kut.ta paalna 1. islam maiN sirf 3 maqaasad k liyeh kutta paalnay ki ijazat hai a) shikaar liyeh b) kheti khalyan ki hifazat k liyeh c) janwarouN k rewaR ki hifazat k liyeh
2. aikhadees ka mafhoom hai k jiss ghar maiN jaandaarouN ki tasweeraiN aur kuttay houN oss ghar maiN rahmat k farishtay nahi aatay. ab jiss ghar maiN rahmat k farishtay hi nah aayaiN, oss ghar par Allah ki rahmat kaisay hogi.
3) kuttay k mouN ka lu'aab /thook napaak hai...jiss bartan, kapRay ko kutta mouNh lagaa day... woh bartan aur libaas napaak hojata hai... lehaza aiknamaazi mosalmaan kabhi bhi apnay saath apnay ghar maiN kuttay ko rakh hi nahi sakta k kuttay ki aadat hai, har cheez ko mouNh lagana
lehaza sirf aur sirf mazkoorah baalaa 3 maqaasad /zaroortouN k liyeh hi kutta pala jasakta hai... aur woh bhi ghar k bahar khait aur khalyaan maiN...nah k ghar k ander.
wallaho aalam bissawab |