Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
 
    Start New Topic  My Profile
 

hafiz ke liyen Darhi ?

Religion and Culture
 
 
 
jd_saifi Group: Members  Joined: 17th Sep, 2010  Topic: 5  Post: 17  Age:  29  
Posted on:1st Jul 2012, 6:37am
 

hafiz ke liyen Darhi ?

A/salaam , ji han yaqeenen ek imam ke liyein dardhi rakhna sunnet-e-mokadda hai, mera sawal hi ki kiya sirf imam-o-hafiz-quran ke liyin hi ye sunnat-e-mowakda hai, dosrey musalmano ke liyen nahien ?  Ramzan aane se pehle palmflate batney shouro ho jate hain ki baghair daree wale hafiz ke pechaey namz nahien hoti, to kiya bagair daree wale muwakadi ki namaz dari wale imam ke peechaey ho jati hai ?   Ek hafiz joki namaze pabandi se ada kerta ho, lakin uski dari nahi ho, uske peechey namaze tarawhie ho jaygi , ya ek hafiz aisa ho jis ki darhi ho lekin namaz pabandi se nahien padhta ho kiya uskey peechaey bhi namz ho jayegi ?zara aalim log Quaran aur hadees ki roshni mein is ka reply tafseel se arsalaam fermayein.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 108  Post: 5866  Age:  53  
Posted on:1st Jul 2012, 9:50am
 

alim log ?

1. saifi, ap ki ittelaa k liyeh arz hai k yahaaN koi aalim nahi hai... lehaza agar apko aalim ki roy chahiyeh to kissi deeni forum, yaa darul aloom say rajoo karaiN

2. agar ap yahaaN k members ki roy janna chaahtay haiN to ham zaroor apni apni roy dey saktay haiN... yeh roy aik doosray say mokhtalif bhi ho sakti hai

3. meri roy yeh hai ... darhi islam maiN farz yaa wajib nahi hai ... yeh sunnat hai ... yeh bhi kaha jata hai k sara islam sirf darhi maiN nahi hai ... balkay saray islam maiN aik adad darhi hai, jo farz nahi hai

4. daRhi ki apni ahmiat hai. iska ajr o sawaab bhi hai... har mosalman mard ko darhi zaroor rakhni chahiyeh...lekin darhi k hona ya nah hona kissi fard k acha moslaman honaa yaa nah honay ka faislah nahi karta

4. namaaz maiN imaam k liyeh zaroori hai k woh tamaam haazreenay namaaz / namaazi say nisbatan behtar mosalman ho ... yani jo overal all deen k zeyadah qareeb nazar aa.ay (k dil ka maamlah to sirf Allah hi jaanta hai) ossay hi imaam banaanaa chaahiyeh

5. imaam ki bunyaadi khasoosiyat maiN ... oska libaas islami hijaab say qareeb tar ho, oski qirat achi ho, woh punj waqtah namaazi ho, namaaz rozah k basic masaail say agaah ho, aur agar chehrah sunnatay Rasool saw say mozayyan ho to behtar hai

6. taraaweeh aik nafli ibaadat hai... lekin ham log issay farz namaazouN say bhi zeyadah ahmiat detay haiN... aksar yeh bhi dekha gaya hai k koi fard ramzan maiN bhi 5 times ki namaaz ka to khayaal nahi rakhtaa...magar taraaweeh ki pabandi ko apnay oopar laazim karleta hai

7. taraaweeh ki namaaz k liyeh afzal yehi hai k imaam haafizay quran ho... amooman beshtar haafizay quran darhi walay hotay haiN ... lekin agar darhi wala koi haafizay quran nah milay to beghair darhi walay haafiz k peechay bhi taraaweeh paRhi jasakti hai

8. beghair darhi walay hafizay quran ki tauheen hargiz nahi karni chahiyeh. jiskay seenay maiN quran hifz hai, oski baRi azmat hai. apko darhi wala haafiz quran mil jaa.ay to bay shak ossay imaam banaa laiN lekin beghair darhi walay hafiz k khilaaf koi propaganda nah karaiN k oskay peechay namaaz nahi hoti... taraweeh to ghair haafiz k peechay bhi hojati hai... agar apki pasand /marzi ka haafiz nah milay to ghair haafiz say bhi taraaweeh pahwa saktay haiN...woh aam soortouN say bhi taraweeh paRha sakta hai... taraweeh maiN poora quran khatam karna afzal zaroor hai, farz nahi

wallaho aalam bissawab




SSher Ali Group: Members  Joined: 22nd Jun, 2012  Topic: 0  Post: 17  Age:  22  
Posted on:4th Jul 2012, 5:20am
 

Dadi Kya Hai ?

Dadi rakhna Sunnat hai sabse pehle Islam me Dadi nikalne Wala Yazid bin Mauyiya tha jisne Imam Hussain ko shahid karaya

namaj koi bhi ho fiqah me sirf Basharah matlab Dadi wala insaan hi padha sakta hai bina dadi wale k piche namaj jaiz nahi kahi dekha hai apne k masjid ka Imaam dadi na rakhta ho aur namaj padhata ho

My Rizvi ap apne ilm me izaafa kijiye aur dadi namaj ye do chize kaafir aur musalman k bich ka sabse bada fark hai

warna ap ek bina dadi wale kaafir ko khada kare aur ek bina dadi wale musalman ko aur apse kaha jaye k batao musalman kon hai ap nahi bata payenge

Hadis padhe Dadi ke Talluk se ap khud kahenge k dadi zaahir me Sunnat hai lekin iska rakhna Farz hai Farmaya

HADIS : " JISNE APNI DADI K EK BAAL ME BHI ASTURA (BLADE) CHALAYA USNE MERE SINE (CHEST) ME KANJAR GHUSAYA HAI "

aur bina dadi wale se Aaka Sall Allahu Alaihi Wassalam apna Chehra E Anwar Perh lenge aur aisa shaks Mehrum hojayega
Ap apne apko Musalman keh rahe lekin Chehre Yahud o Nasara ki tarah Hairat hai kis gaflat ki neend me soye ho

aur bina dadi wale imaam se accha hai k ap akele namaj padhe
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 108  Post: 5866  Age:  53  
Posted on:4th Jul 2012, 10:19am
 

dhi mai\n

1. islam maiN daRhi hai.... daRhi maiN islam nahi ... agar sirf daRhi maiN islam hota to saray daRhi walay sikh ham say baRay muslim hotay.

2. aaj indo paak k mosalmaanouN ki bhari aksariyat beghair daRhi k hai (jo angrezi dauray hakoomat ki 'nishani' hai ... ahlay sadaat ki bi bhari aksariyat beghair darhi k hai...

3. darhi yaa to sunnat hai ya farz ... zaahir maiN sunnat aur rakhnay maiN farz??? yeh naya fatwa kiss nay dia aur kab dia???
SSher Ali Group: Members  Joined: 22nd Jun, 2012  Topic: 0  Post: 17  Age:  22  
Posted on:7th Jul 2012, 11:41pm
 

Ise Padh le

1. ye koi fatwa nahi hai jinka Sina Ishq-e-Nabi (Sal allahu Alaih Wassalam) se khali hai wo aisa hi bahana dhundenge
k kisi tarah sabse azeem Sunnat ko chod diya jaye ye yahud ka tir hai jo aj hum musalmano me ghus chuka hai isliye aj halakat
k raste me pahuch gaya hai musalman jo kaum apne Nabi (Sal allahu Alaih Wassalam) ki itni badi sunnat chode aur koi fikr bhi na ho
uska yehi hoga dunia me.

2. Sunnat jo bol rahe ho apko ye bhi ilm hai k sunnat kitne types ki hai
ek hoti hai Sunnate Moikeda (Compulsory) dusri Gair Moikeda (NON-Compulsory) amal hogya to Alhamdullih aur
nhi hua to koi gunah nahi hai

3. Example: Tarawih ki namaj sunnat hai lekin padhna har musalman pe Waazib hai nahi padhega to sakht gunahgar hoga
usi tarah dadi ke masle hai ise rakhna Sunnat hai lekin nahi rakhega to sakht gunahgar hoga aur kesa musalman
hoga wo jo apne Nabi (Sal allahu Alaih Wassalam) k sine pe kanjar chalaye fikr karo is bare me naki logo ko masle
bataye ke is azim sunnat ko chota samaj k chodne ki taalim di jaye. Aj jis musalman se pucha jaye k dadi kyu nhi rakhte to yehi
jawab arre bhai ye to sirf sunnat hai farz nahi sharm nahi aati aise logo ko.

4. aj akshariat musalman namaj bhi nahi padhti to kya namaj ko bhi isi tarah se le liya jaye khauf nahi hai Allah ka
Ek Sikh,hindu pandit aur Musalman teeno dadi rakhe aur apse puche jaye k batao musalman kon hai yakin maan le
ap aasaani se apne musalman bhai ko pehchan lenge Kyuki unki dadi me aur humari dadi me zamin aasman ka fark hota hai samjhe
lkin agr bina dadi wale teeno ko khada kiya jaye ap nahi bata sakte k kon kis mazhab ka man ne wala hai.

5.Islam dadi me hai ya dadi me Islam ye bhi ek shaitaan ka teer laga hai aj musalmano ko jese
kuch gandi nasal k log kehte hai k Burkhe me Islam hai ya islaam me burkha hai hai koi jawab kisi k pass
6. Hairat hoti hai hum Indian musalmano ko Pakistan k haalat ko dekh ke
ke aakhir kya chiz hai mulk musalman hukumat musalman lekin phr bhi aurate be parda hai mard
yahud o isai ki tarah ghum rahe hai dadi rakhne me kya mazburi hai waha musalmano ko na kisi kaafir se
darr na kuch phr bhi. Aj Alhamdullilah Hind me pak se zyada dadi wale mauzood hai Allah k karam se
Allah pak me bhi aman kayam kare aur waha k musalmano ko sidha raste pe chalaye
jd_saifi Group: Members  Joined: 17th Sep, 2010  Topic: 5  Post: 17  Age:  29  
Posted on:8th Jul 2012, 4:13pm
 

ek nazer...

janab Rizvi sahib aur janab Ali sahib
mein maafi chahta houn ki mujhe isterha ka mamila shayad is foram me uthana hi nahien chaye tha, Aur janb Ali sahib Plase yahan per hindustan aur Palistan ka masla na uthayein , me bhi Ek Indian Houn , aur haan me aap ki baat se ittefaq bhi rakhta houn ki Mulk Pak, yahn per is qader ki Firqa parasti pheli hi hai , Allah ka lakh lakh shuker h ki , him hind me rehte hue bhi yahan per itni Fiqa parasti nahein hai,
baher haal abb me point per aata houn, mein Ali saheb se ziyada sehmati rakhta houn, aur hume chye ki apni knowledge ko badhaney ke liyein, Daari se mutalliq hadeeso ka mutalla kareyin,, aur ALLAH mujhe aur sab ko dari rakne ki Sunnet ko zinda kerne ki toufeeq ata fermayein.


myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 108  Post: 5866  Age:  53  
Posted on:9th Jul 2012, 12:57am
 

Aameen Summa Aameen

ALLAH mujhe aur sab ko dari rakne ki Sunnet ko zinda kerne ki toufeeq ata fermayein.
SSher Ali Group: Members  Joined: 22nd Jun, 2012  Topic: 0  Post: 17  Age:  22  
Posted on:10th Jul 2012, 1:46am
 

Aamin

Rizvi sahab aur saifi sahab

meri koi baat agr buri lagi ho ap dono ko to mujhe maaf karde mera maksad yaha kisi ko hurt karna nahi hai.
aur mafi chahta hoon apne Pakistani bhaiyo se aur behno se bhi.

lkin jo haq tha maine wo kaha hai aur bhai masla uthana bahot jaruri hai, sex k bare discuss karna ho to jisko
dekho wo comment karta hai bhale kuch pata ho ya na ho Islamic point of view se.

Aur mai ye bhi chahta hoon k dusre masle jesa apne dadi k bare me pucha wo bhi jaruri hai taaki logo ko
Ilm E Din haasil ho jaye aur apne un bhai behno ko bachaya ja sake jo galat raste pe aa chuke hai aur hume khud bhi bachna chahiye Is forum pe join hone ki Niyat hum sabki yehi hona chahye



alirajput Group: Members  Joined: 16th Mar, 2012  Topic: 3  Post: 273  Age:  28  
Posted on:10th Jul 2012, 2:26am
 

Shher Aliaa jawaaN

"Islamic point of view se" MaiN aap ko maafi deta hun!
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 108  Post: 5866  Age:  53  
Posted on:10th Jul 2012, 6:04am
 

Ssher Ali bhai

aisi koi baat nahi hai...ap ki koi baat hamain bori nahi lagi... kissi roy say ikhtelaaf karnay ka yeh matlab nahi hota k baat bori lagi. sada khush rahiyeh. apna point of view bayaan kijyeh aur doosroun ka point of view suniyeh aur jo baat haq say qareeb lagay oss par amal kijyeh.
1
 
 
 
Erectile Dysfuncion
ED causes
Male Menopause
Male Menopause – Myth About Male Menopause
Health Advice From China
Male Sexual Health Advice From China
Food For Male Libido
Male Libido - Foods to Increase Male Libido Naturally

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.

© Copyright 2003-2017 www.forum.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us