tuba Ahmad |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2010 Topic: 23 Post: 165 Age:
27
|
|
Posted on:5th Dec 2011, 12:01am |
|
|
Four Talaq Given In Anger: What Islam Says?
agar koi ourat gusse mein apne shohar talaq mangti hai aur shohar tlak de de who b 3 bar nahi 4 bar bole tb kya talaq manai jaygi.
If a woman in anger asked his husband that she want talaq and his husband says that he is giving her talaq talaq talaq and talaq means 4 times. What Islam says about these talaq given in anger. |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 109 Post: 6174 Age:
53
|
|
Posted on:5th Dec 2011, 1:24am |
|
|
Talaq In Anger and Islam
g bilkul maani jayegi shauher khud say bhi talaaq de sakta hai...aur biwi k maangnay par bhi de sakta hai... agar kissi husband nay 4 baar talaaq sedi to 3 talaaq to valid hogayee aur chauhi talaaq fazool shomaar hogi. teen talaq k baaq yeh donouN hamesha k liyeh juda ho jayengay aur inki dobarah shadi bhi ho sakti, aik doosray se... ab yeh donouN alag alag apnay liyeh life partener DhoonDaiN (wallaho aalam bissawab)
|
ralexed123 |
Group: Members Joined: 07th Nov, 2011 Topic: 3 Post: 252 Age:
29
|
|
Posted on:5th Dec 2011, 2:04am |
|
|
Talak (Divorce or Khula)
Aksar log talak k baray men jb sawal poochte hen to kehte hen k Talak ghussay men de hay / ya lee hay ... Talak to esi cheez hay to ghussay men hee de jati hay.... khushi men to koi Talak nahe deta/leta na... kia kabhe koi husband khushi men aa k apni begum se kahay.... Begum aaj men tum se boht khush aur isi khushi men aaj men tumhen Talak deta hun.
myrizvi relaxed. haa haa bahoot khoob. well said n explained
|
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4192 Age:
37
|
|
Posted on:5th Dec 2011, 4:39am |
|
|
Talaq in ager nahi huyee
ghossa aik normal zehni kaifiat nahi hai. shadeed ghossa mai insaan apne hosh o hawas kho baithta hai. yahi wajah hai keh woh ghossa ki halat mai ghalat faisla kerna shuru ker deta hai. jo keh normal halat mai aane ke baad woh realise kerta hai.
lehaza jab insaan ghossa mai hosh o hawas kho baithay, zehni kaifiat normal na ho tu os waqt kia gaya koi bhi qadam/faisla qabil-e-qabool aur qabil-e-amal nahi hota.
talaq aik bahot bara faisla hai. yeh koi mazaq nahi. jis ke liye insaan ka hosh o hawas mai hona aur os ke zehni kafiat ka normal hona zaroori hai. agar talaq detey waqt koi shakhs hosh o hawas mai na ho aur os ki zehni kaifiat normal na ho tu os waqt os ka koi bhi elan aur faisla qabil-e-qabool nahi
Talaq ka elan aur faisla tab hi qabool hona chahiye jab woh shakhs apne ahbab se tafseelat ke saath mashwara karay keh woh apni bivi ko kio talaq dena chahta hai. aur jab woh apne qareebi logo ke mashwara ke baad iss baat per muttafiq ho jaaye keh os ka talaq ka faisla sahi hai tu phir woh baqaida step by step talaq day.
oopar khatoon ne talaq ka jo tareeqa bayan kya hai woh nafsiati nuqta nazar se talaq nahi huyee. ghussa mai aik aurat ne kaha keh mujhe abhi talaq do aur shohar ne ghussa mai teen ke bajaye char talaq de di. nafsiati nuqta nazar se yeh talaq nahi balke Jhagra Larayee Ka Dialogue hai.
yeh bilkul osi tarah ka Dialogu hai jis tarah log jhagra mai aik doosre ki maa bahan ke liye fahash kalmat ada ker rahe hote hai. jhagra mai kisi ki maa bahan ke liye fahash kalamat ka real sex se koi taluq nahi hota. lehaza jhagra larayee ke darmia hone wale dialoge ki bunyad per real Talaq nahi ho sakta.
nafsiat nuqta nazar se mia bivi ki iss tarah larayee se Talaq nahi hoti. dono mai abhi bhi mia bivi ka rishta hai. kisi bhi halala ki zaroorat nahi.
albatta dono mia bivi ko mashwara hai keh ainda aik doosre se jhagra kertey waqt kam az kam in baato ka zaroor khayal rakhain keh on ki zuban se kia alfaz nikal rahe hai. kio keh agar woh isi tarah Talaq lene aur dene ki baat karain ge tu woh tamam Ulma jinhai insaani nafsiat ka ilm nahi on ke liye Talaq ka fatwa de dain ge.
agar kisi Ulma ne Talaq ka fatwa de dia tu on ke saamne logo ki aksariat kiai mahir-e-nafsiat ka nuqta nazar nahi maane ge. waise bhi logo ki aksariat ki nazar mai mahir-e-nafsiat khood nafsiati hotay hai. jab keh aisa nahi hai.
aakhir mai aik dafa phir mashwara hai keh agar woh kisi Alim se fatwa lena chahtay hai tu onhai chahiye keh woh pehle kisi mahir-e-nafsiat se mashwara karain on aur phir kisi Alim ke paas jaaye. direct kisi Aalim ke paas na jaaye. kio keh har aalim Insani nafsiat ka ilm nahi rakhta.
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 109 Post: 6174 Age:
53
|
|
Posted on:5th Dec 2011, 4:58am |
|
|
ghussa aur talaaq (Talaq in Anger)
[quote]jab insaan ghossa mai hosh o hawas kho baithay, zehni kaifiat normal na ho tu os waqt kia gaya koi bhi qadam/faisla qabil-e-qabool aur qabil-e-amal nahi hota.[/quote] mujhay iss waqy Bewaqoof par shadeed ghusa aa raha hai. etna zeyadah ghussa k maiN hosh o hawaas tak kho baiThaa houN aur agar iss waqt mujhay bewaqoof bhai mil jayaiN to maiN onhaiN qatal kiyeh beghar nahi rah saktaa... aur phir mujhay iss qatal ki koi sazaa bhi nahi desaktaa... kiyouNkay ghussay maiN kia gaya koi bhi qadam "qaabilay amal" nahi hota...lehaza mujhay saza bhi nahi milegi aur khas kam jahaaN paak bhi hojayega lol
|
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4192 Age:
37
|
|
Posted on:5th Dec 2011, 5:05am |
|
|
Talaq in anger ya pagal pan mai qatal kerna
mai ne apne dalail de diye hai. koi muttafiq na ho tu os ki marzi.
re: "mujhay iss waqy Bewaqoof par shadeed ghusa aa raha hai."
kuch nafsiati amraz aisey hotay hai keh os mai insaan shadeed ghussa mai qatal tak ker deta hai. agar medically yeh sabit ho jaaye keh os ne marz ki halat mai qatal kya hai tu ose saza nahi hogi.
|
ralexed123 |
Group: Members Joined: 07th Nov, 2011 Topic: 3 Post: 252 Age:
29
|
|
Posted on:5th Dec 2011, 5:28am |
|
|
Talaq in anger is not a nafsiati masla Talak ek deeni masla hay .... boht log talak k baad afsos karte hen aur pachtaty hen k ham ne ghussay men aa kay ghalat faisla kiya hay ab kia karen... phr Ulma k paas jatay hen aur kehte hen husband ne ghussay men talak de hay... magar wohan se bhe yehi jawab milta hay k ghussay men bhe de gai talak waqay hojati hay.... suppose suppose suppose agar hum thori der k lieye ye baat man bhe len k ghussay men de gai talak waqay nahe hoti to phr talak ki koi haisiuat baqi nahe rahegi kun k phr agar koi husband apni wife ko talaq de ga phr kuch der k baad kahega sorry men ghussay men tha is lieye talaq de di magar talaq hoi nahe tum abhe abhe meri b.v. ho..........
pagal pan mai qatal karna
agar koi pagal qatal bhe kardeta hay to us ko saza nahe dee jati ...... magr aap khud dekhen k kitne log qatal kar k phr apne aap ko pagal zaahir kar k saza se bach jatay hen? aur is tarah pagalon k lieye de gai narmi ka faeda achay bhalay samajhdar qatil log uthatey hen..... agar isi tarah narmi talaq k maslay men dee jay k ghussay men talaq dene se talaq waqay nahe hoge to aap khud sochen k kitne log is se mustafaid hongay aur baar baar talaq dengay aur phr kahengay k hum ghussay men thay
|
ralexed123 |
Group: Members Joined: 07th Nov, 2011 Topic: 3 Post: 252 Age:
29
|
|
Posted on:5th Dec 2011, 5:58am |
|
|
Talaq In Anger: well explain by myrizvi
aap ne boht he funny style men ghussay aur talaq (talaq in anger) ko explain kar dia hay.. wah kia baat hay aap ki rizvi bhai ... very well
|
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4192 Age:
37
|
|
Posted on:5th Dec 2011, 5:59am |
|
|
larayee jhagra ke dialoge se Talaq nahi hoti re: "agar isi tarah narmi talaq k maslay men dee jay k ghussay men talaq dene
se talaq waqay nahe hoge to aap khud sochen k kitne log is se mustafaid
hongay aur baar baar talaq dengay aur phr kahengay k hum ghussay men
thay "
jo log soch samajh ker Talaq ka faisla karain ge woh kabhi bhi apne faisla per pasheman nahi honge. aur wahi Talaq sahi talaq hogi. larayee jhagra mai Talaq ki ahmiat Gali Galoch se ziadah nahi. Gali Galoch aur larayee jhagra ke dialoge se Talaq nahi hoti. agar mia bivi hazar baar bhi aik doosre se larayee jhagra karain aur gali galooch kerne ke baad dosti ker le tu on ki dosti qabil-e-qabool hai.
larayee jhagra ke doran jo log lafz Talaq istemal kertay hai woh bhi aik gali hai. oopar case mai khatoon ne apne shohar ko gali (talaq) di jawab mai os ke shohar ne bhi gali (talaq) di. yeh mia bhi ka jhagra aur gali galooch hai.
agar mia ko waqai Talaq dene ki khahish hai tu woh abhi bhi kuch logo ke saamne baqaida dalail ke saath bataye keh woh apni bivi ko kio Talaq dena chahta hai. lekin mojooda case mai aisa nahi hoga. kio keh shohar Talaq dena nahi chahta aur na hi bivi Talaq lena nahi chahti ........ sirf zalim samaj mazhab ka nam le ker zabardasti in dono mia bivi ko juda kerna chahtay hai.
jab shohar Talaq dena nahi chahta. aur bivi Talaq lena nahi chahti tu phir logo ko bhi chahiye keh onhai mia bivi hi rehne dain. zabardasti onhai juda na karain. agar kisi jhagra mai dono ne aik dosre ko gali (lafz Talq) di tu os ko sirf larayee jhagra ki gali galooch hi samjhai. aur ose bunyad bana ker do zindagi tabah na karain. agar dono ke bachche bhi ho tu ham yahi kahain ge ke pooray khandan ko tabah na karain.
agar mia bhi aik doosre ko talaq dena nahi chahtay hai tu koi bhi mazhab on dono mia bivi ke darmian talaq nahi karaye ga aur na hi on dono ki family ko tabah karay ga. |
tuba Ahmad |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2010 Topic: 23 Post: 165 Age:
27
|
|
Posted on:5th Dec 2011, 7:00am |
|
|
Ghusse Main 4 Baar Talaq
thanx aap sb ka shukriya lakin abhi tk ye nahi malum huya ki shi mayno mein talaq ko mana jaega ya nahi. Agar mana jaega to dono ka dubara sath rahne ka aur kya treeka hai kya koi fatwa laga jaega?
|
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4192 Age:
37
|
|
Posted on:5th Dec 2011, 7:20am |
|
|
Talaq huyee ya nahi agar aap samajhti hai keh myrizvi saheb sahi hai tu phir aap ko talaq ho gayee hai warna meri nazar mai Talaq nahi huyee, nez mai aap ko kisi Alim se bhi milney ka mashwara nahi doon ga kio keh beshtar Aalim ka fatwa myrizvi jaisa hoga. albatta mera mashwara hai keh kisi aise Aalim se fatwa lain jo mahir-e-nafsiat bhi ho ya insaani nafsiat se achchi tarah waqif ho.
Talaq ke baad aik hi ghar mai saath rehna chahti hai tu bhale saath rahe, lekin Islami tareeqa se ghair mahram (bivi ki haisiat se nahi) ban ker rahain. .... lekin meri nazar mai Talaq nahi huyee hai.
|
tuba Ahmad |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2010 Topic: 23 Post: 165 Age:
27
|
|
Posted on:5th Dec 2011, 9:35am |
|
|
dr. zakir ki talaq vedio
i agree abhi khamne dr. zakir ki talaq vedio b suni usme b ye hi baat hai ki talaq e hasan Quran E Pak mein hai gusse mein de huyi talaq talaq nahi hoti hai aur agar shohar gusse mein talaq de b deta hai aur fir 3 month ke drmeya mafi mang le tb b talaq nahi hai aur agar usse after 3 month apni galti ka esas hota tb who usse nikha kr skta hai esa sifr 3 bar hi ho sakta. Aur ye hi hamare Nabi ke waqt se hai Dr. Zakir ne exampile b deya hai ki Agar bivi se khane mein namak tej ho gya hai aur agar shohar gusse wala hai us halat mein usse talaq de hai to who talaq nahi mani jayegi. Talaq ka asal dene ka tarika thik wase hi hai jase Bewaqoof bhai ne batya hai ki pale miya - bivi mein bhethkar mshwara hota hai talaq lene aur dene aur maksad samne gye aur ruk kar 3 baar talaq de tb talaq hoti hai. Gusse mein Talaq, talaq, talaq bol dene se talaq nahi hoti. Thankyou bewaqoof bhai aapka jawab aur tarika thik hai. Thanx to all Allah Hafiz alirajput Thank u for
beautiful example and reference tauba.. I will check it out...
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 109 Post: 6174 Age:
53
|
|
Posted on:5th Dec 2011, 10:04pm |
|
|
Talaq In Anger
1.agar aap samajhti hai keh myrizvi saheb sahi hai tu phir aap ko talaq ho gayee hai A: myrizvi is not a mufti. you should confirm his views from any aalime deen or mufti 2.warna meri (Bewaqoof) nazar mai Talaq nahi huyee, A: kissi Bewaqoof ki roy par apnay deen o imaan ka faislah karna sab say baRi Bewaqoofi hai 3. nez mai aap ko kisi Alim se bhi milney ka mashwara nahi doon ga kio keh beshtar Aalim ka fatwa myrizvi jaisa hoga. A: goya beshtar aalimay deen ka mashwarah ghalat hai jo sari omar quran, hadees aur fiqah paRhtay rahay haiN...aur aik Bewaqoof ka mashwarah durust hoga jissay nah to arabi aati hai, jo nah quran ko awwal taa aakhir paRha howa hai aaur nah hi hadees k zakhaair say waqif haiN..... ab yeh aik muslim ka imtehaan hai k woh apni aakherat mahfooz rakhnay k liyeh aisay bewaqoof ki baat maanta hai ya beshtar aalimay deen ki roy ko 4.albatta mera mashwara hai keh kisi aise Aalim se fatwa lain jo mahir-e-nafsiat bhi ho ya insaani nafsiat se achchi tarah waqif ho. A: matlab yeh k apni marzi ka fatwa denay walay aalim say fatwa lo...jamhoor ulemaa ki roy ko choR kar...wazah rahay k deen maiN quran o hadees k baad teesri aham tareen sanad ulema ki aksariyat ki roy (ajmaa.e.ummat) hai
5. Talaq ke baad aik hi ghar mai saath rehna chahti hai tu bhale saath rahe, A: wow kia mashwarah hai ... talaq k baad aik naa.mahram k saath ghar maiN rahain aur apnay deen oimaan ka janazah nikal daiN... islam 2 naa.mahram ko tanhaa milnay say rokta hai...aur yahaan aik hi chat k neechay rahnay ka mashwarah dia jaraha hai... west k on bay.deenoun ki tarah jo shadi k beghair bhi saath saath jab tak chahaiN rah saktay haiN 6.lekin Islami tareeqa se ghair mahram (bivi ki haisiat se nahi) ban ker rahain. A: yani "islami tareeqay" say "haraam kaam" karaiN. 2 naa.mahram ka aik chat k neechay saath saath rahna HARAM hai 7.... lekin meri (Bewaqoof) nazar mai Talaq nahi huyee hai. A: Bewaqoof ki nazar ki islam maiN kia auqaat hai, yeh iss forum k tamaam sr members bakhoobi waqif haiN.
|
ralexed123 |
Group: Members Joined: 07th Nov, 2011 Topic: 3 Post: 252 Age:
29
|
|
Posted on:5th Dec 2011, 10:38pm |
|
|
Talaq:agree with myrizvi
Assalam alekum! i agree with rizvi bhai ... rizvi bhai nafsiyat k mahireen to islam aur quranic taleemat k aksar against he kehte hen... jese k woh jinnat ko nahe maantay ......... isi tarah yehan per bhe ek pure deeni masalay yani Talak ko bhe nafsiati masla bana k logo ko nafsiati karne ki koshish ki jarahi hay..........
Request to Tuba Ahmed: Sister behtar yeh hay k kisi aalim deen se aap fatwa le len ... agar aap ne is ko nafsiati masla samajh k ignore kar dia aur apne husband ko join kar lia to phr saari umar gunah men guzre gi aur zina hota rahega ....
Allah aap ko Sahe decession lene ki taufiq ata farmay.. ameen
Talak ka waqya mujhe kisi ne ye waqya sunaya tha reference k sath magr men reference bhool gaya hun ... rizvi bhai ki knowledge men agar reference hay to ye waqya parh k is men koi kami ya ziadti hogai ho to meri request hay k rizvi bhai us ko point out karden...
Imam Abu Hanifa (R.A) k daur men ek baadshah (i think Haroon Rasheed) apni b.v. ko kisi baat per ghussey men aakay kaha k agar aaj maghrib ki azaan se pehle pehle tum meri saltan se nahe gai to tumhen talaq hoge.... kuch der baad jb badshah ka ghussa thanda hua to woh boht pareshan hua ye us ne ghussay men aakay ye kia keh dia hay ? saltan to boht bari hay aur us zamanay men ghorron aur oonton (horse & camels) per safar hota tha ... koshish kar k bhee ek din men saltanat se bahar nahe nikla jasakta tha... phr yeh hua k wo log (including badshah ki b.v.) Imam Abu Hanifa (R.A) k paas gay aur un k saamne masla beyan kiya gaya unho ne masla suna aur apne hujray men chalay gay... woh log masjid men he wait karne lagay... time nikalta ja raha tha un ki pareshani bhee barhti ja rahi the.... phr jb maghrib ka time hogaya to Imam Abu Hanifa (R.A) apne hujray se bahar niklay aur kaha k Talaq nahe hoi...kun k badshah ne is shart k sath talaq de di the k agar us ki b.v. magrhib tak us ki saltanat se nahe nikli to us ko talak hoge.... jb k aap ki b.v. is waqt masjid men mojood hay .. aur masjid Allah ka ghar hay aur Allah ka ghar kisi ki bhe saltanat ka hissa nahe hota... is lieye talaq nahe hoi....
|
WEHSHI |
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 43 Post: 2327 Age:
47
|
|
Posted on:6th Dec 2011, 2:46am |
|
|
TALAQ talaq ka ghusay se koi taluq nhn aur jo shakhas hosh o hawas main nhn us ka to nikah bhi nhn rehta is liyay talaq ka masla kya???
talaq humaray han kab koi mazay e dinner khatay huway hanstay huway det ahai k biwi tumhain talaq di
humaray muasheray main ghusay main hi talaq di jati hai
bas yeh bat zehan main rakhain k talaq k liyay usi maslak ki manain jis ki perwi kwertay hain aam zindagi main
aur jo members zordar fatwa detay hain k talaq nhn hui kya woh responsible hongay ager waqaee talaq ho gai ho gi to un k fatway per ager husband wife sath rehtay hain aur haram kari k mutakib hotay hain to???
quran aur hadees k hisab se to aik nashist main di hui talat 1 talaq mani jati hai chahay 100 bar kaha jai
is ka matlab k yeh tala q e rijaai hai yani ruju ker saktay hain ager 30 din main werna dooseri talaq khud bakhud waqeaa ho jai gi dooseri talaq bhi talaq e rijaai hoti hai baqi details myrizvi halajat k sath den gay insha Allah |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4192 Age:
37
|
|
Posted on:6th Dec 2011, 2:54pm |
|
|
Talaq in Anger
Bewaqoof id hai re: "kissi Bewaqoof ki roy par apnay deen o imaan ka faislah karna sab say baRi Bewaqoofi hai"
Bewaqoof id hai koi sifat nahi. agar kisi ka id Aqalmand ho tu kya zaroori hai keh woh Aqalmand hi ho?
Tuba aap aisay logo se hoshyar rahay jo mazhab ke naam per logo ke ghar ujarne ki koshsih kertay hai. jab aap ke shohar Talaq dena nahi chahtay aur aap Talaq lena nahi chahti tu phir Talaq kaisay huyee. Talaq ke liye zaroori hai keh ya tu aap Talaq lena chahti ho ya aap ke shohar Talaq dena chahtay ho. agar aap dono Talaq nahi chahtay tu phir doosro ke chahnay se Talaq nahi hoti.
|
WEHSHI |
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 43 Post: 2327 Age:
47
|
|
Posted on:7th Dec 2011, 10:00am |
|
|
4 talaq in anger
HAMAQAT insan ko hamaqat k baad hi ehsas hota hai
bewaqoof saheb apna falsafa biyan ferma rahay hain shariyat nhn
behter yeh hai k aap kisi sahi mufty se rabta kerain kiun k is forum per ab yeh riwaj ho gay ahai k apni RAAi ko eham samjhna aur dooseron ko ghalat
is liyay aap behter hai k sahi fatwa len
kiun k talaq ki jo sherait bataai gai hain un dono ki raza ki koi sherat nhn kiun k jab talaq di jati hai humaray han tab ghusa hot ahai aur bad main yehi soch k nhn hum to talaq nhn dena/lena chahtay
ab yeh forum sirif zati ANA per chal raha hai
yeh forum islam ya sheriyat se afzal nhn pehlay shariyat phir forum
jesa main ne btaya k ap ki btaai hui situation main aik talaq ho chuki hai
|
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4192 Age:
37
|
|
Posted on:7th Dec 2011, 5:14pm |
|
|
Talaq in anger and Islam
Forum ke Molvi Hazraat Moulvi No 1: "agar kissi husband nay 4 baar talaaq sedi to 3 talaaq to valid hogayee"
Molvi No 2: "jesa main ne btaya k ap ki btaai hui situation main aik talaq ho chuki hai"
Tuba sahiba yaha two molvi hazraat two types ki baatain ker rahe hai. aik ke mutabiq 3 talaq ho gayee hai aur aap ka apne mia se rishta khatam ho chuka hai, jabkeh doosre molvi saheb keh rahe hai keh abhi aik talaq huyee hai yani mukammal Talaq ke liye mazeed 2 Talaq zaroori hai. Molvi Dr. Zakir Naik ne jo kuch kaha woh in dono se mukhtalif hai.
Oopar walay dono molvi saheb aik hi mazhab/firqa/maslak se taluq rakhtay hai, aur dono ke Fatwa mai zameen Aasman ka farq hai. Tuba Sahiba agar aap 100 molvi sahiban se milay gi tu aap ko 100 qisim ke fatwa se wasta pade ga. in logo se hoshiar rahay yeh log aap ka ghar ujarna chahtay hai. dunya ka koi bhi mazhab hanstay boltay ghar ko ujarnay ka sabaq nahi deta. Islam bhi nahi deta. lehaza aap Islam ke naam nahad theekadar se hoshyar rahain.
|
WEHSHI |
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 43 Post: 2327 Age:
47
|
|
Posted on:8th Dec 2011, 6:23am |
|
|
Talaq In Anger
Moulvi # dono hi alag alag masalik ki bat hai ager kisi ki samajh main nhn ata to kay kiya jai
fiqah hanafi k mutabiq aik hi nashist main di gai 3 ya ziyadah talaq 3 talaq mani jain gi
lekin fiqah SALFI yani ehal e hadees maslak ya fiqah humbli k mutabiq 1 hi nishisat main di gai talaq chahay kitni bar bhi boli jai 1 talaq hi tasawur ho gi Moulvi # dono hi alag alag masalik ki bat hai ager kisi ki samajh main nhn ata to kay kiya jai
fiqah hanafi k mutabiq aik hi nashist main di gai 3 ya ziyadah talaq 3 talaq mani jain gi
lekin fiqah SALFI yani ehal e hadees maslak ya fiqah humbli k mutabiq 1 hi nishisat main di gai talaq chahay kitni bar bhi boli jai 1 talaq hi tasawur ho gi
Touba sahiba aap jis maslak se taluq rakhti hain usi maslak ko follow kerain werna aap confusion ka shikar ho jain gi
|
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4192 Age:
37
|
|
Posted on:9th Dec 2011, 5:00pm |
|
|
Talaq aur Maslak re: "aap jis maslak se taluq rakhti hain usi maslak ko follow kerain werna aap confusion ka shikar ho jain gi "
bilkul ghalat mashwara hai. pehle faisla karain keh kon sa maslak sahi hai, phir os maslak ko qabool karain aur phir os maslak ke mutabiq amal karain.
lekin sahi maslak ka faisla kaise hoga? har maslak walay apne maslak ko sahi aur doosre maslak ko ghalat samajhtay hai. lehaza sahi mashwara hai keh aap maslak/mazhab ke chakkar mai na pade. Logically aap ko jo sahi lagta hai wahi karain. aur logically sahi yeh hai keh aap dono ke darmian koi Talaq nahi huyee. iss ki tafseelat mai oopar bayan ker chuka hoo. |
|