Recipe Of Namkeen Gosht Recipe of Namkeen Gosht (Salted Beef)
Namkeen Gosht aik aisi dish hay jo road side hotels aur restaurants mein boht zyada pasand ki jati hay. Ye boht simple aur asan dish hay.
Ingredients 1- Beef = ˝ kg 2 – Sirka ( Vinegar) = 1 bottle ( Note: Sirka/ vinegar sirf angori ya brown wala istemal krna hay. Safaid/White bil kul use nai krna warna taste nahi aay ga) 3- Lehson ( Garlic)= 6-8 pieces 4- Adrak ( Ginger) = 1 piece ( about 1 inch ka) 5- Dahi ( Yougurt) = 250 gram 6- Namak ( Salt) = Hasb.e zrorat Method Pehlay gosht ( Beef) ko achi tarah dho k saf kr lein phr is ko chotay chotay pieces mein kat lein. Phr is gosht ko sirka ( Vinegar) mei dip kr k 2 ghantay fridge mein rakh dein. Ab 2 ghantay baad lehsen aur adrak ( Garlic and Ginger) ka paste bna k dahi mein mix kr lein. Hasb.e zaiqa namak bhi dal dein. Ab goshet ko sirka se nikal kr us pe achi tarah yeah mixture laga dein aur again15-20 min rakh dein. Ab aik pan garam kr k iss goshet ko us mein bhoon lein jb tk k dahi aur goshet ka pani khushk na ho jay. Khayal rahay k oil/ghee bilkul bhi nahi use krna. Jb goshet gal jay aur pani khushk ho to “ Namkeen Gosht” tayar hay. Hara dhania aur adrak se garnish krein and serve with nan or tandoori roti. I hope ap logon ko yeh simple dish zroor pasand aay gi. |