

3. mukhtalif religion k hamil afraad bhi aik doosray ko oss waqt tak qatal nahi kartay jab tak koi aik doosray k "mofadaat" ko nuqsaan pahonchanay ki koshish nahi kartaa (kissi bhi wajah say)

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 249  Post: 4160  Age:  37  
Posted on:30th Jan 2012, 3:35pm
 

True Religion

True Religion hi True hota hai.
1>>
 
 
 
Gall Bladder | Pitta
Gall Bladder | Pitta
Stomach Problems And Treatment
Stomach Problems And Treatment
Cirrhosis Of Liver | Jigar Ka Sukarna In Urdu
Cirrhosis Of Liver | Jigar Ka Sukarna In Urdu
HIV And Aids Causes And Treatment
HIV And Aids Causes And Treatment In Urdu

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.

© Copyright 2003-2017 www.forum.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us