Yar nod 32 antivirus maray pass hai. but mmaine 3 antivirus bari bari install ker k apna computer scan kia result ye raha
NOD 23: 2 infected files
BITDEFENDER. 423 infected files
AVAST: 511 infected files
what is this yaar? pehlay maira b khiyal tha nod 32 is fefect but... any way yaar ye to update b nhi hota maray pas is ka password or id hai jab update kerta hoon to likha aa jata hai INVALID PASSWORD Or ID.
Ess barey mein mein ne bohat research ki thi lekin nateeja ye nikla k aap kisi ko b best nahi keh saktey .....Koi b antivirus perfect nahi hota , Lekin kuch antiviruses hein jo achey hein unn mein se filhal top par NORTON hey aur McaFee b hey baqi nod32 waghera b achey hein lekin ye tamam viruses ko detect nahi kar patey.....
Agar aap apne computer k liye kuch pese kharch kar saktey hein to aap aik antivirus purchase kar lijiye ...... Agar nahi to sab se pehley tamam data format kar k baad mein AVG ya AVAST freeware install kar lijiye ........ AVG aur avast viruses se to protection dete hein lekin spyware se nahi ess k ilawa ye kuch trogens ko b nahi detect kar patey ...... but na honey se to kuch hona behtar hey ..... Antivirus install karna to aik bat hey lekin usey update rakhna bohat zaruri hey aur uss k liye high bandwidth chahiye ......
Agar wese mein aap ko suggest karun ga k aap Norton antivirus purchase kar lijiye ........ q k ye sab se ziada use ho raha hey aur han ess k kuch puraney version pc bohat slow kar dete thay lekin latest version mein unhoon ne ess problem ko solve kar diya hey aur ye fastest ho gya hey .......
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.