|
tuba Ahmad |
Group: Members
Joined: 30th Jul, 2010
Topic: 20
Post: 123
Age:
|
|
Posted on:12th Nov 2010, 12:59am |
|
|
naz Assalamolikum
Naz kisi ho kafi waqt ke baad appne forum join kra hai are rudna manana to apas mein laga hi rahta hai lakin dil mein kisi ki kio baat ko nahi rakhna chaye. Aap hindi sikhke kya karogi hindi bahut bekar lung. hai. Lakin aap kahgi to jarur aapka suyagat hai hindi uchchran mein.
Sir aap se nivedan (Request) hai ki app hume ab urdu ke sabdh arth (Word meaning) de jisse hum yaad kr sake.
Rahi hamare agle sabaq ki baat to jesa aapko thek lage ussi trha se sabaq de, urdu fonud pc mein nahi hone ki wajha se hai hame kafi pareshani ho to rahi hai lakin hum koshish kr rhe hai pc mein lene ki qki hamara pc mein XP nahi Vista hai. kal kafi waqt you tube se dhekh dhekh kr dowanlod to kra hai lakin abhi start nahi ho paya hai jald hi pc mein urdu le lege. |
Diplomate |
Group: Members
Joined: 18th Oct, 2009
Topic: 31
Post: 1697
Age: 33
|
|
Posted on:12th Nov 2010, 4:16am |
|
|
tuba ahmed
wa alaikum aslam
theek hay abb aap ko alfaaz maani sikhaien jain gy aap sy request hay k aap ghor sy alfaaz maani ko yaad kar lain ho saky to apni note book main note farma lain
waisy behtar yeh b hoga k aap muj sy sawal karain aur main aap ko urdu zubaan k mutabiq answer karny ki koshish karon ga iss trah seekhany ka amal taiz hota hay aur baat b thek sy samj ati hay aur kabi bhoolti b nahi ...:)
khair...aap ka agla sabq yeh raha alaf sy shuro hony waly chand alfaaz aur unn k maani
- ibteda = aghaaz (initiative , to take first step)
- ikht'taam = khatam (finish , end)
- ikhtesaar = mukhtisar , thorra , qaleeel (short , little , miner)
- isteh'qaaq = haq mahfooz rakhna , kisi cheez ka haq rakhna ya hona (Privileges , keep right , reserves the right to)
- irada = niyat karna (Intend , intention)
- ummeed = towaqqo rakha (hope , expectations)
inn alfaaz ka urdu jumlon main mumkina itemaal kuch iss trah ho sakta hay - Ibteda ..ibteda hay allah k pak naam sy jo buhat ghfoor-o-raheem hay
- Ikht'taam ... raat 11 bajy mehfal ka ikht'taam ho geya
- Ikhtesaar ... tuba ahmed apni baat ikhtesaar k sath karti hay
- Isteh'qaaq ... mujy yeh isteh'qaaq hasil hay k main tuba sy uss k shehar ka naam pooch sakta hon
- Irada .. main ny pukhta irada kar liya k main tuba ahmed ko urdu sikhaoon ga
- Ummeed .. mujy ummeed hay k tuba ahmed urdu dilchasbi sy seekhy gi
tuba abi aap itna sabaq yaad karain baqi baad main ...:)
|
s4u |
Group: Members
Joined: 18th Aug, 2010
Topic: 95
Post: 5188
Age:
|
|
Posted on:12th Nov 2010, 8:25pm |
|
|
Sir ji
finish & end donu khala zad hain pr hatam kia hota h?khtam ka bhai?aap ne likha:
"ikht'taam = hatam (finish , end) "
wese aap k hatam se mojhe Hasna yad aa rahi h.wo aksar "K" kha hi jati h baqi "H" hi reh jata h.
|
Diplomate |
Group: Members
Joined: 18th Oct, 2009
Topic: 31
Post: 1697
Age: 33
|
|
Posted on:12th Nov 2010, 9:21pm |
|
|
mastarni s4u..:) hahaha ..han waqiya hi muj sy ghalti ho gayee hay..:) asal lafz "khatam" likhna tha laiken "hatam" likh diya ...aap ka shukriya k aap ny correction kar di...waisy mery sath ye problem hay k main aksar "khy" ki jaga "hey" likh daita hon ...:) aap ny note b kiya hoga...:)
aur haan iss laa'parwahi main akaila main hi shamil nahi "hasna" aur buhat sy dosry members b shamil hain...:)
s4u g aap ny tuba ko sabaq nahi sikhaya ... oopss i mean sabaq nahi diya..?..:) |
s4u |
Group: Members
Joined: 18th Aug, 2010
Topic: 95
Post: 5188
Age:
|
|
Posted on:13th Nov 2010, 1:38am |
|
|
sabaq to main sikhaon gi
its ok & u welcome.ghalti kis se nahi hoti.mojhse bhi ab buhot hone lagi h.jaldi type krne ki waja se.pehle apni post edit kri thi aur thek krti thi pr ab nahi krti kiu k ghalaaTI to sa se hoti h:)
bas ji Hajj k bad main sabaq sikhaon gi aap sab logon ko.abhi bakhasha aap ko:-P
nahi maine aapki post me itni ghalatiyaan hoti note nahi ki.humari aik member RC thi jo k sab ki fav thi aur ab bhi hain.
to wo aksar nahi ko "ahni" ya "anhi" likhti thi raat ko "rata" hehehe.to hume hansi ati thi.main koshish krti thi k on se isi style me bat kron.aaj main ye sab buhot miss krti hon.
|
Diplomate |
Group: Members
Joined: 18th Oct, 2009
Topic: 31
Post: 1697
Age: 33
|
|
Posted on:13th Nov 2010, 1:33pm |
|
|
style waisy aap k likhny ka style b bura nahi hay lagta hay aap k key board main kuch words ki missing hain jabi to aap ny likha hota hay "h" .."n" etc...:)) |
s4u |
Group: Members
Joined: 18th Aug, 2010
Topic: 95
Post: 5188
Age:
|
|
Posted on:13th Nov 2010, 8:58pm |
|
|
Dip uncle he he he..aap ne bhi note kr lia. sirf "H" likhne k 2 faide hain aik ye k log onse "hain" bhi parh sakte hain aur dosra log ose "hai" bhi.jo onhe theik lage isi trha "N" se log "na" bhi samjh sakte hain aur "nahi" bhi...lol
sab se eham bat ye hai k log samjh jatey hain k main aakhir kehna kia chah rahi hon yehi buhot h mere lie.
shukar karein main itna to likh leti hon pr mere faince to ese likhte hain k main soch rehti thi k kia kehna chah rahe h.wo to itne kanjos h likhne me.lekin ab adat ban gai h.aik do bar esa hoa k meri donu sisters ka dil kia k on k sms parhein.par wo nakam hoein donu hi.hehehe
|
zubair uk |
Group: Members
Joined: 22nd Oct, 2010
Topic: 10
Post: 66
Age: 20
|
|
Posted on:16th Nov 2010, 3:49pm |
|
|
sunny007 sunny bhai where r u ?
itny din si aap ka kuch pata naheen
kaheen iss eid par aap mandi mai bikk to naheen gay ?
|
Maryam |
Group: Members
Joined: 17th May, 2008
Topic: 32
Post: 5098
Age:
|
|
Posted on:16th Nov 2010, 7:41pm |
|
|
Eid with WehRi :) last time sunny bhai ne apni wehRi khud zibha ki thi umeed hae is martba bhi wehRi k sath busy hoNgay :) sunny bhai aap ka weekend nahi aya ?
|
ozone |
Group: Members
Joined: 19th Jun, 2008
Topic: 35
Post: 2603
Age:
|
|
Posted on:18th Nov 2010, 9:09am |
|
|
sunny yar i am proud of you , ham logon se bakra khud zibah nahi hota tum ne "vehRi" zibah kar di :)) |
star& |
Group: Members
Joined: 16th Nov, 2010
Topic: 0
Post: 1
Age: 18
|
|
Posted on:18th Nov 2010, 12:22pm |
|
|
new member salam-o-alikum,
tamam members ko eid mubarak
mai yahan par new member hn.. |
zubair uk |
Group: Members
Joined: 22nd Oct, 2010
Topic: 10
Post: 66
Age: 20
|
|
Posted on:18th Nov 2010, 1:55pm |
|
|
star well come dear staraap ko bhe ham sab members ki taraf si eid mubarak |
Diplomate |
Group: Members
Joined: 18th Oct, 2009
Topic: 31
Post: 1697
Age: 33
|
|
Posted on:20th Nov 2010, 7:21am |
|
|
ary khansahib hamari shagirda sahiba to shaid urdu seekh kar yahan sy chali gayee hain ..aap yo kam az kam apny shagird ko pashto parrhany ajaya karain na ..:) |
zubair uk |
Group: Members
Joined: 22nd Oct, 2010
Topic: 10
Post: 66
Age: 20
|
|
Posted on:20th Nov 2010, 1:30pm |
|
|
diplomate EID MUBARAK
jee bilkul aap ny theek kaha sir mujhy lagta hai k iss baar eid par goost kha kha kar sab ki aankon mai charrbi charh gai hai iss lea yahan na koi urdu seekny aata hai aour na hi sikhany..aour naa hi mary teacher sunny ka kuch dinon si bilkul kuch pata hi naheen ( pasto clasess k lea) aasa lagta hai k shaid wo chally gay hain, bas wo chally gay hain...
|
zubair uk |
Group: Members
Joined: 22nd Oct, 2010
Topic: 10
Post: 66
Age: 20
|
|
Posted on:20th Nov 2010, 1:30pm |
|
|
diplomate EID MUBARAK
jee bilkul aap ny theek kaha sir mujhy lagta hai k iss baar eid par goost kha kha kar sab ki aankon mai charrbi charh gai hai iss lea yahan na koi urdu seekny aata hai aour na hi sikhany..aour naa hi mary teacher sunny ka kuch dinon si bilkul kuch pata hi naheen ( pasto clasess k lea) aasa lagta hai k shaid wo chally gay hain, bas wo chally gay hain...
|
|