|
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 128 Post: 7603 Age:
54
|
|
Posted on:30th Nov 2013, 10:34pm |
|
|
dil dimagh connection
1. insaan k dil aur demagh ka apis maiN kiya connection hae ?
A: wohi jo eye aur eyesight maiN hota hai
2. khayal kahaN paida hota hae demagh maiN ya dil maiN ?
A: khayal hamaray iss jism ka paida kardahnahi hai ... balkay yeh aalamay balaa say bataur "wahi", hamaray body k ander enter hota hai. yeh "wahi" tamaam makhlooqaat (jaandaar, bay jaan both) par mosalsal "nazil" hota rahta hai... yeh wahi ambeyaa ki wahi say mokhtalif hoti hai, quran ki roo say ghair-ambeyaa ko bhi wahi aati hai, bees ko bhi aati hai... faraq sirf yeh hai k ambeyaa ko yeh wahi wazah andaaz maiN (via khaab +farishtah)milti hai, jo pooray qaum k liyeh hoti hai... jabkay hamain yeh wahi mabham andaaz maiN milti hai... aur kabhi kabhi iss main shayaateen k waswaas ki aamezish bhi ho jati hai... jissay ham aqal, shaoor aur ambeyaa ki hedayaat ki raushni maiN easily alag karsaktay haiN, agar yeh raushni hamaray pass ho to ... quran nay "seenay maiN SADAR" ka zikr kia hai, jisska baaz motarjemeen nay DIL tarjuma kia hai, jabkay iska mafhoom bahoot wasee hai "centre point" say bhi agay ki shai... pahlay science yeh kahti thi k sirf dimagh sochta hai aur dil sirf blood pump karta hai...ab science bhi yeh mannay lagi hai k heart blood pumping k elawah sochnay samajhnay ka kaam bhi karta hai... balkay har insaani cell maiN "feelings" hoti hai, jo "hawasay khamsa" samait iss say bhi aagay k hawasoun par mushtamil hai... cell to bahoot "baRi" shai hai... cell k ander chromosomes aur chromoseomes k ander maujood DNA /RNA etc bhi apni body language main aik doosray ko apni feelings /apni activities say "agaah" kartay rahtay haiN... jo "sochay samjhay" beghair to honay sya rahaa
3. insaan k andar jo zameer hae jo ussay har ghalat baat pe tokta rehta hae uss ka taluq demagh se hae ya dil se ?
A: zameer , insaan ki woh "asal" hai jo aalamay arwaah say iss aalamay faani main aik gosht post ki body maiN enter hoti hai. yehi hamari ASAL hamaray har "TeRh.pan" par hamaiN seedha karnay /rahnay ki koshish karti rahti hai... bilkul aisay hi jaisay kissi body k wazan dar asal zameen ki kashish saqal hai jo ossay zameen k centre ki taraf khainchti hai... agar koi body zameen par move karti ya karnay ki koshish karti hai to yehi wazan /kashish saqal, friction ki soorat maiN oss body ki movement maiN rokawaT paida karti hai... ham bhi jab apnay asal markaz k barkhelaaf harkat kartay haiN to hamari iss harkat k khelaaf rokawaT zameer /friction ki soorat main hamaiN rokta ya roknay ki koshish karta hai.
4. issi tarah sawal O jawab ka jo amal insaan apnay aap se karta hae woh sawal kahaN se uThta hae aur jawab kahaN se ata hae ?
A: sawaal bhi aalamay balaa say aatay hain aur jawaab bhi... yeh hamaray ander say nahi phooT.tay... albattah jiss tarah barish k qatray pure water ki soorat maiN baadal say barastay haiN lekin agar kissi fizaa main aaloodgi ho to zameen par ham tak pure water drops nahi balkay aloodah paani k qatray ki soorat main aur kabhi kabhi acid-rain ki soorat main girta hai (agar fiza maiN CO2 bahoot zeyadah ho to jo water sya milkar carbonic acid banaata hai) aur phir yehi paani hamaray liyeh zahar ban jata hai........ issi tarah aalamay balaa say pakeezah khayaalaat hi naazil hotay haiN...lekin darmayaanmaiN shayeeteen k waswasouN ki allodgi iss maiN shamil hojati hai... hoti rahti haiN... hamara zehan aur zobaan to mahaaz iss alaamay baalaa say naazil shodah khayalaat /sawal jawab ko mojassam soorat main tashkeel deta hai, aik artist ki tarah, jo zameen ki miTTi say qad aawer mojassamah banaata hai... artist jitna skilled hoga, mojassamah otna hi pure aur asal k qareeb hoga... hamari bodi, dil dimaagh jetna zeyadah skilled hoga ambeyaa ki wahi ki raushni main ham aalamay balaa say naazil shodah khayalaat ko etnaa hi pure karsakengay... moojid, inhi naazil shodah khayaalaat ki bunyaad par ejaadaat kartay hain wallaho aalam bissawab
|
alone but happy
|
Group: Members Joined: 10th Dec, 2012 Topic: 8 Post: 670 Age:
21
|
|
Posted on:1st Dec 2013, 8:17am |
|
|
Wah myrizvi sahib Ap jesa guide bht kam log e kr skty hen ma b ap ki trah guide krna seekhna chahta hun but abi meri age to ap jitni ni ha na ap jitna ilam par ma koshish karun ga ahsta ahsta ap ki trah ki guidnes ki naqal krny ki koshish karun ga mjy time to zror lgy ga ma ap jesa to ni ban sakta par koshish zror kar skta hun ap jese nahi to ap se thora milta jhulta hi sahi .khuda mjy buht sara ilm seekhny or us pe amal krny ki tofeeq ata farmaye.khuda apki or hmari madad kry ameen. |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 128 Post: 7603 Age:
54
|
|
Posted on:1st Dec 2013, 10:07pm |
|
|
alone but happy apki zarrah nawazi ka bahoot bahoot shokarya... aisi koi baat nahi hai bhai...ap bhi balkay koi aur bhi iss tarah likh sakta hai bah shartekay woh aisa karna chaahay... likhtay rahiyeh insha Allah aap iss ahqar say bhi acha likhna seekh jayengay... meri duaian apkay saath haiN Allah apko ilmay naa'fe ataa karay aur phir isay taqseem karnay ki taufeeq day aameen summa aameen |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4639 Age:
29
|
|
Posted on:2nd Dec 2013, 4:03pm |
|
|
mind to mind connection :) Asalam O alaikum wa Rehmatullah!
myrizvi bhai :- jazak Allah khairah . waqai hi khayalaat aalamay balaa se hi atay haiN tabhi to mujhay jawab pehlay hi la.jawab lagay :) really bohat hi informative reply tha maiN phir se aap ki fan hogai :)
kiya hawa maiN aisa ansar paya jata hae jo humaiN insanoN se connect karta hae mind to mind or heart to heart, like a net connection ? kyuN k bohat se log aise hotay haiN jin se ba.zahir aap ka koi rabtah nahi hota ya rehta lekin aap un se musalsal connected hotay haiN . aisi konsi power hae jo insanoN ko connect karti hae ? ya bohat close relations ko off bhi kar deti hae.
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 128 Post: 7603 Age:
54
|
|
Posted on:2nd Dec 2013, 10:11pm |
|
|
WI-FI net connection walekum Assalam Wa Rahmatullah wa barkaatahu!
jab insanouN k banaa.ay howay WI-FI net connection say beghair kissi medium k aik machine say doosri machine maiN tahreeraiN, tasweeraiN, live n recorded videos montaqil hosakti haiN, satellite phone k zariyah say zameen ki boland tareen choTi aur gahree say gahree khayee say bhi poori dunaa k insaan aik doosray say connect rah saktay haiN...apnay khataalaat word by word transfer karsaktay haiN
... to direct Allah k takhleeq karday universal system maiN Allah khud aalamay baalaa say apnay kissi makhlooq ko (beghair kissi medium /farishtah etc) apna khayaal wahi nahi karsakta ...bilkul karsakta hai aur mosalsal kar raha hai tabhi to yeh universe phailti bhi jaa rahi hai aur developed bhi ho rahi hai... jumla nit na.ay ejaadaat aalamay balaa say anay walay "khayaal" hi ka nateejah to hota hai... kissi bhi mojid say pooch lijyeh k tum nay falaaN ejaad kaisay ki to woh yehi kahega k bas achanak aik khalaa dimaagh maiN aayaa (kahaaN say? yaqeenan aalamay balaa say :) aur nay oss khayaal ko amal k zariyah ejaad maiN tabdeel kardia
... jiss tarah aik e.mail ID say doosray e.mail ID tak (khaah donouN IDs holder ka darmayani faaslah hazaarouN mile hi kiyoun nah ho) baray say bara document (jo khayalaat hi ka majmooa hota hai) hoo bahoo transfer hojata hai bah shartekay sender aur receiver both nay apni apni right IDs aur right password ka use kia ho
lekin agar ...... donoun fareeq nay right IDs aur right password use nah kia ho to aik machine say doosri machine tak single word (khayaal) bhi transfer nahi hota, khaah donoun machines aik hi table par pass pass hi kiyouN nah paRi houN
yehi haal dunya ki sab say pecheedah tareen machine (insaan) ka bhi hai... amoomi haalat main to yeh aik doosray tak hawasay khamsah k zariyah barahay raast ya kissi nah kissi medium (like phone, net, wireless etc) k zariyah apnay khayaalaat transfer kartay hain ... lekin jab baat rewayti hawasay khamsay say agay ki ho to yeh rewayti medium kaam nahi kartay. phir khayalaat ki muntaqli (insaan to insaan) k liyeh donoun ki "frequencies" ka baham "connect" hona zaroori hai. agar yeh "connection" maujood ho to faslah koi maani nahi rakhta aur door baiThay log bhi aik doosray tak apnay khayalaat bhej /receive kar letya haiN... aur agar frequency nah milay to pass pass baiThay log bhi aik dosray k khayaalaat say naa.waqif hi rahtay haiN... aur ham sab iss phenemenon say agaah hotay hain k aisaa hotaa to hai...lekin aksar ko yeh nahi maloom hota k aisaa hota kaisay aur kiyoun kar hai...... aisi konsi power hae jo insanoN ko connect karti hae ? ya bohat close relations ko off bhi kar deti hae......... naam maiN kia rakha hai, aap koi bhi naam day laiN...lekin yeh "power" maujood hai.. aap issay filhaal "same frequency" kah lijyeh. jab ilm mazeed taraqqi karjaa.ay to koi new name saamnay aasakta hai... new definationk saath ... lekin yeh power maujood hai har insaan maiN, bah shartekay woh insaan issay "use" karnay ki ability bhi rakhta ho.
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 128 Post: 7603 Age:
54
|
|
Posted on:2nd Dec 2013, 10:37pm |
|
|
aalamay baalaa ??? yeh bhi poocha jasakta hai k aalamay balaa kia hai? jo kuch iss zameen earth say bahar hai, woh sab kuch aalamay balaa /aasmaan /samaa.waat hai. zameen aik aisa kurrah /globe hai jiskay oopri satah pay "ham" iss tarah rahtay hain k hamaray qadam iss globe say gravitational force ki badaulat "chipkay" howay hain... agar kisis model globe par aap insaan k models ko oskay feet say globe k chaarouN taraf chipkaa daiN aur iss globe ko aik aur baRay transparent globe k ander rakh daiN (jaisya round-shaped ghobaaray k ander aik aur round shaped ghobarah) globe... to globe model k saamnay baiThay howay "hamain" to yehi nazar aayegaa k model- globe k "ooper" chipkay insaan k head k "ooper" doosra bara globe ki wall hai...aur model-globe k "neechay" chipkay insaan k "neechay" 2nd globe ki wall hai .........
lekin
agar aap ooper ki misala main model-globe say chipkay howay har 2 "insaan" say poochaiN to woh yeh kahay gaa k hamaray "ooper" doosray baRa globe hai "neechay" koi nahi kahega........... hamari earth k charoun taraf yehi 1st, 2nd, 3rd ... 7th... kurray islamic istelaah main pahlaa aasmaan, doosra aasman ... saath.waaN aasman kahlaatay haiN... in "aasmaanouN" ki haqeeqat abhi science poori tarah samajh nahi paayee... islam nay ajmaalan kuch kuch batlaya hai k inhi aasmoun par farishtay rahtay hain... aur har aasmaan ki activities doosray aasmaan say mukhtalif hai... inhi aasmaanoun say farishtay zameen par otartay /nazil hotay haiN... inhi aasmaanoun k sab say ooper ooper Allah ka takht maujood hai....aur yeheeN say ambeyaa ko word-by-word-wahee bazaryah farishtah naazil hotay hain jabkay ... khayaalat ki wahi (word-by-word nahi) beghair farishtah k bazaryah khaab / yaa khayaal naazil hoti hai ... yeh doosri walai khayaalaat wali) wahi ghair nabi /haiwanaat par bhi otarti hai..... "khayaalat ki yeh wahi" jab ooper (aalamay balaa) say neechay (makhlooqaat tak) otar sakti hai to yehi khayaalaat neechay makhlooqaat say oopar khaliq tak bhi safar karsakti hai... issi liyeh ham apnay dil maiN bhi koi iradah /khayaal laayain to hamara khaaliq iss say aagaah hojata hai......... jab yeh "khayaalaat" .... khaliq say makhlooq aur makhlooq say khaliq tak safar karsakti hai to ... makhlooq to makhlooq safar karna to aur asaan hoga... bah shartekay do makhlooq iss tarah "communication sending /receiving" k able rakhtay houN...same frequencies (naam maiN kia rakha hai, kuch bhi kah lain :) ki wajah say...
wallaho aalam bissawab
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4639 Age:
29
|
|
Posted on:3rd Dec 2013, 10:47am |
|
|
insaani khalaa jazak Allah khairah . yahaN tak to baat samajh ati hae lekin insaan k andar jo khalaa hae woh kyuN hae aue woh kaise fill hosakta hae ? sometimes insaan Hasil ki tamanna main La.hasil k peechay bhagta phirta hae agar kissi tarah la.hasil, hasil ho bhi jaye to pata chalta hae k jo paya woh to sab kuch kho denay k mutaradif nikla.
issi tarah baaz auqaat insaan sab kuch hasil kar k bhi aisi feelings ka shikar kyuN hojata hae jaise qayamat k roz insaan ( jis ne duniya maiN koi naik amal na kiye hoga) rotay rotay apna haath/ baazoo chaba daingay lekin un ka pachtawa khatam nahi hoga. jissay sari duniya mil janay k baad bhi khaali haath kar diya gaya ho. |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 128 Post: 7603 Age:
54
|
|
Posted on:3rd Dec 2013, 11:33pm |
|
|
khalaa A: asal maiN dunaa (maal o afraad both :) ki TALAB ki shiddat jetni zeyadah hogi, milnay par mayoosi bhi otni hi zeyadah hogi. agar talab ki density normal ho to milnay yaa nah-milnay, donouN soortouN maiN mayoosi bahoot kam yaa zero hogi. aur yeh FEELINGS sirf aur sirf muslims k liyeh hai... non-muslims dunyaa ko paa kar bahoot zeyadah satisfied hotay haiN. onkay ander iss tarah ka khalaa nahi hota jaisa k mulims k ander hota hai...kiyouNkay muslims k sha'oor, yaa laa.shaoor, ya tahtush.sha'oor maiN ... kaheeN nah kaheeN yeh baat maujood hoti hai k yeh dunyaa bay.wuqat aur faani hai... ham muslims ka yeh khalaa ossi waqt poora hoga jab hamaiN jannat mil jayegi... jannat aur oski nematouN say kam maiN hamara yeh khalaa kabhi poora nahi hosakta ... iss dunya main jannat to milnay sya rahi...lekin yahaan say ham apnay apnay aamaal k cash say jannat entry ka ticket zaroor hasil karsaktay hain... ALlah taalaa ham sab ko iss dunyaa say jannat ka valid ticket aakherat main lay jaanay ki taufeeq day aameen
|
sana.azhar
|
Group: Members Joined: 09th Sep, 2012 Topic: 4 Post: 148 Age:
31
|
|
Posted on:7th Dec 2013, 10:06am |
|
|
Maryam Assalam o Alaikum,
apka behad shukriya. apne jo sawal pochey yeh sawalat janey kab se mujhy pareshan karte they, ke dil socha hai ya demag, aur mari family mein aur khandan mein sab mujhy kehtey hein ke tumhare andar koi bori rooh hai (family ke bahir tu log mujhy mari age se kuch saal kam samjhte hein aur heran hote hein) family se bahir khud ko prove karne ka zahda chance mila hai mujhy (ALLAH ka shukar hai), isi liyeh mei samjhne lagi thi ke shayad ahsey sawal mujh sa koi hi soch saktahai, jahsa ke alone but happy ne kaha ke sawal theek nahi etc.
maryam apke sawalon ne myrizvi ke jhawabon ne mujhy itna clear kiya, ALLAh apko aajar de bohat. apna thora aitamad lose karne ke waja se mai yeh nahi soch rahi thi ahsa hota hai, aur ahsa sirf marey sath hi nahi hota.
aur last mein tu myrizvi ne khud hi insaani khalaa ka bhi bohat accha bataya. shayad mujhy khud se yeh sawal karne mein bohat time lagta, aur tab tak khud se hi lartey rehna tha maine.
maryam aur myrizvi, behad shukriya. khush rahein hamesha ap sab.
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 128 Post: 7603 Age:
54
|
|
Posted on:7th Dec 2013, 11:56pm |
|
|
sana-azhar jawab ki pasandeedgi ka shukarya. maiN nay pahlay bhi kaha thaaa k sawaal karna aur sawaal oThana aam logouN ka naheeN balkay zaheen tareen logouN ka kaam hai, jo dunyaa maiN (aur class room maiN bhi) kam kam hi hotay haiN. issi liyeh class maiN nit naye aur new sawalaat karnay walay ikka dukka student hi hotay haiN... lekin aisay unique sawalaat ka jawaab bil.amoom har teacher day sakta hai. iss liyeh aham tareen fard sawaal karnay wala hota hai... jawaab to koi bhi fard desakta hai agar oskay pass thoRi bahoot knowledge ho to...
|
H.A.S
|
Group: Members Joined: 16th Dec, 2011 Topic: 3 Post: 516 Age:
20
|
|
Posted on:8th Dec 2013, 6:23am |
|
|
SalaamunAlaikum.. :-) Hw r u All...!!! |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4639 Age:
29
|
|
Posted on:9th Dec 2013, 3:07pm |
|
|
Asalam O alaikum Wa Rehmatullah! Sana sis :- bohat shokriyah . jazak Allah khairah :) baaz auqaat insaani khayalaat maiN bohat kuch chal raha hota hae bas ussay grip karna mushkil hota hae. sometimes grift maiN ajayeN to saamnay koi nahi hota jiss k samnay inhaiN bayaan kiya jaye. aur baaz auqaat aisa bhi hota hae k jab aap ko jawab denay wala milay to sawal kahiN ghayb hojatay haiN mubham ya baqi naye sawalaat k sath giDmiD se :)
insaan ko uss k har sawaal ka jawaab bhi har jagah se nahi milta isliye i,m really Thankful to myrizvi bhai k woh hum sab k sawaal ( khwaa kaise hi houN :) paRhtay haiN aur un par behtareen reply bhi kartay haiN aur credit bhi nahi letay. halaN k meri jin friends k sath company hae ya kabhi kisi hawalay se discussions hoti haiN woh sab myrizvi bhai se aise hi waqif haiN jaise k maiN. bcoz baaz shakhsiyaat aap ko groom karti haiN aur i think un ka hawalah aap ki shakhsiyat k liye zaroori hota hae :) |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4639 Age:
29
|
|
Posted on:9th Dec 2013, 3:15pm |
|
|
Sawaal jawaab session myrizvi bhai :- Allah pak aap ko jaza e khair atta farmaye k ilm ki tishnagi bujhti aur baRhti jati hae :)
Q- center aur centre maiN farq kiya hae ? markaz aur murtakiz maiN kiya farq hae ? insaan ki zindagi maiN center point ki kiya ehmiyat hae ? |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 128 Post: 7603 Age:
54
|
|
Posted on:10th Dec 2013, 1:01am |
|
|
copy-paste answer Center vs. centreThere is no difference in meaning between center and centre. Center is the preferred spelling in American English, and centre is preferred in varieties of English from outside the U.S. Some people do make distinctions between the words. For instance, some prefer to treat center as the word for a place or institution and centre as the word for the middle point of something. But while these preferences may be taught in some schools and are perhaps common among careful English speakers in Canada, the U.K., and elsewhere, they are not broadly borne out in 21st-century usage.
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 128 Post: 7603 Age:
54
|
|
Posted on:10th Dec 2013, 1:06am |
|
|
markaz aur mortaliz
مَرْکَز {مَر + کَز} (عربی اسم ظرف مکان
معانی
1. کسی چیز کے کھڑا کرنے کی جگہ، نوک دار چیز جیسے نیزہ وغیرہ کے گاڑنے کی جگہ۔ [ترمیم]
انگریزی ترجمہ
a fixed station; a centre; centre) of a circle); upper stroke (of the letters kaf and gaf) [ترمیم]
مترادفات
قَلْب، ناف، وَسْط، دَرْمِیان، ٹھِکانا، آماج، مَدار، مرکبات مَرْکَزِ اَعْظَم، مَرْکَزِ اِنْحِنا، مَرْکَزِ تَثْلِیث، مَرْکَزِ تَوَجُّہ، مَرْکَزِ ثَقْل، مَرْکَزِ جَمُود، مَرْکَز جُو، مَرْکَزِ چوب، مَرْکَزِ خاکی، مَرْکَزِ رُوحانی، مَرْکَزِ زَد، مَرْکَزِ کُرَہ، مَرْکَزِ کَمِیَت، مَرْکَز گُریز، مَرْکَز گُریز پَمْپ، مَرْکَز گُریز مَشِین، مَرْکَز مَناظِری، مَرْکَزِ نَظَر، مَرْکَزِ نِگاہ، مَرْکَز و مِحْوَر
مُرْتَکِز {مُر + تَکِز} (عربی ر ک ز، اِرْتِکاز، مُرْتَکِز عربی زبان سے ماخوذ صفت ہے۔ اردو میں بطور صفت مستعمل ہے۔ سب سے پہلے 1895ء کو "لکچروں کا مجموعہ" میں تحریراً مستعمل ملتا ہے۔ صفت ذاتی (مذکر - واحد)
معانی
1. جاگزیں، ثابت، برقرار، مستقل، مضبوط۔ "کائنات ........ ہو سکتا ہے کہ ایک حد کے بعد سکڑنی شروع ہو اور ایک نقطہ پر مرتکز ہو جائے۔" [1]
2. زیادہ طاقت ور، (انگ : Concentrate)۔ "کم عمر کے جانوروں کو زیادہ مرتکز Concentrated خوراک کی ضرورت پڑتی ہے۔"، [2]
3. غیر ضروری مواد علاحدہ کر کے کیمیاوی عمل کو شدید تر، زیادہ طاقتور اور خالص بنانا۔
"گڑ یا شکر کو استعمال کرنا اچھا نہیں کیونکہ یہ بہت زیادہ مرتکز ہوتے ہیں۔"، [3
[ترمیم]
مرکبات
مُرْتَکِز مُطالَعَہ
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 128 Post: 7603 Age:
54
|
|
Posted on:10th Dec 2013, 1:13am |
|
|
sawal maujood, jawab baaqi yeh ilfaaz maani to lughat say copy paste kiyeh haiN... takay oss jawaab ko samajhnay maiN aasaani ho, jiss nay abhi aalamay balaa say naazil hona hai lol :)
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4639 Age:
29
|
|
Posted on:10th Dec 2013, 6:46pm |
|
|
Re:- jab tak aap aalamay balaa se connect nahi hotay tab tak maiN aap ko sawaal ka background batati houN :)
Makkah duniya k wast (center) maiN hae aur muslims ki ibadat ka markaz (centre) hae. hum duniya maiN kahiN bhi houN nimaz qibla rukh hokar paRhtay haiN yani aik center point humaiN diya gaya hae.
Issi tarah Solar system dekhaiN uss maiN bhi aik markaz hae aur sab aik madaar maiN apnay mehwar O markaz k gird ghoomtay nazar atay haiN. agar koi bhi iss system ko deny kartay huwe apni rotation se nikla to bohat tabaahi hojaye.
Insaan k jism maiN uss ka dil markaz hae. jab hum donoN haath dua k liye uThatay haiN to donoN shoulders k darmiyan heart se ooper phaila kar dua kartay haiN. aik khaas posture maiN concentration bhi khaas banti hae. lekin sajdah maiN ki gai dua radd nahi hoti woh dua k liye behtareen posture hae. insaan Allah pak k samnay ground hojata hae ajizi aur inkisaari maiN ajata hae aur concentrate hokar connect bhi hojata hae. ( Wallah aalam)
issi tarah insaan apnay rishtoN aur zabitoN maiN paband hae. har insaan k liye koi na koi zaat markaz hae aur woh us k mehwar par hi ghoomta hae. yeh ajeeb si gardish hae k iss k nikal jao to accident :) lekin har aik ko iss gardish maiN rehna hae warna sakoon maiN maut hae |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 128 Post: 7603 Age:
54
|
|
Posted on:11th Dec 2013, 12:37am |
|
|
wow bahoot khoob ... masha Allah ... aapnay hamari "kursi" ko zara see dair k liyeh "khali" kia dekha, "qabzah" hi kar lia :) ... phir ham bhi apki seat pakaR letay haiN... aayandah ham sawaal kia karengay aur aap jawaab dia karengi ... wait for next question ... :):):)
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4639 Age:
29
|
|
Posted on:11th Dec 2013, 1:53pm |
|
|
shokriyah shokriyah :) mujhay aisa kyuN lag raha hae k above post kuch tareefi si hae :) tareef tak to baat Thek hae lekin kiss baat pe ho rahi hae ye nahi maloom :)
maiN to yeh poochnay ayi thi k nisaabi kutub paRhna itna mushkil kyuN hota hae ? woh aalamay baala se direct ilhaam nahi hosaktiN :) acha student ban.nay k liye kitna paRhna chahiye ? |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 128 Post: 7603 Age:
54
|
|
Posted on:12th Dec 2013, 1:11am |
|
|
sawaalaat 1. nisaabi kutub paRhna itna mushkil kyuN hota hae ?
Ans: zabar.dasti jo paRhna paRta hai ... agar nisaabi kutub bhi student ki dilchaspi par mabni aur dilchasp houN to yeh kabhi mushkil nah ho
2. woh aalamay baala se direct ilhaam nahi hosaktiN :)
A: hosaktay haiN aur hotay bhi haiN, agar nisaab, student ki dilchaspi wala ho, zabardasti wala nahi :)
3. acha student ban.nay k liye kitna paRhna chahiye ?
A: "acha student" say kia moraad hai... woh student jo zeyadah say zeyadah score hasil karay yaa apnay mazmoon maiN zeyadah say zeyadah aboor haasil karlay? |
|
|
|
For More Detail Click On Page No: 1 2 3 >> |
|