Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

  Cirrhosis Of Liver | Jigar Ka Sukarna In Urdu
Cirrhosis Of Liver | Jigar Ka Sukarna In Urdu
HIV And Aids Causes And Treatment
HIV And Aids Causes And Treatment In Urdu
Mumps Treatment In Urdu
Mumps Treatment In Urdu
Measles In Urdu | Khasra
Measles In Urdu | Khasra
 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
 
    Start New Topic  My Profile
 

What Is The True Religion?

Religion and Culture   >>  Religious Questions
 
 
 
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 249  Post: 4160  Age:  37  
Posted on:7th May 2010, 8:49am
 

What Is The True Religion?

dunia mai jab bhi koi new mazhab ki ibtada huyee os waqt pehle se hi koi na koi mazhab mojood tha. phir kuch log new mazhab ko maan lete hai aur aksariat nahi. agar iss new mazhab ke maanne walo ki taadad bahut ziadah ho jaaye tu ose big mazhab kehte hai, aur taadad mai izafa na hua tu phir woh mazhab small kehlata hai aur kuch tu waqt ke saath saath khatam hi ho jaata hai.

agar koi new mazhab launch ho tu logo ko kaise maloom hoga keh new mazhab true hai ya nahi?

hamara mazhab Islam ko ham sab true mazhab samajhte hai, aur samajhte hai keh hamari mazhabi book Quran Paak aik mukammal book hai. phir hamare paas Hadeth ka wasi collection hai jis ki bina per ham samjhte hai keh hamara mazhab 100% true hai.

lekin jab pehli dafa hamare piaray nabi Hazrat Muhammad (PBUH) ne naboowat ka elan kia tu os waqt na tu mukammal Quran Paak tha aur na hi hadeth ki collection. haqeeqat yeh hai keh os waqt kuch bhi nahi tha. aise waqt mai jin logo ne Hazoor (PBUH) ki naboowat ko tasleem kia woh musalman kehlaye aur jin logo ne tasleem nahi kia woh non-muslim kehlaye.

phir shuru mai Islam tezi se phaila. aur musalmano ki taadad achchi khaasi ho gayee. lekin aik waqt aaya keh Islam ka tezi se phailna ruk gaya. aur aaj 1400 saal guzarne ke baad bhi Islam taadaad ke lehaz se iss dunia ka number one mazhab nahi hai.

mai bhi lakho doosre musalmano ki tarah paidaishi musalman ho. mere waldain chukeh Muslim aur Sunni thay, isi liye mai bhi Muslim aur Sunni hoo. lekin mujhe yaqeen hai keh agar mere waldain non-muslim hotay tu yaqeenat on ki tamam aulaad bhi non-muslim hi hoti.

mera asal sawal yeh hai keh:

1. jab bhi koi new mazhab launch hoti hai tu os ke true aur false ka faisla kaise kia jaa sakta hai? kio keh 1400 saal guzarne ke baad bhi dunia ki aksariat Islam ko True Religion tasleem nahi kerti. agar aksariat Islam ko True Religion tasleem kerti tu iss waqt dunia ki aksariat Muslim hoti.

2. doosra aham sawal yeh hai keh agar aaj koi new mazhab launch hoti hai tu dunia kiss tarah faisla kare gi keh yeh new mazhab True hai ya False. ham tu yeh khatam-e-naboowat ki misal de ker os mazhab ko ghalat qarar de de ge. lekin dunia ki aksariat jo keh non-muslim hai woh kis tarah os new mazhab ke True aur False ka faisla kare gi. agar tamam non-muslim ko woh new mazhab True laga tu phir Islam os new mazhab ko kaise roke ga?


myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 103  Post: 5466  Age:  53  
Posted on:7th May 2010, 9:31am
 

aham sawaalaat

Bewaqoof nay as usual bahoot aham sawaal oThayaa hai... sawaal othana go aqalmandi ki nishani hai...lekin hamaray mo'aashray maiN amooman sawaal othaanay walay ko aqalmand nahi kaha jata ghaleban issi liyeh bhai nay az khud apnay aap ko Bewaqoof declare kar rakha hai :)

amdam bar saray matlab...
1.mazhab /deen k true honay ka talluq aksariyat k issay mannay ya nah mannay say nahi hotaa... jannat main dunya ki kul abaadi (Adam AS taa qayamat) ka 0.1% (one per thousand) jayegi (aik hadees ka mafhoom)... lehaza aksariyat k mannay ka to sawaal hi paida nahi hotaa... haaN kisi makhsoos zamaan o maqaam par aisaa possible hosakta hai k oss jagah aur daur k aksar log HAQ deen ko accept kar laiN...

2.shariyatay Muhammadia (saw) k motaabiq Hazrat Adam AS ta Hazrat Muhammad bin Abdullah (saw) jetnay bhi ilhaami mazaahab thay woh sab k sab ISLAM thay, tawaqtekay k next Nabi aa ja.ay aur kuch log iss latest Nabi ko nah maan kar KAFIR nah hojayaiN. yehi wajah hai k ummatay Muhammadia qabl azeeN aanay walay tamaam ambeyaa AS par imaan rakhti hai, aur onkay dauray nabwat main naazil honay wali shariyat /ilhaami kutub ko bhi barhaq tasleem karti hai iss note k saath k ab onn ambeyaa, onki layee howi shariyat /kutub ki validity khatam hochuki hai plus yeh k woh sari shariyat /books ab apnay asal halat maiN dastyaab nahi, jiski gawahi khud onki kitabouN k different editions main maujood ikhtelaafaat say bhi hoti hai... taaham agar aaj woh tamaam shariyat /books apni asal halat maiN dastyaab ho bhi jaa.ay to dates of expiry guzarnay k baa'es ab woh valid, qaabilay follow nahi raheeN.

3. ab karoR rupee ka sawaal yeh hai k Hazrat Muhammad saw "aakhri nabi" kiyouN haiN... onkay baad aanay walay "ambeyaa" maiN say saray k saray ko "false" kiyouN qarar dia jaa.ay.... jiss tarah ummatay muhammadia k mannay walay hazrat Muhammad saw say qabl aanay walay tamaam ambeyaa ko true tasleem kartay haiN... issi tarah hazrat Muhammad saw k baad "aanay walay ambeyaa" k followers bhi hazrat Muhammad saw ko true nabi to maantay haiN, magar onkay baad aanay walay ko bhi true kahtay haiN.... bus "ikhtelaaf" yeheeN say start hota hai

(cont...)





Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 48  Post: 3142  Age:  35  
Posted on:7th May 2010, 10:07am
 

Re:- True Religion

Re:- "lekin jab pehli dafa hamare piaray nabi Hazrat Muhammad (PBUH) ne naboowat ka elan kia tu os waqt na tu mukammal Quran Paak tha aur na hi hadeth ki collection. haqeeqat yeh hai keh os waqt kuch bhi nahi tha. aise waqt mai jin logo ne Hazoor (PBUH) ki naboowat ko tasleem kia woh musalman kehlaye aur jin logo ne tasleem nahi kia woh non-muslim kehlaye."

yeh baat drust hey k us waqt na to mukamil nazol-e-Quran howa tha aur na hi ahadees ka koi majmoa tha laiken islam k uss waqt haq sabit hony k liye aur AAP (s.a.a.w) ko us waqat barhaq nabi man'ny k peechy yeh darj zail awamal kaar farma thy..  
  • Aap ( s.a.a.w) ka kardar
  • Aap (s.a.a.w) k nazool sy qabal ki kitabon main aap k nabi (s.a.a.w) hony ka saboot
Aap ( s.a.a.w) ka kardar

                                      aghaz main islam ko phailany k liye aap (s.a.a.w) ka kirdar wo aham aur authentic zriya tha k ..aik dfa aap (s.a.a.w) ny chand kuffar sy aik paharr par khrry ho kar keha k main jo kahoon kia wo tum sab mano gy ...sab kaha haan...aap (s.a.a.w) ny keha k agar main kahoon k paharr ki doosri traf sy aik lashkar tum par hamla awar hony  k liye araha hey to ?....to sab ny keha ham zaroor many gy q k aap (s.a.a.w) ny apni sari zindgi main kabi jhoot nahi boola aap( s.a.a.w) sachy aur sadiq hain ..

phir aap (s.a.a.w) ny keha k agar tum meri iss bat ki tasdeeq karny k liye paharr ki uss janab chaly jao aur tumhain koi lashkar na mily to phir ???
to sab ny yak zuban ho kar keha k hum yeh samjain gy k aap (s.a.a.w) ny to sach hi keha hey laiken hamari hi ankhon main kuch hami aur kami hey jo hamain wo lashkar nazar nahi araha.....!!!! allah ho akbar...!!! 

yeh tha aap(s.a.a.w0 ka kirdar jo aap (s.a.a.w) ny elan-e-nubawat sy pehly arab ki jahal aur faasd quom k samny paish kiya aur bad main elan-e-nubowat kiya...PS ..issi bina par logon ki aik kaseer tadad ny islam ko qabool kiya aur jok dar jok islam main dakhil hoye....

Aap (s.a.a.w) k nazool sy qabal ki kitabon main aap k nabi (s.a.a.w) hony ka saboot
    aap (s.a.a.w) k zahoor sy qabal hi aap (s.a.a.w) ki iss duniya main amad ki nishaniya bta di gayee theen...iss amar ny b logon ko islam main dakhil hony ki rah hamwar ki..
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 103  Post: 5466  Age:  53  
Posted on:7th May 2010, 10:09am
 

aj k "new ambeya" true kiyouN naheeN?

1. hazrat Muhamad saw nay khud bhi declare kia k woh last n final nabi haiN, onkay baad koi nabi nahi aayegaa... aur  hazrat Muhammad saw ki layee howi kitaab al-quran nay bhi yehi kahaa........ jabkay hazrat Muhammad saw say qabal aanay walay kissi nabi AS nay last n final nabi honay ka DAWA nahi kia......... dareeN asnaa hazrat Muhammad saw par onkay mokhaalfeen nay bahoot say "ilzaamaat" lagaa.ay...... lekin kissi nay bhi onpar (naoo.zo.billah) jhooTa honay ka ilzaam tak nahi lagayaa balkay iskay bar.aks onkay jaaan o deen k dushman tak onhaiN saadiq o ameen kahtay rahay

2.hazray Muhammad saw ki besat k 1300 saal baad tak "ummatay Muhammadia" muttafiqah taur par onhaiN last n final nabi tasleem karti aarahi thee........ 1300 saal tak ka kissi ummat ka kissi aik point par  ittefaaqay roy bar.qarar rahnaa koi maamooli baat nahi... jabkay iss dauran ummat maiN bahoot say ikhtelaafaat bhi namoo.daar hochukay houN.

3. "jab qaadyaani mazhab" ka aghaaz howaa tab 1300 saal pahli martabah "khatmay nabwat" k ajmaa "TooTa" aur aik fard nay new nabi honay ka dawaa kia jiskay kuch follower bhi paidaa howay... iss new mazhab ki tareekh "gawaah" hai k issay "mosalmaanouN k mulk muttahdah india" par qabzah karnay wali nasraani angrez saamraaj ki sarparasti main aisaa howaa.... aaj bhi qadyaniyouN /ahmadiyouN k sarparast christians n jews haiN.... aur yeh koi ilzaam nahi balkay kholaa raaz hai.......

4. harat muhammad saw tak aanay walay tamaam ambeyaa AS nay sab say pahlay saabeqah ambeyaa ki tauseeq ki, phir apni nabwat ka elaan kia... sabqah ambeyaa ki kissi baat ko jhuTlaya nahi aur nah hi onki laaye howi deen ki tardeed ki.......... qaadyaani mazhab woh wahid mazhab hai, jiska pauda... phoota to ummatay Muhammadia saw say lekin iss mazhab k "nabi" nay apnay  saabeqah nabi saw ko (jissay woh qabl azeen maantaa bhi rahaa thaa... jhoota qarar dia (nauzobillah) k woh saw last n final nabi thaa

5.aj "ahmadi /qadyaani mazhab" k maanay walay aksariyati awaam ko bhi apnay deen o mazhab ki HAQEEQAT ka kuch pata nahi... woh issay ISALM K DEGER FIRQOUN /MASLAk ki tarah ka aik maslak samjhtay haiN aur outside pakistan MUSLIM (AHMADI COMMUNITY) kahalwatay haiN... khud ko bhi mosalmaan samjhtay haiN aur non-ahmadi ko bhi (illah masha Allah) mosalmaan hi samjhtay haiN.......... jabkay HAQEEQATAN aisaa nahi hai........ ahmadi /qadyani mazhab k jumlah LEADERS sirf aur sirf ahmadi /qadyaani ko muslim samajhtay haiN... aur tamam non-ahmadis ko KAFIR..... issi 'etrafi bayaan" par pakistan ki (ppp aksariyat wali) qaumi assembly nay qadyaani ko non-muslim declare kia thaa... aur aj pakistan samait bahoot say muslim countries maiN officially taur par ahmadis /qadyani ko KAFIR declare kia howa hai... issi liyeh saudi arabia (makkah /madinah) maiN koi qaadyaani, khud ko qaadyani declare karkay daakhil nahi hosataa
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 103  Post: 5466  Age:  53  
Posted on:7th May 2010, 10:16am
 

South Africa ki adaalat ka faislah

zia dauray hakoomat maiN south africa maiN qaadyaaniyouN nay muslim qabristan maiN apnay morday dafan karnaa chaahay to wahaaN k muslims nay mazaahmat ki to qaadyaani iss par court maiN chalay gaye......... wahaan ki "ghair-muslim court"nay qaadyaniyouN aur muslims k bayaanaat sunnay k baad (taweel oqadmah baazi howi thee) muslims ka mauquf durust qarar detay howay qadyani ka case kharij kardia aur onhaiN muslims k qabristan maiN apnay murday dafan karnay ki ijazat nahi dee iss bunyaad par k woh khud ko MUSLIMS sabit nah karsakay....

iss topic par to dalaail ka nah khatam honay wala ambaar hai.... moqah milaa to mazeed share karouNgaa... maiN tamaam qadyaani /ahmadi /lahori group k awaamunnas say apeal karouNga k woh apnay deen o mazhab ki ASAL say waqfiyat haasil karaiN... qabal iskay k maut aa jaa.ay aur woh khasaaray maiN rah jaa.ayaiN.... ahmadiat par apnay aur mokhalfeen dounouN k literature ko study karain... aur HAQ k jannay ki koshish karaiN taakay kal qayamat k roz Allah k hazoor sharmindah /pashemaan nah houN
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 249  Post: 4160  Age:  37  
Posted on:7th May 2010, 10:30am
 

Asal topic divert ho raha hai

re: "wahaan ki "ghair-muslim court"nay qaadyaniyouN aur muslims k bayaanaat sunnay k baad (taweel oqadmah baazi howi thee) muslims ka mauquf durust qarar detay howay qadyani ka case kharij kardia aur onhaiN muslims k qabristan maiN apnay murday dafan karnay ki ijazat nahi dee iss bunyaad par k woh khud ko MUSLIMS sabit nah karsakay..."

Topic divert ho raha hai. asal topic yeh nahi keh Qadyani Muslim hai ya nahi. balkeh topic yeh hai keh ksi bhi new mazhab ke baaray mai kiss tarah faisla kia jaye keh Launch hone wala new mazhab true hai keh nahi. Iss dunia mai sirf Muslim nahi hai balkeh non-muslim ki bhi aksariat hai. woh kisi mazhab ke baaray mai kaise faisla kare gi keh new mazhab True hai keh nahi. agar non-muslim ki aksariat new mazhab ko sahi samajhte huye apnane lage tu phir Muslim os new mazhab ko phailne se kaise roke ge.

aik dafa phir yaad dahani karayee jaa rahi hai keh yeh thread Qadyaniat ke baarey mai nahi hai keh woh Muslim hai keh nahi. iss topic per pehle hi kafi discussion ho chuki hai. agar iss topic per yaha bhi discussion kia gaya tu asal topic divert ho jaaye ga.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 103  Post: 5466  Age:  53  
Posted on:7th May 2010, 10:33am
 

baap dada ka deen o mazhab

Bewaqoof Bhai! yaddahani ka shukarya... chouNkay apnay khud "khatmay nabwat" ko touch kia thaa, issi liyeh baat khud bah khud oss taraf muR gayee... ab aagay insha Allah aisaa nahi hogaa....

ham sab amooman apnay baap dadaa k deen o maslak say sari zindagi wabistah rahtay haiN..... aj k iss aqli aur IT k daur maiN bhi.... aj jabkay kissi bhi topic par info collect karna sab say asaan hogayaa hai... aj jabkay hum 15/20 saal ki omar tak pahonchnay k baad apnay parents ki baat ko fazool, outdated samajhnay lagtay haiN... nah to onki 'recommended' giza khatay hain nah kapray pahantay haiN nah onki marzi k motaabiq shadi kartay haiN nah hi careerchoose kartay hain..... in sab maamlaat maiN hum khud ko aqlay kull samajhtya howay khud apni marzi chalaatay haiN aur yeh samjhtay hain k hamari roy hamaray parents ki roy say behtar aur afzal hai (aksat aisaa hotaa bhi hai) lekin deen o maslak woh wahid shobah hai jissay hum aankh band karkay apnay baap dadaa k deen o maslak par hi zindagi guzaar detay haiN aur kabhi yeh gaur nahi kartay k kia hamaray baap dadaa iss maamlay main sahi haiN bhi yaa nahi ... bahoot kam aisay log hoytay haiN jo apnay baap dadaa ka deen apni aqal k motaabiq kissi "true deen" ki talaash maiN apna maslak change kartay haiN, specially in ind o pak...



Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 48  Post: 3142  Age:  35  
Posted on:7th May 2010, 10:50am
 

baap dada ka deen o mazhab

Re :- "kabhi yeh gaur nahi kartay k kia hamaray baap dadaa iss maamlay main sahi haiN bhi yaa nahi"

aur agr baap dada theek hi hon to phr wo 15 / 20 sala noujowan kia kary ??

bat yeh hey k aaj k daoor main  aap.... main.... ya koi aur sha'khas jab b mazhbi tahqeeq karny ki gharz sy "medan" main utrey ga to yaqeenan uss k sath uss k baap dada ka mazhab hi hoga wo usi dairey main rehty howy jo b prry ga... suny ga.. likhy ga.. daikhy ga.. ya mehsoos kary ga yaqeenan apny baap dada ki soch k mutabiq hi nateeja nikaly ga..aysy main uss k liye ussi rasty par datty rehny k ilawa koi dosra rasta nahi hoga..

iss ki khas aur aham waja yeh hy k uss k apny mazahb k preachers ussy dosri tarf jana to door ki baat doosroon sy milny tak na dain  gy..to phir nateejatan uss ki soch ko pukhta karny aur ussi mazhab pr daty rehny (agar ghalat mazhab ka pero kar hey b to) main uss mazhab k commercial preachers ka hi amal dkhal hoga
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 249  Post: 4160  Age:  37  
Posted on:7th May 2010, 10:55am
 

kamzor eemaan wale log

re: "bahoot kam aisay log hoytay haiN jo apnay baap dadaa ka deen apni aqal k motaabiq kissi "true deen" ki talaash maiN apna maslak change kartay haiN, specially in ind o pak..."

meri nazar mai yeh woh log hotey hai jin ka apne mazhab per eemaan kamzor hota hai, chahe woh muslim ho ya non-muslim. jin logo ka apne mazhab per pokhta eemaan hota hai woh kabhi bhi mazhab change nahi kerte. iss forum per bhi 99.99% log pokhta eemaan walay hai aur woh myrizvi, sunehri, ch Babar, Paroot, Diplomat etc etc ke kisi bhi daleel per apne aap ko change kerne wale nahi. aur yeh achchi baat hai.

aik dafa phir asal sawal per aate hai keh agar aaj dunia mai koi new mazhab launch ho jaaye tu log (both muslim and non-muslim) kaise faisla kare ge keh new mazhab True hai ya False. jaha tak Muslim ki baat hai woh tu khatam-e-naboowat ke nazarya ke tehat new mazhab ko False qarat de de gi. lekin non-muslim os new mazhab ko kaise False qarar de gi.

Iss waqt Muslim haath dho ker Qadyani mazhab ke peeche parii huyee hai, agar koi new mazhab launch hua tu kia Muslim os new mazhab ke khilaf bhi osi tarah haath dho ker peeche pare ge jis tarah Qadyaniat ke khilaf hai. maslan agar koi ex eesaaye, yahoodi ya hindu kisi new mazhab ki buniad rakhta hai tu os new mazhab ke against Muslim ki kia strategies honi chahiye. kia ose nazar andaz ker dia jaaye ga ya phir os ke khilaf bhi wahi action lia jaaye ga jo ke Qadiani ke khilaf lia jaa raha hai?
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 48  Post: 3142  Age:  35  
Posted on:7th May 2010, 11:10pm
 

According to topic...!!!

True Religion

Jo b new maslak / religion ata hey to uss k haq hony ya theek hony ka miyaar uss k pero karoon ki tadad sy nahi lagaya jaskta bulky uss religion k afkar aur taleemat sy kia ja skta hey

yeh bat apni jaga musalam aur haqaiq par mabni hey k ham sab k pas iss bat ka koi pemana nahi hey k ham kisi mazhab bil khsoos islam k andar paida hojany waly firqoon main sy kisi ko ghalt ya sahi ki degree dy skain aur waisy b yeh baat hamari kisi degree ya sanad ki muhtaj nahi hey ...yeh mu'amla khalastan khuda sy mutalaq hey...

q k koi b muslim kisi b firqy main rehty howy jub b apny firqy ki schaiee biyaan kary ga to yaqeenan Quran-o-hadees ka shara ly ga aur issi trha uss ka mukhalif b Quran-o-hadees ki base par hi ussy jhoota kehny k liye par tolty howey nazar aye ga..jab dono soortoon main tarfain sy aik hi formate pr amal ho ga to haq par kaisy puhncha jaye ...iss baat ki tashweesh shuro ho jaye gi..tabi aysi soorat main har aik firqy k paas sirf aur sirf apny aap ko haq aur sach kehny k lilawa koi dosra rasta / chara nahi bchy ga..

aur yeh takraoo pero karon ki tadad ki waja sy nahi bulky uss mazahb k afkar ki bina par paida hoga

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 249  Post: 4160  Age:  37  
Posted on:7th May 2010, 11:58pm
 

mazhab and maslak

re: "Jo b new maslak / religion ata hey to uss k haq hony ya theek hony ka miyaar"

yaha per kisi bhi maslak ya firqa ki baat nahi ho rahi hai, balkeh nilkul new mazhab ki baat ho rahi hai. dunia mai agar koi new mazhab launch ho jaaye aur tezi se phailne lage tu Muslim strategies kia honi chahiye.
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 181  Post: 6101  Age:  34  
Posted on:7th May 2010, 12:08pm
 

suchaa Muzhub

sucha muzhub ek  he hay jo Deen-a-islam hay jiski whaaz-o- nussiyaat ek laakh 24 Huzaar prophets nay ki QURAN meah Huzrat Ibraheem Alay salam ka deen or muzhab bhe Islam butaya ghiyaa hay so essy sabut hota hy ek ture muzhub islam he hay abi sub he man layin ye impossible hy ye Allah ka nizaam hay aghur Allah chaa-huty tu sub ko muslimaan he payda kur daty pher etny sary muzhub ku,  hum ye ni keh sukty kay sary he muslimaan ho jayin Allah nay Quran ko serf Muslim kay leye nahi otaara , pori insaniyaat kay leye Hudayit hay abi es meah emaan waly ketny hen ye apko puta ho gah, baki Allah ny diffrent logo ko tofeeq day rukhi ha jo Islam ko represent kur ray hen jin meah doctor zakir nayik bhe hen, jo ek international forum pay kisi bhe muzhab kay pashwaa say bat kurna janty hen. Agur ap Quran pay emaan rukhty hen tu apko suchy muzhub suchy deen meah koi shobaa ni honaa caha-yeh,




myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 103  Post: 5466  Age:  53  
Posted on:7th May 2010, 2:17pm
 

New mazhab /new maslak

kissi bhi new mazhab /maslak ko "phailnay" say nahi roka jasaktaa... qatah nazar woh true ho yaa false.... dunya maiN taa qayamat rahmaan k followers bhi rahengay aur shaitaan k bhi.... lehaza kissi bhi new mazhab ko "phailnay say roknay" ki koshish aik laa yaani baat hai...

"ka'inaat" k idraak ka safar "zaat k idraak" say hotaa hai... lehaza aik true mazhab ki talaash ho yaa kissi new mazhab ko samajhnya, accept /reject karnay ka maamlaa ho....... sab say pahlay hamaiN apnay baap dadaa k mazhab o maslak par ghaur karna chahiyeh k woh kiss had tak aqal ki kasauTy par otartaa hai............ aik mumslim ho yaa kissi aur mazhab ka follower, non-beliver ho yaa kuch aur...... yeh sab k sab aqal ko apni zindagi maiN aik khaas moqaam detay haiN....... lehaza hamaiN iss aqal ka ghaaz sab say pahlay apnay baap dadaa k deen o maslak par apply karaiN....... agar iski haqqaniyat saabit hojaa.ay to kisi aur /new deen ko dekhnay ki zaroorat hi nahi........ agar ueh aqal ki meyaari kasoTy par poora nah otray tab hi doosri taraf dekha jaa.ay

yahaaN aanay walay chouNkay mostly 'muslims' hi haiN lehaza meri muslim ummat k tamaam masaalak k followers say request hai k woh aik nazar apnay apnay maslak ko tanqeed o tahqeeq ki kasoTy par zaroor parkhaiN....... iskay 2 tareeqay haiN 1. apnay deen o maslak k ulemaa ki tahreerouN ko paRhnaa... apnay deen o maslak k mokhaalif literature ko paRhnaa.... dounouN ka mawaznah karkay hum easily yeh decide kar saktay haiN jo "hamara" mazhab o maslak hai, woh true hai yaa nahi......... agar ghair janibdari say kiyeh gaye tajzeyah maiN yeh true saabit hojata hai to fabehaa... agar nahi tab....... apko apnay say "qareeb.tar masaalak" ka jaizah lena hogaa....... aur kisis new deen  / new maslak say qabal established deen o maslak ko awwaliyat deni hogi..... aur baeed tar ko check karnay ki baari baad maiN...

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 249  Post: 4160  Age:  37  
Posted on:7th May 2010, 3:33pm
 

Unseen Belief ke beghair new Mazhab

dunya ke tamam mazahib aman mohabbat aur insaaf ka sabaq sikhate hai. bas farq aur ikhtelaf sirf aur sirf unseen belief per hai. agar koi new mazhab launch ho jis mai unseen aqeeda ki baat na ho tu mera khayal hai keh woh mazhab na sirf bari tezi se phaile ga balkeh doosre mazahib se ziadah poppular hoga.

waise bhi internet ki dunia mai new mazhab launch kerna aur ose tezi se phailana ziadah mushkil nahi hai.
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 48  Post: 3142  Age:  35  
Posted on:8th May 2010, 9:27am
 

Re:- True Religion

Re:- "yaha per kisi bhi maslak ya firqa ki baat nahi ho rahi hai, balkeh nilkul new mazhab ki baat ho rahi hai. dunia mai agar koi new mazhab launch ho jaaye aur tezi se phailne lage tu Muslim strategieskia honi chahiye."

yeh swal kuch munasib nahi lgta ......

#1 ...q k Quran majeed main irshad-e-bari tala hey k (Be-ism-e-Rabbi Ta'ala) .."Al Ya'oma Akmal-to La'kum Deen'a".... yani... "aaj deen (islam) mukamil howa" ..lehaza khuda ki janab sy ta qiyamat  abb deen islam k rehty howey koi dosra aur "haq" deen any ka koi ihtmal hi nahi hey..aik aur jaga irshad-e-rabbi hey  (mafhoom) "hum (khuda ta'ala) ny hi Quran ko nazal kiya aur hum (khuda ta'ala) hi iss ki hafazat karny waly hain" lehaza iss aya majeeda ki roshni main b yeh kehna be ja nahi k Islam ko ta qiyamat kisi dosry deen (new or old) sy koi khatra nahi hey...islam rehmani quwat ki tarjmani krny wala wo Deen-e-Bar'haq hey jisy khuda ta'ala ny Hazrat Adam (a.s) sy ley kar Hazrat Khatam yani Hazrat Muhammad (s.a.a.w) tak nazil kiya aur paya takmeel tak puhnchaya..

#2 ...Islam k andar rehty howey aik sy ziyada firqoon ka wajood main ana Deen Islam mukhalifat ki buniyad par nahi bulky islam ko apny andaz sy samjny k ba'yes hey jis ny jaisy Islam ko smja waisy hi uss par amal karny laga ..(Sunni , Shia , Ahl-e-Hadees , Deubandi etc)

iss lehaz sy agar islam main koi new maslik b wajood main ata hey to uss sy islam ko koi khatra nahi hoga iss liye k inn msaalik ka hona islam k liye khatarnak nahi q k Deen Islam ki ta qiyamat hafazat ka zumma khuda ta'ala ny apny sar liye hey Islam k folwers yani muslims k sar nahi ..

Muslims ka kam sirf Islam ki tarjmani krna hey hafazat karna nahi..aur jis jis andaz sy jis jis ny b Deen Islam ko smja hey wo uss uss andaz sy hi Islam ki tarjmani kar raha hey...... lehaza agar sab k sab murawjja firqy ghalt b hain to wo apny folwers k liye khatarnak hain islam k liye nahi...han yeh bat alag hey k 72 k 72 firqy non islamic world main Islam ka taruf karwaty howey apny firqy ka taruf hi karwaty hain

#3....agar koi non islamic new mazhab wajood main ata hey to wo sirf aur sirf islam mukhalfat main hi manzar-e-aam par nahi aye ga bulky apny sabiqa mazhab main nai istelahat ko mutarif karwaty howy ya marawajja istelahaat ki nok palk sunwartey howey manzar-e-aam par aye ga (agar aye ga to)..lehaza aysi sorat main b islam ko uss new deen sy koi khatra nahi hoga aur islam folwers yani muslims k pas us new deen ko rokny ka koi jwaz nahi hoga taham wo new mazhab muslims k liye preshaniyaan ya probllems paida kar skta hey islam k liye nahi 

#4.....waisy kisi anti Islam new or old mazhab ko rokna aaj k muslim k bas ki baat b nahi hey q k jis qadar yeh Muslims apny andar frohi ikhtalafat main bat chuky hain aur apis main hi aik dosrey ko dalaiyel dy dy kar qayel karny ki nakam koshish karty hain to inn ka khud to muthad hona nazar nahi ata to yeh kisi anti islam mazhab k folwers ko kia khak qayel kar skaien gy...

yeh tammam masaalik aaj jitny dalayel apis main aik dosrey ko daity hain agar in main ittfaaq-o-itthaad ho to un main sy aik b daleel dy kar kisi non islamic folwers ko muslim kar sktay hain ...taham aik baat aur zaroori hey k aaj k door main non muslim ko qayel karny ki zaroorat nahi bulky khud ki safoon main itthad ki zarorat hey
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 103  Post: 5466  Age:  53  
Posted on:9th May 2010, 12:05am
 

True religion

A. true aur false aik relative term hai... jaisay jo religion meray nazdeeq true ho, wohi religion Bewaqoof k nazdeeq false bhi hosakta hai :)

B. go k true aur false aik relative term hai... phir bhi agar iss dunyaa maiN true aur false religions ka "faislah" karnaa ho to iskay liyeh aisay "ghair jaanib.daar Jewry" hona chaahiyeh jiskay membran  nah sirf "deen.yaat" par nah sirf authority rakhtay houN balkay iss fareezay k dauran apnay apnay zati religion (agar koi ho) say balaa tar ho jaayaiN aur "netral" rah kar woh rahnomaa osool pesh karai jinki madad say aik true religion ka faisla kia jasakay.... iss forum k ahlay ilm daanish.war bhi apni apni taraf say aisay osool pesh karsaktay haiN jaisay...

1. true religion (jo koi bhi hoga) sirf aik hio hoga.... iss dunyaa maiN maujood koi 2 independent religion bayak waqt true nahi hosaktay

2. aik true religion woh religion hoga jo sabeqah religions maiN say kissi nah kissi aik 'religion-tree' ko durust maantaa hogaa balkay khud ko bhi ossi tree ka present member honay ka claim karta hogaa........yaani aaj koi aisa relegion 'true-religion' nahi hosakta, jiska sabeqah kissi bhi religion-tree say koi wabistagi nah ho

3. aik true religion apnay tamaam ham.asar religions say behtareen ikhlaqiyaat ka amli namoonah pesh karta hogaa... aik true religion apnay dushman /mokhaalif religions k followers say bhi dealing maiN mosallamah ikhlaaqi principles ko break karnay ki ijazat nah detaa ho

4. aik true religion... aalamay ghaib... yaani insaan paida honay say qabal kahaaN thaa, marnay k baad kahaaN jayega, yeh dunyaa kaisay wajood maiN aayee, yeh dunyaa kab aur kaisay khatam hogi, iss universe ka nizaam kaun chalaa raha hai etc etc ka aisaa aqali jawaab pesh karay jo asri aloom o aqal ko apeal bhi karsakay

5. aik true religion, woh religion hoga jo dunyaa k tamaam shobouN par moheet ho yani har shobah e zindagi ko cover karta ho, inferadi level par bhi aur ijtemayee level par bhi

6. aik true religion "apnay laa.ay howay system of life" ko poori dunyaa par nafiz karnay ki salahiyyat rakhta ho... yaani iss religion k parokaar poori dunyaa par hukmrani karnay ki ahliyat rakhtay houN... hukmraani kar chukay houN

ap bhi nokaat maiN mazeed izafah kijyeh aur pahlay say pesh kardah nokaat kaa jaizah lekar ossay accept /reject karnay k liyeh bhi daleel dijyeh...... hsakta hai k iss qism ki nazri bahas say hum true religion ko shanaakht kar sakaiN... aur mumkin hai k woh true religion, hamara maujoodha religion nah ho :)

 



myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 103  Post: 5466  Age:  53  
Posted on:9th May 2010, 9:49am
 

True religion ka daayee

1. aik true religion ka daayee (nabi, tasool, baani) nay iss new religion k aghaaz sayqabal nah to kabhi jhooT bola ho aur nah hi kabhi kissi nay oss par jhooT bolnay ka ilzaam lagaya ho

2. aik true religion ka daayee character k aalaa darjah par faaiz ho. yani woh har nizaam maiN mosallamah /motafiqqah ikhlaqi iqdaar par poora otarta ho like amaanat daar ho, lain dain maiN kharaa ho, oskay daman par maali corruption ka koi ilzaam nah ho, waaday ka pooraa karnay walaa ho etc etc........
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 249  Post: 4160  Age:  37  
Posted on:9th May 2010, 11:55pm
 

True Religion ki pehchan

Tru religion ki sab se bari khoobi yeh honi chahiye ke kisi ko bhi os mai koi khami nazar na aaye. jaha myrizvi, ch Babar aur Paroot aur Diplomat aik zuban ho ker kahe keh ham sab ise tasleem kerte hai.

lehaza mazhab ki woh tamam batain jise har koi maanta ho masla (jhoot nahi bolna chori nahi kerna) ose apna leni chahiye aur woh tamam batai jis per bahas o mobahisa hoti hai ose rad ker deni chahiye.

agar dunia mai koi new mazhab launch ho jis mai sirf wahi batai shamil ho jis per kisi ko ikhtelaf nahi tu mera khayal hai keh woh mazhab bari tezi se phaile ga. aur aise hi mazhab ki iss dunia ko iss waqt zaroorat hai jise saari dunia beghair bahas mubahisa ke tasleem ker le. agar mazhabi ikhtelaf na ho tu yeh dunia jannat se kam nahi.

lehaza mazhab se mazhabi ikhtelaf wale tamam chapter nikal dena chahiye. koi bhi mzhab apne andar se mazhabi ikhtelaf wala chapter nikalne ko tayyar nahi, lehaza koi new mazhab hi mazhabi ikhtelaf aur tanazaat ke beghair lauch ho ker iss dunia ko jannat bana sakti hai.

iss dunia mai har insaan ka koi na koi mazhab hai, aur dunia ki aksariat mazhabi inteha pasand (like ch Babar, Paroot) nahi hai. aur mazhabi inteha pasandi se sakht nalaan aur pareshan hai. lehaza agar koi bhi mazhab jo mazhabi inteha pasandi aur mazhabi ikhtelaf ke chapter ke beghair launch ho tu woh bari tezi se iss dunia mai phaile gi.

dunia ki aksariat aman pasand hai aur dunia mai aman o sakoon se rehna chahti hai. lekin afsos ke iss dunia mai nam-nahad mazhabi theekadaro ne iss dunia ko jahannam ka namoona bana dia hai. aur yeh nam-nahad mazhabi theeka dar har mazhab (muslim, hindu, sikh, eesayee, yahoodi etc etc) mai mojood hai. agar kisi tarah in inteha pasand mazhabi janoonion ko khatam ker dia jaaye tu iss dunia mai har taraf sakoon hi sakoon nazar aaye ga.

Pakistan Hindustan ke ikhtelaf ki asal wajah (mazhabi ikhtelaf) hai. agar hindu muslim ka ikhtelaf na hota tu aaj dono mulk ka dafayee bajat na hone ke barabar hota aur dafayee bajat mai kharch hone wala kharbo rupee se ghareeb awam ki ghorbat khatam ho jaati.

Amarica se bhi muslim world ka conflict ke peeche mazhabi ikhtelaf hai, agar yeh mazhabi ikhtelaf na hota tu iss waqt Iraq, Iran, Afghanistan, Taliban, Israil, Falasteen ki koi kahani nahi hoti. Russia ne bhi Chachinia mai mazhabi taasub ka muzahira kia hai.

dunia ke tamam tanazaat ke peeche mazhabi ikhtelaf hai, dunia ki bari bari jangai sirf aur sirf mazhabi ikhtelaf ki bina per lari gayee, agr dunia mai mazhabi ikhtelaf na hota tu dunia ki bari bari jangai nahi hoti.

iss dunia ko aik aise mzhab ki zaroorat hai jis ke andar Ikhtelafi Aqeeda na ho. jab ikhtelafi aqeeda hi nahi ho ga tu sirf aur sirf aik mazhab ho ga.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 103  Post: 5466  Age:  53  
Posted on:9th May 2010, 2:15pm
 

lakum deenakum wa leya deen

.....iss dunia ko aik aise mzhab ki zaroorat hai jis ke andar Ikhtelafi Aqeeda na ho. jab ikhtelafi aqeeda hi nahi ho ga tu sirf aur sirf aik mazhab ho ga.....

yeh "offer" to aap say qabal mushrekeenay makkah nay bhi hazrat Muhammad saw ko dee thee k aa.iyyeh hum dounouN aik "mushtarkah /ghair ikhtelaafi mazhab" par muttafiq hojayaiN... 6 month ap hamary butouN k ibadat karain 6 month hum apkay Allah ki ibadat karengay..... magar Allah ki taraf say rasool Allah nay jawaab dia.... poori soorat al-kaferoon paRh lijyeh jiska aakhri jumla hai... lakum dee na kum waleya deen........ meray liyeh mera deen, tumharay liyeh tumhara deen

1. true aur suchaa deen sirf aik hi hosakta hai.... oss aik true deen k elawah saray deen baatil hongay.... baatil deen to baham apnay ikhtelaaf khataam karna chahaiN to khatam kar bhi saktay haiN.... lekin aik true /HAQ deen kabhi bhi batil deen say apnay ikhtelaafaat khatam nahi karsaktaa.......... bilkul issi tarah aik true deen main jetnay maslak /firqay hotay haiN, oss maiN bhi sirf aik firqah /maslak hi HAQ par hotaa hai, baqi saray firqay baatil say polluted hotay haiN, kissi maiN kam kiss maiN zeyadah....... lehaza yahaaN bhi aik true maslak, baqyah polluted masalak say apnay ikhtelaaf khatam nahi karsaktaa...

wazah rahay k iss qism k ikhtelaaf khatam karnay ki "offer" hamesha batil religion /masaalak hi ki taraf say aati hai.... haq kabhi bhi aisee offer nahi kartaa.... misaal

india maiN hindu mazhabi scholars iss baat par 'agree' hosaktay haiN k woh muslims k saath milkar onkay mazhabi tehwaar ko manayaiN, namaaz pahaiN rozay rakhaiN, etc etc aisaa bahoot say maroof /raushan khayaal hindu kartay bhi haiN... like indian mash'hoor hindu poet gulzaar dehalvi har saal ramzaan maiN muslims poet ko aftaar party karta hai aur oss roz woh khud bhi rozay rakhta hai....... hindu scholars muslims say shadi ko bhi allow karsaktay haiN

but

yehi baat koi muslim scholar /aalemay deen kabhi bhi gawara nahi karsakta k woh hindu poojaa paaT / hindu tehwarouN ko own karnay ka elaan karay /fatwa day.... inferadi taur par agar koi muslim aisaa kartaa bhi hai to muslim ulemaa oskay khilaaf ho jatay haiN

aakhir aisa kiyouN?

iss liyeh k baatil agar haq k saath mix-up hota hai to oska kuch nahi bigaRtaa... namaaz rozah karnay, muslim mazaaraat par jaanay say hindu ka deen dharam nahi bharsht hotaa jabkay agar HAQ batil say mix-up hojaa.ay to Haq phir haq nahi rahtaa...bilkul aisay hi jaisay............. aik glass main paak saaf doodh (haq) ho aur doosray glass maiN napaak paani (urine etc)....... ab agar napaak pani maiN paak doodh ka kuch hissah mila dia jaa.ay to bhi napaak pani ka kuch nahi bigaRtaa........ iskay bar.aks agar napaak paani ka kuch hissah doodh maiN mila dia jaa.ay to doodh napaak, unhygenic aur muzray sehat hojayegaa yaani iski paaki affect hojayegi

haq o baatil ... adyaan (religions) houN yaa masaalak... ko bahmi mix up karnay ki taghooti saazish taa qayamat kaamyaab nahi hosakti. Allah paak apnay haq deen maiN taaghoot ki amezish ko kabhi gawara nahi karegaa

wazah rahay k
deen sirf chand ikhlaqi meyarat (such, deyanat daari, fair dealing, khush akhlaaqi etc etc) ka naam nahi balkay iskay teen basic pillars haiN
A. imaaniyaat... bilkhasoos ghaib par imaan, Rab ki wahdaniyat, qayamat, jannat, dozakh etc
B. shariyat k qawaneen par inferadi o ijtemayee amal including ibadaat
C. public dealing k rules regulations

sirf yeh last wala pillar aisaa hai jo tamaam adyaan /masaalak main common hota hai baqya 2 pillar sab maiN mukhtalif hotay haiN...bilkhasoos HAQ vs BATIL

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 249  Post: 4160  Age:  37  
Posted on:10th May 2010, 2:36am
 

Common in All mazhab

re: "sirf yeh last wala pillar aisaa hai jo tamaam adyaan /masaalak main common hota hai"

mazhab mai sirf aur sirf yahi hona chahiye, takeh koi kisi ko Badmazhab, Mushrik, Kafir aur Murtid na keh sake. har aadmi apni marzi aur khahish ke mutabiq aqeeda aur ebadat kare.

jis tarah bhoot aur churail mazhabi aqeeda nahi hai, lehaza kisi ke bhoot aur churail per believe kerne se woh Badmazhab, Mushrik, Kafir aur Murtid nahi ho jaata, bilkul isi tarah jab new mazhab sirf aur sirf Last wala Pillar per mushtamil ho ga tu tu koi bhi kisi ki nazar mai Badmazhab, Mushrik, Kafir aur Murtid nahi hoga.
1 2  >>
 
 
 
Gall Bladder | Pitta
Gall Bladder | Pitta
Stomach Problems And Treatment
Stomach Problems And Treatment
Cirrhosis Of Liver | Jigar Ka Sukarna In Urdu
Cirrhosis Of Liver | Jigar Ka Sukarna In Urdu
HIV And Aids Causes And Treatment
HIV And Aids Causes And Treatment In Urdu

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.

© Copyright 2003-2017 www.forum.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us