Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Face Book And You Tube Banned In Pakistan

Non Medical Discussion   >>  Discussion
 
 
 
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:22nd May 2010, 1:08am
 

agreed wid love bird

lagta hai k ayandah aisaa hi hogaa... hum muslim qaum jazbati to bahoot hain lekin longterm planner nahi/
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6476  Age:  35  
Posted on:22nd May 2010, 5:15am
 

Good work by Love bird

agreed with love bird 
love bird Group: Members  Joined: 06th Nov, 2008  Topic: 73  Post: 1175  Age:  37  
Posted on:22nd May 2010, 11:37pm
 

Dr.Qasim & MyRizvi

MeiN App dono ka bohat mamnooN hooN keh app nay aik yaksar mokhtalif point of view say agree kia.warna humari society meiN iss tarah ka point of view per oas fard ko oasy lobby ka fard qarar dia jaata hy jiss kay khilaf ijtajaj hora hota hy .
madman Group: Members  Joined: 08th Oct, 2009  Topic: 9  Post: 137  Age:   
Posted on:23rd May 2010, 4:10am
 

Agreed..!!

Main love bird ki soch aur us ne nazariye se ittefaq kerta ho lekin ab zarorat is amar ki hai ke hum ek ho jain aur mil ke face book aur you tube se apna account de-activate ker den. aur ye na sirf hum Pakistan ke musalman balkeh dosri muslim countries ke musalman aur i mean to say jahan jahan musalman bastay hain sabhi mil ke ye kadam uthain phir kahen hum apni zimmedari pori krain gey. aur phir shayad is amar se hamari aur dosri countries ki government ki ankhain bhi khul jain.

Sirf hamary 2-4 logon ke protest kernay se nahee sab ko mil ker chalnay se bat banay gay..
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6476  Age:  35  
Posted on:30th May 2010, 12:51am
 

face book banned in Bangladesh

Bangladesh nay bhe face book ko block kur deya hay arzi tor pay
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:30th May 2010, 3:19am
 

Facebook publicity

haqeeqat yeh hai keh facebook aur youtube Block se in dono website ko bepanah shohrat mili hai. aur yeh sab kuch hamarey hi haatho hua hai. lekin ham log bhi kia kare, ham sab apne apne piaray Nabi (PBUH) ki mohabbat mai os ke against bianat de rahe hai. hamai os ke khilaf biana dena bhi chahiye.

aksar awqat manfi baato ko bhi publicity ka zaria banaya jaata hai. pooray dunia ki actress jab media se out hone lagti hai tu woh apna scandal/sex scandal khood tayaar ker ke media ko jaari karati hai. aur woh media mai inn hone mai kamiab ho jaati hai.

facebook aur youtube per pabandi se doosre pakistani websites per 20% visitors ziadah ho gaye the. youtube per pabandi khatam hone per visitor ki taadad normal ho gayee hai. asoolan youtube ki pabndi khatam hone per sirf 10% visitor ko kam hona tha, lekin 20% kam ho ker normal per aa gaye. iss ka matlab yahi hua keh jab youtube khula tu youtube per normal se ziadah visitor gaye.

lehaza jab facebook per se pabandi uthe gi tu yaqeenan doosre pakistani websites per se visitor ki taadad normal se 20% kam ho gi. aur yeh 20% ki kami kab tak hogi kuch nahi kaha jaa sakta. facebook se pakistan ka bachcha bachcha waqif ho chuka hai. aur yeh facebook ke sab se bari kamiabi hai. hamai facebook ki iss kamiabi per afsos hai. lekin ham os ki iss kamiabi ko khatam nahi ker saktay
ch Babar Group: Members  Joined: 15th Jul, 2007  Topic: 32  Post: 1869  Age:  39  
Posted on:30th May 2010, 3:59am
 

facebook

ek ghair mulki news agency  k mutabiq Lahore se taluq rakhnay walay 6 larkon ne Islamicfacebook k name se ek website banayee hae jisay abb tak 20,000 se ziada muslims join kar chukay hain. kya Islamic Coutries main ye web site itni he kamyab ho gi jitni k facebook hae  ???

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:30th May 2010, 5:59am
 

youtube

i think youtube has been d bane in pakistan..
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6476  Age:  35  
Posted on:30th May 2010, 8:20am
 

islamicfacebook

meah nay id espy bunai hy lakin jo bhe es web ko visit kury wo privacy ka khiyaal rukhy ye new web hay or es pay koi apni pics personal information share ni kurin jub tuk apko yukeen ni ho jay ye web achi web hay,
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:30th May 2010, 8:52am
 

ISLAMICFACEBOOK

Re :- "jub tuk apko yukeen ni ho jay ye web achi web hay,"

yeh kaisy yaqeen hoga k yeh aik achi (secure) web hey aur iss pr apni personal information di ja skti hey...??

mery khiyal main internet ki duniya main har domain aur website "Pentagon" USA main registered hoti hey...aur abi hal hi main any wali aik news k mutabik Pentagon main aik aysa "word filter" nasab kiya geya hey k jis k zariye aik second sy b kam waqt main aik lakh words ko read kiya ja skta hey aur iss filter main chand mehsoos words rakh diye gaye hain jin ko yeh auto block kar daita hey aur bad main unn words aur information ki mazeed janch parrtal kar k unhain wahan sy rawana kiya jata hey  ..ya phir waheen rok kar unhain send krny waloon ka suragh laga liya jata hey..

iss liye yeh kehna na munasib hey k aik new web pr pehly yaqeen kiya jaye k wo theek hey ya nahi to bad main uss par apna personal data upload kiya jaye...abb har web har word aur har data khuwa kisi b zuban main ho wo pehly pentagon main filter hoga aur bad main ham tak uss ki rasaiee hogi..agar hogi to...

waisy b jin webs main word islamic ata hey wo already sehooniyat k high check main hain...aur aysi webs ko aye roz sehoniyat ki tarf sy aik naye challenge aur kai rakawtoon ka samna hey ..aur abb "facebook" k muqably main "islamicfacebook" k ajaney sy to sehoniyat aur b iss ki mukhalfat main sargarm ho jaye gi ya shaid ho b chuki ho..phir aysi soort-e-haal main iss islamicfacebook ko b secure kehna hamakat hogi.....
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:30th May 2010, 7:33pm
 

Youtube aur Hotmail Pakistani ka tha

re: "ek ghair mulki news agency  k mutabiq Lahore se taluq rakhnay walay 6 larkon ne Islamicfacebook k name se ek website banayee hae jisay abb tak 20,000 se ziada muslims join kar chukay hain."

agar yeh website kamiab ho gayee tu amarican ise bhaari qeemat de ker khareed le ge. Youtube aur Hotmail bhi pakistani ka tha jise google aur microsoft ne bhari qeemat de ker khareeda hai.

Hotmail 2 pakistani partner ka tha jabkeh youtube three friends ka tha jis mai aik pakistani tha. Microsoft ke Bill Gates ne Hotmail khareedne ke liye direct Pakistani owner se baat ki thi aur bhari qeemat ada ker ke khareed li. isi tarah google ka jab google video youtube ke muqable mai nahi chal raha tha tu os ne bhari qeemat de ker youtube ko khareed lia. agar islamicfacebook kamiab ho gayee tu phir woh log ose bhi bhari qeemat de ker khareed le ge.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:30th May 2010, 10:30pm
 

agreed wid Diplomate /Bewaqoof

net world ko kabhi bhi  "mahfooz" nahi samjhan chhaiyeh.... yahaaN load kia janay wala har word /pic... khaah woh apkay apnay inbox hi maiN kiyouN nah ho..... IT based taraqqi yaaftah momaalik /group ki dastrast maiN hotay haiN

maiN to kahta houN k dunya kaa sab say baRa maaliyaati bohraan bhi issi "online" ki wajah say aayegaa.... jab baray baRay billionaire faqeer ban jayengay
Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3829  Age:  27  
Posted on:31st May 2010, 4:08am
 

Bans

Har cheez ko ban kar dena maslay ka hal nahi hai.. Ghour is baat per karna chahiye k woh kya waja hai jis ki waja se aaj Muslim Ummah ki yeh halaat hia k jis ka dil chahta hai woh Pyaray Nabi S.A.W ki shaan mein gustakhi karnay beth jata hai. Jis ka dil chahta hia woh Muslims ko marta phirta hai... Pichlay 200 saal se muslamnaon ne kuch nahin kiya siwaye jaloos nikalnay or ehtajaaj karnay k. Kya hi behtar ho k agar hum jaloos nikalnay or apnay hi assets ko jalanay or barbaad karnay ki bajaye, knowledge, science or technology mein khod ko us maqam per le aayein jahan baqi nations muslims ko chairnay se pehlay 10 baar sochein. 

Abhi na muslims ki duniya mein koi auqaat hai or na koi hasiyat. bas khamkha k ehtajaaj se kuch hasil nahiin honay wala. Hamari youth ka jo haal hai, woh bhi maloom hai sab ko.. BBC Urdu k site per "bugti Gqhwa farosh" k title se aik article hai, us mein bayan kiya gaya k Balochistan se jo loug migrate ho ker Karachi pohanchay or ab Clifton or Sea View side per qehwa bechtay hien, un k yeh tasuraat hien k Pakistan k young larkay larkiyan goray goriyon se bhi aagay nikal gaye hien.

khod ko Asshqaan e Mustafa S.A.W keh kar apna hi sab kuch tabah karnay walon ne kabhi NABI ki sunnat per to amal nahi kiya.. is ehtajaaj ko ko dramayzaabi hi kaha jaye to ziada behtar hai.

Pehlay khod ko is qabil banaya jaye k koi aap k ehtajaaj ko notice karay, warna aisay fazool ehtajaaj ka koi faida nahi hota.
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6476  Age:  35  
Posted on:31st May 2010, 6:15am
 

Ma Sha Allah

agreed with seemi. meri post thi Unity faith or Decipline jis meah forum kay 2 members kay elaawaa kisi nay comment nahi keyaaa essy ap undazaa lugaa sukty hen hum logo ki soch or Fikqur kis qudur achi hay. 
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:2nd Jun 2010, 9:40pm
 

re:Dr Qasim

aap udas na hon main agar aapki post read kron gi to zaror comment don gi.
aaj kal itni lambi lambi post read krne ka dil nahi chah r.aap dil ko tassali dein aur intezar karein mere read krne ka....

wese masha Allah se aap pore forum pe chah gae h.har traf aap ki hi posts hoti h.
Neha_83 Group: Members  Joined: 16th Dec, 2009  Topic: 2  Post: 169  Age:  30  
Posted on:24th Aug 2010, 4:06pm
 

aise

hazaron muqable internet pe hongy.. kya ap intenet use karna chor dengay ?

kya ajeeb soch hay humary pakistanyon ki ..ap kis kis ko rokaingay ? wahan to ALlah ke bare me bohat gustakhana sides hay.. normal life me kitne log hay jo Allah ke lye ghalat ilfaz istemal karty haiy ...
Haqeeqata may hum aise logon se taluq nay rakhty ..to kyoon fb pe ja ja ke aisi sides open kartey haiy ?


mera man.na ye hay ke insan ko aisi bataiy ignore karni chahye ..Allah yaqeenan har ek ko uske kiye ki saza dega.
Guide Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 3  Post: 497  Age:  40  
Posted on:25th Sep 2011, 3:12pm
 

Is using facebook Haram?‏

Deleted Topic No: 25321 by AskIslam
Posted on : Sunday, 25th September 2011

Is using facebook Haram?‏
As you know facebook tried a faild attempt of insulting Prophet S.A.W.W on 20 May, 2010. Is using facebook after that for personal or business use is permissible? My heart continuously says me Allah S.W.T will become angry
WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 49  Post: 3430  Age:  23  
Posted on:25th Sep 2011, 9:45pm
 

Guide

Dear guide where is my reply in upper deleted thread. Do not do this again, my reply was revelant.
Mind Hunte Group: Members  Joined: 09th Oct, 2011  Topic: 4  Post: 34  Age:  29  
Posted on:16th Oct 2011, 3:47am
 

Seemi / Bans

Assalam-o-Alykum

I haven’t read 100% comments on this post but what I have red us main seemi k answer ne sub se ziada mutasir kia hai… main ye nahi kehta k ager koi Hamray Nabi Akram (S.A.W) ki shan main gustakhi kary tu ham chup rahin… per ye baat sochny pe majboor zaroor hota hon k akher kisi ko aisa karny ki zaroorat paish e kion ati hai… akher ham kahan galat hain…. Ham kaisy ummati hain k ham to khud baty howy hoy hain Firqon main grohon main… na tu ham App (S.A.W) ki sunnat aur talimat pe amal karty hain na ham main saber hai. Ehtaja Karin zaroor Karin. Jo ye Gustakhi karty hain uky khilaf aik jamy Hikat amli hon Chye.. Mere Chand Sawalt hain ager koi jawab daina chay tu..

1. 1. Fecebook to kia pora internet ka system e yahoodi chala ray hain. Ham kion Istamal karty hain? Ham kion is lyk nai hain k un ki mohtaji na uthni pary?

2. 2 . Akher Pakistan aik Islamic Mulk hai wahan kion Adult sites pe pabndi ki baat nai hoti koi ehtajaj nai hota. Kiya wo site hamary Mazhab ko nuksan nahin pohancha rain? Jub k unka maksad e hamain gumrah karna hai.

3. My Last Question is k aikhr kion hamain her wo galat baat jo Islam ki munafi ho sahi lagti hai jahan hamara apna maqsad involve hota hai..

Brothers n sisters ye sub hamary eman ki kamzooriyan hain aur kuch nai.. ham aj o Zillat utha ray hain wo hamari apni khamiyan hain. Jub ham apus main e aik dosry ko berdasht karny k rawadar nai apus main e aik dosry per keechar uchalty hain tu phr koi bahr ka ya hamary juzbat ka ehtram kion kar kary ga??

1>>
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013