Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Face Book And You Tube Banned In Pakistan

Non Medical Discussion   >>  Discussion
 
 
 
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6476  Age:  35  
Posted on:19th May 2010, 12:06pm
 

Face Book And You Tube Banned In Pakistan

 Face book service ko Pakistan government nay bund kur deya es action pay ap keya kayin gay,  Muslims ko Kessaa undaaz apnaanaa Cha-yeh Protest ka,? international forum py or UN level pay kiss turaa protest ko Muslim country record kurwayin ?  meah sumujta hon ek mosh-turika laay-aamul apnaaya jay muslim countries or esy countries say bilkol relation na rukhy jayin jin ka Hath Prophet (P.B.O.H) ki shaan meah gostakhi meah ho, ya agur apky mind meah koi idia ho?



sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 99  Post: 4655  Age:  37  
Posted on:19th May 2010, 3:12pm
 

ye kab se hua

----------


myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:19th May 2010, 10:41pm
 

khas kam jahaaN paak

issay mustaqil hi band rahna chhaiyeh
KHOKHAR786 Group: Members  Joined: 25th Jan, 2010  Topic: 30  Post: 122  Age:  28  
Posted on:20th May 2010, 3:09am
 

cartoon protest

very sad k jin logon ko ye jurat hoi k unho ny ye amal kia

iss pr jaisa k pakistan mein protest ho rahe hein ye bohot zaroori hein aur govt satha pr bhi iss tarah k aqdamat hony chyein,

un countries k sath rabta munqata krna chayey

aur Tahafz namoos e risalt ki conferces honi chayein allaha ur Rasool pak SAW SY RABTA MAZBOOT KRNY K LIAY PROGRAAME HONA CHAYEIN.

AAJ HUMARA EMAN BOHOT WEAK HO CHUKA HAI JISS KI WAJHA SY ISS TARAH K EMAL MEIN IZAFA HO RAHA

MERA APNA ACCONT FACE BOOK PR HAI MEIN USS KO EHTJAJUN

KHTM KRTA HOON,

AUR ALLAHA TAALA SY DUA HAI K HUMEIN EMAN KAMIL NASEEB FARMY AUR TAHFZ NAMOOS E RISALT PR JAN BHI QURBAN KRNY KI TAFEEQ ATA FRMAY

......................

toheen amez khaky aur hamara rad e amal

aoa,

face book pr toheen amez khaky shaia kiay gay hein kia hum ko iss forum pr koi rad e amal krna chaye agr han

 tu phir hum kia kr skty hein,




Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3829  Age:  27  
Posted on:20th May 2010, 7:16am
 

agreed

agreed with khokhar.. hakoomti satah per is issue ko uthaya jana chahiye or tamam muslim world ko is per stand lena chahiye..

btw, abhi tak is issue per janab altaf hussain sahab ki koi muzamati bayan nahin aya, warna unhein to har baat mein tang arranay ka shouq hai. adha din to woh mukhtalif baaton ki muzamat mein guzar detay hien...

altaf sahab ko samajh lena chahiye k angrezon ki ghulami kar k woh pakistani awam per hakoomat ka khawab poora nahi kar saktay.
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6476  Age:  35  
Posted on:20th May 2010, 9:48am
 

seemi

meri Ghyoor bahen  Essaa  nahi bolo ,ultaaaf nay engrazo  say waada  kur rukha  hay  murty  dum  tuk tomraaa Gholaaam raho ghah . bus mujy Pakistani Bewakoof  awaaam pay Hukomaaat ka khuwaaab poraa  kurny   Deya jay.

 



sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 99  Post: 4655  Age:  37  
Posted on:20th May 2010, 11:50pm
 

well.

-----------


Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:20th May 2010, 11:53pm
 

Hazoor (PBUH) per hazaro facebook Qurban kiye jaa saktay hai.

samaji rishto ke liye facebook etni achchi website hai ke os ki jetni bhi taareef ki jaaye kam hai. lekin samaji rishtay Hazoor (PBUH) ki mohabbat se ziadah nahi ho sakta. lehaza Hazoor (PBUH) ki mohabbat mai haim facebook jaisi behtareen samaji website se rishta tor saktay hai.

aaj face book ki bandish ki wajah se mera apno se waqti rishta toota hua hai, lekin dil ko aik sakoon sa mahsoos hota hai keh ham ne apne piaray nabi (PBUH) ki khatir facebook se rishta tor dia hai.

Hazoor (PBUH) per hazaro facebook Qurban kiye jaa saktay hai. ham aisi website per nahi jaa saktay jahan hamaray piaray nabi (PBUH) ki toheen ki jaa rahi ho. ham laanat bhejtay hai facebook per.



Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:20th May 2010, 4:12pm
 

Hazoor (PBUH) per hazaro facebook Qurban kiye jaa saktay hai.

fully agreed with bewaqoof bhai 
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:20th May 2010, 11:07pm
 

jazak Allah

Bewaqoof n Maryam.

PS: GEO k kamraan khaan nay last night FB aur utube ki bandish ko "internet ki bandish" qarar detay howay hakoomatay pakistan k iss iqdaam ki mozammat ki hai. aur kahaa hai k aj k sciency daur maiN jabkay internet students aur deger logoun ki naa guzeer zaroorat hai, aisay main FB aur utube ki bvandish (onki) samajh say balaa tar hai. onka kahna hai k:

1. jo log mazkoorah tauheen amaiz khakay dekhnaa chaahtay hain woh FB aur UT ki bandish k bawajood dekh saktay haiN

2. jo log nahi dekhna chaahtay woh fb /ut  open honay k bawajood aisaa nahi karengay k sirf in maiN login honay say woh sites open nahi hojateeN

3. aj FB aur Utube ko band kardia to kia kal net ko band kardia jayega

4. jab pak k elawah kissi aur muslim momaalik ko koi "takleef" nahi howi... saudia /iran jaisay "islami momalik" maiN yeh sites open haiN to pakistan ko kia takleef hai k woh inhaiN band karay.

GEO ki yeh awaaz... pasay pardah kis ki awaaz hai.... aakhir GEO ko kia "takleef" howi insites ki bandish say k woh bilbila oThaa... kia pakistani qaum ko GEO k khilaaf bhi uThnaa paRega????

zara sochiyeh ... tauheenay resaalat saw k murtakib websites aur onkay owners ki hemayat /wakaalat main GEO ki yeh awaaz aakhir kia saabit karna chahati hai???? .... zara sochiyeh

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6476  Age:  35  
Posted on:20th May 2010, 11:30pm
 

i think

yeh aarzi pabundi bhe theek hay kisi hud tuk lakin kamran khan ki tunkeed bhe hukomti sutah pur theek hay, Kurna tu yeh cha-yeh taa kay Hukomat a wukat ek Press release jari kurti jis meah essy khaky publish keyeh jany walo py kuri tunkeed or warn keya jataa or shudeed protest sufaarti level py keyaa jataa, eyes bund kur lany say beli chuli nahi jati, abi hum nay nation k juzbaat thundy kurny kay leyeh ye block kur tu d hen lakin jin logo nay yeh Toheen ki onky khilaaf koi action ni leya ghiyaa, ban-al-aqwaami adaalat meah case dayir keyaa jata or UNO meah Qurardaad paysh  ki jaati or ek new law bunwaayaa jay jis meah koi Suzaa moqurrur ho koi Mostaqil hul tulaash keya jay, pakistan Governament nay serf aag bojany wali baat ki aag kay source ko khutam nai keya. souce wo log hen so International sutaah pur koch keya jay, Saudia say mil kay koi raah-a-aamul ikhtayaar keya jay tu ziyada achi bat hay, 
dosri baat aghur face book administration koi policy essy related nai bunaati or Muslim ka Juzbaat ki respect nahi kurti tu pher face book or you tube ko Mostaqil pak meah block he rukhaa jay, 



myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:20th May 2010, 11:54pm
 

FB /UT band karnay say

in sites k maalikaan k maali mofaad ko nuqsaan pahonchaa hai... do you know k aik din main FB aur ut walay pakistan /muslim momaalik say ketan earn kartay haiN???  mera khayaal hai k ap nahi jaantay...

sirf face book k 23,59,620 pakistani users salanah 461,765,066 rupees revenue adaa kartay haiN.......

islam dushman lobby ko apkay mozammati bayaanaat say, jaloos nikaal kar apnay hi mulk ki imlaak ko nuqsaan pahonchanay say.... koi faraq nahi paRtaa... onhain to oss waqt faraq parta hai jab ap onhaiN maali nuqsaan say dochaar karain...jiska JAIZ tareeqah yehi hai k onki product ka boycott kia jaa.ay........ ap aik maah FB, UT band karkay dekh lain woh ghuTnay nah Taik dain to .... lekin onkay agents GEO etc nay abhi say onkay nuqsaan par cheekhna start kardia hai... hakoomat bhi jald hi onko nuqsaan pahonchana band karkay yeh sites khol degi...

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6476  Age:  35  
Posted on:20th May 2010, 11:59pm
 

myrizvi

agent ki bat theek hay ho sukta hay akhur es wakat media pak meah power meah hay or Media ko zuoor use keya jaa sukta hay or keyaa jaa rahaa hay, es say itfaaq kurta hon,  
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:21st May 2010, 12:40am
 

you tube & face book

china main isliye blocked hain k yahan pe chinese  govt k against koi video play ki gai thi . agar china jaisa mulk in websites k baghair araam se chal sakta hae tou muslim countries bhi chal saktay hain . wese bhi FB aik yahoodi website hae jis ka maqsad hi muslims ki info collect karna hae 
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:21st May 2010, 4:57am
 

fb ko 2 arab euro nuqsaan ka saamna

akhbari ittela'aat k motaabiq tauheen aamaiz khakouN k moqaablay k elaan say dunya bhar maiN fb k boycott say ab tak website ko 2 arab euro ka nuqsaan oThana paRa hai... website ko 47% say zayad amdani islami dunyaa k users say hasil hoti hai ... sirf pakistna maiN fb users ki tadaad 23 lakh say zayad hai

american tv CNN k motaabiq FB daily 1.5 billion dollar ka business karti hai jiss maiN muslims ka hissah 47% hai. boycott ki wajah say FB ka daily 30% business band hochuka hai jabkay mazeed 20 feesad business par boray asraat paray haiN

is bhari nuqsaan k baad hi FB ki intezamia nay "peshkash" ki hai k agar iskay khilaaf boycott aur pabandi ki mohim tark kardi jaa.ay to woh tauheenay resaalat par mabni safhaat haTaanay ko tayyar hai......... hi oss zood pasheemaan ka pasheeman honaa ):

aik ittelaa k motabaiq pakistan main FB k motabadil "pak face book " ko saamnay laya gaya hai........ kash poori muslim dunyaa k user ab apni aik "muslim face book" bhi launch kardaiN

 

 

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:21st May 2010, 5:53am
 

raddy amal.....ihtejaj aur hamary jazbat..

Re:- "aik ittelaa k motabaiq pakistan main FB k motabadil "pak face book " ko saamnay laya gaya hai........ kash poori muslim dunyaa k user ab apni aik "muslim face book" bhi launch kardaiN"

han aysa kam hona to chahiye taham iss bat sy b koi khas faida hony wala nahi q k internet world main jo b domain registered hota hey wo "Pentagon" USA sy approved hota hey jaisy duniya ka har daily / weekly / monthly news paper "ABC" USA sy certified hona zarori hota hey...

behar hal issi thread main meri last post jo k abb delete kar di gaye hey ..main ny uss main b yehi keha tha k muslims ko jo b laye'h amal banana ho wo mustiqal banana chahiye yeh PEPSI numa jazbat ka izhar waqti hota hey aur iss ka kuch faida nahi hota ..

jaisy PEPSI (mashroob) waqti tour pr buhat  josh main ati hey aur lagta hey abb iss josh ny kabi thmna hi nahi hey laiken kuch hi lamhoon bad yehi PEPSI aysy thanddi ho jati hey k kabi josh main ayee hi na ho ....

yehi hal majmooi tour pr hum sab ka ban geya hey hum b waqti tour par josh main aty hain aur aysa lagta hey ab puri duniya ko hila kar rakh dain gy laiken PEPSI ki trah josh thanddy hoty hi sab bhool jaty hain ...aysa rawaya  b darhaqeeqt sehooni taqtoon k haq main hi jata hey .... 

any how... we strongly condemn facebook and youtube admen upon their unbearable act ...... 
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:21st May 2010, 10:53am
 

Altaf Hussan - Facebook - Imran Khan

re: "abhi tak is issue per janab altaf hussain sahab ki koi muzamati bayan nahin aya, warna unhein to har baat mein tang arranay ka shouq hai. adha din to woh mukhtalif baaton ki muzamat mein guzar detay hien..."

Janab Altaf Hussain aur Janab Pervez Musharraf saheb ne facebook ki shadeed muzammat ki hai. albatta Imran Khan saheb ke baare mai nahi maloom keh onho ne facebook per koi comments di hai keh nahi. kehte hai keh facebook aur Imran khan mo aik baat common yeh hai ke Imran khan ke bachcho ki walda aur face book ka malik dono yahoodi yahoodi hain.



H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6476  Age:  35  
Posted on:21st May 2010, 11:15pm
 

Face book and You tube banned in Pakistan

essy Tumaam incidents ka solution UNITY hay esky siwaa or koch nahi aaj agur muslim United hoon enki awaaz ek ho soch ek ho Fikur ek ho system ek ho tu kisi ki koi Mujaal nahi wo kisi bhe turhaa ki Dil-azaari kur suky, Hum international laws apni struggle say apni yuksaa awaz say bunaa sukty hen or world ko bawar kuraa sukty hen 
love bird Group: Members  Joined: 06th Nov, 2008  Topic: 73  Post: 1175  Age:  37  
Posted on:21st May 2010, 12:45pm
 

Tasveer Ka dosra Rokh-Part 1

Mr.Bewakoof nay bilkul sahee kaha face book samaji hawalay say khaw jitni bhee achi ho yea humari Hazoor saw say mohabbat say baRh ker naheeN hosakti oar aisi HazoorooN web app saww say mohabbat per qurban ki jasti haiN.

 

Mr."My rizvi" nay bhee sahee kaha keh humhain mozamati bianat tak mehdood rehnay kay bajai toheen kernay walooN per mohashi zarb laqani chaheai takeh oan ko ihsas ho.

 

Meri nazar mein aisi tamam web block honi chaehai jo kissi ki  dill aazari ka sabab banti hain.

 

Magar daikha yahee gia hai keh iss tarah ki pabandi say dushmanan e islam ka waqati noqsan nazar aata hy  magar in future wo iss say kahee fahiday hasil ker laitay hain.

 

For example jissay hum loaq face book kay 2 billion Euro ka noqsan kehtay hain marketing ki dunya say wabista loaq issay advertisement expense consider kertay hain.

Face Book nay 102 Billion kharch ker bhee keh itni shohrat hasil naheen karni thi jitni abb ker li hy keh Internet use na karnay walay bhee  facebook  ko jaan gai hain.(Hum nay lakhoon ki taadad mein SMS kihay)

 

Kuch aisa he 80/90 ki decade mein malhoon salman roshdi kay sath bhee hoa,salman roshdi ki shohrat aik  3rd class adeeb say zeada naheeN thi oas ki motnazia book say pehlay ki books ki sale na honay kay brabar thi oar oas ko apnay town kay loaq bhee naheeN jantay thay.Magar joonhi oas ki book per pabandi laqi oas ki shohrat aasman ko choanay laqi oar oas 3rd class adeeb ki wo 3rd class book best seller book ban gai.Oas pabandi say bazahir tou roshdi oar book publisher ko loss hoa keh kuch countries mein oan ki book sale naheeN hohee magar jahan pabandi naheeN thi wahan itni bikki keh roshdi molhoon oar oar oas ka molhoon publisher millioner ban gai .

 

Oas kay baad tou iss theory nay aik successful finomina ki hasihat ikhtiar ker li,religious oar political issue per bannay wali movies kay director khoud apni movie kay khilaf ijtajaj kerwatay oar ager kissi state mein pabandi laq jai tou phir dosri states meiN iss qadar business kay saray arman pouray hojatay.Recently "Fana "movie per aisa hi rade amal ayea result mein India ki aik state mein court nay pabandi laqai oar phir mivie hit say super hit hogai.




love bird Group: Members  Joined: 06th Nov, 2008  Topic: 73  Post: 1175  Age:  37  
Posted on:21st May 2010, 12:49pm
 

THE Economic Time

KaheeN aisa na ho keh jab yea pabandi (Face Book oar You Tube ) khattam ho tou iss web ko visit kernay waloon Ki taddad double hochukki ho keh hum nay iss web kay charchay pori dunyea mein ker dihai kuch aisi hi baat THE Economic Time apni website per aaj likhta hy

 

ISLAMABAD: Pakistan's blockage on wildly popular web-sites like YouTube and Facebook will likely have a reverse effect from the one desired by

 

authorities as curious Netizens would log onto these sites to see what the brouhaha is about. Pakistan's telecom regulatory body, Pakistan Telecommunication Authority (PTA) has said it found 'sacrilegious' content on YouTube, leading them to block it. Incidentally, YouTube has been co-founded by Jawed Karim, a Muslim. "We have asked the Internet service providers to block more than 450 web links, which contain derogatory material," The News quoted a PTA spokesman, as saying.

"The action follows our repeated attempts to convince these websites to discard such material," he added.

He said the PTA had approached the administrators of the websites through emails, however he could not name the officials who had been contacted.

Industry officials, on the other hand, say the authorities have yet to get in touch with the people who run Facebook and YouTube, the report said.

These hasty suppressive tactics are probably not going to be too fruitful, according to industry officials.

"There is no way of stopping this. The day government lifts restriction from these websites, the Internet traffic will double. People will visit them just out of curiosity," said an advertiser, who deals with Facebook and YouTube.




1 2  >>
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013