Perception of God sorry for late reply
re "Muraqba mai jo kuch bhi percept kertay hai woh sab kuch brain function hai,"
yeh baat kuch samjh aati hay ur mera khhiyal hay muraqby k doran aur maraqby k liye aik insan ko consideration yaani tawajjo ki khaas zarorat hoti hay aur tawajjo markooz karna God gifted cheez hay agar aik insan apny ird gird k maslon main ulajh jaye to khuwa kitny b maraqby kar ly ussy tuwajjo hasil nahi ho pati , jab tawajjo hi aik aham unsar hay to kia hum issy brain function nahi keh sakty yaqeenan keh sakty hain ..iss liye main iss baat sy agree karta hon
re "lekin chukeh roohaniat ke maahir brain physiology se waqif nahi hotay isi liye woh isay brain function manne ke liye tayyar nahi."
agar rohaniyat k mahar brain function nahi manty to khud rohaniyat ka mahwar-o-markaz kia hay ? agar rohaniyat khud brain function par base karti hay to yeh kis behalf par kaha jasakta hay k rohaniyat k mahar brain function ko nahi manty , mera khiyal hay iss rohaniyat k subject par abi buhat kuch research hona baqi hay jo k awareness ki kami k bayes hum hasil nahi kar pa rahy ya phir hamari malomaati dast rast sy yeh cheezain abi buhat door hain ..aap kia kehty hain iss bary main ?
re " woh samajhtay hai keh on ki rooh jism se nikal ker kahi aur chali jaati hai aur jo kuch woh dekhtay ya mahsoos kertay hai woh on ke jism se door on ki rooh dekh rahi hoti hai"
main ny iss masly par detailed study ki hay mujy to yahi samjh aya hay k allah ta'ala ny insan ki rooh ko do anwaan sy takhleeq kiya hay number aik rooh bator-e-jaan ..joi hamary jism k andar hay aur jis ki waja sy hum zinda hain agar yeh nikal jaye to jism murda ho jata hay ..number 2 rooh bator-e-fitrat k anwaan sy khalaq hoi hay jis ko nikhar kar hum ny apny nafas par qabu pabna hay
agar hum rooh bator-e-jaan ko discus karain to is k b do parts banty hain number aik makani rooh nuber 2 selani rooh ..makani rooh wo hay jo jaghty howy hamry jism k andar rehti hay aur yeh rooh hamary jism k sath sath move karti hay yani jahan hum jaien gy sath sath yeh roh b jaye gi
iss k sath selani roh hay yeh type hamary soty waqat hamary andar zinda rehti hay aur yeh safar b karti hay hamara jism aik jaga sakat parra howa hota hay laiken yeh selaani roh apna safar jari rakhti hay jis ki waja sy hum khuwaab waghaira main mukhtlif jag'hon ka nazara karty hain
iss liye agar rooh ko jism sy alag karny k falsfy par rohaniyat base karti hay to yeh unn ka falsfa man gharrat hay , rooh ki aik hi qisam ko jisam sy alag kiya jasakta hay wo hay seelani rooh aur seelani rooh ko jism sy alag karny k liye brain ko control karna parrta yani insan ko khuwabeeda mahol main ley jana parrta hay iss liye main issi bat par yaqeen rakhta hon k rohaniyat goom phir kar wapis brain function par hi aajati hay
re "jab keh haqeeqat yeh hai keh woh jo kuch bhi dekh rahe hotay hai woh sirf aur sirf apne brain ke andar hi dekh rahe hotay hai."
thats true ..
re "mera khayal hai keh agar koi roohani scholar neurologist ya psychiatrist ho jaaye ya koi neurologis aur psychiatrist rohani scholar ho jaaye tu iss dunia ko aik new theory se roshanas kara sakta hai."
main iss sy baat thorra sa differ karon ga may b meri maloomat kam hon , main samjhta hon k neurologist aik paisha hay jo duniya main isan kisi institute ya kisi dars gah sy seekhta hay aur phir iss shoby main aik authority ban jata hay laiken asal main neurologist brain function sy waqif nahi hota wo to brain ko lahaq ho jany wali bemarioun ka ilaaj karta hay aur wo bemariyaan jo uss ny apny courses main parri hoi hoti hain unn ka hi ilaaj kar sakta hay
jab k iss k muqably main rohani scholar ban'ny k liye jitnbi marzi training centers main chala jaye yeh ilam insan ko hasil nahi ho sakta , mery nazdeek asal main rohaniyat aik traf to God gifted hay , to dosri tarf khud demaghi hejaan hay ...yani baaz oqat insan demaghi halal parr jany sy b mafooq-ul-fitrat harkaat aur batain karna shuro kar daita hay ..
khair......... yeh aik deep subject hay issy describe karny k liye munasib alfaaz k sath sath munasib mahol ka hona b zarori hay other wise yeh mozo intehaiee khushak tareen rukh ikhtiyaar kar jata hay ....anyways thanks bewaqoof for your helpful answer .. |