aisay log to Quran paRh kar bhi gumraah hotay haiN... woh quranic aayaat hi ko apni gumraahi k liyeh use kartay hain...iska yeh matlab nahi k phir quran ko har aik k liyeh OPEN nah rakha jaa.ay.
yehi haal iss forum ka bhi hai... "zaroorat mand" iss say faidah oThatay hain aur "tafreeh" ki gharz say aanay walay tafreeh kartay hain... jahaaN tak under 16 /kamsin logouN ki baat hai to jab aisay log net tak pahonch jaatay hain to onki rasayee har achi /bori /bahoot bori sites tak ho jaati hai... yeh parents ki zimmah daari hai k woh apnay bachouN ko bila rok Tok net tak rasayee nah daiN.... jab bacha net par aazaadanah maTerr.gasht karnay lag gaya to qasoor parents ka hoga, net yaa sites ka nahi
aap apny iss topic sy related issi thread main sawaal karain ..iss topic k hawaly sy multiple threads start na karain ..thanks
For More Detail Click On Page No: 1
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.