5. Adviyaat Sey Elaj
Viagra aur iss tarhan ki doosri (medicines) adviyaat bhi iss masley mein useful hain magar 100% nahi. Viagra taqreeban 80% logon kay liye kamiyab hai. Viagra kay kaee zimni muzir asraat hain. Maslan sar dard, face ka surkh hojana, chakkar aanaa, allergy aur nazar ka dhundhla ho jana etc. Viagra ka zyada aur musalsal use nuqsandeh hai. Ek andazey kay mutabiq ab tak iss sey 30 death ho chuki hain. Viagra agarcha useful hai magar iss ka asar aarzi hai aur yeh iss masley ka elaj nahi. Iss tarhan ki adviyaat kay sath sath nafsiyati elaj bhi zaroori hai. Yeh goliyan 30 minute kay baad asar karti hain aur iss ka asar 6 ghantey tak rehta hai. Yani khanay kay 4 ghantey kay baad kisi bhi waqt iss sey faeda uthaya ja sakta hai. Viagra ki wajah sey agar tanau (erection) 4 ghantey sey zyada rahey to foran doctor sey ruju karein Warna fard mustaqil naa mardi ka shikar ho sakta hai. Viagra khali paet li jati hai. ek bar mubashrat (intercourse) kay baad agar 24 hours kay baad phir mubashrat (intercourse) ki koshish ki jaey to phir iss ka asar shuru ho jata hai. Baaz mardon kay liye Viagra pehli ek 2 bar leney sey useful nahi hoti iss sorat mein yeh 3rd and 4th bar kargar sabit hoti hai.
Viagra aur iss tarhan ki adviyaat har fard kay liye nahi hain. Chunancha mandarja zael log isey use naa karein. Aisey log jinhein haal hi mein heart attack hua ho. Iss kay elawa high ya low blood pressure waley mareez, Heart aur Jigar (lever) ki beemariyun waley mareez bhi isey use naa karein. Isi tarhan maedey kay ulcer aur blood ki kisi bhi beemari ki soorat mein Viagra ko use naa kya jaey.
|