Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

  Male Sexual Health
Benefits of Exercise on Male Sexual Health
Male Fertility
Increasing Male Fertility
Male Semen Production
Increase Sperm Count, Mobility, and Motility
Sperm Count
Increase Sperm Count Naturally
 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Search Forum
Google
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
Health Articles
Best Articles
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Yeh Forum Hamara Ghar Hai

Suggestions
 
 
 
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 241  Post: 4013  Age:  36  
Posted on:28th Aug 2011, 9:44am
 

Yeh Forum Hamara Ghar Hai

har shakhs ka aik ghar hota hai, os ghar ke fard se os ka roz ka milna julna hota hai. larai jhagra aur bahas mobaisa bhi hota hai, roothna aur manana bhi hota hai.

iss forum per bhi beshumar member apna qeemti waqt sirf mobahhat mai detey hai, kisi ko iss forum ki information se piar hai. kisi ko iss forum ke mizaj aur style se piar hai tu kuch ko iss forum ke members se.

waqt guzarne ke saath saath achcha aur ba-etbar dost wahi hota hai jis ke saath aap ne waqt guzara hai. ab jabkeh iss forum ko 4 saal ho gaye hai tu yaha kuch member ki rafaqat 4 years tak ki hai. yeh arsa bahut hi taweel hai.

insaan ki zindagi ki aik limit hai, lehaza ham forum per diye gaye waqt ko nazar andaz nahi ker saktay. jis tarah log offline kahi na kahi baithak kertay hai aur woh baithak on mai aik mazboot rishta paida kerta hai. isi tarah yaha ke member online baithay hotay hai aur on mai bhi aik mazboot rishta hai.

Exchange Of Email Id
forum per jin logo ne achcha waqt guzara on ka haq banta hai keh iss relationship ko sari zindagi qaim rakhain. jis tarah school college ke fellow college ke baad bhi sari zindagi rishta rakhtay hai isi tarah iss forum ke member ka bhi haq banta hai keh yaha se 2-3 saal reh ker jaane ke baad bhi sari zindagi rishta rahe.

iss ka hal yahi hai keh member aik doosre se email id exchange karain. os ke baad woh chahe tu face book member bane, chahe tu direct aik doosre se milna julna shuru ker dain, aik doosre ko personally visit karain .

iss forum per email id exchange ki mumaneat hai. lekin os ke bawajood forum ke regular member ne aik doosre se email id exchange ki huyee hai. jis ko forum admin ne jaan boojh ker nazar andaz kya hua hai.

darasal yaha email id exchange per pabandi ka aik khaas maqsad hai, jis se sab hi waqif hai. aur zaroori bhi samajhtay hai. lekin doosri tarah yeh bhi haqeeqat hai keh member jo yaha per aik doosre se guftagoo kertay hai on ka haq banta hai keh woh aik doosre se personal rabta bhi karain.

isi tarah baaz sawal kerne wale aur jawab dene wale ki bhi khahish hoti hai keh woh aik doosre se mazeed personal baatain karain, aur meri nazar mai yeh on ka haq banta hai.

Need Your Suggestion
lehaza aap log batain ke woh kon sa tareeqa ikhtiar kya jaaye keh log email id exchange bhi ker lain aur os exchange se forum ki policy bhi violate na ho. matlab yeh keh yeh facility sirf aur sirf on logo ko milni chahiye jo keh forum per apna qeemti waqt lagatay hai. na keh on logo ko jo sirf aur sirf yaha larkio ki email id lene aatay hai.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 98  Post: 4707  Age:   
Posted on:28th Aug 2011, 10:36am
 

pm enable kar daiN

masha Allah apnay to aj khasi aqalmandi ki baat kardi hai :)

har forum maiN aik pm (personal messages) service hoti haiN. jiss maiN members aik doosray ko zaati messages bhejtay haiN...aur jo log dost ban jayaiN woh barahay raast email ID share karsaktay haiN

pm service ki ghair maujoodgi aur email IDs ko share nah karnaeki "policy" hi ka nateejah hai k log online fazool qism ki /zaati qism ki guftagoo karnay lagtay haiN, jinhaiN admin ko baad azaaN del karna paRta hai

admin laakh koshish karay...yeh oskay bas maiN hi nahi k woh iswaqt email IDs sharing ko 100 % rok sakay...jab tak wadmin ki aankh kholti hai, woh action maiN aati hai, tab tak chiRyaaN aik aik doosray ki ID chug chuki hoti haiN lol
WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Aug, 2011  Topic: 12  Post: 278  Age:  23  
Posted on:28th Aug 2011, 10:36am
 

Yes Bewaqoof brother

Your are right its against NCF rules but its going to be our right that we should exchange E-mail accounts, because as you said that here we are staying like a family and etc. One thing is here if we share/exchange E-mail accounts so here the jonior will also share and NCF rule will become weak. Thank you......................
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 44  Post: 2664  Age:  34  
Posted on:28th Aug 2011, 11:19pm
 

Yeh Forum Hamara Ghar Hai

re "iss ka hal yahi hai keh member aik doosre se email id exchange karain. "

dair ayed drust ayed ..:)

lagta hay ab admin NCF ny members ki wish k agy ghutny take diye hain ..:)

behar haal PM wali suggestion main aaj sy 1.5 saal pehly issi forum par dy chuka hon

ref k liye read karain :-


tab agar admin ka mood nahi tha to koi bat nahi abb agar admin uss suggestion par amal karna chahy to b khushi ki baat hay , laiken mera zati khiyaal hay jis trah award thread ko members k liye aik chara bana kar yahan post kiya geya tha issi trah iss thread ko b mhaz members k liye chara bana kar paish kiya jaa raha hay ....iss thread par any wali suggestions par b koi amal nahi hoga ..



eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 59  Post: 1908  Age:   
Posted on:28th Aug 2011, 1:06pm
 

email ID exchange ki ijazat kisi soorat nahi honi chahiay

mera khayal se yahan par admin kabhi ID exchange karne ki ijazat nahi de gi aur deni bhi nahi chahiay. agar admin ne ijazat de di tou yahan 99% log IDs exchange karainge aur 1% nahi un 1% main mai bhi shamil honga jo email ID exchange nahi karainge. jo log IDs exchange karainge woh log zahir hy  forum se bahir bhi rabte main rahainge aur un main se kuch log bahar k larai jhagron ko forum par bhi discuss karainge aur is se forum machli bazar bana rahaiga.

kuch log yahan regular bhi hojaenge larkion ki IDs k chakar main. is k ba'ad woh yahan larkion ki IDs le kar un ki email ID ko mithae ki tarah sari dunya main bante phirenge. is se ye site sex education k bajae email ID sharing k liay mashur hojae gi. ye forum hamara ghar hy is liay is ghar k logoun ko chahiay k is ghar k rules ko follow karain aur email ID exchange karne ki koshish na karain. agar unhain aik doosre se chatting karni hy tou chatting k liay is ghar main chatting category mojood hy wahan ja kar chatting karain.

is liay mera khayal hy k yahan email ID ki kisi soorat ijazat nahi honi chahiay aur jo koi bhi email ID exchange kare usay permenantly BLOCK kar dia jana chahiay.

AliRajpute Group: Members  Joined: 14th Aug, 2011  Topic: 1  Post: 51  Age:  2004  
Posted on:28th Aug 2011, 2:32pm
 

email id exchange ya koi dusra tareeka zaroor hona chahye

Ham loog, jesaye ke Bewaqoof bhai ne kahaan ke ye LIMIT kar sakteh hein, ke jho loog actively participate kar rahein hein forum par unke liye ye ijazat hoon.
Rahi baat ghalat logoon ka ghalat kaam karna, tooh jesaye ache loog acha kaam karte hein wese hi bura loog bura kaam karengaye. Aur ek ghar ki baat ye hooti hein ke members ek dusraye ko sirf jaantaye hi nahin pehchante bhi hein. Istraah jho id's in jaan pehchaan waloon ke beech share hoongi uska faida new members bhal kesaye utha sakteh hein?

Jho Edit/Delete options hein, wooh bataya jataa hein hamein, ke forum ke Most Regular members ke paas hooti hein.. if that is so, jab id's exchange hojaye.. then you may have that portion edited.. istraah koi aur apki id ko follow nahin kar saktaah, aur aisa bhi hein ke agar apko kisi aur plat form pe koi add bhi kar raha hein, if u dont know the id.. JUST REJECT it..Ye common sense hein.

As far as young boys aur girls are concerned.. thoo mashallah se app sab ki Activeness forum par nazar aati hein, jab koi ghalat alfaaz bhi kehta hein, na wooh bajtaah hein aur na uski batein..

App sab mere bhai hein, app sab mere dost hein, aur app ke liye mera nazriya yahi hein. Ye muhabbat unko di jaati hein jinsaye insaan ka koi na koi wabasta hoon aur Alhumdulilah mera app sab se, kisi na kisi hawale se.

Agar ye cheez allow ho jaati hein.. Mujhe malum hein ke mein kin kin senior members se dharkwaast karoonga for this wonderful gift, ke unki sobat sirf mujhe forum par nahin balke kahin aur kisi aur soorat mein bhi mil sakti hein.

Dostoon ye agar hojaye tooh, Admin ka toofa hoonga, sab hi members koo aur unn sab ko jho ilam Knowledge se piyaar kartey hein.

Agaye ham sab ka Allah Malik hein...
Rizvi bhai ka bhi mashwara bura nahin hein.. but uss mashware par abhi effort lag sakti hein, which may or can delay this good process.

Thanks.
Allah Hafiz.
sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 94  Post: 4477  Age:  35  
Posted on:28th Aug 2011, 3:15pm
 

mai

yahan Id share karne ke Haq me hoon bhi aur nahi bhi....

mai Id share karne ke lye Haq me islye nahi hun,ke yahan asani se ladke Ladkiyon ko Trap kar sakte hain aise me...agar koi Ladki apna masla share karti hai ,to koi bhi Ladka id share kar ke us Ladki ko miss guide kar sakta hai...

aur Haq me mai un logon ke lye hoon jo decent hain,aur mature member hain.Jinke irade Naik hain aur sirf sirf ache Dost ya gupshup ke lye id exchange karte hain...

yahan beshumar member hain jinhon ne Id share ki hui hai ,aur wo phir bhi is forum pe mojood hain...Islye aisa nahi sochna chahye ke Id exchange se members yahan ana chod denge.

aur zaroori bhi nahi hai ke Id exchange karne ki ijazat di jaye...balke agar Possible ho to sirf Senior,mature,decent members ko Pm ki option di jaye...
aise me wo member jo Id nahi dena chahte yahan Pm ke zarye bat cheet kar sakte hain.

agar koi member kisi se sath kuch personal share karna bhi chahta hai to wo islye nahi kar pata ,ke sab members read kar sakte hain aur silent members bhi beshumar hain jo sab kuch parhenge,,,

@Ali rajput
apka idea ke id de ke use edit kiya ja sakta hai , ye itna bhi save nahi hai...kyoonke mujhe id share kiye hue arsa ho gaya hai,aur aj bhi mujhe koi na koi add karne ki koshish kar raha hota hai...aur mujhe ignore karna padta hai...and kayi bar to itni gandi ids hoti hain...to aise me ek umarried unmature female hogi wo kisi pe bhi aitbar karlegi aur Dhoka khayegi !!!

On the Other side i wish to talk to some members privatly ...

WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Aug, 2011  Topic: 12  Post: 278  Age:  23  
Posted on:28th Aug 2011, 3:32pm
 

Kiyo

Sirf larke trap karna jante hai. Ya pir larkiya kuch bi nahe jante. Nahe chaye id share karna. Iss se to nahe dena acha hai. Thank you.........................
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 241  Post: 4013  Age:  36  
Posted on:28th Aug 2011, 4:11pm
 

Forum Hamara Ghar Hai

1. myrizvi: "pm enable kar daiN"
mera khayal bhi yahi hai keh personal message enable ker dia jaaye. lekin yeh enable tab ho ga jab yeh option pehle se ho. yeh forum aam doosre forum ki tarah bani banayee nahi hai balkeh noorclinic walo ki apni banayee huyee hai. ab pata nahi iss mai personal message ka systme hai bhi keh nahi. agar nahi hai tu os ke liye baqaida programing kerni hogi.

2. Wellknown: "One thing is here if we share/exchange E-mail accounts so here the jonior will also share and NCF rule will become weak."

iss ka aik hal yeh hai keh yeh option sab ko nahi di jaaye, sirf aise member ko di jaaye jo sanjeeda, forum per active aur kam az kam 3 months purane ho. aisi soorat mai new members ki taraf se pareshani nahi rahe gi.

3. Diplomat: "behar haal PM wali suggestion main aaj sy 1.5 saal pehly issi forum par dy chuka hon"

saaray member ghor se sun lain keh, agar personal message wala option forum per start hua tu os ka sehra Diplomat ke sar per hoga, kio keh 1.5 years pehle hi woh yeh mashwara de chukey hai. waise myrizvi ka bhi dawa hai keh onho ne bhi pehle se mashwara dia hua hai. ab Diplomat aur myrizvi apas mai faisla ker lain ke kis ne pehle mashwara dia hai, on dono mai jo faisla ho ga wahi asal hero kehlaye ga.

4. eagle fly: "agar admin ne ijazat de di tou yahan 99% log IDs exchange karainge aur 1% nahi un 1% main mai bhi shamil honga jo email ID exchange nahi karainge"

jab aik member id exchange nahi kerna chahe ga tu kis tarah 99% log exchange kare ge. misal ke tor per aap kisi se exchange na karay. mera khood iradah hai keh mai kisi se exchange nahi karoo ga. lekin meri khahish hai keh jo log forum per apna qeemti time detay hai age on ki khahish kuch members se id exchange ki hai tu ose kisi munasib tareeqa se poora ker dia jaaye, aur woh munasib tareeqa myrizvi ka hai keh personal message system start kya jaaye.

5. eagle fly: "is k ba'ad woh yahan larkion ki IDs le kar un ki email ID ko mithae ki tarah sari dunya main bante phirenge."

iss ka hal yahi hai keh kam az kam 3 month senior, sanjeeda members ko yeh option di jaaye. ab agar (sunehri, waterr, glamour, maryam, s4u etc etc) khood hi apni id taqseem kerti rahe tu ham logo ko etraz nahi honi chahiye, kio keh woh log ba-shaoor hai aur achchi tarah samajhti hai keh kis ko id batani hai aur kis ko nahi.

6. eagle fly: "is liay mera khayal hy k yahan email ID ki kisi soorat ijazat nahi honi chahiay aur jo koi bhi email ID exchange kare usay permenantly BLOCK kar dia jana chahiay."

ab tak tu yahi hota raha hai keh jo bhi new member ID exchange ki koshish ki ose Block ker dia gaya. lekin senior member ke ID exchange per narazgi ka izhar kya gaya lekin ose Block nahi kya ga, aur on ki ID exchange se koi problem bhi saamne nahi aayee. iss se yahi andaza lagaya jaa sakta hai keh agar senior aur sanjeeda members jinhai kam az kam 3 months iss forum per ho gaye ho onhai pesonal message ki ijazat di jaye tu ziadah masla nahi hoga.

7. alirajpute: "jab id's exchange hojaye.. then you may have that portion edited."

nahi! edit se kam nahi bane ga, edit kertay kertay bhi hazaro member os email id ko read ker lain ge aur misuse karain ge. myrizvi ka perosnal message wala formula sahi hai.

8. Sunehri76: "ke yahan asani se ladke Ladkiyon ko Trap kar sakte hain aise me"

iss ka koi hal nikala jaaye ga keh ladkay ladkio ko trap na kar sakain, mera khayal hai keh aise ladko ko kahe ge keh aap log kisi bhi ladki se rabta kerne se qabal Forum Girls Hostel ki Warden Senehri76 se ijazat lain. aur Forum hostel ki lardkio per nazar rakhni Warden Senehri76 ki zimmadari hogi.

9. Sunehri76: "aur Haq me mai un logon ke lye hoon jo decent hain aur mature member hain.Jinke irade Naik hain"

aap ke khayal mai iss waqt forum mai kon sa male member Decent hai. aur kis ke iraday naik hai. mujhe tu kisi ke bhi iraday naik nahi lagtay. kam az kam mera apne baaray mai tu yahi khayal hai.

10. Sunehri76: "Islye aisa nahi sochna chahye ke Id exchange se members yahan ana chod denge."

haqeeqat yeh hai keh member ke chale jaane se forum ko koi nuqsan nahi hoga, mera zati khayal hai keh Forum intezamia khood chahti hai ke ab kam se kam new topic start kiye jaaye. lehaza woh new question ko discourge kerti hai aur chahti hai keh member koi sawal kerne ke bajaye previous post read karay

forum intezamia chahti hai keh same topic and question repeat hone se behtar hai keh purane hi thread per iktifa kia jaaye. kio keh yaha 25000 se ziadah threads hai jo Search Engine se chaltay hai. ose kisi members ki zaroorat nahi. yeh aur baat hai keh iss 25000 threads ko tayyar kerne mai forum member ka 100% haath hai. aur isi wajah se meri bhi khahish hai keh jin members ne forum per time de ker 25000 threads tayyar kaya hai onhai email id exchange ki sahoolat deni chahiye.

11. Sunehri76: "On the Other side i wish to talk to some members privatly"

meri tu Allah se yahi dua hai keh aap ki khahish poori ho jaaye.
AliRajpute Group: Members  Joined: 14th Aug, 2011  Topic: 1  Post: 51  Age:  2004  
Posted on:28th Aug 2011, 7:12pm
 

Programmer ki talash ki jaye

re:- "agar nahi hai tu os ke liye baqaida programing kerni hogi."

Dear Bewaqoof bhai..
Agar ye programming kerni hogi, tu usmaye kitna waqt lag sakta hein?

Aur kiya isi forum par ham is programmer ko dhoond sakteh hein?

Aur.. iska jho karcha hein woo members bardaasht karein ya forum?

Kindly reply jho apko theek lagaye.

Apna khayaal rakhye ga.

Ali Rajput
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 98  Post: 4707  Age:   
Posted on:29th Aug 2011, 5:39am
 

pm service

hosakta hai k NCF admin nay yeh soch kar "direct communications" ko pasand nah kiaho k yahaaN log amooman apnay personal issues ko openly discuss kartay haiN... aur -ve minded members aisay members, specially females ko tang kar saktay haiN...yeh aik valid point hai, magar etna bhi nahi... pm service sirf forum ki had tak "mahdood" rahti hai, koi jawaab nah dena chahay to nah day.

forum banaanay walay forum maiN aisay options ad bhi karwasaktay haiN, agar woh chaahaiN to... yeh ajkay daur maiN aisii naa.mumkinaat maiN say nahi hai... kia jab say forum banaa hai, iss maiN koi changing nahi howi? aur agar nahi howi to ab nahi hosakti?

sunehri sis ki reservation bhi important hai...oska madawaa yehi hai, jaisaa aksar forums par hai k pm service sirf onhi members k liyey enable ki jati hai, jo makhsoos score / time period ko cross kar laiN...iss taarh sanjeedah /senior log hi yeh sahoolat haasil kar saktay haiN...

iss waqt email IDs share karnay ka "existing option" intehayee "ghair ikhlaaqi" aur "illegal" saa hai k log chat kartay kartay "chupkay" say apni IDs aik doosray ko batlaa detay haiN...aisay jaisay koi "chori" kar rahay houN. kiyouNkay admin nay officially iss par "pabandi" lagayee howi hai.... magar woh amalan aisaa karnay say rok bhi nahi sakti aur aik andaazay k motaabiq saray senior members apnay "ham.khayaal" members say "personal raabitay" maiN aa chukay haiN. aur yeh aik "open secret" hai, koi dhaki chupi baat nahi

goya "indirectly" admin apnay members ko "majboor" karti hai k woh issi tarah chori chupay aik doosray say "milnay" k raastay par amal kartay rahaiN lol
hot_sajid Group: Members  Joined: 28th Feb, 2011  Topic: 9  Post: 552  Age:   
Posted on:30th Aug 2011, 1:41am
 

Ali Bhai

Ali bhai : Agar ye programming kerni hogi, tu usmaye kitna waqt lag sakta hein?
 
mere bhai ye to programmer par depend karta hai ke wo kitne time me work compliete kar le warna agar programmer susst kism ka huwa to salo lag jayenge ge programing karne me....
aur mera khayal hai ki is forum par personal chating karne option to hoga par usko add nahi kiya hai ye add control pannel se hota hai aur ye control pannel sirf aur sirf admin ke pass hoti hai....
 
Ali bhai : Aur kiya isi forum par ham is programmer ko dhoond sakteh hein
nahi bhai app kuch nahi kar sakte agar app kisi programmer ko dhundh bhi lete hai to us ko upload kese karnge ge website par ye sab kaam control pannel se hota hai..is se behtar hai ki hame Dr. Rizwan Sahab se Darkhwast karni chahiye ki personal chatting karne ki. agar wo chahe to ye ho sakta hai kyo ki is forum ke owner bhi Rizwan sahab hai..
 
Ali bhai : Aur.. iska jho karcha hein woo members bardaasht karein ya forum?
mere bhai is ka kharcha kuch khaas nahi aata hai bhot kam aata hai.. asal kharcha to website ko devlop karne me hota hai modification me thodi hota hai... aur bhala app kyo tension le rahe ho ye kharcha app ko thodi karna parga ye to kharcha admin Rizwan sahab karenge....
Allah Hafiz
hot_sajid Group: Members  Joined: 28th Feb, 2011  Topic: 9  Post: 552  Age:   
Posted on:30th Aug 2011, 1:50am
 

Personal Chatting

mera khayal hai ki personal chating karne ki option to honi chahiye kyo ki bhot se log aese rahte hai jo kuch problem nahi rahti hai fhir bhi is forum ko join kar rakhte hai aese me agar personal chatting ka option ho to personal guftagu bhi ki ja sakti hai.. aur agar kisi member ki koi probem ho to usko solve bhi kar sakte hai...

aur jesa ki mene upar pada hai ki larke personal chating ka galat fayda utha sakte hai to aesa hai jab tak larki khud apni id nahi deti wo bhala kese baat kar sakte hai..app personal chating to kare par app apni id kisi ko na de jis par bharosa ho usi ko de..

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 241  Post: 4013  Age:  36  
Posted on:30th Aug 2011, 5:19am
 

Yeh forum Hamara Ghar Hai

myrizvi
jaisa ke aap jaantay hai keh yeh website medical ke aik makhsoos section sex problem se taluq rakhta hai. aur yeh baat home page per hi bata di gayee hai keh yeh website aise shareef mard aur khawateen ke liye banayee gayee hai jo sharm o jhajhak ki wajah se apne qareebi dosto se bhi sex related baatain nahi kertay. lehaza aisa logo ke masayel ko hal kerne ke liye yeh website banayee gayee hai.

aisi soorat mai zahir hai keh koi bhi sawal kerne wala apni identity batana pasan nahi kare ga. aur jo log jawab de ge woh na sirf books knowledge balke aksar apne tajarbat ki bina per bhi jawab dain ge. lehaza on ke liye bhi zaroori hai keh woh apni identity na batayee. misal ke tor per kisi pareshaan haal sawal kerne wale ko koi jawab dene wala agar apne zati misal (apni family) ka hawala de ker tasalli de tu khood os jawab dene wale ki family nahi chahe gi keh woh jawab mai on logo ka bhi zikir karay. lehaza jawab dene wala kabhi nahi chahe ga keh os ki family ko bhi maloom ho keh woh kis id se jawab de raha hai.

lehaza iss ka yahi hal hai keh sawal kerne wala aur jawab dene wala dono ajnabi ho. isi liye yaha ki policy yahi rahi hai keh kisi bhi qisim ki identity zahir nahi ki jaaye. identity zahir kerne ke baad jawab dene wala khul ker baat nahi ker sakta, aur baaz moqa per khul ker baat kiye beghair jawab mukammal nahi hota.

oopar jo kuch bataya forum ke asool ke baray mai bataya. lekin jaisa ke mai ne bataya hai keh yeh forum sawal kerne wale aur jawab dene wale ki madad se banayee gayee hai. aur jawab dene wale ki khahish per forum asoolo mai tabdeeli bhi ki jaa sakti hai. jis mai yeh personal messaging wala option bhi hai.

yeh forum jab se bana hai iss mai musalsal kuch na kuch tabdeeli hoti rehti hai, jo keh aam user ki nazro mai nahi aati. lehaza agar website intezamia ne personl messaging ka faisla ker lia tu yeh bhi ad ho sakta hai balkeh mujhe yaqeen hai keh ad ho jaaye ga.

alirajpute
asal masla programming ka nahi, balkeh policy change kerne ka hai keh kya personal message option banaya jaaye ya nahi. yeh faisla mere ya aap ke kehne se nahi haga, balkeh forum intezamia ki marzi se hoga. ham sirf suggestion hi de saktay hai iss se ziadah kuch nahi.

jaha tak time ka taluq hai tu max 15 days mai aik programmer yeh kam ker sakta hai. asal masla yeh hai keh woh yeh kaam kab start kare ga. kio keh agar os ke paa pehle se hi programming ka kafi kaam ho tu new kaam ki baari kafi din ke baad ho gi. noorclinic jin logo ka hai on ki aur bhi kaii website hai aur os per bhi kaam hota rehta hai. lehaza yeh batana mushkil hai keh on logo ne agar personal messaging ka mashwara maan bhi lia tu os per programming kab karain ge.

jaha tak kharcha ka taluq hai tu iss ka koi kharcha nahi, jo staff (programmer) tankhah-dar hai woh tankhah le ker apna kaam kertay rahtay hai, chahe onhai jo bhi kaam de dia jaaye. ab tak jo bhi kharcha hua members se nahi lia gaya tu iss new programming ke liye members se koi raqam kaise li jaa sakti hai.

hot_sajid
noorclinic aik medical website hai, jis ka maqsad sirf aur sirf medical, sexual, psychological and social problems solve kerna hai. aur in tamam topics ke liye alag alag categories mojood hain. baqi categories ka iss website se koi taluq nahi. woh tamam categories majboori mai banayee gayee hai.

iss forum per two types ke log hai. 1) sawal kerne wale 2) jawab dene wale. dono iss forum ke liye aham hai. lehaza forum ne jaha sawal kerne wale ko ahmiat di wahi jawab dene wale ko bhi nazar andaz nahi kya.

jawab dene wale aksar topic se hat ker doosre topic per guftagoo shuru ker daitay thay, lehaza on ko makhsoos topic tak mahdood rakhne aur on ki khahish ke mutabiq baat kerne ke liye mazeed categories banayee gayee. maslan food and recipe sirf aur sirf zeb ko khoosh kerne ke liye banayee gayee, agar aisa nahi kya jaata tu aksar thread ka end kisi achchi si dish per khatam hoti.

aksar jawab dene wale members personal guftagoo, larai jhagra, shikwa shikayat kerne lage, jo kisi bhi category mai fit nahi ho paa raha tha tu os ke liye alag category Chatting banayee gayee.

Chatting category bhi majboori mai banayee gayee kio keh yeh website for entertainment and chatting nahi hai. iss poori tamheed ka maqsad yeh batana hai keh yeh aik medical website hai, koi entertainment website nahi. aur iss liye yaha chatting ki koi gunjaish nahi. mojooda chatting category bhi forum per bojh hai, lekin jawab dene wale member ko khoosh rakhne ke liye ise khatam nahi kya jaata.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 98  Post: 4707  Age:   
Posted on:30th Aug 2011, 9:10am
 

A G A R

Bwqf: agar website intezamia ne personl messaging ka faisla ker lia tu yeh bhi ad ho sakta hai balkeh mujhe yaqeen hai keh ad ho jaaye ga.


agar Bewaqoof Bhai ko yaqeen hai to mujhay bhi omeed hai k insha Allah PM service jald iss forum par maujood hogi...aakhir ko Bewaqoof bhai say yeh thread youN hi to post nahi karwayee gayee :)
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 44  Post: 2664  Age:  34  
Posted on:30th Aug 2011, 12:43pm
 

mashwara ka aghaz

re "ab Diplomat aur myrizvi apas mai faisla ker lain ke kis ne pehle mashwara dia hai,"

hmmm , laiken mera khiyaal hay k myrizvi ny to dawa hi nahi kiya k unhon ny pehly mashwara diya hay , iss liye abb hum dono kis bat par faisla karain ..?? :)

@topic

jahan tak taluqq hay PM ka to wo iss site par enable nahi ho sakti , is site ka structure hi aysa nahi k iss main koi softwarical tabdeeli layee ja saky , adds ko utha kar aik kony sy dosry kony main lay jana , categories main azafa ya kami kar laina , forum appearance color ko change kar laina yeh koi softwaricall tabdeeliyaan nahi hain yeh to sab kuch already forum ki coding main shamil hay

jahan tak baat hay iss forum main PM ko shamil karny ki to PM pehly sy yahan majood nahi hay uss ko enable karny k liye new programming ki zarorat hogi jo k fil haal NCF admin karna nahi chahti , iss rah main sab sy barri rukawat iss forum ki policies hain jo k PM enable karny sy shadeed mutasir ho sakti hain iss liye agar admin apni policy tabdeel nahi kar sakti to yeh kaisy mumkin hay k PM enable ho jaye

lehaza main bewaqoof ki iss baat sy dis agree karta hon k .."balkeh mujhe yaqeen hai keh ad ho jaaye ga."
System Group: Members  Joined: 03rd Jun, 2008  Topic: 39  Post: 2182  Age:  30  
Posted on:30th Aug 2011, 4:08pm
 

myrizvi

has good suggession. agreed. anyway i did not read the whole page and all the threads.
1
 
 
 
Erectile Dysfuncion
ED causes
Male Menopause
Male Menopause – Myth About Male Menopause
Health Advice From China
Male Sexual Health Advice From China
Food For Male Libido
Male Libido - Foods to Increase Male Libido Naturally

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.

© Copyright 2003-2017 www.forum.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us