mangni k baad.... milnay aur dekhnay ki kia zaroorat pesh aagayee........ mangni means k ap nay /apki family nay oss laRki say rishtah joRnay ka wadaa karlia aur iska elaan bhi kardia hai ... hamaray haaN mangni amooman aik taqreeb ki soorat maiN hoti hai. jiss maiN both familes k log shareek hotay haiN..
apko yeh motaalebah mangni say pahlay karna chhaiyeh thaa k ap mangni finla karnay say pahlay ossay dekhna aur oss say baat karna chahatay hain... jo k jaiz motaalebah hotaa...
ab yeh motaalebah FAZOOL hai...... kia ab agar ossya dekhnay /milnay k baad woh apko "pasand" nah aaye to ap mangni toR dengay... shadi ka wadah toR dengay....... it's ur /ur family fault k apnay mangni say pahlay aisaa nahi kiaa... ab Allah par bharosah karaiN aur apni family k intekhaab par bhi... insha Allah sab behtar hogaa...
ab yeh chor darwazay (dekhna /milnaa) nah DhoonDaiN k islam maiN iski ijazat nahi hai.....haaN agar islam ki apkay nazdeeq koi ahmiat nahi to ap phir jo chahay kartay phiraiN...... ossay phone karaiN, bahar aatay jaatay milaiN yaa dating karain....... it's up to you.... but in sab harkatoun ka faidah nil baTa nil hai aur nuqsanaat bay shomaar., aur Allah k nazdeek gonaah.gara alag |