~~HITMAN~~ |
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4287 Age:
28
|
|
Posted on:14th Jan 2008, 3:27pm |
|
|
Jealousy: How To Avoid It Completely?
Jealousy ek ehsa emotion hai insaan kay andar jo insaan ko andar hi andar say itna khokla kardeta hai kay agar insaan apne app ko na sambhalay tou us say pata nahi kya kya ghalatiyan sarzad hojayee...............
Jealousy sab kay andar mojood hai (merey andar bhi aur app k anader bhi) .........likin jo loag is say deal karana sekh jatay hain wo issay completely avoid kartay hain ..............likin jo loag aesa nahi karpatay wo kuch na kuch kar k apni jealousy ka izhaar zaroor kartay hain , ya phir geo aur jenay do wala hisaab hojata hai..................for example : hamaray ek buhut hi seniour member
Ye topic specially un logon kay liyain hi hai jo apni jealosuy wali aadat say pareeshaan or us ko khatam karna chahtay hain..............
so app kya samajhtay hain kay hum jealousy ko kis tarha khatam karsaktay hain plus wo kya common reason hotay hain har insaan main (basic reason) jis say unki jealousy develop hoti hai..........
Kya zindagi main har cheez panay waloon main bhi jelousy hai (like super stars )
|
seriously |
Group: Members Joined: 12th Dec, 2007 Topic: 24 Post: 313 Age:
56
|
|
Posted on:14th Jan 2008, 3:43pm |
|
|
Jelousy aik shaitani sifat hay. Kis tarah. Quran main Allah aur shaitan ka dialouge bar bar repeat hus hay. Jub Allah nay insan ko banaya aur farishtoon aur shaitan ko hukum dia k insaan ko sajda karo to shaitan jealous ho gia aur allah say kaha kah main aag say ban hon aur Adam (Alaih a salam) matti say tow main us ko sajdah nahi karoon ga. Yeh us key jealousy hey tow thee jis key wajah say us nay Qiamat tak kay ley-a allah taala ko naraz kar dia .
Jealousy ko khatam karnay kay ley-a ahsas a bartari ( superiority complex) ko khatam karan hoga. Jealousy khatam karnay kay ley-a gharoor ko khatam karna ho ga. Jealousy khatam karnay kay ley-a dosron kay khialaat key aur shakhsiat key izzat karna ho gee.
Note: Please correct me if I am wrong. Please do not pass any personal comments. |
BeautyStar |
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3598 Age:
26
|
|
Posted on:14th Jan 2008, 4:12pm |
|
|
Jealousy Jealousy har kisi ma hotey hai magar kuch loog control kar letey hain
or kuch nahi kar paatey .... Research k mutabiq yah Aurtoon ma zayadah
hotey hai jiss ka woh izhaar bhi kartey hain aur mardoon ma kam hotey
hai ...
Insaan chahey jitna bhi Ameer hoo ya SuperStar iss ko jealousy zaroor
hotey hai kisi na kisi se .... yah har tarah k logon ko hotey hai
chahey barda hoo ya chotah , ameer ho ya gareeb ..... !
- Deen k mamley ma Apne se upper walooon ko dekhoo
- Duniyah k mamlaat ma apne Neechey waley logon ko dekhoo
Matlab Agar app apne se superior ko dekh kar jealous ho rahey hain tou
apne se Inferior waley logon ko dekhein tou iss se app ki jealousy
khudh ba khudh khatam ho jaey gee aur ALLAH ka shukar Zuban or Dil per
ajaey ga .
|
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 99 Post: 4655 Age:
37
|
|
Posted on:14th Jan 2008, 4:17pm |
|
|
its natural it is a natural feeling.....
har koi apni life me jelous kisi na kisi se húa hoga...ye sahi hai ke ye zayadatar aurton me hi paya jata hai.
normaly halki phlki jelousy har ek me hoti hai,par kuch log ise apne upar is had tak sawar kar lete hain ke dusron ka nuksan karne par a jate hain...so its not good....we shoud avoid it but how..? i dont know ya yoon kahain is waqt is bare me sochne ka mood nahi hai,,i still wait for other members replay... |
josh |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2296 Age:
36
|
|
Posted on:15th Jan 2008, 12:54am |
|
|
jealousy! suna or dekha hai k mostly, ziada jalnay walon ka weight kam hota hai. i mean hadiyan ziada or gosht kam.. or dekhnay mai kafi kamzor lagtay hain (but it is not 100% formula to find jealous ppl)..
seriously is right "Jealousy ko khatam karnay kay ley-a ahsas a bartari ( superiority complex) ko khatam karan hoga. "
|
Bili_miau |
Group: Members Joined: 20th Oct, 2007 Topic: 17 Post: 871 Age:
26
|
|
Posted on:15th Jan 2008, 10:59am |
|
|
hmm yeh to eik suni sunai baat hogai na..ya koi fatwa type...per kher....mer kahil me jealousy se kabhi bhi avoid nai kia jasakta aur na hi jealousy koi aisi buri adat he kisi had tak... |
Bindiya200 |
Group: Members Joined: 13th Dec, 2007 Topic: 0 Post: 29 Age:
26
|
|
Posted on:15th Jan 2008, 12:51pm |
|
|
Jealousy
Jealousy
har insaan mein mojood hoti hain. kuch log is peh control kar letey hain . aur jo nahi karte wo aise hote
hain. Jealousy insaan kay andar aur
baher ki khoobsurati ko khatam kiarti hai. dusron ki nazaron mein insaan ko bura
bana daiti hain. jealousy se insaan bohut he khalat rastay pe ja sakta hai. wo
buray kaam karta hai , aur dusron ko nuksaan bhi ponchaa sakta hai.jin logon
kay andar bohut zyada Jealousy mojood ho . un ko apne ilawah duniya ki har
cheez buri lagti hain . aise log apne aap ko duniya ka sub se acha , sub se khoobsurat
, sub se zyada samajhdaar insaan samajhte hain. aise log dusron ko Apne paon ki
jooti samajhte hain. un ko jitna bhi samjaya jaye un ko wohi baat theek lagai gi .
jo un ko sahi lagai gi.aise log dusron ki har baat ka ghalat matlab letai hain. In se
dusron ki khushyan bardasht nahi hoti hain. aise logon se koi baat karna pasand nahi karte . mere kheyal mein jo log is
pe control karna chahein wo is pe asaani se control kar sakte hain.
|
~~HITMAN~~ |
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4287 Age:
28
|
|
Posted on:16th Jan 2008, 3:17pm |
|
|
Well said all Sab nay buhut achi batain ki but ghuroor say jealousy ka kya taluk hai seriously............kyun k ghuror ek ghamand hai aur jealousy ek jalan/ehsaas e kamtari ............ tou jis ko ghamand hota hai us ko ehsaas e bartari hogi na kay jealousy (ehsaas - e - kamtari).................hmmmmm important point
|
Hangama |
Group: Members Joined: 02nd Dec, 2007 Topic: 37 Post: 1261 Age:
37
|
|
Posted on:16th Jan 2008, 3:51pm |
|
|
bili what about ur weight? Bili apka weight kam hai kiyaaaa? |
~~HITMAN~~ |
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4287 Age:
28
|
|
Posted on:16th Jan 2008, 3:55pm |
|
|
Re: HUngama Paji app ko billi lki itni fikar kyun rehti haiiiiiii, mujhe kuch batana pasand karain gay....................
|
Hangama |
Group: Members Joined: 02nd Dec, 2007 Topic: 37 Post: 1261 Age:
37
|
|
Posted on:16th Jan 2008, 3:57pm |
|
|
Hitman Hitman paji upper josh na yah likha
"suna or dekha hai k mostly, ziada jalnay walon ka weight kam hota hai"
to mera khayal bili ki taraf gaya to maina general knowledge ka liya bili sai pucha tha ka unka weight kam to nahi hai. yar hitman pajee tusi meri tang mat khechoooooo. |
~~HITMAN~~ |
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4287 Age:
28
|
|
Posted on:16th Jan 2008, 4:00pm |
|
|
Re: Paji kyun k main bhoot hon is liyain bhoooton ko buhut jealousy feel hoti hai .....................
|
Hangama |
Group: Members Joined: 02nd Dec, 2007 Topic: 37 Post: 1261 Age:
37
|
|
Posted on:16th Jan 2008, 4:07pm |
|
|
hitman woh to lag raha hai ka maina kuch kaha to kisi na kuch nahi kaha magar hitman nai foran kaha. LOL |
BeautyStar |
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3598 Age:
26
|
|
Posted on:16th Jan 2008, 4:27pm |
|
|
Hungama Paajeee Bhabhi Jee maikah kiya gaey app ko tou full time azaadi mil haey hai .... LArkiyoun se weight k barey ma poocha ja raha hai ;) ... kal iss ka bhi scandal baney ga (lol) .... Ajj sirf wight poocha kal ko kuch or poocho gaey .... Bhabhi Jee where are you ... you husband is being Naughty ;) |
Bili_miau |
Group: Members Joined: 20th Oct, 2007 Topic: 17 Post: 871 Age:
26
|
|
Posted on:16th Jan 2008, 4:52pm |
|
|
well nai mera weight theek he uski fikar na karo..wese jalne walon ka weight kam hota he ..to mera to nai islie aapka zaida kam hona chaie na..kyon sahi kaaha? |
khoobsurat |
Group: Members Joined: 06th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 326 Age:
28
|
|
Posted on:16th Jan 2008, 11:50pm |
|
|
jealousy agar jalne walon ka weight kam hota hai to gulabi aunti aur neem-hakeem to tinka honge b/c dono hi logon se jalte rehte hain. Nadeem(neem-hakeem) doctors se aur gulabi aunti khoobsurat se :) |
mild2me |
Group: Members Joined: 17th Dec, 2007 Topic: 9 Post: 54 Age:
31
|
|
Posted on:17th Jan 2008, 4:51am |
|
|
jealousy In my view jealousy is inevitable.First of all jealousy started when you find that someone has those things,qualities which you dont have.But there are few tips you can avoid jealousy.
- Believe it that whatever someone has it is given by ALLAH,And if you dont have that thing you must be given something which he/she dont have.Because it is justice of ALLAH that He has given peculiar qualities to everyone.
- Try to admire that person to whome you feel jealousy.
- Try to be like him/her.Wish to ALLAH that make me like him/her.
- Try to get closer to him/her so that you may know how he got particular qualities.
- If you are jealous to someone due to his beauty and you are not that much beautiful.Then try to be more hospitable to others.Be more generous to others.Be more positive in your behaviour.
Hope all these given tips will help you to avoid jealousy.
Hope you will find my views positive and will get benefit from this. |
sunny007 |
Group: Members Joined: 22nd Dec, 2007 Topic: 44 Post: 4214 Age:
|
|
Posted on:19th Jan 2008, 5:17am |
|
|
re forum k har member ne jo replies ki hain sab tareef k qabil hai. lekin bindiya ne wo points details se batie hain jo k jealousy ko janam deti hain. aur jealousy se bachne k lie mild2me ne achi tips post kie hain we should try to obey all these |
Maryam |
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:7th Feb 2009, 12:05pm |
|
|
Jealousy itna acha aur sensitive topic hae k so baar sochna parra hae kyun k sab k replies bhi bohat achay hain aur reality based hain. jealousy nafrat ko janam deti hae aur nafrat bohat buri si cheez hae nazar to nahi ati lekin hep.B jaisi beemari isi waja se hoti hae . jealousy ki bunyad yeh hae k aap kisi ko apnay se afzal samajhtay hain aur aap ki ego is ko accept nahi kar rahi hoti to aap doosre ki achaiyon ko burai k sense main lenay lag jatay hain. un k achai ko deny karte hain. jealousy ka nuqsan sab se ziada jealous hone wale ko hi hota hae. rashk karna buri baat nahi lekin rashk bhi deen k muamlay mein hi hona chahiye. yahan Beauty star ne jo 2 points bataye hain bohat strong hain . mera zati khayal yeh hae k jaise hum un cheezon ko avoid karte hain jo zahir main badsurat aur gandi si hoti hain aur un ko apnay ghar main jaga nahi detay isi tarah jealousy nafrat badgumani aisi buri aur badsurat cheezain hain jinhain hum log apnay dil main jaga diye huwe hain . jab tak andar ki is ghalazat ko saaf nahi karaingay hum na to duniya main kamiyab hongay aur na hi Allah k Hazoor. Allah hum sab ko in baaton se bachne ki taufeeq atta farmaye(ameen) |
Maryam |
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:7th Feb 2009, 12:20pm |
|
|
aik baat aur ji haan zindagi mein sab kuch panay walon mein bhi jealousy hoti hae kyun k zaroori nahi jo sab kuch pa lay wo khushi aur sakoon bhi hasil kar lay aur yeh duniya hae hi aisi cheez jahan khahish kabhi khatam nahi hoti sirf qana,at aisi dolat hae jis se na sirf dili sakoon hasil hota hae balke jealousy bhi nahi hoti . waise bhi Momin ki yeh shan hae k woh apnay Muslim bhai ko khush dekh kar usay dua de na k jal jal kar apna hi nuqsan kare. |
|