naaz1330 life mein har cheez ka aak time hai..zindai mout,shaadi etc.
esi tarha dua ka bhi aak time hota hai jo Allah bather jaanta hai ke kab poori karni hai.
mera experience hai ke koi bhi jaiz dua kabhi bhi rad nehin jati.dua kabool osi time ho jati hai lekin jab Allah ko theek lagta hai ke es dua ko ab poora karna hai to woh dua kabool ho jati hai.aur kaam ho jata hai.
Allah ko bhut acha lagta hai ke os ka banda os se mangta rahe..na dene par bhi woh mangta rahe aur har waqt sukar ada kare.
aap kabhi yeh mat sochey ke aap se dosra koi acha hai.koi aamir hai aur kisi ke pass pyar hai.aap sirf apne aap ko dekhe ager aap ke pass kuch nehin to aap sab se zaida lucky hain
kyun ke Allah aap ko muka de raha hai jab aap ki dua kabool ho gi to aap behad sukar kare gi Allah ka.jin logo ko Allah deta hai woh to shukar bhi nehin karte.
aap glass mein khari ho kar khud ko dekhe.apne hatho ko dekhe.apne jism ko dekhe ke Allah ne aap ko har cheez se nawaza.on se ja kar pochey jin ke hath nehin hain.
sirf itna he sochey gi na to aap behad khosh ho jaye gi aur Allah ka sukar kare gi ke wake mein Allah ne aap ko complete insaan banaya.
bas mayoos nehin hona.kyun ke Allah ko mayoosi passand nehin.aap har waqt sukar ada kare.aap ki har dua kabool ho gi aaj nehin to kal lekin kabool zaroor ho gi. |