M Amin
|
Group: Joined: 01st Jan, 1970 Topic: 11 Post: 175 Age:
|
|
Posted on:21st Dec 2010, 3:03pm |
|
|
Khubsurat Baatain Tajarba insan ko Ghalat faisley se rokta hy
Lakin....
Tajarba insan ko Ghalat faisley se he hasil hota hy
Ager koi ap ko acha lagta hy to acha wo nai achy ap hain kyun k aap us main Achai talash karty hain
Ager koi ap ko bura lagta hay to jany hain bura wo nai ap hain kyun k ap us main Burai talash karty hain
Khubsurst hona Eham nai Eham hona Khubsurti hy
Kubsurat Insan se muhabat nai hoti balke jis se muhabar ho jai wo Khubsurat ho hy
|
saim1
|
Group: Members Joined: 23rd May, 2008 Topic: 44 Post: 2214 Age:
36
|
|
Posted on:21st Dec 2010, 7:57pm |
|
|
Hazrat Ali says live amongst people in a such manner that if you die they weep over you and if you are alive they crave for your company |
M Amin
|
Group: Joined: 01st Jan, 1970 Topic: 11 Post: 175 Age:
|
|
Posted on:9th Jan 2011, 10:07pm |
|
|
Re AoA main Pakistan sy May 2010 me aya tha or Inshaallah after 1 year April last ya May 5th to 10th tak 1 month vocation per aa raha hon Vocation k liyai Application dy di hy Baqi Dukh or Sukh to har Insan k sath hy hamari tu sirf koshish hy hoga wo hi jo Allah ko manzoor hoga . Ap sy baton ka silselah chalta rahy ga ap ne abhi tak apna Introduction nahi karwaya Ham to ap ko sirf sssshu k nam sy janty hain.........? Ay Dost is Chammann sy easy Gulon ko chunn Har Shakhs Daad dy tery Intekhab ki Have a Good Day |
abcxyz123
|
Group: Members Joined: 19th Dec, 2010 Topic: 2 Post: 124 Age:
23
|
Blocked |
Posted on:10th Jan 2011, 7:28pm |
|
|
achay Bohot khubsurat batayn hain very good. |
M Amin
|
Group: Joined: 01st Jan, 1970 Topic: 11 Post: 175 Age:
|
|
Posted on:14th Jan 2011, 10:01am |
|
|
5 Cheezain Dunia me ager 5 cheezain tunhary pass hom to tumhain kabhi Nuuqsan na hoga. 1>Achi Zuban... 2> Amanat Dari...3> Khush Ikhlaaqi... 4> Rizq-e-Halal...5> Maa ki Duain... |
M Amin
|
Group: Joined: 01st Jan, 1970 Topic: 11 Post: 175 Age:
|
|
Posted on:14th Jan 2011, 10:12am |
|
|
ABC
AoA ap NCF main log in tu hoti hain mager bohat kam Alfz me apni post ka end kar deti hain lagta hy bohat busy hain ap sy kuch sawal pochna chaon ga plz ans me (if posibal) Preshani ko Dor karny ka sab sy behtar hall kiya hy... Bat Dil ki manni chahyai ya Damagh ki...Aik Insan ki zindagi me Achy Dost ki kiya Ahmeyat hy...Ta-aleem (education) kiyon zarori hy or yeh aik Insan ki Zindagi me kiya Kirdar ada karti hy...Aj kal Pishawar me sardi ki kasi hy...Ap ki Cuz wapas chli gai hain... Un ki kuch prob slove huwi ya nahi.... and now see this edit email ID Hosakta hy is post k bad mujhy log out kar diya jai So apni Duaon me yad rakhyai ga
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:17th Jan 2011, 6:40am |
|
|
M Amin bhai
woh thread close hogaya hae so i,m replying here. aap k last sawal ka jawab abhi dekar baqi kuch baataiN baad meiN karoNgi .
ans- mayyat ho ka nikkah nahi hosakta aur jis ka nikkah na huwa ho us ka janaza jaiz nahi .
aap k khayal meiN khush qismati kiya hoti hae ? kiya un cheezoN ka mil jana jinhaiN insaan hasil karna chahta hae ? agar woh cheezain hasil ho bhi jayeN tab bhi koi wasooq se nahi keh sakta k khushi bhi mil gai. kuch cheezoN se khushi milti zaroor hae lekin waqti durable nahi. to is lehaz se khushqismat to wohi hae na jo razi ba raza hogaya.
insaan jab sabar ki had se nikal kar shukar ki had meiN dakhil hojata hae tab usay aisi khushi hasil hoti hae jo abdi hae. i think k insaan kabhi mohabbat se Allah pak ka naam le to is meiN bhi aisi khushi milti hae jis ka bayan bhi mushkil hae. mujhay to yahaN kuch members se baat kar k un k replies read kar k bhi bohat khushi hoti hae. isliye insaan kabhi yeh nahi keh sakta k mujhay kabhi khushi nahi mila . yeh to is trah kehna hoga k maiN kabhi kisi baat pe khush hi nahi huwa :) is baat pe ghor karaiN inshAllah DheroN khushiyaN aap ki muntazir haiN :)
|
MMMM
|
Group: Members Joined: 15th Jan, 2011 Topic: 2 Post: 84 Age:
23
|
|
Posted on:17th Jan 2011, 7:42am |
|
|
Khubsurat batein Ache mezaaj ki behtreen ilamat ye hai k insan burhay mezaaj ko bardasht karne lage.
Schai wo zeena hai jes k zarhye insan bulandieun tak ponchta hai.
Insan khud azeem nahi hota uska kirdaar azeem hota hai.
Dosrun par nukta cheni karna sub se asan our apni islah karnasub se mushkil hai.
Jub insan ki mehnat ghalat ho jye to yaqeen kamzor ho jata hai,our jub yaqeen khrab ho jye to ahmaal khrab ho jate hein,ahmaa kharab ho jaien to insan nkaami k raste ko ikhtyar kar leta hai.
Muhashray par tmara es se bhra koi ehsan nahi ho sakta k k tum khud sanwar jao.
Apne aap ko teek rakho loog khud ba khud tmare liye teek ho jaein ge.
Etna zyada na bolo k tmari baat ka asar khtam ho jaye.
Nuksan wo nahi jo apko zaati dukh se humknaar kare,nuksan to wo hai jo apko kisi ki nazar se gira da.
Koi aeina insan ki itni haqeqi tasveer nahi dekha sakta jetni k us insan ki baat cheet.
Thorha ilm amml karne se bhot ho sakta hai mgar zyada ilm beghar amml k nkara our nkama ho jata hai. |
mayhooraaj
|
Group: Members Joined: 06th Jul, 2010 Topic: 14 Post: 161 Age:
|
|
Posted on:17th Jan 2011, 9:58am |
|
|
3 cheezein....
``` 3 cheezein....Pak kr rakho..1.Jism 2.Libas 3.Khayalat
Qaboo me rkho.... 1.Zuban 2.Nafs 3.Gussa
Yaad rkho... 1.mot 2.ehsaan 3.naseehat
hasil karo... 1.illm 2.Dua 3.Aitmaad
dhyan se uthao... 1.Qadam 2.Qasam 3.Qalam
Baqaydgi se perthe raho... 1.Namaz 2.Quran 3.Darood | |
|
M Amin
|
Group: Joined: 01st Jan, 1970 Topic: 11 Post: 175 Age:
|
|
Posted on:17th Jan 2011, 4:50pm |
|
|
Sister Maryam AoA I hope k ap bilkul Khir-Khairiyat sy hongi. Sis 1st of all I m thankfull 2u k ap ne mujhy Bhai kaha'' Kiyon k Meri Post ( jis me mujhy warning di gai ) k bad mujhy bohat he ajeeb feel ho raha tha k najany sis Maryam & sis Sunehri mery bary me kiya sochti hongi k is Larky ko kiya Laalach hy kiya Gharz hy k yeh ID lena ya dena chahta hy jab k aik or Dost ne bhi mera ID lena chaha or wo tu hain bhi meri City k but............. Khair Allah ap ko Khush rakhy ameeen.-----------Sister ap ny mery ques ka bohat hi acha ans diya hy really I agree. ''Insan kabhi mohabbat sy Allah ka nam ly to is nam me bhi easi Khushi hoti hy k bayan bhi mushkil hy'' Bohat he achi bat share ki hy ap ne Sis main ap ki esi bat ko continue karon ga Jis din main porry Ahtemem sy apni koi Namaz Ba-Jamaat parhta hon Khaloss-e-Neat sy'' tu Wall-lah us waqat jo khushi hoti hy us ka bayan karna bhi mushkil hy. |
M Amin
|
Group: Joined: 01st Jan, 1970 Topic: 11 Post: 175 Age:
|
|
Posted on:17th Jan 2011, 4:55pm |
|
|
One more Sister mujhy aik or sawal bhi karna hy wo ap k liyai tu sawal but mery liyai Information hogi ( About China ) Or aik or Requst k ager posibal ho tu meri wo post jis me mujhy warning de gai hy ho saky to plz plz Delete kar dain |
M Amin
|
Group: Joined: 01st Jan, 1970 Topic: 11 Post: 175 Age:
|
|
Posted on:17th Jan 2011, 5:02pm |
|
|
Khush-Haali Khush-Haali lany wali 7 cheezain
1> Quran ki Telawat
2> Namaaz ki Pabandi
3> Allah ka Shukar ada karna
4> Majboor ki Madad karna
5> Gunahon se Touba karna
6> Azeezon sy achha Salok
7> Subah k waqat Surah Yaseen or Shaam k waqat Surah Waqia ki Telawat.
Achi Baat phelana bhi Sadqa-e-Jaria hy |
MMMM
|
Group: Members Joined: 15th Jan, 2011 Topic: 2 Post: 84 Age:
23
|
|
Posted on:18th Jan 2011, 5:46am |
|
|
Quraan Ki Faryad Taakun ma sjahya jata hun ,ankhun se lgaya jata hun
Taveez bnaya jata hun, dho dho k pelaya jata hun
Juzdah harer o resham k ,our phool sitaray chandi k
Phr attar ki barish hoti hai, khushbu ma basaya jata hun
Jis tarah se tota mena ko, khuch bol sikhaye jate hein
Es tarha parhya jata hun ,es tarah sikhya jata hun
Jub qol o qasam lene k liye, takrar ki nobat ati hai
Phr meri zarorat parti hai, hathun pa uthaya jata hun
Dil sooz se khali rehte hein, ankhein hein k num hoti he nahi
Kehne ko main ek ek jalsay main, parh parh k sunaya jata hun
Naki pa badi ka ghalba hai, schai se barh kar dhoka hai
Ek baar hansaya jata hun, so baar rulaya jata hun
Ye mujh se aqedat k daway, qanon pa razi ghairun k
Yun bhi mujhe ruswa karte hein, asay bhi staya jata hun
Kis bazm ma mujh ko bar nahi, kis urs main meri dhoom nahi
Phr bhi ma akela rehta hun , mujh sa bhi koi mazloom nahi
|
M Amin
|
Group: Joined: 01st Jan, 1970 Topic: 11 Post: 175 Age:
|
|
Posted on:18th Jan 2011, 5:54pm |
|
|
Hazart Muhammad ( PBUH ) Ki Kuch Aadaat 1> Chalty Waqat Nighah Neechi rakhty
2> Salam me Hamesha pehla karty
3> Mehman Nawazi Khud karty
4> Nafli Ebadat Chup kar karty
5> Farz Ebadat sub k Samny karty
6> Bimar ki Mizaj Pursi karty
7> Jab Khary huwy Ghussa aata to baith jaty or Baithy huwy Ghussa aata to Lait jaty
8> Miswaq karty
9> Isha sy pahly Kbhi na Soty
10> Kabhi khull kar na Hansty
---------->Sal-lu Aalall Habib ( PBUH )<----------------
|
MMMM
|
Group: Members Joined: 15th Jan, 2011 Topic: 2 Post: 84 Age:
23
|
|
Posted on:20th Jan 2011, 11:32pm |
|
|
What is Dua? …What is Dua?
…… ”D” ………
Dil se nikle hui awaz jo ap ko din bhar sachi khushi dy.
……… ”U” ……..
Udasi aap ky qareb se bhi na guzry.
………. ”A” ………
Allah ap sub ko hamesha khush rakhy.
(Ameen) |
MMMM
|
Group: Members Joined: 15th Jan, 2011 Topic: 2 Post: 84 Age:
23
|
|
Posted on:20th Jan 2011, 11:36pm |
|
|
Main sub ko tumhary peechay laga don ga…. “paisa”
kehta hai mujhay hasil kar
or sub ko bhol ja
“waqt”
kehta hai meray peechay chalo
baqi sub ko bhula do
“MUSTAQBIL”
Meray liye koshish karo
or sub ko bhula do
“ALLAH”
Sirf itna kehta ha kay
mujhay yad karo
Main sub ko tumhary peechay laga don ga |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:20th Jan 2011, 11:56pm |
|
|
M Amin bhai aap poochiye kiya sawal hae agar mujhay us baray meiN ilm huwa to zaroor bataoNgi .
aur jahaN tak bhai kehnay ka taluq hae to yeh rishta to Allah pak ne hi tamam muslims k liye bana diya hae . bas Allah pak in ilfaz k taqad.dus ki bhi taufeeq ata farmaye .
|
M Amin
|
Group: Joined: 01st Jan, 1970 Topic: 11 Post: 175 Age:
|
|
Posted on:20th Jan 2011, 12:21pm |
|
|
Sister Maryam AoA Sister Alhamdolillah meri 5 sisters hain or Summa- Alhamdulillah 2 ki shadi main ny apny hathon sy ki hy or Alhamdolillah is rishty k Taqad-dus ki boht pahchan hy or Allah sy dua hy k Allah har kisi ko apni Hifz-o-Aaman me Rakhy ameeeeeeeen.
Sister Mujhy Traveling ka Be-Hadd shoq hy me ny bohat he kam umar main Pakistan me bohat safar kiya hy or Alhamdulillah Aj main waldain ki duaon sy UAE me job kar raha hon ( From May 2010 ) Mera agla Qadam Inshallah ''Umm-rah'' karny ka hy or us k bad China Hong Kong ya Philipine me sy kisi aik k Visit ka hy Mujjhy pochna yeh hy k ager main China ya H - Kong aaon to kis tarha aaon kiyon k is k bary me ap bohat hi achi tarha bata sakti hain or kiya mujhy Diract UAE sy theek rahy ga ya Pakistan sy me sirf visit karna chahta hun just for 20 to 30 Days or kiya wahan aany ka faida bhi hoga means ( paisy pory ho jain gay ) I am waiting thanks Aik Bhai |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:20th Jan 2011, 12:33pm |
|
|
M Amin bhai taqad.dus wali baat maine general sense meiN ki thi (on the whole ) specific nahi . khair jaan kar khushi hui k aap ki mashAllah 5 sisters haiN . Allah pak aap ko iraday (umrrah )meiN kamiyab farmaye .
H-kong bhi China ki hadood meiN ata hae. wese yeh japan ka city hae. agar aap business ki gharz se travelling karna chahtay haiN to pakistan k rastay China ayeN aur by road ayeN . rastay meiN sakardoo. Gilgilgit waghera ki bhi sayahat hojayegi aur URumchi (jo business k liye suitable place hae ) sarhad se qareeb hae . is tarah na sirf syahat ka moqa milega balkay aap ko business field meiN bhi kafi faida hoga.
|
M Amin
|
Group: Joined: 01st Jan, 1970 Topic: 11 Post: 175 Age:
|
|
Posted on:21st Jan 2011, 4:37pm |
|
|
Sister Maryam AoA Sister......! Bohat shukriya u ans me. Sister ap ny mujhy By Road ka mashwara de kar mery umeedon ko 4 chand laga diyai hain Sister Sakardoo Gilgilgil Waghera in ki bohat ta-areef suni hy I will try my best. Allah Pak ap ki Zuban Mubarak kary or main in Contries ka as a Business Man visit karon Fill hall to sirf Sayahat ka shoq hy or mera feture me jo business karny ka shoq hy Allhamdolillah us k liyai hmara Pakistan kafi hy . Once again thanks |
|
For More Detail Click On Page No: 1 |
|