sadiarafi |
Group: Members Joined: 22nd Jun, 2012 Topic: 1 Post: 2 Age:
30
|
|
Posted on:23rd Jul 2012, 8:52pm |
|
|
wuzu ka masla mare umer 25 saal hai mai shaddi shuda hu mera masla yeh hai kai mera wuzu bot jald toot jata hai aik aik namaz mai pata nae kitni dafa toot jata hai jis ki waja sai mai tang a jate hu namaz ada karni mushkil ho jate hai mujh ko maiday ki takleef bi hai , mai ramdan mai umrah kernay jati hu wuzu tootnay ki waja sai umrah ada kerna or bajamat namaz perna mahal hua hota hai ; koi aisa din hoota ho ga kai namaaz kai doran wuzu na tootay ; makkah or madina shreef mai wuzu hana bot door hai bar bar wuzu kernay jana mahal ho jata hai meray masalay kai baray mai aap kia arz karai gai shukria
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 108 Post: 5916 Age:
53
|
|
Posted on:24th Jul 2012, 2:40am |
|
|
sadia
islam aik asaan deen hai. iss maiN aisaa kuch laazmi nahi jiski adayegi kissi insaan k liyeh bahoot mushkil ho
ap agar apna yeh maslah pahlay hi kissi say pooch leti to ab tak yeh pareeshani nahi oThani paRti, jo maslah nah jannay ki wajah say apko oThani paRi
maslah ka hal: agar kissi ka wazoo aik namaaz ki tamaam rekatouN k ander bar qarar nah rahay to aisa fard islamic shariyat maiN "mazoor" kahlata hai. aisay fard k liyeh yeh hedayat hai k woh aik tazah wazoo karkay aik waqt ki sari namazaiN adaa karsakta hai, khaah iss dauran oska wazoo baar baar hi kiyouN nah TooT jaa.ay. maslan ap zohar ki namaaz say pahlay wazoo kar laiN... phir iss wazoo zohar ki tamam rekataiN mokammal kar laiN, khaah iss dauran wazoo jetni bar marzi Tootay... lekin phir apko asar ki namaaz k liyeh new wazoo karna hoga
yehi haal omrah ka bhi hai... omrah maiN sirf tawafay kaabah k liyeh wazoo laazim hai...lehaza ap aik wazoo say kaabah k saatouN chak.kar laga sakti haiN... saee k liyeh waisay bhi wazoo ki zaroorat nahi hoti... goya aik wazoo say ap aik mokammal omrah adaa karsakti haiN... haaN doosray omrah k liyeh new wazoo karna paRega
issi taarh ap aik wazoo karkay kissi aik namaaz k liyeh baitullah yaa masjid nabwi jayaiN to jab tak apki oss waqt ki namaaz mokammal nah hojaa.ay ap masjid maiN rok sakti haiN... iss dauran new wazoo ki zaroorar nahi...albattah jab next namaaz ka waqt aa jaa.ay to phir new wazoo kar lijyeh... so simple
haaN wazoo agar hawaa khaarij honeki wajah say TooTe to its ok. lekin agar wazoo urine drops /qatrouN ki wajah say Toote to wear cleaned under garments each time. yani har next namaaz ki wazoo say qabl apko sirf underwear change karna hoga. baqi dress paak hai...issi maiN next namaaz paRhi jasakti hai
|
WEHSHI |
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 39 Post: 2168 Age:
47
|
|
Posted on:24th Jul 2012, 8:45am |
|
|
Shetani Wiswisa
Wazu ka bar bar tootna ya tootnay ka ehsas hona aik shetani wiswisa bhi hai hawa kharij honay k liyay aik hadees perhi thi k jab tak boo na aai ya awaz na aai hawa kharij hona aik weham ya shetani wiswisa bhi ho sakta hai ALLAH behter janta hai |
sadiarafi |
Group: Members Joined: 22nd Jun, 2012 Topic: 1 Post: 2 Age:
30
|
|
Posted on:25th Jul 2012, 2:50am |
|
|
wuzu ka masla meherbani ker kai mufti sab meray sawal ka jawab dai dai mufti saab mare umer 25 saal hai mai shaddi shuda hu mera masla yeh hai kai mera wuzu bot jald toot jata hai aik aik namaz mai pata nae kitni dafa toot jata hai jis ki waja sai mai tang a jate hu namaz ada karni mushkil ho jate hai mujh ko maiday ki takleef bi hai , mai ramdan mai umrah kernay jati hu wuzu tootnay ki waja sai umrah ada kerna or bajamat namaz perna mahal hua hota hai ; koi aisa din hoota ho ga kai namaaz kai doran wuzu na tootay ; makkah or madina shreef mai wuzu hana bot door hai bar bar wuzu kernay jana mahal ho jata hai meray masalay kai baray mai aap kia arz karai gai shukria hawa harij honay ka ehsas hota hai
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 108 Post: 5916 Age:
53
|
|
Posted on:25th Jul 2012, 2:58am |
|
|
wehshi bhai it seems k yeh sawal o sawal just for fun kiyeh jarahay haiN...warnah jin sawalaat k jawabaat day diyeh gaye houN, onhaiN repeat karna chah mani daarad??? iss tarah ki IDs jald hi Blocked bhi hojati hai
|
WEHSHI |
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 39 Post: 2168 Age:
47
|
|
Posted on:25th Jul 2012, 2:15pm |
|
|
ji han ais ato ab hota rehta hai forum per
|
|