Iss ki kaee bar mushq karein aur phir amali tor per karein. Aik hi cheez ko bar bar naa karein bul kay takhleeqi banein. New cheezein sochein aur phir en per amal kar kay khoob lutf uthain. Har bar aik aadh cheez new sochein aur iss per amal karein.
7. Jinsi zindagi (sexual life) sey bharpoor lutf andoz honay kay liye zaroori hai kay aap ko maloom ho kay kin halaat mein aap sex sey ziyada lutf andoz hotey hain aur kin halaat mein lutf sey mehroom rehtey hain. Iss kay liye aik sada practice karein. Apney mazi ka jaeyza leyn aur 2,3 aisey waqaiyat yad karein jab aap kay jinsi jazbaat bohut bharkay thai aur aap nay jinsi amal sey lutf uthaya tha. Inn mawaqae ki khas baaton ko note karein, maslan en moqon per aap ziyada pursukoon thai, thakay huai naa thai bul kay aram dah hullat mein thai. Sir per kam sawar naa tha, jaldi naa the, ghusl kiya tha, koi khas perfume lagaya tha. Mubashrat (intercourse) rat ko jaldi ki the, aa'enda inhi halaat mein hi jinsi amal sey lutf andooz hun. Isi tarhan 2,3 aisey waqiyat talash karein jab aap jinsi tor per ziyada mushta'el naa thai aur aap jinsi amal sey ziyada lutf andooz naa huai thai balka bore huey thay. Inn moqaon ki khas baaton ko note karein, maslan aap jaldi mein thai, thakay huey thai koi tension the, biwi sey larai hui the, biwi kay jism sey naaapasandeeda smell aarahi the, Aa'enda aisey hullat mein jisi amal sey perhaiz karein. Kyun kay agar aap bar bar inn halaat mein jinsi amal karein gai to ahista ahista aap ki jinsi garam joshi madham par jaeygi.
Agar aap ko iss tarhan kay sabqa waqiyat yad nahi arahai to aap aa'enda aik month kay Jinsi Zindagi - Sexual Life tajurbaat ka record rakhain aur note karein kay kin hullat mein aap nay sex sey ziyada lutf uthaya aur kin halaat mein bore huey. Phir inn sey faida uthaein.
|