BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:1st Nov 2007, 1:03pm |
|
|
Poetry To All Members : I am starting here "Poetry" as topic ..... so app sab se guzarish hai kah app sab apni poetry eak hi jagah post karein ..... kyun kah mujhaey or baqii readers ko search karney ma kafee problem hotey hai ...... Iss liyah app sab apni apni poetry eak hi jagah yahan per post kardein (Previous+UpComing) ok Takah na likhney waley ko dhoondna pardey or na hi parhney waley ko .
Khoobsurat , Kim , BeautyStar(lol) , other members app sab apni previous or up coming poetries yahan per post kardein .... Shukriyah !
|
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:1st Nov 2007, 1:05pm |
|
|
Farq sirf Itna Sa Hai (Doli Aur Janazah)
"FARQ SIRF ITNA SA HAI"
Teri doli uthi,
Meri mayyat uthi.
Phool tujh par bhi paray,
Phool mujh par bhi paray..
Tu saj ke gai,
Mujhe sajaya gaya..
Tu uth ke gai,
Mujhe uthaya gaya..
Sahelian teri bhi thi,
Dost mere bhi thay..
Mehfil waha bhi thi,
Log yaha bhi thay..
Unka hansna waha,
Inka rona yaha..
Tera nikah parhaya gaya,
Mera janaza parhaya gaya..
Tujhe apnaya gaya,
Mujhe dafnaya gaya..
"FARQ SIRF ITNA SA HAI"
|
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:1st Nov 2007, 1:06pm |
|
|
Kyun Loog MOHABBAT ko Raoukna Chahtey Hain
kyon loog muhabat ko roakna chahtay hain . . . . . ....
sab jantay to hain
kah
nahi roak saktay
sooraj ki kirnon ko chamknay say
sumandar ki lahron ko chalaknay say
phoolon ki khusboo ko mahaknay say
chand ki chandni ko phailnay say
saawan k baadal ko barasnay say
phir bhi
naakam si koshish kartay hain
sayed wo apnay dil ko jhoti tasali dete hain
kah
muhabat ko roak lain gay
sab jantay to hain
kah
muhabat nahi ruk sakti
zinda jalanay say
pahray laganay say
khanjer chalanay say
deewaron main chunwanay say
dunia say mitanay say
haan mager
ruk bhi sakti thi
ager
muhabat kisi say ki jati
mager ye to bus....
ho jati hai
sab jantay to hain
kah
aaj tak un k roaknay say
na koi ruka tha
na koi ruka hai
na koi rukay ga
phir bhi
kyon loog muhabat ko roakna chahtay hain. . . . . ....
loog to dartay hain
muhabat karnay waloon say
ager nahi dartay to
chalo aik charat lagatay hain
kah
sab mil k muhabat ko roak lo gay
tumhain apni taqat pe gharoor hai
to mujhay bhi apni muhabat pe yakeen hai
main janta hon
kah
sab mil kar bhi nahi roak sako gay
sab jantay to hain
lakin
phir bhi
kyon loog muhabat ko roakna chahtay hain . . . . . ....
|
josh
|
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2285 Age:
37
|
|
Posted on:1st Nov 2007, 3:22pm |
|
|
Dhundla Sa Ik Chehra! Dhundla Sa Ik Chehra! ================ koi dhundla sa ik chehra meri ankhon mai rehta hai koi bhatka sa ik jugnu merey khabon mai rehta hai ik manoos si avaz muje sonay nahi deti koi uljha sa ik jumla meri yaadon mai rehta hai
hai kis k shabnami anchal ki khushbu ab talak mujh mai koi ehsaas mehka sa meri sanso mai rehta hai mujhe khud par nahi qabu na mai kuchh bol sakta hon asar ye kis k lafzon ka meri baton mai rehta hai
december ki khanak raatain mujhe bay chain rakhti hain lams ik hath ka abtak meri sochon mai rehta hai hai dil bi muztarib, ehsaas bi, sochon ki uljhan bi ye kiski ankh ka ansu meri ankh mai rehta hai.
Poetry dedicated to all lovers
(merey bhai beautystar ye janazo ki bat na karo acha nai lagta k 1 larki ki khatir koi mar hi jaey, 1 jati hai to 1 naee aaa jati hai, dont worry be happy, ye janazay wali same poetry kim nay bi send ki thi) |
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13607 Age:
33
|
|
Posted on:2nd Nov 2007, 6:54am |
|
|
to all members Dosti yakeen per tiki hoti hai...
Ye dewar bari mushkil se khari hoti hai...
Kbhi fursat miley to perhna kitaab rishton ki...
Dosti khoon ke rishton se bhi bari hoti hai... |
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13607 Age:
33
|
|
Posted on:2nd Nov 2007, 6:55am |
|
|
:-) Bun jaun agar tum sa tumhen kesa lagey ga...
Her pal main rahun tum se khafa tumhen kesa lagey ga...
Parhte ho mujhey tum jo namazon ki tarha se...
Ho jaun agar tum se kaza kesa lagey ga...
Tum pyar mein khu ko bhi mitaney pe ho raazi...
Bun jaye agar pyzr saza kesa lagey ga...
Khud se bi ziada ho yakeen tum ko kisi per...
Wo shakhs hi dey jaye dagha kesa lagey ga...
Tum auron ki mehfil ka diya bun k jalo phir...
Tanhai miley tum ko sila kesa lagey ga...!!! |
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:3rd Nov 2007, 11:40pm |
|
|
" KANGAN " Kash main tere Haseen hath ka kangan hota
To bare pyar se bare chao se bare maan ka sath
To apni nazuk si kalai main charhati mujhko
Be khayali main jo ghumati mujhko
Main tere hath ki khushboo se mehak sa jata
Jab bhi to neendoon ke safar ko jati
Apni marmari hath ka takya sa banati mujhko
Main tere kaan se lag kar kai baatain karta
Main tere husn k aangan main khanka karta
Main teri zulfoon ki ghataoon main chamakta rehta
Kuch nahi to aik bename sa bandhan hota
" KASH MAIN TERA HASEEN HATH KAKANGAN HOTA "
|
Pioneer
|
Group: Members Joined: 12th Oct, 2007 Topic: 8 Post: 35 Age:
33
|
|
Posted on:3rd Nov 2007, 1:50pm |
|
|
BeautyStar is going great Its realy nice the --
Apne honto pe sjana chahte hu. A tujy mai gungunana chahte hu.
Koi ansu tere daman pr gira kr. boond ko moti bnana chahta hu.
Thank gya mai karty karty yad tuj ko ab tujm mai yad ana chahta hu.
cha rha he sari basti pr andhera Roshni ko gar jlana chahta hu
Akhri hichki b tere Zano pe ay MAUT B MAI SHAIRANA CHAHTA HU |
Pioneer
|
Group: Members Joined: 12th Oct, 2007 Topic: 8 Post: 35 Age:
33
|
|
Posted on:3rd Nov 2007, 1:53pm |
|
|
An otherone Here is another ghazal of Sahir Ludhanvi
Kon kehta he muhabat ki zuba hoti he ye hakeekat to nigahu se bya hoti he
ruh ko jo shad kry, dil ko jo purnoor kry hr nzary mai ye tanveer kha hoti he
wo na ai to stati he kask se dil ko WO JO AI TO KASK AUR JVA HOTI HE
Zabt, selab-e-muhabat ko kha to rooky dil mai jo bat he wo ankho se aya hoti he
Zindagi ik sulahti si chita he SAHIR Sholta banti he na buj ke dhva hoti he..
|
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:3rd Nov 2007, 9:50pm |
|
|
shaam hone do Mai Tittliyon ko sula dungi,zara tum shaam hone do Mai jugnuon ko jaga dun gi,zara tum shaam hone do
Meri namm aankhon ko na dekho tum haqaret se Mai tum ko bhi rula dungi,zara tum shaam hone do
Tumhe qaidi benaya hai,Ujaar ankhon ki Hasrat ka Rehayi bhi dila dungi,zara tum shaam hone do
Kahan aaghaz hota hai,kahan anjaam hota hai Hunnar sare sikha dungi,zara tum shaam hone do
Jo tum ne mujh se poocha hai,Khan ho gi tumhari shaam? Jahan ho gi beeta dungi,zara tum shaam hone do |
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:4th Nov 2007, 4:42pm |
|
|
Re: Sunehri & Josh As'salam - O - Aluikum ,
Josh : Tou app bhi shair-o-shairi ka shokh rakhtey hain jana . . . Waisey Josh Bahi yah tou sirf poetry hai yaar app Janazah wali poetry dekh kar itna jazbati kyun ho gaey . . . Com'n Yaar Relax !
Sunehri76 : Nice poetry ! "Sham Hone Do" yah words mujhaey buhat achey lagey jiss se poetry ma jaan agaey .
|
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:9th Nov 2007, 2:08pm |
|
|
Love Poetry with Shikwah
Tere Naam ki thi jo Roshni usey khud tu ne Bujha diya
Jissko jala saki thi na Dhoop usey chandni ne jala diya
Mein hoon Gardishon ka maara huwa mujhey ab apni khabar nahi
Wo jo shakhs tha mera rehnuma usey Raston main ganwaa diya
Jiss ko samjha tha tu ne raqeeb,woh tera naseeb tha
Tere Haath ki lakeer tha,usey tu ne haath se hi mita diya
Mujhey ishq hai ke junoon, yeh faisla kabhi na ho saka
Mera naam zeenat-e-dasht tha,isey aandhiyon ne mita diya
Yeh udasiyoo ka jamal hai , ke maraivj-e-kamal hai
Ke kabhi zaat se bi chupa liya , to kabhi shehar bhar ko suna diya
Meri umar ka Gulistan abhi khula huwa hai zaroor par
Wo jo phool they teri chah ke unko mausamo ne gira diya…..
|
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:9th Nov 2007, 2:10pm |
|
|
Izhar-e-Mohabbat
Tujhay izhar-e-mohabbat say agar nafrat hai,
Tu nay hontoo ko larznay say too roka hota,
bay niazi say, magar kanptey awaz k sath,
Tu nay gabhra k mera naam na pocha hota,
younh be wajha bataney ki zarorat kiya thi,
Dam-e-rukhsat main, agar yaad na aaya hota,
Hosla tujh ko na tha mujh say juda honay ka,
Warna kajol teri ankhon ka na phela hota,
Tujhay izhar-e-mohabbat say agar nafrat hai,
Tu nay hontoo ko larznay say too roka hota.....
|
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:9th Nov 2007, 2:14pm |
|
|
Ishq Naa Karna Ishq Mein Gum Hi Gum Hote Hain....
Ishq Naa Karna Ishq Mein Gum Hi Gum Hote Hain....
Main Na Mil sakoon Jo Tumse Meri Justaju Naa Karna
Tumhe Merihi Qasam Hai Meri Aarzoo Na Karna
Mujhse Jis Hai Mohabbat Use Hai Ajab Ye Aadat
Kabhi Munh Ko Pher Lenaa Kabhi Guftagu Naa Karna
Maine Chaahaa Thaa Kisi Ko Meraa Haal Kyaa Hai Dekho
Jo Kiyaa Kasoor Maine Wohi Tum Ko Bhulaa Na Karna
Meri Ho Agar Buraayi To Naa Denaa Tum safaai
Mere saath Khud Ko Ruswaa Kabhi Kubku Na Karna
Tumhe Merihi Kasam Hai Meri Aaraju Naa Karanaa
Main Naa Mil saku Jo Tumase Meri Justaju Naa Karanaa
Koi Poochhe Badnaseebi Ki Hai Intihaa Bhi Koi
To Meri Misaal Denaa Tum Mujhe Naa Munh Na Karna.....
|
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:9th Nov 2007, 2:16pm |
|
|
Teri Bewafai achi lagi
Mujhe yeh qismat aazmayi acchi lagi
Tera guroor aur khud numayi acchi lagi
Manzil aane se qabl palat jana
Teri yeh nisf rehnumayi acchi lagi
Apni bewafayi ko qismat ka naam deker
Tera yeh jurm begunahyi acchi lagi
Tere roobaroo bethe shab bhar tujhe dekha kiyeh
Humein mulaqat-e-alwidayi acchi lagi
Tum Mujhe bhool bhi jao tou yeh haq hai tumko
Meri baat aur hai meine tou muhabbat ki hai....
|
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:4th Jan 2008, 10:43pm |
|
|
Sham hotey he ghar k sab chiragh buja deta houn..
Sham hotey he ghar k sab chiragh
buja deta houn..
Aik dil he kafi hai aap ki yAd main jalney k lie..
Kisi ko toot kar chahein ya chah kar tootein..
Hamare paas tou itna bhi ikhtiyar nahin..
Mein cheen loon ga tumhein duniya ki rasmoun say..
K mujay zamaney say baghawat karna accha lagta hai..
Dukhoon nay bant lia hai tumharay bad hamein..
Tumharay hath mein rehtay to kitna acha tha..
Hazaroon mosamoon ki hukum rani hai meray dil par..
Mein jab bhi hansta hoon to aankhain bheeg jati hain..
Is adhoori zindagi say tou mout he achi hai ya RAB..
Jiss nay dya jeenay ka housla wohi rooth gaya
hai AB..
Tumharay bas mai agar ho tou bhool jao humein..
Tumhein bhulanay mai shayAd humein zamana lagay..
Diay Hain Gam iss Zalim Duniya Nai Bohat..
Har Zulm Hum Nay Muskura Kar Saha Hai..
Koi aakar hamay pochay tumhain kaisay bhulaya hai..
Tamam ashkoo ko humnay shab-e-gum mai jalaya hai..
Dil tumhara hai, main ye jaan bhi dedoon tum per..
Bas mera saath zara dil se nibha kar tou dekho..
|
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:15th Jan 2008, 8:52pm |
|
|
Samjh Jana K Wo Hon Main…
Hatheli
samnay rakhna,
K sub anso grain usmay,
Jo ruk jaega honton per,
Samjh
Jana K Wo Hon Main…
Kabhi jo chand ko dekho,
To tum muskra dena,
Jo chal jaye Hawa Thandi,
To ankhein bund kar leena,
Jo jhonka tez ho sub sey,
Samjh
Jana K Wo Hon Main…
Jo zyada yaad aoun main,
To tum ro lena ge bhar k,
Agar hichki koi ayay,
Samjh
Jana K Wo Hon Main…
Agar tum bholna chaho,
Mujhe shayed bhula do tum,
magr jub sans lena tum,
Samjh
Jana K Wo Hon Main…
|
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:15th Jan 2008, 8:55pm |
|
|
Chand aur Suraj
ik
dil walon ki basti thee,
jahan chand oor suraj rehtay thay,
kuch suraj mann ka pagal tha,
kuch chand bhi shokh chanchal tha,
basti basti phirtay thay,
har pal hanstay rehtay thay,
phir ek din dono rooth gaye,
oor saray sapnay tout gaye,
ab chand b uss waqt aata hai,
suraj jab soo jaata hai,
badal sab se kehte hey suraj uljha sa rehta hai,
chand k sath sitaray hain,
par suraj tanha rehta hai,...........
|
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:15th Jan 2008, 9:00pm |
|
|
mohabbat ke raaz hum tumhe bataayen kya mohabbat ke raaz hum tumhe bataayen kya
zakhm hi zakhm hain dil dikhaayen kya
dhaanptaa hoon moonh to paer dikhte hain
poochhiye kafan se hum chhupaayen kya
hai khel zindagi ka taqdeeron ke haath mein
jo hona hai so hona hai ghabraayen kya...?
utthaa rahe hain tere dar se mujhko log
tum kaho to duniya se utth jaayen kya....?
unka shahar hai unke log unhi ki mehfil
yaa.n kisi ko apni dastaa.n sunaayen kya
shayad umeedon se baazi maar laaye ishq
aakhiri dhadkan bhi daav par lagaayen kya..?
|
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:15th Jan 2008, 9:01pm |
|
|
Dard Kia Hota Hai...?
Dard Kia Hota Hai Batain Gain Kisi Rooz
Kamal Ki Ghazal Tum Ko Sunain Gain Kisi Rooz
Thi Un Ki Zidd K Main Jaoon Un Ko Mananay
Mujh Ko Yeh Veham Tha Woh Bolain Gain Kisi Rooz
ALLAH Qasam Main Nay Tu Soocha Bhi Nahin Tha
Woh Itna Merey Dil Ko Dukhain Gain Kisi Rooz
Har Rooz Aainay Say Yeh Hi Poochta Hoon Main
Kia Rukh Pay Tabbassum Bhi Sajain Gain Kisi Rooz
Urrnay Do In Parindoon Ko Azaad Fiza Main
Tumharay Hoon Gain Agar Lout Hi Ayein Gain Kisi Rooz
Apnay Sittam Ka Dekh Lena Khud Hi Assar Tum "Haider"
Zakhm-E-Jigar Tamaaam Dekhain Gain Kisi Rooz.....
|
|