hamare forum ke aik active member myrizvi sahib ne kaha hai keh dunia ki aksariat dozakh mai jaaye gi aur sirf thoray log jannat mai jaaye ge. onho ne aik thread mai likha keh:
"islam maiN bahoot say 72 say bhi zayad firqay haiN...aur aik hadees ki roo say saray firqay jahannami (ghalat islam walay) haiN...sirf aik "firqah" aisaa hai jo jannat maiN jayegaa (goya saray firqay nah to durust haiN , nah jannati) aur woh firqah woh hoga jo Rasool Allah ki layee howi quran aur sunnat par mabni hogaa 9mafhoom)........... goya agar within islam, sahi /true religion sirf aur sirf aik hosakta hai, bahoot saray nahi........... aur within in different religions, sirf aur sirf islam hi aik true religion hai............ true religion ki har tashreeh /tabeer ki roo say" Ref: What Is The True Religion?
iss theory ke muthabiq 99% log dozakh mai jaaye ge. mai myrizvi sahib se bilkul bhi agree nahi kerta. kia aap log myrizvi sahib ki iss baat se agree kerte hai keh dunia ki aksariat dozakh mai jaaye gi. aur sirf thore se log jannat mai jaaye ge.
wo Tummaam Omutyin jinno nay apny apny wuqut kay Unbiyaa yaa nubi,Rusool, ki taleemaat pay ammul keya hogah onki Omuti hongy wo log bhe Junut meah jayin gay jesy Tummam Umbiyaa ki naik or salieh omuteen or jo gonah gaar hongy suzaa kay bhd junnut meah jayin gay esi tura muslim jo hen wo log jo Moshrik nahi hongy or jino nay QURAN OR HUDESS or uswaa Husana pay amaaul keya hoga or Momun hongy wo log bhe junnut meah jayin gay or gonaah gaar suwaay moshrik kay apni suzaa paa layny kay bhad junut meah jayin gay , jessy fasuk , fajur, monafiq, zalim, jhoota, bay numazi yaa wo log jinka khatima Islam kay sath howaa hoga wo log junnut meah jayin gay or jinkaa khatimaa , yani mot emaan kay sath ni hogi wo junnut meah nai jayin gay, baki wo log jo Kafir hen , moshrik hen, wo kisi sorat junnut meah nahi jayin gay, baki Allah jissy chaa -hay wo hur chez pay Qadir hay or sub say acha insaaf kurny wala hay,
wo log jino nay Deen meah rudo-budul kur deya hoga yaa Allah ki Kitaabo ko budul deyaa yaa on ki taleemaat ko bholaa deya or apna neya deen Qayib kur leya jiska Allah ki kitaab meah koi zikur nahi taa Allah ki dee ghi taleemaat meah koi zikur nai taah. Jitni elhaami books hen Allah ki suwaay Quran kay on sub ki taleemaat abi valid nahi hen Quran kay ajaany kay bhd , or on meah kafi rudo budal kur deya ghiyaa hay, serf Quran or deen a islaam hay jis meah fulaah or bhulaai hy sub ki or islam meah wo log he junaat meah jayin gay jo momun hongy ya gonah gar hongy serf moshrik ki mafi nahi hay esi leye shirk or budut sy rokaa jata hy esky pass say bhe ho kay na gozraa jay,
Allah pak nay Quran meah kahaa hay kay wo buroz a Qiyamaat es baat ka faysilaa kurin gay, ye jo jitny bhe muzhub or firkay hen abi mujy wo aayet yaad nahi aarhi jis meah , on sub ka nam lay kay Allah pak nay Quran meah furmaaya thay i will study and i will share that ayat.
syedna Abu Khadri RA rawi haiN k Nabi kareem saw nay farmayaa k Allah ta'ala qayamat k din farmaa.e.gaa k aye Adam AS! pas woh kahengay k maiN haazir houN... phir Allah kahegaa k dozakh maiN jaanay walouN ko bahar nikaalo... woh poocheNgay k ketnay logouN ko nikaalouN? Allah farmaayegaa k har hazaar maiN say 999 (99.9%)...pas iss waqt maaray khauf k bacha booRha hojaa,ay gaa aur haamila ka hamal gir jaayega aur tou logoun ko dekhega k jaisay woh mast behosh haiN... halaaNkay inko nasha nah hoga lekin Allah ka azaab bahoot sakht hai
50% jannati, ummatay Muhammadia saw maiN say hogi, Rasool ka farmaan
kitab Ahaade ul Ambeya, Sahih Bukhari Sharif:
....Aap saw nay farmayaa k mujhay omeed hai k tum tamaam jannati logouN maiN k nisf k baraa bar hogi. phir farmaya k mahshar maiN tum log tamaam insaanouN k moqaablay maiN (tadaad maiN) aisay hogay jaisay white ox ki khaal maiN aik black baal yaa kaalay bail ki khaal maiN aik sufaid baal.
yaani jannat main jaanay walay tamaam logouN maiN say nisf (50% logouN ka talluq ummatay Muhammadia say hoga......... iska eh matlab nahi k ummatay Muhammadia k 50% log jannati hoNgay.... yeh aik bareek faraq hai, issay zehan nasjheeN rakha jaa.ay.
osama bin zaid rawi haiN k Nabi saw nay farmayaa k maiN nay jannat k darwazay par kharay hokar dekha to oss maiN miskeen zeyadah thay...aur maal.daar log jannat k darwazay par hisaab kitaab k liyeh rok diye gaye... jab dozakhiyouN ko dozakh maiN bhejnay ka hukm day dia gayaa...phir maiN nay dozakh k darwazay par kharay hokar dekha to oss maiN amooman aurtaiN theeN
Bukhari shareef hi ki aik hadees hai k Allah k rasool saw nay farmayaa k meri ummat maiN (taa qayamat) 72 firqay paidaa hoNgay, magar in maiN say sirf aik firqah jannat maiN jaayegaa...poocha gaya k kaun say firqah... to aap saw nay farmayaa k woh jo quran aur meri sunnat paramal kartaa rahegaa... yaani apnay har aqeeday, ibadat aur amal ko quran o hadees k motaabiq rakhega
(*) Narrated AbuHurayrah: The Prophet (peace_be_upon_him)
said: The Jews were split up into seventy-one or seventy-two sects; and the Christians were split
up into seventy one or seventy-two sects;
and my community will be split up into seventy-three sects.(Sunan Abudawud; Book #40,
Hadith #4579)
99.9% log jahannami hai .... bilkul ghalat aur illogical baat hai. Hazoor (PBUH) kabhi bhi illogical baat nahi ker sakte. agar on ke hawala se aisi koi baat hai tu ose tasleem kerne ki zaroorat nahi hai. on ke hawala se kuch bhi keh dene ka matlab yeh nahi hai keh ose aankh band ker ke maan lia jaaye. Hawal aur Hawala dene wale khood ghalat aur illogical ho sakte hai lekin Hazoor (PBUH) illogical aur ghalat nahi ho saktay.
kia kissi mustand hadees k collection maiN maujood kissi hadees k "illogic"honay ka faislah aik "Bewaqoof" kar sakta hai????
iss tarah to har aira ghaira kissi bhi hadees ko "illogic" qarar dekar oss say inkaar karsakta hai... hadees ko parakhnay aur oska moqaam tay karnay ka kaam mohaddeseen /shayoo khul hadees ka howa karta hai......... jo kam az kam iss forum par nahi paye jaatay
, myrizvi abi yeh bhe tu clear nahi ye hudess gonah gaaro ki hay yaa moshurko , kafiroo kay leye. yaa-ni es meah 99.9% log woh hongy jinki maafi nahi ho pay ghi , shufaahaat nahi ho paay ghi yaa bukhsy ni jayngy
yaa
wo sub log gonah gaar , fasiq, fajir sugheraa kubeeraa gonah waly, abi yeh bhe mera mutlab yeh kay sub muslimano nay ehl-a-emaan nay Junnut meah janaa hay Hur os Ommuti nay jiska Khatima Emaan kay sath howa hogah , wo Junut meah jay gah , Gonah-ghaar apni Suzaa bokut kay Jahannum say Junnut meah jayin gay , abi 99.9 log jo hen wo permanent jahaaaanumi hen yaa sub shamil hen. mery khiyaal say 99.9 permanent jahunmi nahi hongy
, jesy ap butaa ray hen 50 % omut a Mohumdi hogi tu pher tu ye kafi bun ty hen, yani gonaah gaar apni suzaa kay bhd , junnut meah jayin gy, or Jo jo log apny wuqto meah apny Unbiyaa kay sath tay onky ommuti tay salieh wo log bhe junut meah jayn gay lakin es sub ka fasila Allah nay kurna naamaa a aamaal or hisaab kitaab kay bhad
Allah Taala ne iss dunia mai insaan ko paida kia, os ka brain osi ne banaya, os brain mai achchayee aur burayee osi ne feed kia aur phir 99.9% ko jahannami qarar de ker dozakh mai bhaij dia.
etny sumujdaar hen pher b essy keh ray hen Allah mohaaf kurny walaa bhe hay or sukht azaab dany wala bhe or ess bayess meah purnay ka hum ko koi fayda hay he nai hay jub Allah nay keh deya en tummam ikhtilafaat kaa faysilaa meah buroz Qiyaamat kuro gah or Ye doniyaa ek exaamination haal hay , ap ko ap ek school meah head master hen or ap kay pas 1000 students hen apny sub koch onko purhaa deya butaa deya abi wo examinaton haal meah apna test theek say nahi daty , schools kay laws ko follow ni kurty or ap koch students ko cheating kurty pukur laty apny onko direct jail bhejnaa hay or jis student kay marks kum aany ap nay osy fail kur dena hay,
esi tura yeh doniyaa muzy lany kay leye nahi hay or Allah nay sub koch essy he nahi bunaa deya hay , Allah nay ek ek baat ka ek ek gonaah ka hisaab lena hay wo Qadir hay mohaaf kur day oski murzi humko suzaa day, Allah ki shaan yeh hay kay Allah bot acha hisaab lany waly hen jo kehty hen kisi kay sath zura burabur bay insaafi nahi ki jay ghi
apky tummam threads bay nuteejaa hoty hen or beyhees laa mutnaahi rokh ikhtayaar kur lati hy ye sub wo topics hen jinko discuss kurny ka hum ko koi fayda nahi hay es leye chorin es bay hess ko kon junnut meah jay gah kon nahi jay gah ye humary namaa aamaal or Allah ki rehmut kury gahi , Allah bahot Maherbaan hay lakin esky sath sath sukht azaab dany walaa bhe.
re: "chorin es bay hess ko kon junnut meah jay gah kon nahi jay gah "
myrizvi saheb jaaye ge. kio keh 0.1% mai wahi aate hai. mera zaati khayal hai keh myrizvi sahib ka aqeeda iss dunia ke 0.1% se bhi kam logo ka hai. myrizvi sahib ki nazar mai on ka aqeeda hi asal aur sachcha aqeeda hai, baqi sab tu mushrik, kafir aur murtid hai. lehaza woh sab yani 99.9% jahannami hai.
1.wohi hai jo quran aur hadees maiN saaf saaf likha hai, nah kam nah zeyadah
2. jo log imaan o amal main "ill" hotay haiN, onhaiN quran o hadees ki bataiN bhi "ill-logic" nazar aati haiN.
3. yeh to hota chalaa aayaa hai k jo log "quran o hadees" par imaan nahi rakhtay yaa kuch hissay par imaan rakhtay haiN aur kuch hissay par nahi rakhtay...jab onhaiN quran o hadees sonayee jaa.ay to pahlay to woh quran-0-hadees ko apnay "ill-zehan" ki madad say ill-logic qarar detay haiN ...aur phir apna saraa zoray bayaan quran o hadees sonaanay walay k khilaaf sarf karkay quran o hadees say apnay dilli bughz ka izhaar kartay haiN.
4. aik hadees ka mafhoom hai k agar tumhaiN yeh "maloom" ho jaa.ay k sari dunyaa jahannam maiN jaa rahi hai aur sirf aik bandah jannat maiN jayegaa to tum Allah ki rahmat say yeh omeed rakh k tum hi woh wahid insaan ho jo jannat maiN jaa'o gay.... issi tarah agar tumhaiN yeh maloom ho jaa.ay k saray insaan jannat maiN jaa rahay haiN aur sirf aik insan jahannam maiN jaanay wala hai to tumhaiN yeh khauf honaa chhaiyeh k kaheeN tum hi to woh shakhs nahi jo jahannam maiN jaanay walay ho
5. lehaza hum sab ko quran o hadees par imaan rakhtay howay apni apni fikar karni chhaiyeh k hum aisaa amal karaiN k jahannam maiN jaanay say bach jayaiN........ Allah aisay tamaam logouN ko imaan ataa karay jo jo quran o hadees ki baat ko ill-logic qarar detay haiN. aameen
1. jo ahaadees maiN quote ki haiN, onmaiN aisee koi "wazahat" maujood nahi hai, jo ap maaNg rahay haiN... maiN apni taraf say kissi hadees ki 'wazahat' ka istahqaaq nahi rakhtaa.
2. above quoted 2 ahaadees maiN jo bataaIn saaf saaf likhee haiN woh yeh hai k ...a) dunyaa k tamaam insaanouN maiN say 999 fee hazaar (99.9%) rozay hashar hisaab kitaab k baad jahannam maiN jayengay b) rozay hashar ummatay Muhammadia saw maiN say sirf aadhi ummat (50%) jannat main jayegi aur 50% jahannum maiN
3.apki yeh baat durust hai k deger ahaadees say yeh baat maloom hoti hai k jo muslims (ahlay imaan) apnay aamaal ki wajah say jahannum maiN jayengay...woh apni sazaa poori karnay k baad, apnay imaan k baaes bil.aakhir jannat maiN jaa.eNgay....... jahannamiyouN maiN say ketnay log jannat maiN jayengay, kab jayengay... in maiN dehger ummat k log bhi hongay yaa sirf ummatay Muhammadia saw k log....... mujhay inkay baray maiN koi info hasil nahi hai.... agar kissi ko maloom ho to zaroor share karay........ magar sirf quran o sahih ahaadees k hawalay say........ kissi allama molve, aalim, soofi, peer ki books say nahi...... maiN quran o hadees k 'moqaablay" maiN kissi ki baat ko bhi ahmiat nahi detaa.
abi bat pta nahi kahan pr hey main sirf title post prr kr kuch likhny ki jurt kar raha hoon agar yeh baat pehly ho chuki ho to paishgi mazrat...
jan'nat ka wada sirf ahl-e-emaan sy hey... sirf hali aik musliman sy nahi (jub k aik muslim main b eman ho skta hey)... jis main eman ki ratti b ho gi wo jan'ntti hi hey chahey dair sy hi sehi ..yani apny amal ka hisab karwany k baad ..aur amaal main kmi k bayes sza lainy k baad laiken ahl-e-emaan akhar kar jan'nti hi ho ga
hum jub emaan ko parkhny ki baat krty hain to la'muhala tour par ahl-e-islam main hi emaan ko talash krty rehty hain .....hmara matma'ey nazar hamaisha muslim hi hoty hai naur hum muslim k mabain ban jany waly firqoon main hi emaan ki mojoodgi ko taklash krty rehty hain aur apny ta'yeen faisla krty rehty hain hain islam k fulan firqa main emaan hey fulaan main nahi fulaan jan'nat main jany ka haqdar hey fulan nahi..
laiken aysa nahi hey Quran main jahan b Khuda ta'ala ny insan ko jan'nat ki basharat di hey wahan sirf ayr "ya ayo hal mominoon" ka seegha hi istemaal kiya hey kaheen b jan'nat ki bsharat ya kamyabi ki bat karty howy khuda ta'ala ny "ya ayo hal mulimoon" ka seegha istemaal nahi kiya ...lehaza iss daleel ki roo sy hum yeh kehny main haq bajanab hain k jan'nat main sirf ahl-e-emaan hi jaien gy ..abb emaan muslim main b ho skta hey aur non muslim main b...
jahan tak hashar main hisab kitab ka swal hey to Quran ki aik aya majeeda ka mafhoom lkhty howey ahl-e-sunnat wal jammat k aik moutbar mufassar likhty hain k hisab sirf munafiq ka hoga ..yani pure kafir mushrik aur budh mazhab bghair hisab k jahan'num main aur pure ahl-e-emaan bghair hisab k jan'nat main chaly jaien gy...hisab sirf munafiq ka hoga ...jis main na pura emaan aur na hi pura bghair emaan k
yani adha eman aur adha be-emaan....adhi cheezain momin wali aur adhi cheezain non momin wali.....aur agar iss ziman main hum apni zindgioon ka hisab zindgi main hi lagaien to aysa hi lgta hey jahan humari apni mrzi wahan hum ny emaan ka daman pakrr rakha hey aur jahan apni marzi nahi wahan bhair emaan k hi sab kuch kiye ja rehy hain.....
re: "myrizvi ka aqeeadah
1.wohi hai jo quran aur hadees maiN
saaf saaf likha hai, nah kam nah zeyadah"
aap apne aqeeda ko jannati aur baqia doosre aqeeda walo ko jahannami samajhte hai. lekin aap ke aqeeda ke ilawab baqia 71 aqeeda wale log bhi Quran aur hHadees ko mante hai. aap ke aqeeda wale jannat jaaye ge ke nahi iss per comments kerna bekar hai lekin baqia 71 aqeeda wale log zaroor jannat jaaye ge.
abb emaan muslim main b ho skta hey aur non muslim main b...
apki baqi bataiN to sab Theek hi lagti haiN sewaa.ay iss above comments k ...
1. logouN ko yeh "ghalat fahmi" hai k islam aj say 1400 saal pahlay hazrat Muhammad saw lay kar aa.ay... aur apki besat say qabal saray non-muslim thay.
2. Islam ka aghaaz pahlay Nabi hazrat Adam AS say howaa thaa... aur akhri nabi saw tak (aik rewayat k motabiq) 1,24,000 ambeyaa AS aa.ay aur sab k sab islam hi laa.ay thay.
3. har Nabi ko mannay walay /oskay follower (imaan o amal ki kami beshi k bawajood) muslim hi thay (muslim arabic ka word hai, onki apni zubaan maiN koi aur alternat word hosakta hai, muslim ka)
4. albattah jab koi new nabi aa jaa.ay to last Nbai k followers par new Nabi par bhi imaan laana laazim hojata hai... aur jo lig new nabi par imaan nahi laatay... tab woh (sabeqah ambeyaa ko mannay k bawajood) non-muslim /kafir ban jatay haiN
5. Muslaman hazrat Adam taa qayamat maujood hongay... aur "imaan walay hi muslim hongay yaa muslim hi imaan walay hongay"... aik non-muslim kabhi (istelaahi meaning maiN) imaan wala nahi hosaktaa........... haaN aik non-muslim ka "baatl par imaan" hosakta hai... jo Allah aur oskay valid nabi par imaan nahi rakhtaa, wohi non-muslim /kafir hota hai
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.