Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Wajood aur Adam Wajood

Non Medical Discussion
 
 
 
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:31st Mar 2011, 5:09pm
 

Wajood aur Adam Wajood

kia koi member Wajood aur Adam wajood ka farq samjha sakta hai?

meri zati raaye hai keh kisi bhi cheez ka Wajood nahi hai. shayed mai apni baat ki sahi se tashreeh na kar sakoo ...  lekin yeh haqeeqat hai ke wajood naam ki koi cheez nahi.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:31st Mar 2011, 11:06pm
 

wajooday mutlaq

sirf Allah ki zaat hai.... yani Allah ki zaat woh wahid zaat hai jo azal say abad tak apna "wajood" rakhti hai.

baqi tamaam ghair Allah (insaan, haiwaan, nabaataat, jamaa daat, zameen o aasmaan etc) sab k sab "adam" say "wajood" maiN aa ay haiN aur Allah k "kun" kahnay say

Allah in main say jin jin "ashyaa" ko chaahay gaa...dobarah "adam" maiN bhej dega.... jaisay qayamat k baad yeh zameen aur iski tamaam maujoodat (except jinn o ins) "khatam" hojayengi..........bilkul aisay hi jaisay koi white board par color marker say bahoot see tasweeraiN banaa.ay aur phir 2 pic k ilawah baqi sab ko erase karday............ ab board par sirf 2 pic apna "wajood" rakhti haiN jo ab bhi artist ki marzi.e.baqaa ki marhoonay minnat haiN.... baqya pics adam say wajood maiN aayeeN aur phir adam maiN chali gayeeN...yani onka :wajood: aarzi periods k liyeh thaa....... amalan onka koi asal wajood nah thaa

iss tarah ap kah saktay haiN k Allah k sewaa kissi bhi jaan.daar /bay jaan ko koi "asal wajood" nahi... jo kuch ham dekhtay haiN yeh sab adam say aik fixed periods k liyeh bani haiN...oskay baad sab khatam hojayengi...rozay hasher inn "madoom" hojanay walay jin o ins ko "dobarah" "wajood ataa kia jayegaa... taakay woh apnay kiyeh ka hisaab kitaab day kar jannat /jahannam maiN enter hosakaiNa
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:1st Apr 2011, 6:37am
 

Wajood aur Ehsaas

yeh kehna ke abhi Wajood hai jo keh baad mai khatam ho jaaye ga ..... mai agree nahi kerta. mai samajhta hoo keh abhi ham jise Wajood tasleem kertay hai woh darasal Wajood ka Ehsaas hai. Ehsaas ke liye Wajood zaroori nahi. aur Ehsaas ka apna bhi koi Wajood nahi.

shayed meri baatai samajh na aa sakain, ya mai apni baat sahi se samjha na sakoo.
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:1st Apr 2011, 12:11pm
 

wajood ....adam wajood

first of all warm welcome to "bewaqoof" on his arrival with exultant topic ...:))

wajood

wajood ka matlab kisi cheez ko "dhanpna" hota hay maslan rooh (fitrat) insan k andar hay laiken iss ko jis cheez ny dhaanpa howa hay ussy jisam kehty hain aur yahi jism dosry mano main wajood kehlata hay , asman ki rooh "kun" hay laiken issy jin gason (gases) k majmoye ny dhanp rakha hay wo iss ka wajood hain jis ki waja sy issy asmaan kaha jata hay , issi trah sy tamam majoodat hain

agar khuda tala har cheez ko uss k zahir k sath yani wajood k sath na dhanpta to uss cheez ka jo khaas maqsad tha ussy kaam main laya jana mumkin nahi tha iss liye allah ny har batan ko aik zahair ata kar k goya aik wajood sy nawaz diya ta k maqsad-e-khilqat hasil kiya ja saky

adam wajood

har wo cheez jo apny batan par haavi jo jati hay ya phir kisi dosry wajood ka hissa ban jati hay to goya uss ka apna zahri wajood khatam ho jata hay halan k uss ka wajood hota hay laiken kisi dosri cheez main tahleel ho jany k baad uss ka apna wajood dosri cheez ka hissa ban jata hay yaani aik new wajood takhleeq paa jata hay lehaza hum kisi b sorat wajood k hony sy inkaar nahi kar sakty

maslan .. aag ka apna wajood hay paani ka apna wajood hay jab iss ko mix kiya jaye to dhuwaian ka wajood samny ata hay taham aag ki tapash + pani ki thandhak b apni apni jaga majoog rehti hay laiken issy alag alag yani pani aur aag nahi kaha jaskata yeh dhuwaan hay jo aag aur paani k mixture ka new wajood hay iss trah ki beshumaar misalain di jasakti hain jo "wajood" ko zahir karti hain

laiken agar hum insan k wajood ya adam wajood tak hi apni behas ko mehdood rakhain to yahi baat samny aati hay k aik insan tab tak apny wajood main baaqi rehta hay jab tak wo marfat-e-elahi sy alag hay aur duniya main mashghol hay... laiken agar koi insan khud ko haqeeqi maano main marfat-e-elahi sy iss had tak marboot kar ly k ussy apni hasti ..hasti hi na lagy ...apna hona na hona aik jaisa hi lagy , apna wajood goya kuch b na lagy to iss ka matlab hay k insan ny aik new wajood ko takhleeq kar liya hay jisy "qanaat pasandi" ka name diya jata hay

yahan b hum wajood ki haqeeqat sy inkaar nahi kar sakty ..:)
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:1st Apr 2011, 10:50pm
 

wjood, adam wajood

yeh topic etna deep hai k issay shayad "lufzouN" maiN bayaan nah kia jasakay... at least "dastyaab lufzouN" maiN kiyouN kay phir yeh bhi saabit karna hoga k "words" ka bhi koi "wajood" hai yaa nahi

"yeh sab kuch" hai bhi aur nahi bhi k beech beech shayad kaheeN ho........ Allah k wajood say to ab atheist bhi "inkaar" nahi kar saktay....... woh aqal o science k iss ahad maiN "Allah ko mannay" say inkaar nahi kartay balkay "Allah ki (baat) mannay" say inkaar kartay haiN.

jahaaN tak "ghair Allah" k wajood maiN honay yaa nah honay ki baat hai to iska faislah kam az kam "ham" nahi kar saktay k khud hamara wajood hai /nahi hai kay hal.talab jawaab ka muntazir hai........jiski zaat khud hal.talab ho, woh khud iss baat ka faislah kaisay kar sakta hai k woh wajood rakhta hai yaa nahi...... yeh kaam koi "ghair jaanib.daar" hi kar sakta hai, jo khud hai /nahi hai k beech maiN mo'allaq nah ho......... balkay jiska "wajood" shak o shobah say balaa tar ho........ aur woh sirf aur sirf Allah hai......... Allah hi yeh faislah karsakta hai k :hamara wajood" hai yaa nahi....... agar hai to kiss had tak aur agar nahi hai to ham nazar kaisay aa rahay haiN.........????
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:2nd Apr 2011, 10:47am
 

Wajood aur Adam Wajood

sahi jawab tu mujhe bhi nahi maloom. lekin myrizvi ka post read ker ke aisa lagta hai keh myrizvi mere post ko samajh rahe hai keh mai kia kehna chahta hoo.

re: "Allah k wajood say to ab atheist bhi "inkaar" nahi kar saktay......."

Allah ke wajood se tu koi bhi inkar nahi kerta, lekin Allah ke wajood ka Perception har kisi ka aik jaisa nahi. Asal ikhtilaf Allah ke wajood ka nahi balkeh Allah ke Perception ka hai.

Jaha tak Allah ke Perception ka taluq hai tu woh bhi aik Brain Function hai, aur khood Brain ka apna koi wajood nahi woh bhi aik Perception hai. lehaza Allah ka wajood hai keh nahi iss ka faisla aisa Brain nahi ker sakta jis ka khood apna wajood nahi.

haqeeqat yeh hai keh ham wajood aur adam wajood ko sahi se tashreeh ker hi nahi saktay.

re: "at least "dastyaab lufzouN" maiN kiyouN kay phir yeh bhi saabit karna hoga k "words" ka bhi koi "wajood" hai yaa nahi"

Agreed

re: "first of all warm welcome to "bewaqoof" on his arrival with exultant topic ...:))"

Thanks Diplomat



UNLEASHED- Group:   Joined: 31st Dec, 1969  Topic: 0  Post: 107  Age:   
Posted on:2nd Apr 2011, 3:50pm
 

re

wajood ka matlab kisi cheez ko "dhanpna" hota hay

wo kis tarha? wojood ka matlab dhanpna kese hota hai? wojod to kisi chez ki existence hai, koi aesi chez jisko chowa jasakay. pehle chuwa jasakay baad mai us wojood ka purpose kuch bhi hojae, dhapna. urhana bhichana,phailana exetra

rooh (fitrat) insan k andar hay laiken iss ko jis cheez ny dhaanpa howa hay ussy jisam kehty hain

wo kese ? insan k jism k andar to uska dhancha (skeleton) hota hai jisay jism se dhanp dia gaya hai takay insan badsorat na dikhay,aur rooh to jism mai samodi gae hai.jisko jism ki zarorat nahi hai.wo wese hi nikal sakti hai jism se.pehle Allah pak ne insan ka putla banaya uske baad usmai roh phonki.agr roh ko dhanpna hota jism se to roh mai putla dala jata aur roh dhanp jati jism se.

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:2nd Apr 2011, 4:26pm
 

wajood ....adam wajood

re : "Thanks Diplomat"

"bewaqoof" ...its my pleasure and you are welcome always ...dear ..:)

re "lekin myrizvi ka post read ker ke aisa lagta hai keh myrizvi mere post ko samajh rahe hai keh mai kia kehna chahta hoo."

hmmm ho sakta hay k myrizvi aap ki baat ko theek sy dark kar gaye hon jo aap kehna chah rahy hain ..mujy jo samjh aya main ny likh diya waisy aap ko yahan wajood k bary main funny replies b milain gy jaisa k mery ooper ka reply hay

re : "Jaha tak Allah ke Perception ka taluq hai tu woh bhi aik Brain Function hai"

kia aap apni iss baat ki wazahat kar sakty hain ??

re : "aur khood Brain ka apna koi wajood nahi woh bhi aik Perception hai."

yeh kaisy mumkin hay ? agar brain sy aap ki muraad demagh hay to aap ki baat ghalt hay , agar yahan brain sy muraad "aqal" hay to yeh aqal ka hi khasa hay k wo har cheez k wajood ko mehsoos karny ki salahiyat rakhti hay , aqal hi wo pemana hay jis k zariye hum kisi cheez k wajood hony ya na hony ka pata chalaty hain lehaza agar brain sy aap ki muraad aqal hay to yeh kaisy possible hay k jis ka apna wajood na ho aur jo khud aik perception ki maanad ho wo dosry ka wajood maloom kar saky ?

anyways ....allah k wajood ki babat buhat saaron ki amoomi maloomat aysi hain jaisy kisi goshat post k insan k wajood k bary main hain buhat sy insanon ko shaid aysa lagta hay k jis trah aik jeeta jagta insan hath , pair , mu , naak , gala waghaira k sath apna wajood rakhta hay waisy hi allah ka b wajood hoga ....nahi yeh concept ghalt hay allah apna wajood rakhta hay laiken insan k jism ki manad nahi

allah ka farmaan hay k "main (allah) insan ki shah rag sy b ziyada qareeb hon" iss baat sy allah ka wajood zahir hota hay laiken kisi jismaani shakal main nahi balky "ihsaas" ki shakal main ..!!!! agar allah k wajood ko ihsaas k maano main tasleem kiya jata hay to phir uss ki takhleeq (insan) ka b aik wajood hay laiken allah k wajood aur insan k wajood main farq hay allah ka wajood ihsaas par mabni hay aur insan ka wajood jism par mabni hay ...jism ko fana hay laiken insan k asal wajood (rooh) ko fana nahi hay

jism ko mout ajaany k baad murda tasawar kiya jata hay laiken rooh murda nahi hoti balky allah ka hukam hay aur allah ki amanat hay allah k hi paas chali jati hay aur medaan-e-hashar main wapus ussi rooh ko uss k asal "cover" (jisam) main dakhal kar diya jaye ga ta k insan k apni hayaat main guzary howy waqat (acha , bura , naik bad) ka hisaab liya jaa saky..
UNLEASHED- Group:   Joined: 31st Dec, 1969  Topic: 0  Post: 107  Age:   
Posted on:2nd Apr 2011, 4:46pm
 

diplomate

yeh aqal ka hi khasa hay k wo har cheez k wajood ko mehsoos karny ki salahiyat rakhti hay

ye bhi ghalat hai, agar akal hi wojood yani existence ko mehsoos karne ki silahiyat rakhti to janwar apni demagh se wojood aur na wojood ki tameez nahi karpatay. kyun k janwaron k pas akal nahi likin wo samajhte hai k kon si chez wojood hai aur konsi non wojood.

iss baat sy allah ka wajood zahir hota hay laiken kisi jismaani shakal main nahi balky "ihsaas" ki shakal main

i dont agree to diplomate. Allah k wojood ki tashreeh karna kisi insan k bas ki baat nahi hai.ehsaas ek alag chez hai, ek insan jab apse doar hota hai to uska ehsas apko feel hota hai jab k uska wojood apke sath nahi hota.

laiken rooh murda nahi hoti

ye to har musalmaan ko pata hai, k rooh kabhi marti nahi hai, balkay kayamat se pehle tak alama e barzakh mai rehti hai. phir kayamat k baad usay jism mai daal kar jism ko zinda kia jata hai.

Neha_83 Group: Members  Joined: 16th Dec, 2009  Topic: 2  Post: 169  Age:  30  
Posted on:2nd Apr 2011, 5:05pm
 

unleashed

oho aapko yeh tak nayi pata ky humari rooh asal wujd hay ? humara jisam ek khol hay us ruh ka.
UNLEASHED- Group:   Joined: 31st Dec, 1969  Topic: 0  Post: 107  Age:   
Posted on:2nd Apr 2011, 5:10pm
 

neha

rooh asal wujd hay

tumhare kehne ka matbal hai k rooh wojood hoti hai ? plz define how

Neha_83 Group: Members  Joined: 16th Dec, 2009  Topic: 2  Post: 169  Age:  30  
Posted on:2nd Apr 2011, 5:12pm
 

han

jis tarah Allah ka wajud hay , jo ky nazar nayi ata.isi tarah roh hi ek wajud hay jo nazar nayi ati
UNLEASHED- Group:   Joined: 31st Dec, 1969  Topic: 0  Post: 107  Age:   
Posted on:2nd Apr 2011, 5:18pm
 

neha

jis tarah Allah ka wajud hay , jo ky nazar nayi ata.isi tarah roh hi ek wajud hay jo nazar nayi ati

Allah k wojood ki example ko rooh ki example se comparison karna achi baat nahi.balkay aesi baat apko sochni bhi nahi chahiyai na karni chahiyai. mai nay uper likha hai k " Allah k wojood ki tashreeh karna kisi insan k bas ki baat nahi hai"

Neha_83 Group: Members  Joined: 16th Dec, 2009  Topic: 2  Post: 169  Age:  30  
Posted on:2nd Apr 2011, 5:24pm
 

Unleashed

bohat si chizen hay jo nazar nayi ati par unka wujud hay ..jaisy ke hawa .
Allah ki misal islye di .kyunky aapko Allah ky zaat ky mojudgi ka yaqeen hay.

zaruri nayi jo chiz nazar aye ya jisy hath laga saky usi ka wajud ho
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:2nd Apr 2011, 11:56pm
 

wajood ka matlab

yahaaN "wajood" as a "noun" discuss horaha hai nah k sifat waghairah... jaisay "maamtaa" mujassam nazar nahi aati, magar hoti hai... yeh aik "jazbah" hai k nah k noun

Bewaqoof am I right k "wajood" say apki moraad "noun" hai???

Allah ka "wajood" hai as a "noun" bhi.... go woh hamaiN iss dunyaa maiN nazar nahi aataa magar jannat maiN issi tarah wazah nazar aayega jaisay moon nazar aataa hai (hadees ka mafhoom)

Allah ki zaat ko koi insaan "define" nahi karsaktaa...but khud Allah to define kar sakta hai naa apnay aap ko.... Quran maiN Allah nay jaa bah jaa apnay aap ko define kia hai...specially soorat ikhlaas maiN

1. Allah woh hai jo yaktaa /wahid hai
2. Allah woh hai jo sab say bay.neyaaz hai (sab oskay mohtaaj haiN)
3. nah woh kissi ki aulaad hai aur nah oski koi aulaad hai
4. aur oss jaisaa koi aur nahi hai
UNLEASHED- Group:   Joined: 31st Dec, 1969  Topic: 0  Post: 107  Age:   
Posted on:3rd Apr 2011, 5:42am
 

bilkul bilkul

allah ka wojood hai beshak,likin iski tashreehaat karnay se hamain parhaiz karna chahiyai apni apni perception ki base pe.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:3rd Apr 2011, 6:08am
 

only quran o hadees

say "Allah k wajood" ki tashreeh ki jasakti hai /ki jaani chaahiyeh k yeh sources authentic haiN
UNLEASHED- Group:   Joined: 31st Dec, 1969  Topic: 0  Post: 107  Age:   
Posted on:3rd Apr 2011, 6:28am
 

only quran o hadees

agreed to you brother, no other sources allowed.
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:3rd Apr 2011, 6:45pm
 

Wajood aur Adam Wajood

re: "agreed to you brother, no other sources allowed"

dunya ka har shakhs apne apne mazhab ke shikanja mai jakra hua hai .... aur woh sirf aur sirf apne mazhabi source per bazid hai. lehaza Wajood aur Adam Wajood per discussion bekar hai.
Un-leashed Group:   Joined: 31st Dec, 1969  Topic: 1  Post: 123  Age:   
Posted on:17th Apr 2011, 5:12pm
 

bewaqoof

wojod adam wojod pe discuss bekar hai to phir ye thread kyu shuru kia tumne?
1 2  >>
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013