Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Bete Ke Moujudgi Mai Doosri Shadi?

Non Medical Discussion
 
 
 
alirajput Group: Members  Joined: 16th Mar, 2012  Topic: 5  Post: 573  Age:  30  
Posted on:31st Aug 2012, 2:54pm
 

Dear sadaf

tumhari baat sun kar apsoos nahiN, herangi he. Agar tum he 17 saal ke bete ki soch samaj aati he, toh pir tumhara usse samjhana banta he. Agay tumhari marzi.
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 44  Post: 2452  Age:  48  
Posted on:2nd Sep 2012, 3:45am
 

sadaf

ap ki bat sahi hai kiun k sagay bap k sath maan k taluqat 17 saal k betay k liyay acceptable hotay hain lekin dooseray shakhas k sath nafisyati tor per problems kr sakta hai

aisay kuch cases hain jin main betay maan se mutnafir ho gai ya intiqaman 1 ne to maan aur new baap k taluqat ko dekhna shuru ker diya

is liyay betay ko apni jismani zaruret ki bijaai muasherty zaruret samjhain k aj kal k doar main bina merd k gher chalana na mumkin hai aur bhi bohat kuch hai aisa jo batay ja sakta hai

ais anhn k lerka samjhay ga nhn kiun k halat ko woh bhi janta hai

sadaf307 Group: Members  Joined: 14th Aug, 2011  Topic: 5  Post: 44  Age:  38  
Posted on:6th Sep 2012, 10:01am
 

ab kia samjaun?

ab mera beta jawan hai ,to me us ko kia samjaun k hamary gahr ko kisi mard ki zarorat hai .??
ab mera beta apna walid ka karobaar dekh leta hai ..hameen koi maali masla na ab hai na pehly tha .jahan hum rehty hain wahan har koi hameen mery marhoom shohar k naam sy janty hain .property be kafi hai .
agr shaadi ka irada bety k samny rakhun to wo to yehi samjy ga k koi meri maa sy property hasilkarny k leay shaadi kar rha hai .
us ny phir mery saath rehna nai .likin me us ko nai chorr skti..

agr me medicly apny es kismani takazy sy jaan churaun to yeh kuch ghalt to nai ho ga.??
ya phir kisi sy nikah kar lun par bety ko na btaun to kia yeh ghunah to nai ho ga ??(me ny parha tha k khufia shaadi islam me nai ho skti)
plzz answer............



WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 44  Post: 2452  Age:  48  
Posted on:8th Sep 2012, 3:08am
 

sadaf307

medicaly kis terah ap is jismani taqazay ko khud se door kerain gi????

jab shadi ho to us ka elaan hona zaruri hai yani ap k ilaqay , mohalay aur rishtadaron ko pata hona chahyay werna ap per bad kirdari ka ilzam lag sakta hai

betay ko bataai bagher ap kis terah se shadi rakhain gi kay sirif jismani taqazay ki takmeel hi k liyay shadi kerni hai ?

ap ka beta 17 saal ak hai aur baap ka karobar sambhal rah ahai jab ap ko pehlay bhi koi mali pereshani nhn thi to ap pehlay bhi shadi ker sakti thin aur ab bhi ker sakti hain is main koi muzaiqa nhn na mazhabi na muasherti

han humari khudsakhta muasherati problems hain to alag bat hai

sadaf307 Group: Members  Joined: 14th Aug, 2011  Topic: 5  Post: 44  Age:  38  
Posted on:8th Sep 2012, 5:25am
 

gahr chorna ho ga

agr me shaadi karun to mjy gahr chorna ho ga .q k yeh gahr marhoom dhohr ka hai , es gahr me kisi dosry mard ko kesy rakh skti hun .
aur agr aisa kia to muhaly waly mery bety sy kia kia sawal kareen gy?
aur gahr chorti hun to yeh kia garrenty hai k meri shaadi kaamyab ho ge ?
kia mjy mera shohr apny ghar me rkhy to us ky famly waly mjy acespt kareen gy ?
kia pata us k pehly sy bachy hun ?

me ik aisi aurat ko janti hun jis ny es tarh k halat me shaadi ki ,us ne be bety ko chora ,likin us ky shohr ny usy us ky bety sy chorra kar apny bachun ki parwrsh py lgaya ,
us ka bachy ka koi dekh bhaal karny wla na tha ,aur wo la pata ho gia ..kuch log kety hain k marr gia ..wo aurat meri bachpan ki dost thi me us ky halat dekhti hun to mjy khouf aata hai ,us ka shohr usy maarta peetta hai .wo apny bachy ko yaad kati hai ,aur wo zehni mareez baun chuki hai .
jin aurtun ny us ki shaadi karwai thi ab wo us sy la tahuluq hain ,aur us ny apna beta apni behn k paas chora tha ,behn ny usy gahr sy nikal dia ,
wo bacha meri goud me khail kar bara hua mjy be bhut yaad ata hai.
me jab yeh yad karti hun to mjy bhut darr lgta hai .aur yeh sab mera beta be janta hai , meri nand ny us sy meri shaadi ki kai bar baat ki likin wo bhut ghusy me aajata hai aur abi tak chachi sy cut off hai aur mjy be nai baat karny deta .
enhi majburion ki wja sy me shaadi karny sy darti hun ...

apni jismaani zaroorat ko control karny ki advice esi leay ly rahi hun
goodmorals Group: Members  Joined: 06th Mar, 2012  Topic: 0  Post: 104  Age:  28  
Posted on:10th Sep 2012, 2:28am
 

@ sadaf307.....only 2 solutions

salam

ye sab problems jin ka aap ne zikar kiya hamari society me bohot common hain. sharam, jhijak, communication gap, log kaya kahain gay waghera waghera mashriqi tarze zindagi me bohot paye jatey hain.

oar specially woman k liye ye masail to oar bhi bohot ziada hotey hain. aap inhi maslon say guzar rahi hain. isi waja say aik woman honey k natey say doosri shadi karna aap k liye masla bani hoi hai k log kaya kahain gay, beta oar khandan waley kaya kahen gay waghera waghera.

daikhen is k do hal hain...

pehla ye k sharam jhijak ko nazar andaz kar k doosri shadi karen....log, khandan ya aap ka beta jo bhi sochtey hain ahista ahista sab bhoal jain gay, sab k apney masley hotey hain aj kal ki tez raftar zindagi main, koi bhi hamesah is topic per sochta nahi rahey ga. zindagi normal ho jaye gi........ me samjhta hon k asia kehna asan hai oar karna mushkil laiken is k ilawa koi chara nahi...... laiken shadi say pehley ye ensure kar lain k aap k husband aap k betey ko apney bachon ki tarha he care karain gay. usually shuru me hami bhar li jati hai oar bad me masail paida hotey hain. is k liye behter hai k kisi achi repute k achey khandan k mard say shadi ki jaye. wealth ya status ko nazar me na rakha jaye...wesey bhi ye aap ki doosrio shadi hai.

dosra hal ye hai k aap shadi na karen....... actually aap bohot young hain sirf 37 years aap k age hai. aap 45 ki bhi hoten to chalo is barey socha ja sakta tha. apney sexual desire ko bardasht karna sari zindagi kafi mushkil hoa ga aap k liye, oar itni young age me bewa zindagi guzarna bhi mushkil hai jab k aap k ristey bhi a rahey hain.

baqi aap ki jin logon say understanding oar bat cheet hai un say mashwara kar k fiasla kar lain...... ahista ahista sab kuch normal ho jaye ga. ye waqti aazmaish oar sharam jhijak hoti hai.

is k ilawa koi hal nahi sirf aap ki post lambi hoti jaye gi oar aap mazeed pareshan hon gi. har banda apna apna mashwara deta jaye ga.

regards


sadaf307 Group: Members  Joined: 14th Aug, 2011  Topic: 5  Post: 44  Age:  38  
Posted on:10th Sep 2012, 4:19am
 

yes you are right..

mjy es condition ko bardasht karna ho ga ,
jp aurten mjy aaj gunnah karny sy dara rahi hain kal agr meny shaadi ki to wo be mjy bura bhala kaheen ge ,
beta kab tyar ho ga sotely baap k gahr rehny ko ,aur na he kisi ko apny gahr me any de ga, wo din raat apny walid ki yaad me rehta hai ,shakl aur seerat me be wo apny walid ki tarh hai. me usy dekhti hun to mjy apny maohoom shohr ki yaad aati hai . esi ki wja sy mery dil me un ki yaad zinda hai .
meny agr usy naraz kar k doosri shaadi ki to wo mujsy tahaluq toor ly ga ,yeh baat ghalt hai k wo narazgi bhula dy ga ,

meri nazr me be yeh hal hai k yeh jo roz roz rishty ly kar aurteen aati hain in sy milna julna band kar dun ,chaey wo rishtadar hain likin bety sy bara koi rishta nai hai ..
goodmorals Group: Members  Joined: 06th Mar, 2012  Topic: 0  Post: 104  Age:  28  
Posted on:10th Sep 2012, 7:33am
 

@ sadaf307

ok. phir aap yehi decision lain.

ziada tar women doosri shadi is liye karti hain k unhain saharey ki talash hoti hai baqi manda zindagi guzarney k liye....... laiken jaisa k aap ne ye bhi kaha k hamain financially koi masla nahi oar aap ka beta walid ka karobar sanbhal raha hai. app ka beta 15 saal ka hai, chand salon me mazeed young oar mature ho jaye ga oar ghar k moamlat ko mazeed behter tareeqon say samjhney lagey ga oar definitely aap ka sahara bhi ho ga.

oar jahan tak emotional support ka toalauq hai to aap apney aap ko kisi positive activity me busy rakh sakti hain...... mujhey ziada information nahi laiken jahan tak me ne daikha oar parha hai khawateen baghair husband k zindagi guzar leti hain, albata mardon k liye baghair wife k rehna specially young age me kafi mushkil hota hai.

merey aik dost k walid ki 40 years me death ho gai thi, us waqt meray dost ki umer hardly 13 saal ho gi, he is now 27. unhon ne bhi doosri shadi nahi ki wo bhi pichley 13, 14 saal say bewa he hain oar young hain.

baqi aap faisla karain oar phir usi k mutabiq apni baqi zindagi ki planning karain.
1 2>>
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013