Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

True Dreams In Islam: Khwabon Ki tabeer In Islam

Religion and Culture   >>  Religious Questions
 
 
 
mehbooba Group: Members  Joined: 09th Nov, 2009  Topic: 4  Post: 16  Age:  22  
Posted on:2nd Feb 2010, 7:26pm
 

True Dreams In Islam: Khwabon Ki tabeer In Islam

Salam to all members, mein ap sab se ek sawal pochna chahti hon k meine aksar suna hai k jo khwab fajar k waqt dekha jaye wo sach hota hai i mean real mein b waisa hi hoga, kia ye sach hai ya nai plz khwabon ki tabeer in islam point of view se batayen or sab members reply kare



myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 110  Post: 6355  Age:  53  
Posted on:2nd Feb 2010, 10:15pm
 

khwabon ki tabeer in islam

such ho bhi sakta hai, nahi bhi... lehaza kabhi bhi khaabouN ko such samajh kar koi peshgi action nahi lena chaahiyeh aur nah hi yeh samajhna chaahiyeh k fajir k waqt dekhay janay walay khaab suchay hi hotay haiN.

go k aik aisa such.cha khaab main nay bhi dekha thaa... (subah k waqt hi dekhay gaye aik khaab maiN) hamari aik qareebi rishtah daar khatoon hamaray ghar aayeeN aur onhaiN yeh info dee k falaaN shakhs (jo onka dewar tha) ka inteqaal hogayaa hai...... issi dauraan ghar ki bell baji jiss say hamari aankh kholi... gate kholaa to saamnay marhoom ka chota bhai khaRa tha. jiss nay apnay bhai ki death ki ittelaa di.

lekin yeh exceptions hai..... subah k waqt main nay ab tak nah jaanay ketnay khaab dekhay hongay jo kabhi such saabit nahi howay.

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:3rd Feb 2010, 8:03am
 

myrizvi bhai: khwabon ki tabeer in islamic point of view

kahin aap ne subha k waqt doosri shadi k khuab tou nahi dekhtay jo abhi tak such nahi huwa :))

mehbooba agreed to myrizvi bhai zaroori nahi k subha k waqt dekha janay wala har khuab hi such ho . balkay khuab kisi se share bhi nahi karna chahiyen .

paroot Group: Members  Joined: 23rd Nov, 2008  Topic: 66  Post: 1660  Age:   
Posted on:3rd Feb 2010, 12:03pm
 

Sister

khuwab sach ho bhi sakte hai nahi bhi enn ke different types hai...
kuch zehene khayalaat ka asaar bhi hota hai jes hum khuwab ke soorat mein dekhta hai kuch sheetan ke taraf se hote hai aur kuch ache hote hai...

Raat k akhree peher mein jo khuwab dekha jata hai wo amooman poora hota hai...
Yeh dua karee k agar wo app k haq mein behter ho tu sach ho...
sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 99  Post: 4638  Age:  36  
Posted on:3rd Feb 2010, 12:18pm
 

khwaab Ki Tabeer

 khwab me jo dekha jaye ,zaroori nahi hai bilkul hubahoo waisa hi ho...

 har khwab ki ek tabeer hoti hai.aur mamooli se change se khwab ki tabeer me changes ati hai.

kuch khwab sache hote hain,kuch khwab shaitani kehlate hain ,kuch khwab Allah ki taraf se ek ishare ke taur pe bhi ate hain..lekin har khwab ki ek alehda tabeer hai..aur agar bura khwab aye to ap next day sadka nikal diya karain.

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3215  Age:  35  
Posted on:3rd Feb 2010, 12:52pm
 

Khuwaab Ka Taluq

  1. dreams ka aik taluq insan k la'sha'oor sy hoota hey ba'az auqaat insaan jo baat ziyada sochta hey ya jis baat ki ziyada fikar krta hey wo baat insaan k samney khuwaab ban kr aa jati hey...
  2. dreams ka doosra taluq insan ki rooh sy hoota hey 
hum rooh ko doo hisoon main taqseem krtey hain 
  • makani rooh
  • selani rooh
makani rooh woo hooti hey jo insan k andar hooti hey aur jis ki waja sy insan zinda hoota hey 

selaani rooh ussy kehtey hain jo khuwab k andar safar krti hey..jaisey kehtey hain na k main ny aaj khud ko khuwaab main amreeka main daikha hey...uss waqt insaan ki makani rooh insan k jism k andar rehtey howey insan k sath uss k bister per soo rehi hooti hy ..aur seelani rooh khuwaab k zriye safar kr rehi hooti hey...aur ba'az auqaat yeh b hoota hy k insaan ny kisi baat ko socha b na hoo aur koi baat uss k la'sha'oor main majood b na hoo laiken khuwaab main insan ko wo baat nazar ajaye to aysy khuwaab hamaisha ta'beer rakhtey hain chahey ulat ta'beer ya seedhi ta'beer aur chahey unn ki ta'beer dair sy ya jald zahir hoo laiken hooti zaroor hey aur aysey khuwaboon k liye waqt ki b koi pabandi nhi hooti chahey khuwaab raat k kisi b pehar main ya phir din k kisi b pehar main sootey howey daikha geya hoo aur aysy khuwaab aksar sach hi hootey hain

laiken jin khuwaaboon ka taluq insan k la'sha'oor sy hoota hey unn ki tabeer ya to ulat hooti hy ya phir hooti hi nhi hey maslan koi shahas din phar aik dookaan per sale man ka kaam karta hey aur raat ko khud ko khuwaab main uss dookaan ka malik daikhta hey to iss ka matlab hy k khuwaab daikhney waley insaan k la'sha'oor k kisi na kisi khaney main yeh baat pewast hey ya wo chahita hey k kaash main kisi aysi kism ki aik dookaan ka malik hoota ..chahey iss kism ki khuwahish ka izhar kabi b uss insaan ny khuley aam ya jagti ankhoon sy kisi b shahas k samney na kiya hoo...aysy khuwaab sirf aur sirf insan k la'sha'oor k andr dabi khuwahish ya taman'na ko zahir krtey hain..lehaza aysy khuwaboon ki tabeer ya to hooti hi nhi hy yaa phir yak'sar ulat hooti hey....yani yeh khuwaab sach nhi hotye

taham aik rawaeyet k mutabiq yeh b hey k 14hdween aur 15darween hijree sadi k darmiyaan ummat ko aney waley khuwab aksar-o-beshter schey hoon gy...aur unn khuwaboon ki ta'beer zroor miley gi..

walla ho ilam bis-swab  
 



mehbooba Group: Members  Joined: 09th Nov, 2009  Topic: 4  Post: 16  Age:  22  
Posted on:3rd Feb 2010, 3:27pm
 

Khwabon Ki Tabeer In Islam

thks to all k ap ne muje reply kia, meine apne khwab ki tabeer pochni thi k jo mera fiance hai mein jab b usko khwab mein dekha meine kabi b uska chehra ni dekha laikin uski awaz suni hai or 2 din pehle meine khwab dekha fajar k waqt or meine apne fiance ka chehra dekha or us se bat b ki, is ki kia tabeer ho sakti hai plz agr kisi ko kuch pata ho to batayega waiting 4 ur reply
lmran.janu Group: Members  Joined: 01st Feb, 2010  Topic: 2  Post: 29  Age:  25  
Posted on:3rd Feb 2010, 5:20pm
 

Khwab in Islam

Es Sawal K Hawaly Say Main Yeh Kehna Chahoonga K Ager Kisi Ko Acha Khowaab

Aya Tu ( Allah ) Ka Shukriya Ada Kary Or Ager Bura Khowaab Aya Tu Maafi Maang

Lay Becoz Yeh Haqeeqat Kab Such Ho Jaya Kisi Ko Kuch Nahe Pata.......
anaa Group: Members  Joined: 23rd Mar, 2011  Topic: 2  Post: 133  Age:  22  
Posted on:23rd Mar 2011, 2:00pm
 

alisha

salam me ye pochna chahte hun k mene aik khawab dekha hai .mene suna hai k ammoman jo khawab subha fajar k waqt dekha jaye wo sacha hotta hai .jabkay mene jo khawab dekha hai wo mje bht acha laga hai aur men bht happy hun is khawab se bt mene ye khawab subah takreban 9 se 11 bajje k beech dekha hai .kia koi mje help kare ga k either ye khawab pura hoga ya nae.aur me ye bhi batana chahte hun jo khawab mene dekha hai me us k baaray me sochte hon bt jo khawab me nazar aaya hai mene kbhi wo nae socha tha

imdadalvi Group: Members  Joined: 26th Sep, 2009  Topic: 0  Post: 3  Age:  26  
Posted on:28th Mar 2012, 1:01am
 

Khwabon ki tabeer urdu main

Khwabon ki tabeer k baary main aap ko es link se kaafi information mile ge
khwab kisi se bayan karna chahiye ya nahin aor kis se bayaan karna chahiye
Khwabonkitabeer.com
alon.bird Group: Members  Joined: 05th Sep, 2010  Topic: 4  Post: 79  Age:  22  
Posted on:28th Mar 2012, 3:34am
 

Koi Yusuf nhi iss shehr mein, taabeer jo day

Khaab aatay hain zulaikha ko musalsal kya kya . . .
gr8aamer Group: Members  Joined: 19th Oct, 2012  Topic: 0  Post: 3  Age:  34  
Posted on:19th Oct 2012, 10:57pm
 

Chori

Assalaam-o-Alaikum,

Mein ek khawab ki tabeer janana chahta hon. mujay khawab yeh aya hay k white color ki aurat meri khawab mein aati hay aur kehti hay k mein nay thoray dino mein tmhray ghar chori karni hay agar tum nay na karnay di to tum meray sath zana karo. mein nay us khawab mein apni ammi jaan ko be dekha tha aur shayed aur logon ko be. mein zana par amada nhi ho rha tha kiyon k meray pass meri ammi thee aur shayed meri wife be. ab mujay nhi pata k mein nay us ko yeh kaha tha k tum chori kar lo mein zana nhi kar sakta ya phir mein zana par razi ho gaya tha.lakin wo gori aurat thori see moti thee....phir is khawab k baad mein nay apnay bharay bhai sey b jhagra kiya aur mein wapis pardes aa gaya.aur apni wife ko kaha k tum baad mein khud he aa jana mein ja rha hon.lakin mein jab pardes wapis aa jata hon to mein bara pereshan ho jata hon aur kehta hon k mujay wapis nhi aana chahiye tha kiyon k mujay ab doabara ticket k liye paisay laganay paren gay wapis janay k liye...( yeh bharay bhai sey laraii wala khawab pata nhi mujay yeh pehla aya tha ya chori wala pehlay aya tha)...please mujay is khawab ki tabeer bata dayen.aamer

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3215  Age:  35  
Posted on:20th Oct 2012, 2:06am
 

tabeer

gr8aamer sahib khuwab ki tabeer lainy sy pehly ap yeh btaien k aap haqeeqat main kahan rehty hain means dais main ya pardais main ?
gr8aamer Group: Members  Joined: 19th Oct, 2012  Topic: 0  Post: 3  Age:  34  
Posted on:20th Oct 2012, 8:17am
 

Chori

mein pardes mein rehta hon.aamer
gr8aamer Group: Members  Joined: 19th Oct, 2012  Topic: 0  Post: 3  Age:  34  
Posted on:22nd Oct 2012, 5:55pm
 

Chori

I am still waiting for your answer. I am the only member of my family who live in abroad. I am living here with my wife and a child.

Waiting for your prompt and positive reply.

Regards,

Aamer

huda shah Group: Members  Joined: 19th Aug, 2012  Topic: 9  Post: 289  Age:  26  
Posted on:26th Oct 2012, 4:57pm
 

dreams in islam

Assalamualikum…

Dreams ka jo islamic books ma zikar hai ya jahan tak meri kam ilmi ma hai ...ma khuch youn batana chati hun k… KHAWAB wese two types hain k..

1. Achay khawab ..

2. Bure khawab..

Lekin Ap saww ne donu he khawab biyan krne se mana fermaya hai…. Hadis k mafhoom k mutabiq…

Or agr koi bura khawab dekha jaye jo hukam hai k… jab b ankh khule or 3 bar ye ayat لا حول ولاقوة إلا بالله") phar kar left side pa thok dya jaye tou Allah pak us bure khawab ka asar zayal ferma dyta hai..or ye kha jay ya Allah is khawab k asar ko zayal ferma….

In kahwabo k age subtypes b han..mjhe exact name yad neh arhe..but..ik hai khawab-e -himmat…

Dreams YE kiye trhan k hoty hain jo ka sucahy consider neh kye jaty hain…jahan tak mane phara or suna hai wo ..ye hain…

1.Jo ap kisi preshan thkan or over eat krk dekhen..

2.Ya phir koi cheez zehan ma rhan wo dekhen maslan..kisi ko kisi kaam ka showk hai or whe ap sara time sochty rhe us cheez k bare ma phi or whe cheez khawab ma dekh len..suchi neh hoti..

3.Or ye k. ya koi din bhar aapne jo khuch kya whe dream ma nazar ajye..ye b…

· Isk ealwa..dreams ka timings k bare ma aya hai k…. Or islamically or psychologically b..insan apne neend ma ye sab khawab dekhta hai… ..jese

· consciousness

· Sub consciousness

· And unconsciousness

No doubt islam ki her bat suchi hai..or inhe time ma khawab dekhne ki tabeer b different he hain…

For example.. jahan tak mane suna or phara hai …

v agr ap 11 or 12 ya isse phele koi khawab dekhen tou iski tabeer within 1 year tak pori ho skti hai..

v Tahjud k time ..means 2 or 3 baje dekhen tou..within 5 or 6 months tak.

v or fajar k wakt dekhen tou within 10 days pore hone ka zikar hai..

khawab ka zikar sirf unhe se kiya jaye jo k ilm rkhty hun iska …na k her kisi se ..or barish k wakt khawab kisi ko b na sunaya jaye…

thanks..

regards,

huda shah

analysis Group: Members  Joined: 21st Oct, 2012  Topic: 1  Post: 21  Age:  23  
Posted on:27th Oct 2012, 11:18pm
 

huda shah

intni mehnat papers me ki hai kabhi??
huda shah Group: Members  Joined: 19th Aug, 2012  Topic: 9  Post: 289  Age:  26  
Posted on:27th Oct 2012, 12:47pm
 

mr.analysis

ye tou khuch b neh,isse kehen zada..mehnat kar chuki hun.Alhamdulillah....wese ye mehnat neh hai..bht thori c knowledge thi jo share kar di..bas..i like to do work with headings...specially in articles..i like to write it like dat....
1
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012