|
|
Einstein
|
Group: Members Joined: 24th Jul, 2012 Topic: 15 Post: 828 Age:
24
|
|
Posted on:8th Oct 2013, 8:30am |
|
|
More than Seven Thousand Posts And Many Useful Topics By Myrizvi:A Mighty Career
Meri adat hai kai maira kisi shakhs sai jitna chahy mazhabi ya siasi ikhtalaf ho,lekin main us ki un baton aur aamal sai kabhi ikhtlaf nahn kerta jis sai logon ko faida ho ya phir koi seedhy raasty per chal pary.isi tarha ka aik banda NCF per bhi mojood hai.unhon nai bohat sai islahi topics shuru kiye masla aaj hi unhon nai zinah kai bary main btaya kai is ki bury kaam ki wajoohat kia hain aur sath main quran o hadees kai ahkammat kai bhi zikar kia.aam tor per yahan jitny bhi purany members hain yaa jinhain baat kerny ka tajjarba hai wo apni is salahiat ko istimal nahn kerty.yai bohat buri baat hai.bahar haal abhi to main aap sab members sai guzarish karun ga sai kai aap myrizvi ka shukria ada kairan aur phir agar unhon nai btana pasand kia to ham thori si un ki personal batain bhi poochain gai.
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 127 Post: 7584 Age:
54
|
|
Posted on:8th Oct 2013, 10:20pm |
|
|
Jazak Allah Einstein bro
yeh to apki zarrah nawazi aur aalaa zarfi hai... phir bhi apka bahoot bahoot shokrayah. maiN to net world maiN almost last 2 decades say aik "kholi kitaab" ki maanind maujood houN...jisay jo chahay aur jab chaahay "paRh" sakta hai :) taaham agar aap yaa koi aur kuch poochna chaahay to yeh ahqer haazir hai
Bint hawa such a great job
|
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 53 Post: 3432 Age:
36
|
|
Posted on:9th Oct 2013, 1:47pm |
|
|
mabrook .....
wadda paa g mubark ho ....:)))) ..
aik baat bataien aap barry ho kar kia ban'na pasand karain gy ?/...:P |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 127 Post: 7584 Age:
54
|
|
Posted on:9th Oct 2013, 10:37pm |
|
|
wadda pra
wadday hokar wadda praa hi banouNga ,..
Usma1 BHot Bhot thanx myrizvi Uncle |
Einstein
|
Group: Members Joined: 24th Jul, 2012 Topic: 15 Post: 828 Age:
24
|
|
Posted on:10th Oct 2013, 11:06pm |
|
|
username
aik baat hai myrizvi,mujhy aap kai is username ki samajh nahn ai.please btain gai zara? |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 127 Post: 7584 Age:
54
|
|
Posted on:11th Oct 2013, 12:12am |
|
|
user ID waisay yahaaN baqi jo user IDs haiN, onki samajh aa gai hai lol
bhai yeh ID ittefaq say aur nah janay kaisay bangayee... jab maiN yahaaN first time register howa tha to jo mera e.mail tha wohi user ID bangayaa... yeh mera aik e,mail ID tha jo hack hogayaa... agar apki moraad rizvi say hai to yeh meray name ka part hai |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4634 Age:
29
|
|
Posted on:11th Oct 2013, 3:14pm |
|
|
In honor of myrizvi bhai insaan apni zindagi maiN bohat se logoN se milta hae un maiN se baaz log aise hotay haiN jo "log" nahi rehtay aap k liye "tree" ban jatay haiN :) aisa darakht jo aap ko tapti dhoop maiN chaaoN bhi deta hae, phal bhi aur khoobsurti ka ehsaas bhi. aisa darakht jiss k saye maiN baiTh kar newton law of gravity jaan leta hae. aisa hi aik shajar NCF pe myrizvi bhai haiN.
myrizvi bhai :- jazak Allah khairah k aap ki sohbat maiN mujhay bhi bohat kuch seekhnay ka moqaa mila aur insha Allah ayendah bhi aap se seekhtay rahaiNgay. Allah aap ko umar e khizar atta farmaye (ameen)
|
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 53 Post: 3432 Age:
36
|
|
Posted on:11th Oct 2013, 3:39pm |
|
|
darakht (tree) re "aisa darakht jiss k saye maiN baiTh kar newton law of gravity jaan leta hae"
aaj sy "myrizvi" sahib "Maryam" k liye "myrizvi bhai" nahi balky "my-tree bhai" hain ...lolzz |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4634 Age:
29
|
|
Posted on:11th Oct 2013, 3:48pm |
|
|
my.tree ya mighty ? :) myrizvi bhai sirf sabiqah paRhtay haiN jo 'my" hae laa.haqqah woh yaqeenan nahi paRhtay hoNgay k saabiqah se hasil honay wali khushi k baad laa.haqqah kissay yaad rehta hae :) |
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 53 Post: 3432 Age:
36
|
|
Posted on:11th Oct 2013, 3:53pm |
|
|
my ...yaa ...maai
asal sabiqa to "my" hi hay laiken agar kabi ghalti sy ya thorra sa latkaa kar issy "maai" parr liya to saari khushi ka falooda ho jaye ga ..:) |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4634 Age:
29
|
|
Posted on:11th Oct 2013, 3:58pm |
|
|
U r after him aap bhi jaldi jaldi apna mighty career poora kar laiN aap k liye bhi maiN aik branch honay ka honor paish kar douNgi :) wese franchise kesi rahegi ? :) ab yahaN scientist bhai akar aap ki khabar laiNgay k un k thread ka kiya haal kiya . |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 127 Post: 7584 Age:
54
|
|
Posted on:12th Oct 2013, 1:45am |
|
|
Jazak Allah Khaira Maryam sis aur nikkay pra Diplomate ...
yeh khatti meethi bataiN paRh kar dil garden garden gogaya hai... Allah sab ko khush rakhay aameen |
Einstein
|
Group: Members Joined: 24th Jul, 2012 Topic: 15 Post: 828 Age:
24
|
|
Posted on:12th Oct 2013, 3:05am |
|
|
khatti meethi batain nahn yaar,baqra eid aa rahi hai.khatti meethi nahn balky namkeen aur mirchi batain honi chahiyen |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 127 Post: 7584 Age:
54
|
|
Posted on:12th Oct 2013, 8:59am |
|
|
yeh bhi Theek hai
yeh lijyeh namkeen aur mirchi wali bataiN...
husbands k liyeh namkeen aur wives k liyeh mirch masalay say bharpoor shair :)
بیوی سے زندگی بنتی ہے جنت بھی جہنم بھی یہ شادی اپنی فطرت میں نہ خوبی ہی نہ خامی ہے
aur yeh hai wives k liyeh namkeen aur husbands k liyeh mirch masalay say bharpoor shair :)
شوہر سے زندگی بنتی ہے جنت بھی، جہنم بھی یہ مرد اپنی فطرت میں، ہیں سیدھے بھی اور ٹیڑھے بھی
|
Einstein
|
Group: Members Joined: 24th Jul, 2012 Topic: 15 Post: 828 Age:
24
|
|
Posted on:15th Oct 2013, 5:54am |
|
|
hansi na rok paya....hahah.....
bohat hi acha sher kaha.very nice
H/dr_Qasim Masha Allah Well done Myrizvi bro Jazaak Allah |
Einstein
|
Group: Members Joined: 24th Jul, 2012 Topic: 15 Post: 828 Age:
24
|
|
Posted on:16th Oct 2013, 1:52am |
|
|
dr qasim
kia HAAL HAI AAP KA?kidhar chaly gai thai aap?nice to see you back on ncf
ozon Keep uppp myrizvi apki contribution in this forum waqei qaabil e sataiesh hai...
|
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 53 Post: 3432 Age:
36
|
|
Posted on:2nd Nov 2013, 11:52pm |
|
|
abb kitni posts ho gayee hain ?
main zara ghair hazar tha , kia koi bataa sakta hay k abb myrizvi ki kul kitni posts ho gayee hain ?? |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4634 Age:
29
|
|
Posted on:30th Nov 2013, 8:06pm |
|
|
sawal O lajawab :) myrizvi bhai mujhay aap se chand sawaal karna haiN .jawaab saaf saaf chahiye lekin itna saaf nahi k blank paper hi thama daiN haath maiN :)
insaan k dil aur demagh ka apis maiN kiya connection hae ? khayal kahaN paida hota hae demagh maiN ya dil maiN ? insaan k andar jo zameer hae jo ussay har ghalat baat pe tokta rehta hae uss ka taluq demagh se hae ya dil se ? issi tarah sawal O jawab ka jo amal insaan apnay aap se karta hae woh sawal kahaN se uThta hae aur jawab kahaN se ata hae ?
|
alone but happy
|
Group: Members Joined: 10th Dec, 2012 Topic: 8 Post: 621 Age:
21
|
|
Posted on:30th Nov 2013, 8:51pm |
|
|
Nice question
Ab ap ko ye b btana ho ga myrizvi bhai k maryam ne ye swal dil se kya ha ya dmagh se.? Wese es swal ki smj to mjy aa gai par jwab ka intzar hai.
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 127 Post: 7584 Age:
54
|
|
Posted on:30th Nov 2013, 10:24pm |
|
|
sawal jawab
alone but happy bhai! Maryam sis nay yeh sawal nah dil say kia hai aur nahi dimagh say :) balkay onhouN nay yeh sawaal aalama.e.baalaa say kia hai. iss qism k khayaalaat waheeN say aatay haiN jinkay baray maiN ghaalib nay kaha thaa k:
آتے ہیں غیب سے یہ مضامین خیال میں
غالب! صریرِ خامہ، نواے سروش ہے
ham sab bhi waheeN say aa.ay howay haiN, jahaaN say iss qism k khayaalaat aatay haiN... farq sirf yeh hai k hamaiN iss jahanay faani maiN aik jismay faani maiN bah taure imtehaaN QAID kardia gaya hai. iss body ki bahoot si limitations haiN, jinsay yeh bahar nahi nikal sakti... apnay maazi (aalamay baalaa ki qabl az zindagi) ko mokammal taur par memorize nahi karsakti. albattah ghalib, maryam type k logouN k pass ossi aalamay balaa say kuch nah kuch link hota hai... kuch nah kuch (khayaal) naazil hota rahta hai, jiss say onhaiN ashnaayee see mahsoos hoti hai, magar mojassam tasweer nazar nahi aati. shair bhi poochta hai k yeh abr kia cheez hai, hawa kia hai. iska yeh matlab nahi k woh nahi jaantaa, balkay woh jo kuch jaanta hai, osay sawaal maiN samokar hamaiN batlaata hai.
maryam k sawaalaat bhi kuch issi qism k hotay haiN. onkay pass jawaabaat ka hajoom hota hai, jinhaiN woh sawaal main samo kar readers k saamnay rakhti hai takay logouN ki aankhaiN kholaiN... issi liyeh kahtay haiN k sawaal karna, sawaal oThana zeyadah aham hota hai, bah nisbat jawaab denay k... jo bhi in sawaal ko paRh kar issay samajh jayega, goya k woh jawaab tak pahonch jayegaa... jo sawaal hi ko nah samjhay, oski baat alag hai. ap sawal samajh gaye ghaiN to jawaab tak bhi yaqeenan pahonch gaye hongay... wazah rahay k in sawaalaat ko samajhnay walay har fard tak aik hi durust jawab pahonchta hai... albattah onhaiN bayaan karnay k medium yani andaazay bayaaN aur zobaan joda joda hotay haiN
|
|
|
|
For More Detail Click On Page No: 1 2 3 >> |
|