Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
 
    Start New Topic  My Profile
 

Khuwab Aur Un Ki Tabeerain

Religion and Culture
 
 
 
samaira Group: Members  Joined: 12th Mar, 2012  Topic: 18  Post: 95  Age:  22  
Posted on:10th Jun 2012, 7:01am
 

Khuwab Aur Un Ki Tabeerain

Assalamalaikum...maine ek khwab dekha hai jismeh meri walida ne roti dala jisper maine ghaur se dekha toh Allah ka naam likha hua tha r phir uske bazu mehi Mohammad(s.a.w) ka naam likha hua tha r mai in naam ko apne walida ko dikha rahi hun k dekho yahan han r uske bazu ek r naam hai mai dono naam bht clearly dekhrahi hun r phir walida ko dikhaneki koshish krrahi hun..iska kya matlab hai plz bataye..mai jab raat ko sone k liye leti toh bht depreesed thi yeh snchker k shayad Allah mujhe napsnd krta hai woh mujhe bhoolgaya hai meri fikar b nahi krraha mai bht akeli padhgayi hun..r ro ro ker sogayi..q k meri lyf meh bht prblms chalrahe hai...



myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 108  Post: 5773  Age:  53  
Posted on:10th Jun 2012, 11:59pm
 

walekum Assalam

go maiN khabouN ki tabeer k ilm say waaqif nahi houN...taaham meri roy yeh hai:

1. aap mukhtalif pareeshaaniyoun ka shikaar haiN... lehaza aap nay Allah say gilay shikway kiyeh k woh (nauzo billah) apki fikar nahi kar raha

2. Allah nay khaab maiN apko apna (Allah) aur apnay nabi hazrat Muhammad saw ka naam dikhla kar yeh naseehat ki hai k ap apnay masaail aur pareeshani k liyeh Allah aur Muhammad saw (Quran n hadees) kaa daaman thaam laiN.

3. agar aap punj waqtah namazi nahi hain to sab say pahlay punj waqtah namaazi banaiN...phir quran aur hadees ko tarjumay k saath (bila tafseer o tashreeh) ... pahlay awwal taa aakhir mokammal karaiN.... g haan quran o hadees ko awwal taa aakhir aik baar, 2 baar, 3 baar aur baar baar read karaiN... apki baseerat maiN izafah hoga insha Allah aur ap apnay masail ko khud solve karne key qaabil hojayengi...

4. quran o mokammal hadees (bukhari /meslim etc) ka koi saa bhi nuskha with translation haasil karkay ossay regular paRhnay ki koshish karaiN... agar koi dastyaab nah ho to issi forum par paighame quran, paighame hadees ka link nazar aarahah hoga...ossay open karkay donoun books read karaiN. insha Allah apki dunya aur aakherat donouN saNwar jayegi

Allah apka haami o naasir ho aameen
samaira Group: Members  Joined: 12th Mar, 2012  Topic: 18  Post: 95  Age:  22  
Posted on:11th Jun 2012, 3:31am
 

shukriya..



hosakta hai apki baat sach ho..mai ithni mayus hogayi thi k mere mann meh aise aise khayalat ane laggaye q k meri zindagi kahin ruksi gayi hai..r agar khwab meh bht saara pani, sherr r silver ya gold jewellery ane ka kya matlab hota hai..
Siyah Posh Group: Members  Joined: 08th Apr, 2012  Topic: 6  Post: 255  Age:  47  
Posted on:11th Jun 2012, 5:16am
 

samaira

insaan Allah ko bhoolta hai Allah kabhi insan ko nhn bhoolta

aisi batain sochna bhi gunaah hai

Allah se shikwa kernay se pehlay yeh soch len k Allah k kitnay feraiz hum ada kertay hain jo allah se gilla kertay hain

apnay ghalat kamon aur feslon ka gila allah se kertay hain

ap k khuab main aisa kuch nhn jis se yeh samjha jai k allah ne ap ko yeh bataya hai k woh ap ko nhn bhoola

balkay is ka yeh matlab lena ziyadah munasib hai k ap yeh yad dilaya gaya hai k kya aap

Allah ko us terah yad kerti hain jis terah Mohammad SAW ne btaya hai

Aik sahabi k baray main riwayat hai k woh gher gai to un ki biwi ne bataya k gher main khanay ko kuch nhn

woh masjid main aai 2 rakaat nafil perhi aur gher gai phir woh jawab mila k kuch nhn hai

isi terah woh 7 bar aai masjid main aur 2 rakaat nafil perhi

jab gher gai to biwi ne btaya k AATAY KI CHAAKI khud chal rahi hai aur aata nikal rah ahai unhin ne chaki ko uthaya k yeh kesay chal rahai hai to woh ruk gai

utni der main bohat ata ikatha ho gaya tah

jab Nabi SAW ki khidmat main hazir huway to Nabi SAW ne muskuray aur fermaya k ager chaki na uthatay to qayamat tak chaki main se aata nikalta rehta

Nabi SAWne poocha ais aky aamal kiya tah sahabi Ra ne fermaya k main 7 bar masjid gaya tha nafil perhnay kiun Aap SAW ne btaya hai k koi bhi hajat ho to 2 rakat nafil perho

poocha kiun 7 bar gai jawab diya is liyay k jab aik bar perh ker gaya to kuch nhn tha hajat puri nhn hui to main ne socha k shayed meri namaz main koi kami ho gi werna Nabi SAw ka kaha ghalat nhn ho sakta

isi liyay 7 bar yehi socha k namaz main hi koi kami ho gi

aaj hum apni namazon aur imaan ko dekh len aur phir Allah se gila kerain

MYRIZVI NE BILKUL SAHI FERMAYA hai

samaira Group: Members  Joined: 12th Mar, 2012  Topic: 18  Post: 95  Age:  22  
Posted on:11th Jun 2012, 10:56am
 

siyah posh


apne jo kissa bayan kiya hai kya yeh aunthentic hai??..r iska matlab yeh hai k unhone 7 baar nafil padha isiliye unki haajat puri hui?...r yeh Allah janta hai k mai kis tarha ki ladhki hun mere amaal kya hai meri niyat woh janta hai...r mai Allah ko kabhi nahi bhoolti alhamdulillah..lekin kabhi kabhi insan ki lyf meh aisa waqt ajata hai k woh himat haar jata hai r shaytan use bhatkane lagjata hai r ghalat khayalat lata hai iska matlab yeh nahi hai k insan hi bura hogaya..r ghalat kaam ya faislesab Allah k haath mehi hote hai usne jo likhdiya hai wahi hota hai..jo Allah ko mazur tha wahi hua r aaga b wahi hoga jo use manzoor hoga..agar ghalti hojaye toh insan srf tauba krskta hai..apne yeh kaise kehdiya k mai ne Allah se shikayat ki hai...aisa waqt mohammad(s.a.w) k saath b aya tha jab woh b isi tarha snchne lage k shayad Allah unhe bhoolgaye hai naraz hai waghera waghera r tak 6mahine baadh surah ad-duha nazil hui thi jisse yeh pata chalgaya tha k Allah ab bhi unki fikar krta hai unko psnd krta hai abhi b woh Allah k nabi hai...
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5345  Age:   
Posted on:11th Jun 2012, 8:23pm
 

mere khwab ki tabeer kia hai?

asslam o alikum.janab maine title name dekha to mera khwab yad aa gya mojhe.jab k kisi ki koi post read nahi ki.acha to mera khwab youn hai k main Jummah namaz se kuch time pehle soi hoi thi aur khwab me buhot hi bari bari size k fruits dekhe aur phir dekha k mera aik buhot khobsurat beta hoa h.to is ki kia tabeer h?
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 108  Post: 5773  Age:  53  
Posted on:12th Jun 2012, 1:40am
 

s4U ka khaab

yeh aik mobarak khaab hai ... lagta ha k apnay apni saabeqah mushkilaat par jo sabr kia tha ab oskay phal khaanay ka waqt aagay hai k sabr k phal meetha hota hai :) Allah mobarak karay ... aik khush.gawar zindagi apki muntazir hai... Allah ka shukar ada akartay rahiyeh insha Allah behtareen ajar milega
Siyah Posh Group: Members  Joined: 08th Apr, 2012  Topic: 6  Post: 255  Age:  47  
Posted on:12th Jun 2012, 4:04am
 

samaira

yeh kissa hai riwayat hai ya hikayat hai

kai aik books main is se bohat ziyadah tafseel k sath manqool hai

ap kesi hain kya hain yeh behas nhn hai yahan asal bat yeh hai k Allah insaan ki niyat ko dekhta hai aur etqaad ko ager insaan ka etqaad hi na ho apni DUA per to Allah se kesay shikwa keray ga aur kiun

Allah ne insaan ko limited ikhtiyar bhi diya hai

insaan apni moat, zindagi , aur kuch feslon k baray majboor hai lekin baqi feslay insan k hi hotay hain ager result sahi ho to kehta hai k main ne yeh soch ker fesla kiya

aur ager ghalat ho jai result to kehta hai k Allah ne aisay hi likha tha

Allama IQbal ka sher hai k

HANSI AATI HAI MUJHAY HAZRAT E INSAAN PER

GUNAH KERTA HAI KHUD AURLAANAT BHEJTA HAI SHETAN PER

isi terah hum ghalat feslon ko yeh kehtay hain k Allah ne aisay hi likha tha lekin ager sochain k aisay hi likha tha to phir humain kisi bhi juram ki saza kiun bhugatni perti hai duniya main ????

Siyah Posh Group: Members  Joined: 08th Apr, 2012  Topic: 6  Post: 255  Age:  47  
Posted on:12th Jun 2012, 4:10am
 

s4u

masha Allah mubarak ho

myrizvi ki tabeer k baad kehnay ko kuch nhn ilawa dua k

samaira Group: Members  Joined: 12th Mar, 2012  Topic: 18  Post: 95  Age:  22  
Posted on:12th Jun 2012, 7:58am
 

siyah posh


apne theek kaha insan har cheez ka zimedar hota hai but yeh baat b sahi hai k sabkuch Allah ne pehlesehi likhdiya hai jisko kismat kehte hai agar apko kismat pehi yakeen na ho toh phir yeh b ghalat baat hai..insan khud gunah krta hai but Allah ko pehlese malum hai k woh aisa karega..insan bht se sahi ghalat faisle leta hai lekin wohi faisla anjam tak pahunchta hai jo Allah neuske liye likhdiya..mujheek baat smjh nahi ayi k apne yeh kaise kehdiya k mainekoi ghalat faisla leliya maine toh kuch aise mention nahi kiya hai meri zindagi meh halat kuch aise hogaye hai kuch kaam nahi banre toh ismeh mera faisla kya hai ap batiye
samaira Group: Members  Joined: 12th Mar, 2012  Topic: 18  Post: 95  Age:  22  
Posted on:12th Jun 2012, 8:02am
 

khwab meh phool

plz mujhe bataye k khwab meh bht saare phool har kism ke r plants dekhna kya yeh acha khwab hai ya bura??
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5345  Age:   
Posted on:12th Jun 2012, 9:27am
 

jazak Allah

Alhamdulillah mojhe waqi phal mil r.inshallah ab mojhe meri sari khoi hoi khoshiyaan milein gi.ab dua hai k meri khoshiyun ko kisi ki buri nazar na lage warna ab ki bar main toot jaon gi...:(
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 108  Post: 5773  Age:  53  
Posted on:14th Jun 2012, 2:44am
 

s4u

Allah apko sada khush rakhay. hamesha shubh shubh bola karaiN...aur mouNh say kabhi bhi bad.faal nah nikalaa karaiN ... aisaa kahnaa bhi manaa hai :)
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 108  Post: 5773  Age:  53  
Posted on:14th Jun 2012, 2:49am
 

samaira

phool pauday aur haryaali khooshi aur nematouN k symbol haiN. yeh bhi aik acha khaab hai. Allah apko khush rakhay

aik baat yaad rakhiyeh k amoomi taur par insaan ki zindagi ka INHISAAR khaaboun par nahi hai... bilkhasoos kisis mosalmaan ko khaaboun par bahoot zeyadah ghaur o fikar nahi karna chaahiyeh... khaab maiN achi aur normal cheezain nazar aayaiN to shokar adaa kijyeh...lekin agar naa.gawaar, khaufnaak aur naa.pasandeedah baataiN /cheezain nazar aayaiN to Allah say panaah maangaiN aur kabhi aisay 'boray' khaab kissi say share nah karaiN.

quran o hadees ko meanings k saath paRhaiN ...islami halaal o haraam aur faraiz ki pabandi karaiN aur Allah say duaa karti rahaiN. insha Allah dunyaa aur aakherat achi guzregi
samaira Group: Members  Joined: 12th Mar, 2012  Topic: 18  Post: 95  Age:  22  
Posted on:15th Jun 2012, 2:38pm
 

myrizvi ji


bht bht shuriya Allah apki tabeer sach krde ameen...mai darasal isiliye khwabo per ithna ghaur o fikar krti hun q k mere khwab aksar sahi hojate hai isiliye jab koi bura khwab ho toh bht pareshan hojati hun lekin share nahi krti r jab mujhe laga k mera khwab bura nahi hai toh uski tabeer dhoondne ki koshish krti hun...
samaira Group: Members  Joined: 12th Mar, 2012  Topic: 18  Post: 95  Age:  22  
Posted on:15th Jun 2012, 2:45pm
 

......

kya yahan khwabo ki tabeer k liye topics nahi hai??..jaise har cheez k uper discussions hote hai articles hote hai mujhe lagta hai k khwabo ki tabeer k liye b ek topic banani chahiye


waise myrizvi ji ek r khwab k tabeer batade toh meherbani hogi...

yeh khwab kuch din pehle mujhe aya hai agar acha ho toh tabeer dede lekin agar apko lagta hai k bura ho toh plz kuch na de....khwab kuch is tarha tha k maine dekha k mere baal joki bohot lamhe hai asal meh woh bilkul chote hogaye hai kisne kaata yeh maine nahi dekha lekin chote hogaye r mai thodhasa pareshan ho gayi k meri walida dekhker kahin daant na de r uthnemehi meri walida aker mujse baat karrahi hai lekin unhone kuch ghaur nahi kiya r chaligayi lekin mai fikar karrahi hun k baal toh chote hogaye lekin malum nahi phirse uthni lambai kab ayegi...phir mai ek lawn meh jati hun wahan bht saare plants rakhe hote hai jinko mai thodha thoda kaat rahi hun sabmehse...r phir mai jaaggayi neend se...
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 108  Post: 5773  Age:  53  
Posted on:16th Jun 2012, 12:53am
 

samaira

Assalamo Alaikum,

1. yeh forum basically sex related medical forum hai. aur yahaaN experts bhi issi shobay k zeyadah haiN

2. logouN ki farmaish par islamic related sections open kiyeh gaye k baaz sex related issues ka islam say bhi link banta hai k yahaaN aanay walay zeyadah tar member muslim hotay haiN

3. yahaan khabouN ki tabeer jaisa koi section maujood nahi hai aur nah hi yahaan koi khabouN ki taabeer kaa maahir hai... waisay bhi islami shariyat ka daaromadaar khabouN aur oski tabeer par nahi balkay quran aur sahih ahaadees  ki taaleemaat par hai. hamaiN apni zindagi quran aur hadees ki taleem k motaabiq guzaarne ki koshish karni chahiyeh

4. lekin chouNkay chouNkay apko aksar khaab sachay nazar aatay haiN ... lehaza apka apnay khabouN k hawalay say tajassus maiN paRna bhi aik fitri see baat hai... maiN pahlay hi kah chokaa houn k mujhay khabouN ki tabeer ka ilm nahi aataa... tahaam apkay khabouN ka kuch nah kuch matlab batlaanay ki koshish kartaa houN.

insaani zindagi nashaeb o faraaz, dukh sukh aur khushi ghami, nuqsaan, nafaa etc etc say ebaarat hai. insaan ko kami / nuqsaan par bahoot zeyadah afsos nahi karnaa chaahiyeh balkay issay nazar andaaz karkay aagay baRhtay rahna chaahiyeh... yeh bhi nahi sochna chaahiyeh k meray nuqsaan /naa.kaami etc par doosray kia kahengay... kiyouNgay agar aap khud apnay kisii kami /aib /nuqsaan par sharmindah honeki bajaa.ay confidently yeh socahIn k yeh meraa maamlah hai aur mujhay iss say koi 'maslah' nahi to doosray kuch bhi nahi kahengay /sochengay... bus apni naakmaiyoun, kamiyoun, khamiyoun par kabhi khud ko dosh nah daiN , sharmindah nah houN

jaisa k ap apnay khaba maiN apnay lambay baalouN (khoobi,) kay kaT kar chotay honay (kami, khami) par khud hi khud pareeshaan theeN... halaaNkay jab apki waledah apkay pas aayeeN to onhouN nay iska koi notice hi nahi lia... yahaaN apki walidah dunyaa waloun ki symbol haiN, aur apkay katay howay baal apki aik choTi see kami, nakaami hai aur apka pareeshaan honaa aur walidah ka notice nah lena yeh zaahir karta hai k ... aisay personal issues par khaah ma khaah pareeshaan nah howaa karaiN...hosakta hai k iss khaab ka  yehi message ho, jo apkay naam aalamay baalaa say bhejaa gayaa ho :).
wallaho aalam bissawaab




Raja Taqi Group: Members  Joined: 17th Sep, 2010  Topic: 29  Post: 1925  Age:  46  
Posted on:16th Jun 2012, 10:52am
 

myrizvi.ji

A.A kesy hein ....aap ne tu yahan kafi ronaq laga rukki he aap ne S4u k khwab ki mokamal tabeer nahi byan farmayi ...chalein mein bi aaj khawab dekh ker qal aap se tabeer pochon ga..
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 108  Post: 5773  Age:  53  
Posted on:16th Jun 2012, 11:22pm
 

welcome back raja Bhai

Walekum Assalam Wa Rahmatullah Wa Barkaatahu!
Allah ka shukar haiN, ham sab yahaaN khariyat say haiN aur ap sab ki khariyat naik chaahtay haiN. ap jaldi say koi acha saa khaab dekh kar hamaiN batlayaiN takay ham iski koi achi see taabeer batlaa sakaiN....

Note: ham pesh kardah khaab ki sirf musbat tabeer batlaya kartay haiN... off-the-record info k hawalay say koi manfi tabeer batlana "hamaray peshay" k khilaaf hai lol agar ham nay aisaa karna shooroo kardia to phir kaun hamaray Deray pay aayega :)
Raja Taqi Group: Members  Joined: 17th Sep, 2010  Topic: 29  Post: 1925  Age:  46  
Posted on:17th Jun 2012, 12:36am
 

hahahahaha

yehni khawab hamary aur tabeer aap ki.....acha aaj mein ne khawab mein dekha k Bawaqoof Bheria Town Goom rahy thay iss ki kya tabeer ho gi..



1 2  >>
 
 
 
Erectile Dysfuncion
ED causes
Male Menopause
Male Menopause – Myth About Male Menopause
Health Advice From China
Male Sexual Health Advice From China
Food For Male Libido
Male Libido - Foods to Increase Male Libido Naturally

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.

© Copyright 2003-2017 www.forum.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us