uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:4th Mar 2009, 7:56pm |
|
|
I have posted this b4 still its so nice!! dard gar aadmi hota to girebaan pakar kar kehte is tarah rehte hain by chen dilon ke andar? is tarah karte hain beemaaron se? ham tumhein sehte hain, kuchh tum bhi to sehna seekho aik thori se khushi aaye to jal jaate ho!!!! |
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 99 Post: 5405 Age:
|
|
Posted on:5th Mar 2009, 3:34am |
|
|
Uetian uncle wah wah wah wah wah kia bat hai.kia hi likh dia aap ne.wah wah
lagta hai koi achi si free site mil gai hai aapko copy paste krne k lie phir se. kher main kia keh rahi thi?
Haaann!! Yad aya main keh rahi thi k...
wah wah wah wah
hahaha tareef me zara si milawat kri hai bas aur to kuch nahi kia maine.lolzzz
aik bar phir wah!!! Wah !!!! Wah !!!!!
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:5th Mar 2009, 5:35am |
|
|
uetian bhai shukar hae aap ne bhi reply kiya warna to lagta hae sirf poetry hi send karte hain:) |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:5th Mar 2009, 9:48pm |
|
|
:) @S4U.....itni saaaaaaari tareeeeeef kerny ka bohat bohat shukriyaa....jis intehi josh main aap ne tareef ki hy mjy lagta hay Farhat Abbas Shah b machal gy houngy k main ne S4U k kon se dukh is nazam main smo diy hain....hahhahahhahhaahaha...wesy aap k "wo" itny zalim to nai lgty k aap ko koidukh dain;)...hahahhahahh
@Mrayam: thanks alot for your tareef tooo..well ab jb k iam here to insh will participate and reply:)
pat jher ki dehleez pe bikhry be chehra patoun ki surat muj ko saath liy phirti hy tery dehan ki tez hawa........... |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:5th Mar 2009, 10:03pm |
|
|
4 sher udas raatoun main tez coffe ki talkhiun main wo muj ko or b yaad ata hay serdioun main muj ko ijazat nai hay usy pukaarny ki jo goonjta hay laho main seeny ki dherkanoun main....... |
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 99 Post: 5405 Age:
|
|
Posted on:6th Mar 2009, 7:41pm |
|
|
Jo "Ansu" na hote
jo "AANSU" na hotay "AANKHO" men. to "AANKHAIN" itni "KHOBSURAT" na hotin.. jo "DARD" na hota "DIL" men To "KHUSHI" ki "QEEMAT" pata na hoti.. jo "BEWAFAI" na ki hoti "WAQT" ne. to "WAFA" ki kabhi "CHAHAT" na hoti..
AGAR..
"SOCHNAY" se poori ho jati "MURADAIN", to "DUWA" ki kabhi zaroorat na hoti..!
|
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:6th Mar 2009, 8:58pm |
|
|
s4u wah wah wah :) kya "copy-paste "kiya hay....bohat khooob....
again wah wah wah..........heheheh |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:6th Mar 2009, 9:02pm |
|
|
uetian bhai oh aap bhi wah wah karne walon mein shamil hogaye hain:) |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:6th Mar 2009, 9:07pm |
|
|
Maryam Baji hehehh ab kya kerian tareef to kerni hi perti hy na....ager koi itni mehnat se "copy-paste" kery to us ka huq banta hay 3 baar "wah" ka..hahaha |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:6th Mar 2009, 9:11pm |
|
|
One of my Fav!!! aaj palkoun pe sitaary sajay gham ki chokhat pe beth k ye soch raha houn k us ne pehli baar jb mery haath ko thama tha to muskara k boli thi "tumhaary hath kitny germ hain or janty ho germ haath wafa ki alamat hoty hain" main us k ye batain sun k is kader khush howa tha k baqi sb kuch bhool gya ......k us k haath kitny serd thy!!!
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:6th Mar 2009, 9:12pm |
|
|
uetian bhai aap kab new copy paste se mustafeed kar rahe hain?:) waise parveen shakir ki small poetry bhi bohat achi hoti hae jaise teray dard ki taiz hawa nice sharing:) |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:6th Mar 2009, 9:13pm |
|
|
Ikhtiyaar.... na sawaal-e- wasl, na arz-e- gham, na hiqayatain, na shikayatain, teray ehad mein dil-e zaar k, sabhi ikhtiyar chalay gaye!!!! |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:6th Mar 2009, 9:14pm |
|
|
Maryam Baji :) lijy copy paste hazir hy..wesy wo peeno ki nai thi amjad islam amjad ki thi...:) |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:6th Mar 2009, 9:16pm |
|
|
uetian bhai acha main samjhi peeno ki hae:) kyun k in ko sath sath read kiya hae to abb zara mix hogai hae khair yeh bhi bohat achi hae thanx |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:6th Mar 2009, 9:30pm |
|
|
aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya kuch din to mera aks raha ayeena naqsh phir yoon huwa k khud mera chehra badal gaya jab apnay apnay haal pay ham tum na reh sakay to kiya huwaa jo ham say zamana badal gaya kadmon talay jo ret bichi thi woh chal pari us nay churaaya haath to sehra badal gaya koi bhi cheez apni jageh par nahin rahi jaatay hi aik shakhs kay kiya kiya badal gaya hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay baaton main apni baat ko kaisay badal gaya kehnay ko ik sehan main deewar hi bani ghar ki fiza makaan ka naqsha hi badal gaya shaayad wafa kay khel main uktaa gaya tha woh manzil kay paas aakay jo rasta hi badal gaya qayem kisi bhi haal pay dunyaa nahin rahi tabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya manzar ka rang asal main saaya tha rang ka jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya aankhon main jitnay ashaq thay jugnoo say ban gaye woh muskuraaya aur meri dunyaa badal gayee apni gali main apna hi ghar dhoondtay |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:6th Mar 2009, 9:33pm |
|
|
Bannaa ghulaab to kaantey chubhaa gaya ik shaks Bannaa ghulaab to kaantey chubhaa gaya ik shaks Huaa chiraag to ghar hi jalaa gaya ik shakhs
Tammaam rang mere or saare khwaab mere fasaana kah k fasaana bana gaya ik shakhs
Mein kis hawa me duu'n kis fizaa me lehraau'n dekho k jaal har suu bichaa gaya ik shaks
palat saku me na aage badh saku jis per mujhe ye kaunse raste laga gaya ik shakhs
mohabbatein b ajeeb us ki nafratein b kamaal meri tarah ka hi mujh me samaa gaya ik shakhs
wo mehtaab tha marham ba-dast aaya tha magar kuch or sivaa dil dukha gaya ik shakhs
khulaa ye raaz k aayina khaana ha ye duniya or is mein mujh ko tamaasha bana gaya ik shakhs !!! |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:6th Mar 2009, 9:40pm |
|
|
Dukh boltay hain Jubb seenay kay ander saans kay daryaa doltay hain Jubb mosam sard hawa main chupp say ghoomtay hain Jubb aansoo, palkain roltay hain Jubb subb aawaazain apnay apnay bistar par so jaati hain tubb aahista aahista aankhain kholtay hain Dukh boltay hain |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:6th Mar 2009, 9:44pm |
|
|
Is Se Pehle K Bewafa Ho Jayein Is Se Pehle K Bewafa Ho Jayein Kiun Na Ae Dost Hum Juda Ho Jayein
Tu Bhi Heeray Se Ban Gaya Pathar Hum Bhi Kal Kia Se Kia Ho Jayein
Hum Bhi Majbooryon Ka Uzr Karain Or Kahin Or Mubtala Hojaein
Ishq Bhi Khel Hai Naseebon Ka Khaak Ho Jayein Keemiya Ho Jaein
Ab K Gar Tu Milay Toh Hum Tujh Se Aisay Liptain Tera Qaba Ho Jayein
Bandagi Hum Ne Chor Di Hai Faraz Kiya Karain Jab Log Khuda Ho Jayein |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:6th Mar 2009, 11:07pm |
|
|
uetian bhai very nice bane gulaab wali bohat to bohat achi hae |
M Asif
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2008 Topic: 4 Post: 794 Age:
|
|
Posted on:7th Mar 2009, 12:34am |
|
|
Hansi chupa bhi gia... Hansi chupa bhi gia aur nazer mila bhi gia ,
Yeh aik jhalak ka tamasha jigar jila bhi gia ,
Utha , to ja bhi chuka tha , ajeeb mehmaa tha ,
Sadayen de k mujhe neend se jaga bhi gia ,
Ghazab hua jo andheray mein jal uthi bijli ,
Badan kisi ka talsmaat kuch dikha bhi gia ,
Na aya koi lab baam , Shaam dhalne lagi ,
Woh nor-e-shoq se ankhon mein khoon aa bhi gia ,
Hawa thi , gehri ghata thi , hina ki khushboo thi ,
Yeh aik raat ka qisa laho rula bhi gia ,
Chalo chalen , ab yahan rahen bhi to kia ,
Woh sang dil to yahan se kahin chala bhi gia........
|
|