Javed Imad
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2009 Topic: 14 Post: 367 Age:
39
|
|
Posted on:26th Oct 2010, 8:25pm |
|
|
Kbhi Barish Barasti he Kbhi Barish Barasti he To mjhko Yaad Aata hay Wo Aksar mjh se Khta Tha
"Mohabbat Eik Barish hay" Sbhi p jo Barasti hay
Mgar Phir bhee nai hoti Sbhi k Wastay Yaksaan Kissi k Waste Rehmat,, Kissi k Waste Zehmat,,
Mein Aksar Sochta hon ab Woh mjh se Theek kehta thaa
"Mohabbat Eik Barish he" Sbhi p jo Barasti hay
Kbhi mujh p bhee Barsi thi Mgar meray Liye Barish,,
Kbhi na ban saki Rehmat,, Ye Rehmat keyn nai banti??? Kbhi mein khud se Pochoon to Ye Dil Duhai Deta hay
"""Kbhi Kachay Makaano ko bhee Barish Raas Aai hay?????""" |
Javed Imad
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2009 Topic: 14 Post: 367 Age:
39
|
|
Posted on:26th Oct 2010, 8:27pm |
|
|
K Tum Meri Hi Ho Na..... Wo Jab Bhi Mujhse Milti Thi Har Bar Masoomiyat Se Mujhse Pucha Karti Thi K Tum Mere Hi Hona??? Aur Me Har Bar Us K Chahray Ko Apne Hathon Se Choo Kar Qasam Khaya Karta Tha Per Kash Mene Aik Bar Us Se Puch Liya Hota K Tum Meri Hi Ho Na..... |
Javed Imad
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2009 Topic: 14 Post: 367 Age:
39
|
|
Posted on:26th Oct 2010, 8:28pm |
|
|
Aik Baar kar k itabar Likh do Aik Baar kar k itabar Likh do Kitna hai mujh se piyar Likh do,
Kati Nahi ye zindagi ab tere bin Kitna aur karon Intazar Likh do,
Taras Rahay Hain bari Muddat se Es Baar apni Mohabbat ka Izhar Likh do,
Deewany ho jain jise parh k hum Kuch Aisa tum mere yaar Likh do
Ziyada nahi Likh saktay to mat Likho Tum Muhabbat Baray Lafz 2,4 Likh do
Aik Baar Likho Mohabbat hai tum se Phir ye Jumlah Baar Baar Likh do |
zubair uk
|
Group: Members Joined: 22nd Oct, 2010 Topic: 6 Post: 67 Age:
24
|
|
Posted on:30th Oct 2010, 12:23pm |
|
|
Tum aao to hum bhi Eid karen Tum aao to hum bhi EID karen Hasrat hai tumhari deed karen
Kuch der to dil ko chain mily Kuch roz to mann k phool khilen
Kehty hain k EID ki aamad hai Hum log bhi kuch taaeed karen
Tum se ik ye guzarish hai Ye apny dil ki khwahish hai
Ik bar milo Ik bar milo Hr bar ye hi taakeed karen
Maana k hum deewany hain Sab baaton se anjany hain
Jab apny bhi begany hain, Kiya ghairon se ummeed krain
Tum aao to hum bhi Eid karen Tum aao to hum bhi Eid karen. |
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
31
|
|
Posted on:14th Nov 2010, 2:25pm |
|
|
Aaj ki shab Aj Ki Shab To Kisi Tor Guzar Jayegi Rat Gehri Hai Magar Chand Chamkta Hai Abhi Mere Mathy Pe Tera Pyar Damakta Hai Abhi Meri Sanso Me Tera Lams Mehakta hai Abhi Mere Seenay Me Tera Nam Dharakta Hai Abhi Zeest Karnay Ko Mere Pas Bohat Kuch Hai Abhi Teri Awaz Ka Jadoo Hai Abhi Mere Liye Tere Malboos Ki Khushboo Hai Abhi Mere Liye Teri Bahain Tera Pehloo Hai Abhi Mere Liye Sub K Barh K Meri Jaan Tu Hai Abhi Mere Liye |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:14th Nov 2010, 3:19pm |
|
|
nice sharing aaj ki shab chupaya ja nahi sakta dikhaya ja nahi sakta
mohabbat roag aisa hae bataya ja nahi sakta
yeh chahat raat ko bachoN ki manind jaag jati hae
isay phir thapkiyaN dekar sulaya ja nahi sakta.
|
zoya123
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2010 Topic: 9 Post: 17 Age:
25
|
|
Posted on:26th Nov 2010, 10:59pm |
|
|
kisi se itni muhabbat bhi nahi rakhni hai Raat Din Hijar Ki Wehshat Bhi Nahi Rakhni Hai, Kisi Se Ab Itni Muhabbat Bhi Nahi Rakhni Hai, . Jis Ka Ji Chahay Humein Torr K Tukray Karday, Is Qadar Narm Tabiyaat Bhi Nahi Rakhni Hai, . Ek Do Saal K Rishton Se Humein Kya Haasil, Ek Do Pal Ki Rafaqat Bhi Nahi Rakhni Hai, . Jinse Bicharen To Sambhalny Me Zamany Lag Jaen, Aise Logon Se Muraw’wat Bhi Nahi Rakhni Hai, . Kiya Ajab Haal Hai Chahat K Talabgaron Ka, Shoq Biknay Ka Hai Qeemat Bhi Nahi Rakhni Hai……!!!!
|
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
31
|
|
Posted on:26th Dec 2010, 6:33am |
|
|
Wo larki b ajeeb paheli thi Wo larki b ajeeb paheli thi
Peyasay hont thay aankh samundar jesi thi
Sooraj uss ko dekh ke peela parrrta tha
Wo Sarma ki dhoop main dhul kr nikli thi
Uss ko apne saaye se darr lagta tha
Soch ke sehra main wo tanha hirni thi
Aate jaate mausam uss ko daste thay
Hanste hanste palkoon se ro parrti thi
Aadhi raat ganwa deti thi chup reh kr
Aadhi raat ke chand se baaten krti thi
Door se ujray mandar jesa ghar uska
Wo apne ghar main akloti Devi thi
Moam se nazuk jisam sehar ko dukhta tha
Diye jala kr shab bhar aap pighalti thi
Tez hawa ko rok kr apne aanchal par
Sookhay phool akathay krti phirti thi
Sab par zahir kr deti thi bhaid apna
Sab se ik tasveer chhupaye rakhti thi
Kal shab chakna choor hua tha dil uska
Ya phir pehli baar wo khul kr roi thi
Mohsin kya jaane q dhoop se be parwah
Wo apne ghar ki dhleez pe bethi thi..
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:27th Dec 2010, 4:36pm |
|
|
maiN mar miTa Main mar mita to woh samjha ye inteha thi meri
Usay khabar he na thi, khak e keemya thi meri
Main chup howa to woh samjha k baat khatm hoi
Phir us k baad to awaz ja baja thi meri
Jo taana zan tha meri pooshish e dareedah par
Usi k dosh pe rakhi hoi quba thi meri
Main uss ko yaad karoN bhi to yaad ata nahi
Main us ko bhool gya hoon yahi saza thi meri
Shikast de gya apna ghuroor he usko
Wagerna us k muqabil bisaat kia thi meri
KahiN demagh, kahiN dil, kahiN badan he badan
Har ek se dosti yaari juda juda thi meri
Main us ko dekhta rahta tha hairatoN se Faraz
Ye zindagi se taaruff ki ibtedaa thi meri
|
nikama
|
Group: Members Joined: 15th Oct, 2007 Topic: 47 Post: 1808 Age:
35
|
|
Posted on:27th Dec 2010, 9:01pm |
|
|
wahaaa.... arz hai ; na milta wu naqd -e- jaan day kur bhee hum ko giraan tha iss qadar souda kay khud ko baich ayae hum
|
Javed Imad
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2009 Topic: 14 Post: 367 Age:
39
|
|
Posted on:29th Dec 2010, 5:27pm |
|
|
Lipat kar apni tanhai se Lipat kar apni tanhai se jagta rahti hon main..
Tamam raat kisi ki Yaad mujhe soney nahi dati..
us ki koi masoom si shararat jab bhi aati hai yad...
udaas to kar jati hai per roney nahi deti...
log kahte hain bhool kar use nayi zindagi shoroo kar..
wo rooh par qabiz hai muje kisi or ka hone nahi deta... |
saim1
|
Group: Members Joined: 23rd May, 2008 Topic: 44 Post: 2214 Age:
36
|
|
Posted on:8th Jan 2011, 9:55pm |
|
|
poetry
Wo Bejaan Sang-E-Dil Ko Pighlaate Chale Gaye
Har Shokh Adaa Se Apni Lubhaate Chale Gaye
Ham Thhe Ke Soz-E-Nihaan Mein Simate Huye
Pankhudi Sa Wo Mujhko Bikhraate Chale Gaye
Hosh-O-Havaas Apne Tau Pehle Hi Se Thhe Gum
Aur Wo Ke Zulf Pareshaan Aur Uljhaate Chale Gaye
Karne Ko Yeh Saabit Ke Hai Gehraayi Jheel See
Aankhon Mein Meri Khud Ko Dubaate Chale Gaye
Baad-E-Saba Sa Meri Sanson Mein Ghul Gaye
Betaabiyon Ko Meri Aur Badhaate Chale Gaye
Chahat Ko Chupaane Kaa Saliqaa Hi Nahin Thaa
Jaan Usake Lab-E-Shiriin Pe Lutaate Chale Gaye
Be Khata Thaa Mera Dil Phir Bhii Naa Kii Mehar
Ahad-E-Wafa Mein Kya Kya Karaate Chale Gaye
Meri Har Ik Saans Ho Us Chaand Raat Pe Qurbaan
Jis Shab Wo Lutf-E-Vasl ‘Paras’ Dohraate Chale Gaye
|
|
For More Detail Click On Page No: 1 2 3 >> |
|