Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

  Hiv Test
Early Hiv Symptoms
Chest Muscle
Exercises to Build Chest Muscle Fast
Get Rid of Man Boobs
How to Get Rid of Man Boobs - 7 Easy Ways to Lose Man Boobs
Food For Testosterone
Food to Improve Testosterone Levels in Men
 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
 
    Start New Topic  My Profile
 

Four Daughters of Prophet Muhammad SAW

Religion and Culture
 
 
 
Batman1 Group: Members  Joined: 25th Nov, 2011  Topic: 3  Post: 322  Age:  26  
Posted on:22nd Mar 2012, 12:54pm
 

wehshi

result to nikla hua hy mery diya huay reference sy.. isi liay mufti sahab shia ka mokaf rakh kr baat nahi kr sakty kiun k woh janty hen k phir betion ko maan na paray ga .. filhaal woh nutral ho kr aitrazaat k jawab lena chah rahy hen
Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 597  Age:  38  
Posted on:23rd Mar 2012, 3:01am
 

Batman1

Aap bohat hi jald-baaz hain,aap chahtay hain k bas aap post karein aur aap ka mukhalif bina choon charan k aap ki post per ser tasleem e kham ker de lakin yeh sirf sochon ki hud tak hi lagta hai,iss ka haqeeqat se taluq nahi hota...

Aap ne 4 betion ki baat ki mein ne uss per koi inkar ya iqrar nahi kiya kiun k mera topic mukhtalif tha...mein to yeh poch raha hon k aakhir kiya wajah thi k baaki 3 betion se Allah,Rasool Allah aur aap k aima itni na-insafi kertay rahay lakin aap jawab denay k bajaye sirf daway hi ker rahay hain,aap ka yeh dawa tab kuch wazan rakhta jab mein yeh kehta k nahi 1 hi beti thi...

Aap ne Quran se baat ki mein ne Quran se aap ko kuch aur ilm diya k iss se 4 betian sabit nahi hotein kiun k Quran mein jamah ka sigha wahid k liye bhi use hua hai...

Ab mein sawal kuch aur ker raha hon aur aap jawab kuch aur de rahay hain...sath mein mujhay iss baat ka yaqeen bhi dilatay thay k mein aik hi post mein sab jawab de doon ga lakin abhi tak waisa bhi nahi hua...

Nahi pata aap ko kiya cheez jawab denay se roak rahi hai.

Kher aap idhar udhar ki baatein chorein balkeh meray sawal ka jawab dein jo mein ne sawal kiya tha.

Batman1 Group: Members  Joined: 25th Nov, 2011  Topic: 3  Post: 322  Age:  26  
Posted on:23rd Mar 2012, 11:07pm
 

Mufti

itni juldi kis bat ki hy apko?? apki train chut rahi hy kia.??? mujy jitna time milta hy men jawab bna raha hun or dy dun ga .. or mery jawab deny ya na deny sy is topic sy kia taluk?? aap is mokaf ki filhaal baat mat kren aapny khud tasleem kia hy k aap ka topic mukhtalif hy to mery jawab deny ya na deny sy is topic k mokaf men kia fark pray ga? or chun charan krny ki jaga hi nahi bachi tabhi to topic pr baat hi nahi ki aapny .. meny apko abhi tak koi jawab hi nahi dia to kuch or jawab dena kahan sy aa gya?

or aap agar time pass krna chah rhy hen to yeh lain is halky sy jawab sy apna dil behla lain us waqt tak..

Allah ney koi na insafi nahi ki.. Allah ny Quran men na to 3 betion ko kafiron ko deny ka hukam dia or na hi Fatima ra ko hazrat Ali ra ko deny ka hukam dia. agar dia hy to ayat paish kren ...

Rasool Allah saw ny koi na insafi nahi ki.. hr kaam k pichy ek maslihat hoti hy or is kaam k pichy bhi koi maslihat hy k Fatima ra ki fazeelat bian ki or baki 3 betion ki nahi ki..

Ulamah to tab hadeesain lety ya baab bnaty jub rasool Allah saw inki fazeelat men kuch irshaad farmana unko milta .. unhen jo riwayat milil woh darj kr din.. Fatima ra ki riwayat mili lakin baki betiion ki nahi mili to apni taraf sy likhty ..


yeh to tha mera jawab ab us time tak inka jawab dey kr apny aapko busy rakhen k

Allah ny kiun na insafi ki?? mear jawab mat copy krna.. Quran sy na insafi ya insaaf krna dikha dain

NAbi saw ney kiun yeh sari na insafi ki ????

Shia ulamah ney kiun itni na insafi ki ????

Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 597  Age:  38  
Posted on:23rd Mar 2012, 11:21pm
 

Batman1

Aap to aik hi post mein sab kuch tabah kernay walay thay ab aisa kiya hua k aap se jawab bun hi nahi paa raha...

Kher acha laga k aap ne meri iss baat ko samjha aur iqrar kiya k baaki 3 betion se na-insafi hui...

Kher ab mein aap k uss jawab ka wait karon ga jis ko bunanay mein itna time lag raha hai.

Batman1 Group: Members  Joined: 25th Nov, 2011  Topic: 3  Post: 322  Age:  26  
Posted on:23rd Mar 2012, 11:24pm
 

Mufti

janaab meny kia abaad kia kia barbaad kia iski fikar mat kren aap.. meny to jawab dy dia k mery aqeeday men na Allah ny nainsafi ki na Nabi saw ny na insafi ki na ulama ny na insafi ki ... yeh aitraaz aapny kia tha to ab aapko sabit krna hy k Allah ny na insafi kiun ki ?? nabi sae ny na insafi kiun ki?? shia ulamah ny na insafi kiun ki??? aapni taraf sy mera mokaf mat likhen meny to yeh behoda ilzaam mana hi nahi k in sy na insafi hui
Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 597  Age:  38  
Posted on:23rd Mar 2012, 12:57pm
 

Batman1

Itni se baat k liye aap ne itnay din laga diye meray bhai :P

Yehi baat aap pehli post mein bhi keh saktay thay lakin aap to dawa kertay rahay k mein 1 hi post mein tabahi macha doon ga,ab kiya hua aap ko k jawab denay se hi qaasir ho gaye ??

Aray meray bhai jab aap k paas topic per baat kernay k liye kuch bhi nahi tha to topic start kernay ki ghalti hi kiun ki ??

Aap ne kiya samjha k aap ki bachon wali post se her member impress ho ker aap ko shabash de ga ??

Kher ab yeh to aap ne kafi hud tak samajh liya k aap k aqaid mein baaki 3 betion se na-insafi hui...

Lakin ab aap yeh chahtay hain k apnay galay ka haar nikal ker meray galay mein daal dein :P

Lakin meray bhai aap mujh se yeh sawal to tab kertay jab mein aisi baaton ko manta,yeh baatein yeh aqeeda to aap ki books mein mojood hai meray bhai aur aap ki books ko aap ne defend kerna hai na k mein ne...

Koshish karein kiun k aap to taboot mein aakhri keelein thoknay walay banay huay thay phir ab kiya hua ??

Batman1 Group: Members  Joined: 25th Nov, 2011  Topic: 3  Post: 322  Age:  26  
Posted on:23rd Mar 2012, 5:05pm
 

Mufti

Itni se baat k liye aap ne itnay din laga diye meray bhai :P

Yehi baat aap pehli post mein bhi keh saktay thay lakin aap to dawa kertay rahay k mein 1 hi post mein tabahi macha doon ga,ab kiya hua aap ko k jawab denay se hi qaasir ho gaye ??

Aray meray bhai jab aap k paas topic per baat kernay k liye kuch bhi nahi tha to topic start kernay ki ghalti hi kiun ki ??

Reply

ab achy rahy hen aap?? agar thora sa sabar kr lety to shayad men yeh jawab na deta or aapki kuch din or wah wah hojati k meny topic start kia or bhag gya .. lakin aapko bari juldi thi na .. or aap chah rhay thy k men agar betion ko manu ga to Allah ki rasool ki or ulamah ki na insafi mani pary gi ya un betion ka inkaar kr k is ilzaam sy bachun ga to topic galat sabit ho jay ga.. lakin mery bhae lazmi thori hy k jo aap zehan men soch kr bethy hon men woh hi jawab dun.. ab sorataihaal yeh hui k meny betion ka inkaar bhi nahi kia or yeh bhi bta dia k ksi ny na insafi nahi ki :P

or meny bhi kaha tha k mey halka sa jawab dy rha hun.. ab dekhty hy k yeh itni si baat ap kesy hazam krty hen ..

************************************************************

Kher ab yeh to aap ne kafi hud tak samajh liya k aap k aqaid mein baaki 3 betion se na-insafi hui...

Reply:
:P isay kehty hen khasyani billi khamba nochy.. janab lazmi thori hy jo aapny soch rakha ho woh hi men jawab dun.. ab aesa nahi hua to aap apni marzi sy kuch bhi sochty rahyen k mey kitni had tak kia samjah hun or yeh bhi bta den k jin shia alim ny 4 betion ko mana hy to woh kitni had tak is baat ko maan gaye k 3 betion se na-insafi hui ????

********************************************

Lakin ab aap yeh chahtay hain k apnay galay ka haar nikal ker meray galay mein daal dein :P

nahi janab yeh galay ka haar nahi hy yeh phanda hy jo aapny bari mehnat sy bnaya tha or meny aapky galay daal dia .. ab yeh aapny jitni mahnat sy bnaya tha usay utni hi mehnat sy utarana paray ga .

*************************************************

Lakin meray bhai aap mujh se yeh sawal to tab kertay jab mein aisi baaton ko manta,yeh baatein yeh aqeeda to aap ki books mein mojood hai meray bhai aur aap ki books ko aap ne defend kerna hai na k mein ne...

Reply:

yeh to apko pahly dekhna chahiay tha k yeh batain sirf haamri kitabon men hi hen ya aapki kitabon men bhi hen.. aab aapny josh men aa kr yeh condition to bna li k betion ka ikraar kia to Allah or Nabi saw or ulamah ki nainsafi ka ilzaam lagay ga warna to inkaar kr dia jaye lakin aapny apni kio kitaab nahi dekhi . meny to apni position apko bta di ab aapki bari hy k ab aap kesy bachatay hen apny ulamah ko is ilzaam sy or Allah or rasool saw pr kuch sy lagay huay ilzaam ko kesy defend krty hen ..

yeh baat to aap us waqt krty huay achay lagty jub men apni books sy koi hawala deta lakin meny uper saray k saray hawalay aapki book sy diay hen .. kia yeh sari ki sari kitaben aapki nahi hen??? mujhy umeed hy k aap iska judli sy jawab den gen meri tarhan dair nahi kren gen ...
Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 597  Age:  38  
Posted on:24th Mar 2012, 3:58am
 

Batman1

Iss topic per bhi aap mujhay idhar udhar bhagtay nazar aa rahay hain aur aap ne meri aik baat ka bhi jawab nahi diya...

Aap meri woh post perhein jo iss topic ki 2nd post hai uss mein main ne Rasool Allah saww ki baaki 3 betion se na-insafi sabit ki hai aur aap ne uss waqt dawa bhi kiya tha k mein aik hi post mein sab kuch tehas nehas ker doon ga,ab aap khud dekh lein k kitni posts guzar chuki hain magar aap ne koi jawab dhang se diya hi nahi...

Iss ko mein kiya samjhon..aap ki kam-ilmi ya aap ka topic se farar hona ??

Meray bhai etiraz bohat simple hai bas aap k tawajoh se perhnay ki zaroorat hai...

Agar aap 4 betian mantay hain to phir jo na-insafion ka mein ne zikr kiya aap ko majboorun unn ko bhi maanana paray ga...

Kher yeh baat to tab samnay aaye gi jab aap koi jawab dein ge :P

Chalein aik dafa phir try ker k dekh lein lakin jawab denay se pehlay meri 2nd post ko zaroor ghoar se perhiye ga k mein ne kiya etirazat uthaye hain aap k aqeeda se....

Batman1 Group: Members  Joined: 25th Nov, 2011  Topic: 3  Post: 322  Age:  26  
Posted on:24th Mar 2012, 6:42am
 

Mufti

Aap meri woh post perhein jo iss topic ki 2nd post hai uss mein main ne Rasool Allah saww ki baaki 3 betion se na-insafi sabit ki hai aur aap ne uss waqt dawa bhi kiya tha k mein aik hi post mein sab kuch tehas nehas ker doon ga,ab aap khud dekh lein k kitni posts guzar chuki hain magar aap ne koi jawab dhang se diya hi nahi...

Reply:

Astagfirullah.. mery bhae Allah or nabi SAW pr yeh bohtaan lagana intahae darjy ki toheen or gustakhi hy or aap baar baar laga rahy hen or chah rhy hen k men bhi aapka yeh bad aqeedah man lun k Allah ny or Aap SAW ney na insafi ki hy.. mery bhae aap apna thora ilm barhaen Allah or usky rasool say zaida kon insaaf pasand hy. mey apko chtoi si misaal deta hun jis sy shayad aap apna yeh gustakhana mokaf chor den.. ek aadmi agar Zina krta hy or Allah usay saza day or woh yeh kahay k meny to insaan hun men to Allah ki marzi k bina ek kadam bhi nahi chal sakta to meny Zina Allah ki marzi k khilaaf kesy kr lia.. Allah k hukam k khilaaf to koi bhi kaam nahi ho sakta to phir Allah mujhy saza dy kr na insafi kr rha hy.... to janab aesa nahi hota us insaan ka sochny ka zavia galat hy warna Allah na insafi nahi krta .

Ek shaks Rasool Allah saw ki majlis men betha tha or kuch baant ny ki baat ho rahi thi or woh pith phair kr yeh kehta hua chala gya k Allah k rassol saw aap insaaf sy kaam nahi lay rahy... mujhy bhi is time aap us shaks ki tarhan hi confuse nazar aa rahy hen jo apni aqal ki bunyaad pr yeh ilzaam lga rahay hen.. us shaks ny apni aqal ki bunaad pr bilkul galat socha or aap bhi aesa hi kr rahy hen... umeed hy apko samajh aa gae hogi k




Agar aap 4 betian mantay hain to phir jo na-insafion ka mein ne zikr kiya aap ko majboorun unn ko bhi maanana paray ga...

yeh hi aap chah rhay thy lakin meny kaha na k lazmi nahi hy jo aap soch rahy hon wesa hi ho.. agar koi Allah ko har cheez pr Qadir manay ga to kia majburan usay bhi yeh man na paray ga k har acha bura kaam Allah krta hy to banda kiun kasurwaar hoga...

meny aapsy dubara puchta hun k agar koi shia 4 betian manay to kia aapky mutabik woh bhi un na insafi ko manay ga?? aapny iska jawab gol kr dia kiun k aapky dil men chor hy ..

Batman1 Group: Members  Joined: 25th Nov, 2011  Topic: 3  Post: 322  Age:  26  
Posted on:24th Mar 2012, 6:49am
 

Mufti

Chalein aik dafa phir try ker k dekh lein lakin jawab denay se pehlay meri 2nd post ko zaroor ghoar se perhiye ga k mein ne kiya etirazat uthaye hain aap k aqeeda se....

yeh ho to aapny galti ki hy janaab.. yeh aitrazzat jo aapny uthay hen yeh sirf hamary aqeday sy nahi hen aapky aqeeday sy bhi hen.. aapny jin tareekhon ka hawala dia woh dhono taraf ki kitabon men mojud hy.. aapny jo hadeeson ka hawala dia woh bhi dono taraf ki books men hy.. or 4 betian bhi dono taraf ki books men hen ab meny to apni side clear kr di aab apka kaam baki hy. jis insaan ko apni books ka hi nahi pta hota us sy jazbaat men aa kr aesi hi galtian ho jati hen mery bhae... or dilchasp baat yeh hy k jin books sy aapny hawalay diay un men 4 betion k bhi hawalay mojud hen .. jin hadeeson ka aapny zikar kia un hadees ki books men baki 3 betion ka bhi zikar hy .. lakin aapny apni man pasand cheez to lay li or baki chezon sy inkaar krna chaht hen to janab aesa nahi hota k apni pasand ki chez ly li or apny khilaf janay wali cheez ka inkaar kr dia... or woh bhi us time jub dono ki books men mojud ho.. umeed hy apko apni galti ki samajh aa gae hogi
Batman1 Group: Members  Joined: 25th Nov, 2011  Topic: 3  Post: 322  Age:  26  
Posted on:24th Mar 2012, 7:42am
 

Ayaat pr aitrazaat ka jawab

meny baki chezain to cover kr di hen lakin ayaat ka jawab nahi dia to yeh to wakae aapka jaiz haq hy k men unka bhi jawab dun.. aapny takreeban 5 aitraazat kiay hen men 1 by 1 jawab deta hun..



1)
. Ab agar aap Quran perhein to Allah ne apnay liye bhi jamah ka lafz use kiya hai to kiya hum uss ko bhi maan lein ge ??

Reply:

yeh baat woh shaks kahy ga jisy arabi ki door door tak maluaat nahi hy.. arabi kia urdu or dusri zubano ka bhi
kuch nahi pta..

pardy wali ayat men beti ki jama betian use hua hy or aapny kaha k Allah ny apny liay bhi jama ka siga use kia to beti ki jamaa to betian hota hy or Allah ki Jamaa kia hota hy???? kabhi suni hy Allah ki jama?? God ki jmaa jesy GodS ho sakta hy lakin Allah ki jama kia hota hy?? or Allah ny pury Quran men apny liay Allah ki jamaa use hi nahi kia.. Allah ny apny liay jo lafz use kia hy woh hy 'Hum' or yeh word is liay nahi use kia k Allah ek sy ziada hen balky Allah ny izat-o-azmat k liay yeh lafz use kra hy. or jis insaan ko urdu hi aati hogi usko bhi itni akal hy k word hum ek insaan k liay bhi use hota hy izat barhany k liay . yeh baat to bohot aam hy or word beti Noun hy jub k word hum pronoun hy .. or noun ki jub bhi jamaa use hoti hy to woh tadaad k liay use
hoti hy....
************************************************************

2) Dosra aap Surah Munafiqoon ki pehli verses to uss ki tafseer mein aap perhein to pata chalay ga k yeh ayaat sirf abdullah bin abi salool k liye nazil huin lakin ayaat mein jamah k alfaz huay hain...

Reply:

suray munafiqun sirf Abdullah ibn ubay ki munafakt pr nazil nahi hui thi balky us time jitny bhi munafiq thy un sub k liay nazil hui thi. yeh baat apko kisny kahi k sirf woh hi ek munafik tha ?? jis wakay pr suray munafikoon nazil hui thi usi men yeh baat likhi hui hy k woh apny sathion ko kehta tha k ansaar pr kharch mat karo yeh khud hi tang aa kr bhag jaen gen or hm izat walay in logon ko madinay sy nikaal den gen.. jis pr rasool saw ny usko or usky sathion
ko bulaya or kasam khany ka kaha to un sub ny jhuti kasam kha li

is liay is ayat men bhi jamma ka sigha use hua kiun k munafik to bohot sy thy koi ek nahi tha... umeed hy apka yeh aitraaz bhi hal ho gya hy ..
**********************************************************

3) Aur dosri baat yeh k kuch ayaat mein hukam e aam hota hai aur kuch hukam e khaas hota hai...

Aap ne jo perda wali ayat quote ki woh hukam e aam hai na k hukam e khaas,ab aap ayat ko hi ghoar se perh lein...


اے پیغمبر اپنی بیویوں اور بیٹیوں اور مسلمانوں کی عورتوں سے کہہ دو کہ (باہر نکلا کریں تو) اپنے (مونہوں) پر چادر لٹکا (کر گھونگھٹ نکال) لیا

ab yahan per 3 auraton ki baat hui hai,Rasool Allah saww ki biwion ki,Rasool Allah saww ki betion ki aur musalman
ki auraton ki...

Reply:

han kuch ayat men hukam aam hoty hen or kuch men khaas hoty hen. or kuch ayat men khaas logon k liay aam hukam hota hy .
magar aapny shayad aayat gor sy nahi parhi is men Nabi ki bewion ko jub mukhatib kia to hukam khaas tha zahir hy k nabi ki biwion ko khaas tor pr highlite kia gya.. phir nabi ki betion ka bhi khaas hukam tha jub nabi ki bewion ko bhi hukam dy dia jo ek nahi thin bal k ek sy zaida thin is liay jama ka word use hya phir nabhi ki betion ko hukam hua jo ek nahi thin ek sy ziada thin.. ab baki kon bacha.. aam aurten bachen to un k liay hukam aam tha is liay aaj tak ki aurton pr chal rha hy ............

*************************************************************
4) Ab aik mein sawal kerta hoon k aik khatoon hain jo k musalman huin,unn k na walid musalman huay aur na hi bhai aur
na hi shohar to kiya uss khatoon per perda lazim hai iss ayat k mutabiq ya nahi ??

Kiun k woh khatoon na hi Rasool Allah saww ki biwion ki category mein aati hain,na hi Rasool Allah saww ki betion
ki category mein aati hain aur na hi musalmanon ki auraton ki category mein...

Ab aap mujhay bata dein k iss ayat k hawalay se unn aurat per perda ka kiya hukam hai ??

Reply :

aap pardy pr ek nahi 100 sawaal kren lakin yahan nahi
is baat ka nabhi ki betion ki tadaad sy kia taluk??? yeh aap apny ksi mufti sy puchen ja kr mujh sy kiun puch rahy hen.. ya alag sy thread bna kr wahan sawal kren .....

************************************************************

5). Dosri baat ayat e mubahilla hai jis mein Allah ne jamah ka lafz istemal kiya lakin mubahilla per aik hi khatoon
gaein...aisa kiun ??

Kiya Rasool Allah saww ko nahi ilm tha k jamah ka lafz hai ya unhon ne hukam ka inkar kiya Naozbillah ??

Ab aap kahein ge k unn ki baaki betian wafaat paa chuki thein lakin yeh baat to hai k unn k damaad zaroor zinda
thay to jab Ali a.s ja saktay thay phir baaki damaad kiun na gaye ??

Reply:

ji han betion ki wafaat ho chuki thi.. ab baat aati hy damaad ki to or bakion ko bhi Ali ra ki tarhan damaadi ka sharf hasil hua . or damaad ka rishta kis waja sy banta hy?? zahir hy beti sy hi banta hy.. lakin jub beti hi zinda nahi rahi to uska shohar phir damaad ki hasiat sy kesy is cheez men shamil ho ga??? or damaad bhi woh jo hashmi nahi thy to unko ly jana to bilkul bhi nahi banta tha.. jub k Ali ra chun k us time damaad thy or hashmi bhi thy or Rasool saw sy damaad k ilawa rishta bhi tha to unko hi ly kr gay....
Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 597  Age:  38  
Posted on:24th Mar 2012, 9:40am
 

Batman1

pardy wali ayat men beti ki jama betian use hua hy or aapny kaha k Allah ny apny liay bhi jama ka siga use kia to beti ki jamaa to betian hota hy or Allah ki Jamaa kia hota hy???? kabhi suni hy Allah ki jama?? God ki jmaa jesy GodS ho sakta hy lakin Allah ki jama kia hota hy?? or Allah ny pury Quran men apny liay Allah ki jamaa use hi nahi kia.. Allah ny apny liay jo lafz use kia hy woh hy 'Hum' or yeh word is liay nahi use kia k Allah ek sy ziada hen balky Allah ny izat-o-azmat k liay yeh lafz use kra hy. or jis insaan ko urdu hi aati hogi usko bhi itni akal hy k word hum ek insaan k liay bhi use hota hy izat barhany k liay . yeh baat to bohot aam hy or word beti Noun hy jub k word hum pronoun hy .. or noun ki jub bhi jamaa use hoti hy to woh tadaad k liay use

Aray janab bas khatam ho gaye aap ki ilmi qabiliat :P ??

Janab aap ne grammer ki baat ki thi ab grammer se bhaag kiun rahay hain ??

Allah ne Quran mein kahan fermaya hai k mein ne HUM apnay ahteram k liye istemal kiya ??

Aap ne grammer ko bunyaad bunaya tha issi liye ab grammer k hawalay se hi jawab dein,ab jin ayaat mein Allah ne apnay liye jama ka sigha istemal nahi kiya to kiya wahan Allah apna ahteram nahi ker raha tha ??

suray munafiqun sirf Abdullah ibn ubay ki munafakt pr nazil nahi hui thi balky us time jitny bhi munafiq thy un sub k liay nazil hui thi. yeh baat apko kisny kahi k sirf woh hi ek munafik tha ?? jis wakay pr suray munafikoon nazil hui thi usi men yeh baat likhi hui hy k woh apny sathion ko kehta tha k ansaar pr kharch mat karo yeh khud hi tang aa kr bhag jaen gen or hm izat walay in logon ko madinay sy nikaal den gen.. jis pr rasool saw ny usko or usky sathion
ko bulaya or kasam khany ka kaha to un sub ny jhuti kasam kha li 

is liay is ayat men bhi jamma ka sigha use hua kiun k munafik to bohot sy thy koi ek nahi tha... umeed hy apka yeh aitraaz bhi hal ho gya hy ..

Aap ne inn ayaat ka shaan e nazool bhi perha hai ya khud se fatwa de rahay hain ??

shaan e nazool perh ker jawab dein meray bhai.

aap pardy pr ek nahi 100 sawaal kren lakin yahan nahi 
is baat ka nabhi ki betion ki tadaad sy kia taluk??? yeh aap apny ksi mufti sy puchen ja kr mujh sy kiun puch rahy hen.. ya alag sy thread bna kr wahan sawal kren .....


Meray bhai aap ne 3 & 4 alag sawal ker diye jab k woh aik hi sawal tha umeed kerta hoon k aap uss ko alag nahi karein ge...

Ab yahan per mera asal sawalt ha jis ka aap jawab de nahi paye...iss ka taluq iss liye hai k issi baat se sabit hota hai k yeh hukam e aam hai kiun k agar hukam e khaas hota to phir jo misaal mein ne di hai uss per perda wajib nahi hota ayat k mutabiq...

Aap samjhay meri baat ??

Ab meri baat ka jawab dein yeh perda ka topic nahi hai yeh mein ne misaal di hai yeh sabit kernay k liye k yeh hukam e aam hai na k hukam e khaas...

ji han betion ki wafaat ho chuki thi.. ab baat aati hy damaad ki to or bakion ko bhi Ali ra ki tarhan damaadi ka sharf hasil hua . or damaad ka rishta kis waja sy banta hy?? zahir hy beti sy hi banta hy.. lakin jub beti hi zinda nahi rahi to uska shohar phir damaad ki hasiat sy kesy is cheez men shamil ho ga??? or damaad bhi woh jo hashmi nahi thy to unko ly jana to bilkul bhi nahi banta tha.. jub k Ali ra chun k us time damaad thy or hashmi bhi thy or Rasool saw sy damaad k ilawa rishta bhi tha to unko hi ly kr gay....

Janab yeh bahana to mein ne aap ka pehlay hi bata diya tha phir aap ko yeh bahana bunanay ki kiya zaroorat thi ??

Kher mera sawal ab shuru hota hai k kiya Allah ko ilm nahi tha k Rasool Allah saww ki 3 betian wafat paa chuki hain phir unn ko le janay ka hukam kiun diya ??

Aur agar 3 betian wafat paa chuki thein to yahan to nisaa ka lafz aaya hai kiya Rasool Allah saww ki azwaaj nisaa nahi thein jo unhain sath nahi le gaye ya aap k aqeeda k mutabiq woh bhi sab wafaat paa chuki thein :P

Kher aap ne aadhi post ka jawab diya aur jis baat ka mein baar baar poch raha tha ussay jawab denay ki jurrat nahi ki aap ne...

Iss se agay mein ne aap se unn na-insafion ka zikr kiya hai jo baaki 3 betion k sath ki gaein lakin pata nahi aap k paas unn baaton ka jawab kiun nahi hai ??

Kher mein umeed karon ga k aap next post mein unn baaton ka jawab bhi dein ge aur mera time mazeed zaya nahi karein ge idhar udhar ki baatein ker k.

Batman1 Group: Members  Joined: 25th Nov, 2011  Topic: 3  Post: 322  Age:  26  
Posted on:24th Mar 2012, 11:31pm
 

Mufti

Meray bhai aap ne 3 & 4 alag sawal ker diye jab k woh aik hi sawal tha umeed kerta hoon k aap uss ko alag nahi karein ge...

Ab yahan per mera asal sawalt ha jis ka aap jawab de nahi paye...iss ka taluq iss liye hai k issi baat se sabit hota hai k yeh hukam e aam hai kiun k agar hukam e khaas hota to phir jo misaal mein ne di hai uss per perda wajib nahi hota ayat k mutabiq...

Aap samjhay meri baat ??

Ab meri baat ka jawab dein yeh perda ka topic nahi hai yeh mein ne misaal di hai yeh sabit kernay k liye k yeh hukam e aam hai na k hukam e khaas...


Reply

hukmay khas ya hukmay aam sy betion ka kia taluk?? agar apko algta hy k yeh isi topic sy related hy or khaas daleel hy to theek hy men iska bhi jawab dun ga .. lakin pahly yeh sawal clear kren mujhy samajh nahi aae.. hukam aam kis k liay tha???
Batman1 Group: Members  Joined: 25th Nov, 2011  Topic: 3  Post: 322  Age:  26  
Posted on:24th Mar 2012, 11:53pm
 

Mufti

Aray janab bas khatam ho gaye aap ki ilmi qabiliat :P ??

Janab aap ne grammer ki baat ki thi ab grammer se bhaag kiun rahay hain ??

reply

apko meri kis baat sy laga k men bhag rha hun?? men grammar sy hi baat krun ga or apko bhi nahi bhagny dun ga :P

**************************************************

Allah ne Quran mein kahan fermaya hai k mein ne HUM apnay ahteram k liye istemal kiya ??

reply

is sawal sy apki mentality ka andaza ho rha hy ... mey ek chota sa sawal krta hun is k jawab k liay... jawab zarur dena... Arabic language Quran nazil hony sy pahly hi thi ya Quran nazil hony k sath aae???

***************************************************

Aap ne grammer ko bunyaad bunaya tha issi liye ab grammer k hawalay se hi jawab dein,ab jin ayaat mein Allah ne apnay liye jama ka sigha istemal nahi kiya to kiya wahan Allah apna ahteram nahi ker raha tha ??

Reply

hawala den un ayaat ka jahan Allah ny hum ki jga wahid sigha use kra ho

********************************************

Aap ne inn ayaat ka shaan e nazool bhi perha hai ya khud se fatwa de rahay hain ??

shaan e nazool perh ker jawab dein meray bhai.

Reply:

men mufti nahi hun jo fatway dun.. yeh lain aap bhi aankhen khol kr parh len bukhari ka hawala :P

http://picturepush.com/public/7875707

**************************************************

Kher mera sawal ab shuru hota hai k kiya Allah ko ilm nahi tha k Rasool Allah saww ki 3 betian wafat paa chuki hain phir unn ko le janay ka hukam kiun diya ??

Reply

haha akal sy khali hy kia upar wali manzil??? Betion ko ley janay ka hukam konsi ayat men hua hy???? . nisa ka matlab aurat hota hy beti nahi... lakin yeh hi baat ulta aapky galay parti hy k Allah ko pta nahi tha k rasool Allah saw k betay (Sons) wafaat pa chuky hen to beton ko ley janay ka hukam kun dia???

**************************************************************

Aur agar 3 betian wafat paa chuki thein to yahan to nisaa ka lafz aaya hai kiya Rasool Allah saww ki azwaaj nisaa nahi thein jo unhain sath nahi le gaye ya aap k aqeeda k mutabiq woh bhi sab wafaat paa chuki thein :P

Reply

bbbhahahahahahah .. bus itni hi kabialt hy?? 3 betion pr to yeh aitraaz tha na k woh aap SAW ki betian nahi thi or tareekh men dandi mar kr dali gain thin is liay unhy woh lekar nahi gay.. magar aapny kaha k azwaaj ko kiun nahi ley kr gay.. to is sy kia sabit hua?? k woh koi azwaaj thin hi nahi tareekh men dandi mar kr dali gain thin unka wajud hi nahi tha :P himat hy azyaaj ka inkaar krny ki?? yah woh bhi sirf ek hazrat Khadija ra thin baki 11 thin hi nai???

***********************************************************

Kher aap ne aadhi post ka jawab diya aur jis baat ka mein baar baar poch raha tha ussay jawab denay ki jurrat nahi ki aap ne...

Iss se agay mein ne aap se unn na-insafion ka zikr kiya hai jo baaki 3 betion k sath ki gaein lakin pata nahi aap k paas unn baaton ka jawab kiun nahi hai ??

Kher mein umeed karon ga k aap next post mein unn baaton ka jawab bhi dein ge aur mera time mazeed zaya nahi karein ge idhar udhar ki baatein ker k.

Reply:

mujhy mery sawalon k jawab nazar nahi aa rahy?? jin men yeh khaas tor pr tha k jo shia Alim 4 betian maanty hen unhon ny ikraar kr liay k Allah or rsool SAW ny na insafi ki thi??? umeed hy jawab dyen gen :P





Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 597  Age:  38  
Posted on:25th Mar 2012, 3:53am
 

Batman1

hukmay khas ya hukmay aam sy betion ka kia taluk?? agar apko algta hy k yeh isi topic sy related hy or khaas daleel hy to theek hy men iska bhi jawab dun ga .. lakin pahly yeh sawal clear kren mujhy samajh nahi aae.. hukam aam kis k liay tha???

Janab yehi to masla hai k aap meri post perhtay to hain lakin samajhnay ki koshish hi nahi kertay...

Aap ne kaha k yeh ayat e khaas hain kiun k aap k mutabiq iss mein Allah ne Rasool Allah saww ki biwion,betion aur musalmanon ki auraton ki auraton ko perda kernay ka hukam diya...

Ab yahan kiun k betion k liye jamah ka sigha hai to aap ne issay ayat e khaas samjha...

Ab mera sawal yeh tha k agar aik aurat musalman hoti hai uss ka shohar bhi nahi hai na hi koi aulad aur na hi uss ka bhai ya walid musalman hotay hain,to agar yeh ayat e khaas hai yeni sirf Rasool Allah saww ki biwion,betion aur musalmanon ki auraton k liye to kiya uss aurat per perday ka hukam ho ga ya nahi kiun k uss aurat k liye ayat mein koi hukam nahi bunta agar hukam e khaas samjha jaye...

Kiun k na woh Rasool Allah saww ki biwion ki category mein aati hai aur na hi betion mein aur na hi musalmanon ki auraton meink iun k uss ka koi mard musalman hi nahi hua abhi tak...

Ab aap samjhay meri baat ko ya nahi ??

Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 597  Age:  38  
Posted on:25th Mar 2012, 4:00am
 

Batman1

haha akal sy khali hy kia upar wali manzil??? Betion ko ley janay ka hukam konsi ayat men hua hy???? . nisa ka matlab aurat hota hy beti nahi... lakin yeh hi baat ulta aapky galay parti hy k Allah ko pta nahi tha k rasool Allah saw k betay (Sons) wafaat pa chuky hen to beton ko ley janay ka hukam kun dia???

Yaar aap ko waqai samajh nahi aa rahi ya bholay bunanay ka drama ker rahay hain ??

Kiya betian auratein nahi thein ??

Kiya biwian auratein nahi thein ??

Agar thein to Rasool Allah saww sath kiun nahi le ker gaye ??

Jab k Allah ne jamah ka sigha bayyan kiya hai Quran mein phir whid kiun gaein ??

Ab aap topic change kernay ki koshish ker rahay hain jis ki mein ijazat nahi don ga...

Ab jahan tak baat hai Imam Hassan a.s aur Imam Hussain a.s ki to Rasool Allah saww ne khud fermaya k yeh meray betay hain...

bbbhahahahahahah .. bus itni hi kabialt hy?? 3 betion pr to yeh aitraaz tha na k woh aap SAW ki betian nahi thi or tareekh men dandi mar kr dali gain thin is liay unhy woh lekar nahi gay.. magar aapny kaha k azwaaj ko kiun nahi ley kr gay.. to is sy kia sabit hua?? k woh koi azwaaj thin hi nahi tareekh men dandi mar kr dali gain thin unka wajud hi nahi tha :P himat hy azyaaj ka inkaar krny ki?? yah woh bhi sirf ek hazrat Khadija ra thin baki 11 thin hi nai???

Azwaaj Ahle Bait a.s mein shamil nahi hotein meray bhai sirf woh wife shamil hoti hai jis se nasal chalay...na k woh jo baanjh hon ya jis se nasal hi na chalay...

Aap k baaki sawal iss qabil nahi hain k unn ka jawab diya jaye kiun k ab aap hir se topic change kernay ki koshish ker rahay hain,iss liye mein phir se aap se apnay sawal pochon ga ta k aap ko topic per wapas laya ja sakay.

Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 597  Age:  38  
Posted on:25th Mar 2012, 4:13am
 

Batman1

Agar aap meri above posts k jawab nahi bhi dein ge to mujhay etiraz nahi ho ga kiun k aap topic se hutatay ja rahay hain...

Ab yahan per mein phir se apnay sawal repeat kerta hoon jin k aap jawab dijiye ga...

Mein ne aap se pocha k yeh hukam e khaas hai ya hukam e aam,aap ne kaha k yeh hukam e khaas hai aur aap ne betion k lafz se 4 betian sabit kernay ki koshish ki,jis per mein ne aap ko aik aurat ki misaal di jo musalman hoti hai aur aap se pocha k uss k liye phir iss ayat mein perda ka hukam kahan se hua magar aap ne jawab denay ki zehmat nahi ki...

Uss k baad mein ne aap se pocha k Makkah mein dekh lein ya Madina mein jab bhi Rasool Allah saww ko takleef pohnchi hum ne perha k Bibi Zehra a.s madad ko pohnchein lakin kahin bhi baaki 3 betion ka zikr nahi hai k woh bhi uss museebat mein apnay walid k paas pohnchi hon...

Issi terha unn 3 betion ko to kafiron ko de diya magar Bibi Zehra a.s k liye uss shaksiat ka intekhab kiya jinhon ne kabhi shirk na kiya tha...

Unn ko 4 azfal khuwateen mein shamil kiya magar baaki 3 betion ka zikr bhi na kiya...

Bibi a.s ko jannat ki sardar kaha magar baakion k liye 5 marla ka jannat mein ghar ka bhi nahi bataya...

Allah ne bhi Bibi a.s aur unn ki family ko Rasool Allah saww k Ahle Bait a.s kaha aur unn se rijs ko doar fermaya lakin baaki 3 betion ka zikr bhi nahi kiya...

baaki 3 betion ki kafiron k sath shaadi ker di magar Allah khamosh raha lakin Bibi Zehra a.s k liye Allah ne hukam diya k Ali a.s se rishta karo...

Uss k ilawa bhi mein ne bohat se waqiyat ka zikr kiya aap meri start ki post perh lijiye ga...

Uss k baad aap k ulma ne bhi na-insafi ki...

Sahih bukhari mein kafi khawateen k naam se alag fazeelat ka topic hai jis mein unn ki shaan mein ahadees zikr ki gaye hain magar unn 3 betion k baray mein koi baab nahi bunaya gaya...

Imam humbal ne apni masnad mein aisi khuwateen se bhi baab bunaye jin ka naam bhi nahi maloom tha unhain magar Rasool Allah saww ki unn 3 betion ka koi zikr nahi kiya...

Sahih bukhari,sunan abu daud aur musnad imam humbal mein Bibi Fatima a.s k naam k sath balkeh unn k shohar aur unn ki aulad k naamon k sath a.s likha magar baaki 3 betion ka agar kahin zikr bhi kiya to r.a likha..

Ab sab waqiyat aap k samnay hain...mein ne aap se pehlay bhi pocha tha magar aap topic ko idhar udhar le ja ker jaan bachatay rahay hain...iss liye mujhay baar baar apnay sawal repeat kernay per rahay hain...ab aap bataein k agar Rasool Allah saww ki 4 betian thein to fazeelat aur mohabbat aik hi beti k sath kiun thi baaki betion ko itna ignore kiun kiya gaya ??

Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 597  Age:  38  
Posted on:25th Mar 2012, 4:39am
 

Batman1

Aur jahan tak baat hai surah Munafiqoon ki to jo aap ne page upload kiya hai uss se bhi sabit hai k woh ayaat abdullah bin abi salool hi ki wajah se nazil huin na k aur dosron ki wajah se...

Aap ne kiun k hadith ki book se quote kiya iss liye uss mein yeh nahi bataya gaya k yeh ayaat kis ki wajah se nazil huin,iss k liye aap ko tafaseer ki books perhni chahein aur hadith aur tafseer ki books mein jo farq hai woh bhi aap ko samajhna chahiye kher mein aap ko tafseer ki book se dikhata hoon k woh ayaat kis ki wajah se nazil huin...

http://s289.photobucket.com/albums/ll223/mufti-e-azam/?action=view¤t=IbneKaseer28of30_0073.jpg

http://s289.photobucket.com/albums/ll223/mufti-e-azam/?action=view¤t=IbneKaseer28of30_0073.jpg#!oZZ2QQcurrentZZhttp%3A%2F%2Fs289.photobucket.com%2Falbums%2Fll223%2Fmufti-e-azam%2F%3Faction%3Dview%26current%3DIbneKaseer28of30_0074.jpg

Umeed hai aap ko yeh perh ker tasali ho gaye ho gi k yeh ayaat sirf aik shaks abdullah bin abi salool hi ki wajah se nazil huin lakin ayat mein jamah ka sigha hai...

Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 597  Age:  38  
Posted on:25th Mar 2012, 12:52pm
 

Batman1

hawala den un ayaat ka jahan Allah ny hum ki jga wahid sigha use kra ho

Janab ab yeh bhi mein ne batana hai aap ko ??

Aap mujhay batao k kiya aap yahan channay bechanay aaye hain jo her kaam k liye mujhay hi kehtay hain ??

Kher yeh ayat ka scan page mein ne yahan quote ker diya hai,aap khud dekh lein.

http://qurango.com/images/q/p0532.gif

1>>
 
 
 
Erectile Dysfuncion
ED causes
Male Menopause
Male Menopause – Myth About Male Menopause
Health Advice From China
Male Sexual Health Advice From China
Food For Male Libido
Male Libido - Foods to Increase Male Libido Naturally

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.

© Copyright 2003-2017 www.forum.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us