Prof Arshad Javed Books In Urdu PDF Free Download
 

Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
  Ask A Doctor
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please Exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Baby Care
Daily Questions
    Start New Topic  My Profile
 

Istkhara

Religion and Culture
 
 
Bia 28:-* Group: Members  Joined: 02nd Jun, 2012  Topic: 6  Post: 64  Age:  27  
Posted on:11th Jul 2012, 4:17pm
 

Istkhara

Kindly help me. I was in love wid a guy.before telling our family.we decided to do istkhara. Mjy rat me koi khawb nai aya.me subha blank ti. He told me that he saw his family quareling in dream. Me pareshan th k mjy khawb q nai aya. Us ne kaha k he consultd qari sb. N acording to qari khawb na ana ik negative sign ha. He left me. Mene bd me ik lady qariya se pocha. She told me k agr khawb na aye dat mean ap k istkharay ka tarika galat tha. Kindly mjy btaye khawb na anay ka sahe mtlb kya ha. Us ne mj se such bola ya jhot.
dakraziest Group: Members  Joined: 04th Jul, 2012  Topic: 0  Post: 30  Age:  28  
Posted on:11th Jul 2012, 11:31pm
 

its not compulsary that you see a dream

istekhara is a means to seek Allah's will
so it is not necesary that you would see a dream
sometimes the dream is vivid and clear
sometimes its a faint suggestions
and sometimes you dont see anything which means that either do what your heart says is right or go for the 7day istekhara(if what you did was a three day istekhara)
and m not a islamic scholar but from my experience its better to do isthekara for atleast 3consequtive nights that way you get a confirmed answers and if you are still in doubt go for the 7days

Bia 28:-* Group: Members  Joined: 02nd Jun, 2012  Topic: 6  Post: 64  Age:  27  
Posted on:12th Jul 2012, 12:08am
 

Means

Means he told lie that its nt gud as i did nt see any dream.. N i did only 1 night.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 132  Post: 8351  Age:  58  
Posted on:12th Jul 2012, 4:31am
 

istekhara

aik islamic tareeqah hai jo log ghair islami kaamouN k darmayan sandwich kardetay haiN...

1. Bia apnay aik naa.mahram k saath raah o rasam baRhaya (in the name of love) ... yeh aik haraam aur ghair islami kaam hai... love say pahlay aur love k baad bhi ap donoun aik doosray say in touch rahay...yeh sab ghair islami kaam thay

2. phir ap logouN nay apni family ko batlaa.ay beghair shadi kay liyeh istekhara karnay k plan batlayaa... being a muslima, apnay ghalat kaam kia. apnay wali /parents ki mansha k beghair ap ko aisay faislay ka haq nahi tha.

3. jab laRkay nay dekha k yeh laRki to shadi k liyeh serious hai (woh to just time pass kar raha thaa, i guess) to oss nay istekhara k baad khaab maiN families ko lartay dekhnay ka bahanah karkay patli gali say nikal gayaa.... agar ossay apsay real mohabbat hoti to woh apni family ko rishtah k liyeh bhejta nah k ghaib honay ka bahana DhoonDta.

4. istekhara k baad raat main khaab dekhna aur khaab main koi isharah dekhna...yeh sab kharaafaat hai...iska islami taleem say koi tallluq nahi hai... quran o hadees maiN aisi koi baat bayaan nahi howi hai... istekharah is just a dua k Ay Allah maiN falaaN kaam karnay jaa raha /jaa rahi houN... iss maiN meray liyeh bhhalaayee rakh day aur agar iss maiN meray liyeh koi sharr ho to iss shar say mujhay door rakh ...that's it

5. aap oss larkay ko bhool hayaiN aur ayanadah kissi say 'mohabbat' karnay ki koshish nah karaiN... 99% laRkay love nahi flirt kartay haiN aur apna ullo seedha karkay ghaib hojatay haiN... 5 times namaaz paRhaiN aur Allah say apnay liyeh behtareen rishtah ki dua karaiN. apnay parents par etbaar karaiN...aur agar koi laRka aap maiN interest show karay to ossay kahain k apnay parents ko rishtah k liyeh apkay ghar bhejay. agar laRka serious hoga to aisa hi karega warnah farar hojayega yo just time pass karnay, aik doosray ko samajhnay aur apna ullo seedha karnay k liyeh ap say waqt maangay gaa

Allah ham sab ko seedhi raah dikhlaa.ay aameem
Bia 28:-* Group: Members  Joined: 02nd Jun, 2012  Topic: 6  Post: 64  Age:  27  
Posted on:12th Jul 2012, 6:00am
 

Thnx

Thnx a lot.
samaira Group: Members  Joined: 12th Mar, 2012  Topic: 27  Post: 146  Age:  27  
Posted on:12th Jul 2012, 11:26pm
 

myrizvi uncle

mujhe bhi koi acha lagta tha r us ladhke ne mere ghar rishta bhijaya tha lekin humare gharwale razi nahi hue q k ladhka settled nahi tha..uske baadh maine isteqara kiya tha 1st day mujhe khwab meh forest jahan har jagah haryali thi r ek white polar bear nazar aya...phir maine dusre din kiya toh dekha k ladhke k ammi mujhe mithayi khilarahe hai..r teesre din kuch nahi aya....mai bus isteqara ki r Allah se dua krte hue sogayi thi tabi tahajud se phle yeh khwab aya tha....lekin ab 2 saal hogaye sabkuch wahin ka wahin hai us ladhke k gharwale mujhe phle bole the kisteqara acha aya hai r phir jaise halat bigadhgaye gharwalo k beech tab bola gaya k sahi nahi hai lekin abtak na wahan kuch hua hai r nahi merepas bus ithna pata chala hai k ladhke k rishte ki baatcheet hui hai kisise..but maine apna isteqara krvaya maulana se unhone kaha k isteqara acha hai behtar hai iska matlab unke ammi ne jhootkehdiya...lekin ab mera dildimag bus yehi kehta hai k mai unka wait karun kahi r razi nahi hota r raat ko b mai chamak kar uthjati hun us ladhka ka khayal se...bht tnsndrhti hun bhul b nahi pati..kya mujhe unka wait karna chahiye?..kya abhi sahi tym nahi aya hai?...r abtak mujhe bht baar yeh khwab aya hai k mera rishta unke saath pakka hogaya hai kabhi tahajud se phle ata hai toh kabhi fajr k baadh...plz mujhe batayeie mai kya karun??
Bia 28:-* Group: Members  Joined: 02nd Jun, 2012  Topic: 6  Post: 64  Age:  27  
Posted on:12th Jul 2012, 7:10pm
 

Dhoka

Ye sb dhoka hta ha sb dhoka. Larkay pyar ka jal bichate ha. Shadi nai krte. U knw me apne waldain ki bht obedient hu. University toper hu graduatin level pe.msc ka 2nd semestr chal ra ha.waha b toper hu ab tk.my parents are proud on me. Unho me mera ik jga rishta fix kia tha.i was in love wid dis guy.hm ne tb istkhara kia.pehli br apni lyf me apne waldain ki bt na mani.aj b dukh ha k q apne parents ko dukh dia. Bht besakoni ha.apni behtaren koshsh krti hu k un se ki gai nafarmani ka bdla chukaou magr jan b dy du un k lye to nai ho paye ga.my dear ye larkay nai lot k ate.they jst need a grl. Allah pak hm sb grlz ko apni hifazat me rkhay.jo gunah hwe unhe maf frmaye.ar hmain naik aorat bn.nay ki tofik dy.amen
samaira Group: Members  Joined: 12th Mar, 2012  Topic: 27  Post: 146  Age:  27  
Posted on:13th Jul 2012, 10:03am
 

har ladhka ek jaisa nahi hota

woh koi tympas nahi karen hai mujhse..woh bht ache family k ladhe hai r unke perents k bht obedient hai isiliye woh apne parents k against nahi jana chahte..woh apni jagah sahi hai..shayad mujhmehi koi kami hai..woh mujhse bohot pyar karte the r gharper rishta bhi bhijvaya tha r pehle hi din se apne gharwalo ko boldiya tha mere bareh meh..har insan ki majburi hoti hai..zaruri nahi k har ladhka waisehi ho..

myrizv uncle plz mere khwab ki tabeer batade..meri zindagi jaise ataki hui hai..samjhnahi aaraha k kabtak aise rahegi...maine kisi maulana sahab se isteqara krvaya tha r unhone kaha tha k theek r behtar hai..lekin mujhe samajhnahi aaraha k sabkuch wahin ka wahin hai meri life meh..
samaira Group: Members  Joined: 12th Mar, 2012  Topic: 27  Post: 146  Age:  27  
Posted on:15th Jul 2012, 7:43am
 

myrizvi uncle plz mere b khwab ki tabeer dede..jazakAllah

WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 46  Post: 2544  Age:  52  
Posted on:15th Jul 2012, 11:24pm
 

samaira

koi kitna bhi acha ho apnay parents ka kitna bhi obidient ho jab woh Allah ka obidient nhn to sab ghalat hai

Allah ka deen kehta hai k lerkay aur lerki k dosty nhn to nhn ab ap koi bhi taweel den ya daleel

aik najaiz kam se fayeda aur nafa nhn ho sakta

buraai buraai hai chahay achi ho ya obidient

samaira Group: Members  Joined: 12th Mar, 2012  Topic: 27  Post: 146  Age:  27  
Posted on:17th Jul 2012, 7:52am
 

WEHSHI

apki baat sahi hai k islam ladhka r ladhki ki dosti ko ijazat nahi deta hai..lekin kisiko pasand karna koi buri baat nahi hai nahi koi ise roksakta hai..lekin han agar kisiko pasand karke haram relationship meh padhna yeh gunaah hai..agar ap kisiko pasand karte ho toh apne parents ko bolo r baat aage badhao toh ismeh kya buri baat hai..agar hum kisiko psnd krte hai toh Allah se use apne liye maan b sakte hai..kisiko pasand karna r usse rishta jodhna koi gunah nahi hai....
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 46  Post: 2544  Age:  52  
Posted on:19th Jul 2012, 7:06am
 

samaira

yeh aap fatwa de rahi hain ya tafseel biyan ker rahi hain

kiun k jis terah ap keh rahi hain k koi gunah nhn is se to lagta hai k yeh ap ki teraf se fatwa hai ???

jab koi lerka kisi lerki ko dekhta hai to us ki facial beauty se ziyadah us ki physical beauty se inspire hota hai

aur mohabat ka aghaz bhi is terah hota hai k koi khubsoorat lagata hai kis se sence main yeh aik alag behas hai

is liyay sirif kisi ko dekh ker pasand ker lena aur gher walon se keh ker rishta ker lena tak to jaiz hai lekin us psand k doran under standing k nam per jitni frankness hoti hai, ya rishta honay k baad mangani se rukhsati tak jo time guzerta hai us doran 90% log kya kertay hain ap us se nawaqif nhn ho

is liyay jab dosty ki koi gunjaish nhn to pasand ki bhi koi gunjaish nhn

rishtay k liyay lerki ki razamandi zaruri hai lekin us ka yeh matlab nhn k lerki lerkay ko milnay milanay ki ijazat de di jai

aj kal jo kuch ho raha hai ap mujh se behter janti hain

humaray lerkay lerkiyan UNGLI PAKRAAO TO BAZOO PAKAR LETAY HAIN

agay aap khud samjhdar hain

samaira Group: Members  Joined: 12th Mar, 2012  Topic: 27  Post: 146  Age:  27  
Posted on:20th Jul 2012, 3:33pm
 

ap shayad meri baat ko ghalat sense meh leliye wehshi uncle

sirif kisi ko dekh ker pasand ker lena aur gher walon se keh ker rishta ker lena...mera b yahi bolrahi thi shayad ap meri baat nahi samjhe..q k is duniya k logo se chupkar toh koi nahi rhskta kahin na kahin kisiper nazar padhjati hai..r kisiko psnd karne ek nazar hi kaafi hai..
WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 56  Post: 3518  Age:  25  
Posted on:21st Jul 2012, 6:30am
 

wehshi

hahahahahha,,,, wese bro apke replies mujhe bohot ache lagte hai khaas tor par sach ziadah hoti ha. iss liye jab bi mai parhta hoo to hasta hoo. lekin mujhe ghalat na samjna... okk
WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 56  Post: 3518  Age:  25  
Posted on:21st Jul 2012, 6:37am
 

samaira

wese appko piyar ka nasha char gaya hai lekin duniya ki bato ko app ghalat maanti hai. even app Islam ki bato ko bi achi tarah se nahe samajna chahti.

apko eek baar bola gya ke Islam mai iss tarah ki piyar or muhabbat ka koi concept hi nahe bass agar kissi ko pasand aye to shadi jald karlo warna bhool jaw lekin gf bf to nahe.

lekin pir bi app ye Islami rule apni taraf sahe karne ki koshish kar rahi hoo.

Islam jab kehta hai ke beghair kissi sahe zaroorat ke Larka larki ko baat karna alllowed nahe hai to pir app kiyo kehti hoo ke wo to mera class mate tha/ ya osse to mai piyar karti hoo etc.

ek baar kissi ko mana kiya jaye to pir kissi bi daleel se wo nahe hota.

or Ramazaan mai khane pene se mana hai to app ye kahogi ke mujhe kissi ne pilaya, ya pir mai bhooki thi.... khane pene se app rok jaw to difinitly app ko bhook lagega.

Dear Islam ko samajna hai chahe app kuch bi karle.

samaira Group: Members  Joined: 12th Mar, 2012  Topic: 27  Post: 146  Age:  27  
Posted on:21st Jul 2012, 11:33pm
 

dekhiye ap mujhper ghalat ilzzam laga rahe hai

maine yeh bilkul nahi kaha hai k kisise pyar karo baat karo milo waghera waghera..lekin ap jo mann meh aya wahi bolrahe hai..maine aisa kab kaha batayie??..maine b pasand ki hi baat ki hai...r classmate kaun tha kiska tha yeh ap kiski baat karrahe ho?? maine gf bf ki baat kab ki hai yeh kya baat karrahe ho ap....agar ap meri baat nahi samjh aarahi hai toh plz uska jawab na de infact ghalat ilzam na lagaye..wehshi ji ap mujhse bht badhe hai mai apki respect karti hun lekin iska matlab yeh nahi hai k ap jo kehna chahte hai woh kisiko b nishana banaker kehde bina baat ko samjhe...ap aisa karenge toh mai nahi ap gunahgar honge...agar yahan kisine meri baat ko samjha hai toh plz wehshi ji ko bhi samjhade..its a request..
samaira Group: Members  Joined: 12th Mar, 2012  Topic: 27  Post: 146  Age:  27  
Posted on:21st Jul 2012, 11:34pm
 

sry itz for wellknown not wehshi uncle...mistaken..!!

WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 56  Post: 3518  Age:  25  
Posted on:21st Jul 2012, 3:17pm
 

Samaira

I think ke app ne mera post sahe tareeqe se samja nahe. Actually mai apko misaal de raha hoo as well as ramzaan ka bi diya. So misaal dene mai exact cheez nahe hoti wo to sirf dosre ko samjane ke liye hota hai.

Lekin app to nahe samaj sakti. Samaj tab jaogi jab phisal jaogi pir parents ki baat maan logi. Ab to nahe

samaira Group: Members  Joined: 12th Mar, 2012  Topic: 27  Post: 146  Age:  27  
Posted on:22nd Jul 2012, 10:39am
 

toh apko chahiye tha k mention kare

yahan per toh sab yahi samjhenge na k ap mujhe kehrahe hai...isiliye mai clear karna chahti thi...
eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 75  Post: 2058  Age:   
Posted on:23rd Jul 2012, 3:11am
 

myrizvi bhai

Aap ne is thread main upar post main bataya hai k istikhara k baad raat main khuwab dekhna aur khuwab main koi ishara dekhna yeh sab kharafat hain.............mane bhi is hawale se suna tha k shayad khuwab main koi ishara milta hai khair ye baat tou clear hogae k raat ko sote main koi ishara nahi milta........

  • ye jo istikhara nikalne wale molvi ya peer waghera hote hain kia in se istikhara nikalwane ka islam main koi concept hai? ya ye istikhara nikalne wale sirf logoun ko bewakoof bana rahe hote hain? TV par bhi kuch programs main dekha hai k log kisi molvi sahib se istikhara nikalwa rahe hote hain.
  • namaz.e.istikhara kisi makhsoos waqt main parhni chahiay ya kisi bhi waqt parhi ja sakti hai?
  • namaz.e.istikhara sirf aik dafa parhni chahiay ya kuch roz tak lagatar parhni chahiay?
  • istikhara karne k baad kia Allah ta'ala ki taraf se dil ko itminan hota hai k ye kaam kia jae ya na kia jae............ya ye sirf Allah se dua hai k woh Aaenda Aane wali zindagi main agar is kaam main koi shar hai tou us se mehfooz rakhe?
For More Detail Click On Page No: 1 2  >>
 
 
 
Pakistani Cricket Team Best Catches  How To Fill Out A Job Application  Anita Dongre Fashion Designer In Dubai
  Prof Arshad Javed Hypnotist and Clinical Psychologist  

 


Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us