Lack Of Confidence And Fear: How To Get Rid Of It?
Sab say pehlay to main yeh kehna chanon ga kay main bachpan say hi bohat kamzoor dil ka malik hooon , jab chootay hyhay school ya tution jana hota tha to us waqt bhi main buhat derta tha yani jab school jani ka dar hota that to mujhay dar ki waja say ultiyaan anay lagti thin , lakin school ja ka main bil kul sahi ho jata tha.Yahan tak kay university main bhi jab presnetation deni hoti thi to mera dil bohat derta tha , is dar ki waja say presentation waly din say aik add din pehlay meri bhook bilkul mar jati thi aur presentation say pehlay itna dar lagta tha kay kabhi kabhar ultiyaan bhi a jati theen.
Yehi hal ab thek her cheese main hota hai , kohi bhi kam ka confidence meray ander nahi hai, Ab meri shadi honay wali hai , aur meri bhook bil kul mer gahi hai, kohi cheese bhi nahi kahi jati , dil main her wazt bohat dar laga rehta hai , tabiyat bhi sirf ais tensiion say kay agay kiya ho ga khrab ho rahi hai. Aik aur chesese , waisay main amnay aap ko sexually fit lagta hoon per tension ki waja say sexualy desier bhi bil kul khatam ho gahi hai, darta hoon ki shadi kay bad problem na ho. Agar tension na ho to sab sahi lagta hai. Barahy meherbany meri madad karain , main kya karoon , bohat tension ho rahi hai. Main yeh dua bhi per raha hoon "Ya Qawi , Ya Qadir , Ya Muktadir , Qawani wa Qalbi" , magar dar khatam naheen ho raha. Is tension ya dar ko kis taran khatam kiya ja sakta hai. Kiya sab kay saath aisa hota hia. Plz help?
|