Baaz adviyaat kay sath bhi iss ka use nuqsandeh hai. Maslan high blood pressure ki adviyaat, nitrate wali adviyaat, isi tarhan Viagra ko anjina ki adviyaat kay sath bhi use na kya jaey.
Yeh medicine amooman 100mg ki packing mein aati hain. Iss ki mehfooz khurak 50mg hai. Aksar logon kay liye 25mg useful hai. Jin logon ko jigar (lever) ya gurdey ka masla hai ya jo aids ki adviyaat ley rahey hain woh 25mg sey zyada na lein. Isi tarhan 60 saal ki umar kay baad iss ki mehfooz khurak 25mg hai. Aisi adviyaat week mein ek bar leni chahiyien. Haftey mein 2 bar sey zyda to hargiz na lein, darmiyani waqfa kam az kam 2 din ka ho.
Aaj kal herbal medicine ka bohut shor hai. Jab kay aksar herbal medicine mein Viagra etc hi hoti hai. Baaz jahil hakeem mardana quwwat ki bahaali kay liye steroids dey detey hain. Yeh waqti tor per jinsi hormones testosterone ki tarhan jinsi khwahish aur tanau (erection) ko zyada kar detey hain. Magar phir iss sey zyada jinsi masail paeda ho jatey hain. Maslan tanau (erection) ka paiea na hona ya isey barqarar na rakha ja sakna. Isi tarhan tanau (erection) aur orgasm kay masail bhi paeda ho jatey hain yani fard kay liye orgasm (jinsi lutf) aur tanau (erection) hasil karna mushkil ho jata hai. Yani mustaqil masail paeda hojatey hain. (Bruce; Zilbergeld)
6. Baaz auqat fard ko tanau (erection) to bharpoor hota hai magar dakhool sey pehley khatam ho jata hai. Merey ek mareez ney iss masley ko iss tarhan hal kya.
|