Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
a
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
    Start New Topic  My Profile
 

Aao urdu seekhain

Chatting
 
 
Naznainnazli Group: Members  Joined: 31st Jul, 2010  Topic: 8  Post: 196  Age:  26  
Posted on:1st Oct 2010, 4:11pm
 

Diplomat uncle

Ab kaisi tbiat hy apki? Mjy to pta hi nhi tha k humare mulk k sarmaya humare great teache of Urdu assob e chasham ka shikar ho gye hein mera atitud theek hy u dontwory ap class start karain atitud theek ho he jye ga apko btana chaye tha na gerhazri ki vja studnts pe bura asar parta he is tara.
Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1868  Age:  31  
Posted on:1st Oct 2010, 4:23pm
 

O ho

Master ji tau aaj kal double bemari bnay huay hain. Aik tau wo khud sab se barri bemari aur oper se unhen b ashob-e-chasham ki bemari..lolzzzz

Master ji, apne aap ko apni biwi bachun aur shagirdoon ki pohanch se door rakhen aur logoon ko aankhen dikhane aur marne se parhez karen q ke yeh bemari bht phelti hae iss tarah. Main khud last month iss bemari ki wajah se 3 chhutiyan enjoy kr chuka hun..

Naznainnazli Group: Members  Joined: 31st Jul, 2010  Topic: 8  Post: 196  Age:  26  
Posted on:1st Oct 2010, 7:24pm
 

Diplomate uncle

Kal se mere liye English lesson b prepare kark rakhiye ga ab se ap pe double responsibilty hy Urdu aur English. Ab se apko pori zimadari se parhana ho ga bger gerhazri kye.
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5405  Age:   
Posted on:2nd Oct 2010, 3:00am
 

minu vi urdu sikhao

main bhi Dip uncle & Rizvi uncle jesi urdu seekhna chahti hon.
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:2nd Oct 2010, 7:33am
 

next lesson for tuba ahmed

lesson dainy sy pehly sab friends sy aik apeal hey k student aur teacher ko mazaq na kiye jaieyn ...yeh new roshni school hey ...pehly hi pakistan main bijli ka buhraan chal raha hey ooper sy aap k mazzaq iss school ki roshni ko mazeed madham kar sakty hain...iss liye students aur teachers sy chaiR chaaR na ki jaye ...shukriya aur ayn nuwazish...

Tuba aap ka agla lesson

rey <urdy haroof-e-tahajji ka 14th haraf hey> Rey or rdey<15th> zey <16th> seen <17th> sheen <18th> suwaad <19th> zuwaad <20th> toyein <21st> zoyien <22nd>

haroof-e-tahajji ka istemaal

rey = raat , roTi (night , bread)
Rey or rdey = pahaR , PohaR (rock . lazy)
zey = zarafa (giraffe)
seen = sawal , simat (question , direction)
sheen = shaam , shor (evening , noise)
suwaad = sabar , sahib (tolerance . patient , Mr.)
zuwaad = zaye'eef , zamin (old man , granter)
toyein = tu'aam <khana> , tahir (meal . tahir <name>)
zoyein = zaroof , zahir (crockery , appearance or appear)

Nazi aap paRaihan ..a , b, c , d , e , f , g , h , i , j , k , l ,m , n, o , p , q , r , s , t , u , v , w , x , y , z ...inn ka istemaal khud sy likhain ta k pata chal saky k ap ki vocabulary kitni hey ...iss k baad aap ki grammatic errors ko door kiya jaye ga ...

Bhimji abb bachoon ko tang mat karna nahi to aap ko school ki peon ship sy farigh kar diya jaye ga ....:)
~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4259  Age:  29  
Posted on:3rd Oct 2010, 9:06am
 

@|~

Naznainnazli: Wa'alaikum assalam....apko dippo master ki ek baat shayad nahi pata..jab ye koi kaam shuru kardein tou chahay inhain aye na aye kuch ye usko pora kar k hi dum lete hain ...:-)

tuba ahmed: Nahi ji hum ustadon ka mazaak bilkul nahi uratay....apko ghalat family hoe hai ji, hum bhi parhne aye hain yahan isliyain humse 3 din ki chutti dekhi nahi jati ji....bas yehi baat hai ji....

Dippo Master: Master ji mashallah buhut achi classes jarahi hain apki..good good, bas app apni profile bhi achi karlain zara warna humain sharmindgi hoti hai buhut, asal main hoa ye k kal africa se 2 student aye thay urdu seekhne main nay hi unhain apka pata dia yahan ka aur bataya k hamaray dippo master urdu sikha rahay hain free main, ajaya karo roz idhar.... tou yahan akay unhon nay jab apki profile dekhi tou kehne lagay k iski qualification tou "chitta anparh" hai, ye kese parhae ga hamain ?....jab k main gawah hon apki taleemi khidmaat ka k app chitta anparh nahi hain....chitta parh parh hain.....isliyain plz apni profile main sahi info likhain warna africa tou kya uganda, bharmaputra, naanga parbat, coasta rica aur na janay kon kon si aina mena deca se talib ilm . ilm ki roshni se munawwar tou kya aslam bhi nahi hopayege.... :-|
tuba Ahmad Group: Members  Joined: 30th Jul, 2010  Topic: 23  Post: 165  Age:  29  
Posted on:5th Oct 2010, 7:54am
 

aap logo pagal hain

plz aap sb se gujaraish hai ki aap sb jo yha ke baate kr rhe hain humko who bilkul pasand nahi kisi ko parana ata ho ya nahi lakin jitna b mere Sir ko ata hai who mujhe sikhane ki kosis kr rhe hai agar yha sb bahut qabil hai to who jarur Mere Sir ke sath sath mujhe para deya kre aur nahi toh yha class mein ane ki kio jarurt nahi hai ye mere aap sb se gujarish hai plz. Ek had hoti hai har cheej ki lakin aap log to kuch jayda hi had par kr rhe hai. Shayd aap log apne Teacher ke s ath asi hi keya karte the ya karte ho. Lakin hum apne Teacher ki bahut resp. krte hain
Naznainnazli Group: Members  Joined: 31st Jul, 2010  Topic: 8  Post: 196  Age:  26  
Posted on:5th Oct 2010, 9:24am
 

Diplomat sir, good afternoon.

Aslam o Alaikum. Me mazrat khawah hu k 2din chuti pe thi mgar ap kidar ghayb hein apka sabaq mje yad he sun lain. A=apple, saib B=ball gaind, C=cat, billi, D=doll, guriya E=eliphant, haathi F=fan, pankha, G=girl, H=horse, ghora, I=inkpot, J=jam, murac, K=king, badsha, L=lion, shair, M=mango, aam, N=nose,naak, O=onion,piaz P=pen, qalam Q=queen, malka R=room, kamra, S=snake, sanp T=tiger, cheeta U=umbrella, chatri V=vase, guldan W=watch, ghari X=x-ray, Y=yolk,ande ki zardi Z=zebra.
~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4259  Age:  29  
Posted on:5th Oct 2010, 9:27am
 

@|~

app ko naraaj honay ki jarorat nahe hai ji hum tou free class main dippo master se chitta chatta (chit chat) kar rahay thay..

buhut khoob....App jesi satudent hamra paheli baar dekhay howathay jo apney ustaad ki inni ijjat karawathay...buhut he barhiya ...app parhain hum kuch nahe bolte....dippo master hamray dost hain jigri unse majaak chalta rehta hai..kisi hoor jagah karlete hain hum unse batain.....app yahan parhain araam naal....

dippo ji buhut jyada mubarak ho apko....itni barhiya shagird mili hain apko....chalo ji ab koi disturb na karay...ek shagird waki main parhna chahta hai....


dippo ji wese app kahan hain ajkal, tabiyat thek hai apki ?
tuba Ahmad Group: Members  Joined: 30th Jul, 2010  Topic: 23  Post: 165  Age:  29  
Posted on:5th Oct 2010, 10:35am
 

Sabaq

Sir Assalamalikum

Sir aapki tabiyat ab kesi hai?

Sir humne apna sabaq yaad to kr leya hai lakin abhi tora kacha hai ghar jakar pakka kr lege qki aaj office mein work bahut hai lakin humne apna sabaq yaad kke hi likha hai. Ek jeej samjh mein nahi ayi jo aapne toyein - tu'aan ki line nahi samjh mein a rhi usse samjha dejeye.

rey - rat - راات

Rey - pahar - پہھار

rdey - pohar - زارافا

zey - zarafa - ساوال - سیمات

seen - sawal, simat - سھاام - سھہر

sheen - shaam,shor - سابار - ساھیب

suwaad - sabar, sahib - سابار - ساھیب

zuwaad - zaye’eey, (Old men) zamin (Granter) زاےعععف

زامین

toyein - tu’aam - تئاام

zoyein - zaroof, zahir - زارہہف -زاھیر

Ye urdu ham computer se likhtein hain fir uske baad apni copy per apne aap likhtein hai jisse humko urdu b likhne a jegi. Agar urdu galat hai to aap hame bata de.

khuda hafiz

Naznainnazli Group: Members  Joined: 31st Jul, 2010  Topic: 8  Post: 196  Age:  26  
Posted on:5th Oct 2010, 11:45pm
 

Diplomat sir

Sir je apki tbiya kaisi he ab? Chutiyan kam karain humara time waist ho raha he humain next lesson parhayen wese me ne apko gramer kaha ap ne to mje abc pe laga dia he chailen mera sabaq check karain then next lesson dain.
Naznainnazli Group: Members  Joined: 31st Jul, 2010  Topic: 8  Post: 196  Age:  26  
Posted on:5th Oct 2010, 11:48pm
 

Hello, tuba sister.

Apko kuch pata he humare sir je kidar ghaib hein itne dino se? Ap ka test kab he urdu ka?
tuba Ahmad Group: Members  Joined: 30th Jul, 2010  Topic: 23  Post: 165  Age:  29  
Posted on:5th Oct 2010, 11:58pm
 

Gramer

Nazn sister agar apko gramer sikhne hai to jo sabaq hamare sir humko dete hai aap b whi yaad karo agar aap hamare sabaq ko read karegi to aapko wha dhekhne ko milega ki hamare Sir jb humko sabaq detein to who wha english mein b usko trans. krtein hai ok whi aapko english gramer a jayegi. Aur mere Sir ne sbko parane ka teka nahi leya hai who keval Urdu class letein aapko english gramer ke leye kio aur teacher talash krna chaye. Plz if don't mind.
tuba Ahmad Group: Members  Joined: 30th Jul, 2010  Topic: 23  Post: 165  Age:  29  
Posted on:5th Oct 2010, 12:03pm
 

dear sister

dear sister Sir ko aur b work rahta hai who aapko har time forum per nahi milege who jb b online huya karege aapka sabaq aapko mil jaya karega. Aapko yaad krna puri imeen dari se ok
Naznainnazli Group: Members  Joined: 31st Jul, 2010  Topic: 8  Post: 196  Age:  26  
Posted on:5th Oct 2010, 3:06pm
 

Miss tuba jeeee

Me ne ap se mashwara nhi manga k mje kis teachr ki zrurat he apne kaam se kaam rakho ye mera aur dippu uncle ka masla he tm tang mat arrao to behtr he. Understand madam tuba.
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:5th Oct 2010, 4:25pm
 

Masha'Allah

Tuba ..wa'alaikum aslaam .
main Allah k karam sy abb theek hon...thanks

abb to students ki tadad b bharrti ja rehi hey aur students sanjeeda b ho rehy hain...good good ...lagta hey hamara new roshni school buhat taraqqi kary ga..:)

next lesson for tuba

ayn <urdu haroof-e-tahajji ka 23rd harf hey> ghayn <24th> fey <25th> qaaf <26th> kaaf <27th> gaaf <28th> laam <29th> meem <30th> noon <31st> waoo <32nd> hamza <33rd> choTi ye <34th> baRi ye <35th>

inn haroof ka istemaal

ayn = aqal , ayb aboor (wisdom , fault , cross or command)
ghayn = ghubara , ghayb , gheebat (balloon , disappear or invisible , backbiting)
fey = faltu , fazool , faraq (extra , useless , difference)
qaaf = qaynchi , qabar , qiyamat (scissor , grave , judgement day)
kaaf = kutta , kaTna , kaghaz (dog , cut , paper)
gaaf = goli , gajar , gali , gaali (bullet , carrot , street , abuse)
laam = loha , lakRi , lalich (iron , wood , greed)
meem = muhabbat , masoom , moti (love , innocent , pearls)
noon = naaf , noukery , naTak (navel , job , drama)
hamza = mansha'a , sana'a (desire , glory) "hamza" aik aysa harf hey jis sy koi urdu lafaz to nahi banta magar iss harf ka istemaal urdu k buhat sy alfaaz k akhar main hota hey
choTi ye = buhadri , mazdoori , bemaari (braveness , labor , illness or disease) hamza ki trah "choTi ye" sy b koi urdu ka lafaz nahi banta magar "hamza" ki trah "choTi ye" b aik supporting harf hey jo buhat sy urdu alfaaz main istemaal hota hey
baRi ye = yawar , yasmeen ,yahoodi (names , Jews)

"hamza" aur "choTi ye" ki trah ka urdu haroof-e-tahajji main aik aur supporting harf hey ussy b "ye" hi bolty hain laiken uss ki banawaT aur tahreeri andaz "choTi ye" ya "baRi ye" k jaisa nahi hota ...maslan aap ny urdu main lafz "television" likhna ho to iss lafaz main uss "ye" ka istemaal ho ga uss ki shakal "rey" ki trah hoti hey magar uss k ooper 3 nuqty (dots) daly jaty hain

aik aur bat tuba aap abi udru rasam-ul-khat main na likhain yani urdu alfaz main apna sabaq na duharaien abi sirf urdu haroof-e-tahajji ki tadad aur tarteeb ko zehan nasheen krain....main aap ko baqayda urdu main b sary haroof-e-tahajji samja doon ga q k aap k likhy howey urdu alfaaz maani ko badal daity hain ...aur urdu alfaaz ki adaygi (pronunciation) b theek sy nahi ho pati..

nazi aap ki vocabulary masha'allah buhat achi hey iss liye aap kuch urdu jumlon ki english translation krain ta k aap ki grammatic errors ko chek kiya ja saky

1 . wo geya geya
2 . main ny ara daikha
3 . chashmy ka pani bahar k mosam main spring ki trah uchlta hey

abi k liye itna hi kafi hey baqi baad main ......

HITMAN ji aap ka shukriya k aap ny muj haqeer ko b yaad rakha hey main theek hon aur yaheen forum par hi hota hon bas aap sy baat cheet nahi ho pa rehi iss liye shaid aap samjty hain k main kaheen chala geya hon .....dosri khushi ki bat yeh hey k aap ny yahan students ko tang karna chorr diya hey ..shaid aap ko peon bhimji ny kafi sakhat alfaaz main samjaya hey ...:lol :P
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:5th Oct 2010, 4:28pm
 

oho

main yahan sab ko mana kar raha hoon k students ko tang na krain ta k wo poori tuwajjo sy parr sakain....laiken ye kia yahan to students hi apis main larrna shuro ho gaye hain ...buri bat hey bacho aysa nahi karty ...chalo dhiyaan sy apni apni kitabain kholoa aur ghor sy parrho...:))
Naznainnazli Group: Members  Joined: 31st Jul, 2010  Topic: 8  Post: 196  Age:  26  
Posted on:6th Oct 2010, 6:26am
 

Dipu uncle

Apki stundent tuba ka kehna he k ap urdu k ustad ho ap English parhane k ehl nhi hein uski bat bi thek hi hy ap bi to insaf ni krte urdu ka sabaq itni detail me daitl me dety hein jbk mje abc he prha rhe hein abi tak r to r dirct translatn de di jbk apko chahye tha pehle skhate apto mera imtehan le rhe hein is se pehle to apko tens skhane chaye the mje to abi ye bi nhi pta k tens chez kia he? Ap dippu ustad hi thek hein wo bi urdu wale lehaza me apki clas aur schol chor k ja rhi hu Allah hafiz.
Naznainnazli Group: Members  Joined: 31st Jul, 2010  Topic: 8  Post: 196  Age:  26  
Posted on:6th Oct 2010, 6:32am
 

Miss Tuba

AApko apk dippu ustad mubarik hon or urdu ki class bi. Ye new roshni schol nhi chal skta jidar jealousy student ka raaj ho wo schol kese chal skta hy. Bye bye.
~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4259  Age:  29  
Posted on:6th Oct 2010, 8:45am
 

Shabashay

naznain nazli, sun lia appne yahan kevil urdu ki claas horahi hai.....aur kevil kisi ki class nahi howathay.....

aey g o g lo g suno g dippo ustaad g, apne tou apne peon ko bhi kaafi sar pe charha rakha hai apni seceratary ki tarha....biwi se pitaae ka ghussa ofice main akar nikaalta hain...wo tou main iski mutthi garam kardeta hon warna khuwa ma khuwa main bech main anay ki iski porani adat hai .. ;-)
For More Detail Click On Page No: 1 2 3 4 5 6 7 8  >>
 
 
 
Pakistan Day Celebration In Malaysia  How to get UK settlement spouse visa for us citizen  Bangladeshi Community Celebrating Canada Day In Toronto

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us