sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:19th Dec 2009, 11:36pm |
|
|
Urdu Poetry : Tu Kahin Bhi Rahe
Tu kahin bhi rahe sar pe tere ilzaam to hai, Tere Hathon ki Lakeeron me mera Naam to hai !
Mujhko tu apna bana ya na bana teri khushi, Tu zamane me mere Naam se Badnaam to hai !
Mere hisse me koi jaam na aaayaa na sahi, Teri Mehfil me mere Naam koi Shaam to hai !
Dekh kar log mujhe Naam tera lete hain, Is pe main khush hoon Muhabbat ka ye Anjaam to hai
Woh sitamghar hi sahi dekh ka usko `Sehar', Shukar is dil-e-bimaar ko aaraam to hai!
Tu kahin bhi rahey sar pay teray ilzaam to hai, Teray hathon ki lakiron mein mera naam to hai !
|
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 99 Post: 5405 Age:
|
|
Posted on:19th Dec 2009, 11:53pm |
|
|
rE:
aunty buhot khoob.
Setaroon Ko Bholanay Say Mohabbat Kam Na Hogi Yeh Nagmay Gungunanay Say Mohabbat Kam Na Hogi Main Teri Chaand Yadoon Ko Gazal Ka Roop Day Dongi Tumharay Aazmanay Say Mohabbat Kam Na Hogi Doaoon Kay Tabassum Say Ghataoon Ka Jegar Peglay Mager Yoon Muskuranay Say Mohabbat Kam Na Hogi Nasheman Zindagi Ka Noor Say Bhi Khoob Roshan Hai Sumander Kay Ltanay Say Mohabbat Kam Na Hogi Faraq o Wasal Ke Bateen Tu Touheen -e- Mohabbat Hain Kese Kay Dorr Janay Say Mohabbat Kam Na Hogi Charaag -e- Aarzoo Roshan Rahay Ga Har Ghari Har Dam Keh Teray Yoon Satanay Say Mohabbat Kam Na Hogi
|
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:19th Dec 2009, 11:58pm |
|
|
saba very nice..
keep it uppppp |
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 99 Post: 5405 Age:
|
|
Posted on:20th Dec 2009, 12:01am |
|
|
RC ki yad me
Door Aaj Hain , Yaad Atay Tou Hain Khawab Udhuray Sahi , Khawab Saharay Tou Hain Aaj Bhi Meri Rahien Rokti Hian Yaadein Teri Daman Kheenchti Hain Bhool Chukay Hain Jo Hamay , Yaad Atay Tou Hain Sadyion K Faslay , Aaj Hain Dermiyan Ho Jayien Mager Jitni Bhi Dooriyian Aap Jahan Bhi Rahein , Aap Hamaray Tou Hain Khawab Adhuray Sahi , Khawab Saharay Tou Hain Janay Kab Phir Milay Tere Mere Rastay Saath Tootay Nahi , Yaad Itna Rahay Raat Dhalni Hai , Ujalay Anay Tou Hain Khawab Udhuray Sahi , Khawab Saharay Tou Hain
|
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:20th Dec 2009, 12:01am |
|
|
next Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi
Kise majaal kahe koi mujh ko deewana Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi.................... |
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 99 Post: 5405 Age:
|
|
Posted on:20th Dec 2009, 12:03am |
|
|
Thanks aunty wah wah kia bat hai.aap to itni achi shairi kr leti h.mojhe to pta hi nahi tha.
|
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:20th Dec 2009, 12:11am |
|
|
s4u shairy ka shauk mujhe 92 se hai.... mere pas koi 5/6 books bhari padi hain.jahan acha shair parhti thi usi waqt note kar leti thi..ab us tarah time nahi milta..ab net se word pad pe sae kar leti hun jo bohat acha lage..
mere husband ke nazdeek ye mera ek fazool tareen shauq hai. :( |
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 99 Post: 5405 Age:
|
|
Posted on:20th Dec 2009, 12:16am |
|
|
acha ye to buhot achi bat hai.chalin jab kabhi aap k ghar ai to main zaror aapki wo 5/6 books parhon gi.
oho main to samjhti thi k aap roz apne husband ko shairi sunaya krti hon gi.
chalein koi bat nahi.hota hai kabhi esa bhi.
|
Raja Taqi
|
Group: Members Joined: 17th Sep, 2010 Topic: 31 Post: 2016 Age:
48
|
|
Posted on:20th Dec 2009, 7:19am |
|
|
Sunehri
- mein ne ye shairi aap k name nahi likhi laiken mein aap ko apni sharee k full rights de rah hoon aap issy jissy marzi he sale ker dein
-
-
- Setaroon ko yad kerny se bi tery naseeb mein mohbat na ho gi
- Nughmay jitney marzi gunguna lo tu humesha be-ronaq raye gi
- Mein teri chundh be dangi si adtoon ko tera roop de doon ga
- Tujjy azmany se kiya faida is zamany mein teri riswaee ho gi
- Teri dua ya badua se toufan bhuri gutahoon ko kuch nahi ho ga
- Tumary muskrany na muskarany se in mein pani kum na ho ga
- Nusheman ehle-e-chuman mein gulshan ko gawara nahi kerty
- Samundhar rawani kum nahi kerty na uss mein pani kum ho ga
- Wassal ki shub aur tujj se bi kali tujjy toheen se kiya matlib
- Tu khudd toheen he teri waja se kissi ka waqar kum na ho ga
- Arzoo aik ho to chiragh bi jultly achy lugtay hein tunhaee mein
jiss ki arzoo be shumar ho uss k zinda ya murdha se kuch na ho ga |
A_H
|
Group: Members Joined: 11th Nov, 2009 Topic: 1 Post: 15 Age:
25
|
|
Posted on:20th Dec 2009, 2:43pm |
|
|
To All Forum Members
Chalo Ik Baar Phir Se Ajnabi Ban Jaain Hum Dono Na Main Tum Se Koi Umeed Rakhoon Dil Nawazi Ki Na Tum Meri Taraf Dekho Ghalat Andaz Nazron Se Na Merey Dil Ki Dharkan Lerkharaye Meri Baton Se Na Zahir Ho Tumhari Kashmakash Ka Raaz Nazron Se Tumhein Bhi Koi Uljhan Rokti Hai Peshkadmi Se Mujhe Bhi Log Kehtey Hain K Yeh Jalway Peraye Hain Merey Humrah Bhi Ruswaiyan Hain Merey Mazi Ki Tumharay Sath Bhi Guzri Huwi Raaton K Saaye Hain Taaruf Rog Hojaaye Tou Uss Ko Bhoolna Behter Taaluk Bojh Ban Jaaye Tou Uss Ko Torna Achha Woh Afsana Jissey Anjam Takk Lana Na Ho Mumkin Ussey Aik Khoobsurat Morr De Ker Chhorna Achha
|
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
31
|
|
Posted on:15th Aug 2010, 4:29am |
|
|
Chalo tum chor do mujh ko.. Chalo tum chor do mujh ko
Main wapis lot jata hun
Tumhain manzil mubarak ho
Naya sathi mubarak ho
Mgr phir aye mere hamdam
Mujhe itn tau batla do..?
Kahan se sath laaye thay..?
Mujhe itna tau smjha do..?
Agar aisa nahi mumkin
Tau mujh ko iss tarah torro
K main yaksar bikhar jaun
Bhatakne se tau behtar hae
Tmhaare pass mar jaun.....
|
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
31
|
|
Posted on:15th Aug 2010, 4:33am |
|
|
Na tum se milte na aise hote Tarap rahi hae har ik tamana
Na tum se milte na aise hote
Bujhi bujhi si hae dil ki dunia
Na tum se milte na aise hote
Ham aisi mehfil main kese jayen
Jahan ke manzar hamain jalayen
Agar hae jalna jalain ge tanha
Na tum se milte na aise hote
Na chain aaye na maut aye
Na ji rahe hain na mar rahe hain
Kahan tha pehle yeh haal apna
Na tum se milte na aise hote... |
Asmay
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2010 Topic: 3 Post: 48 Age:
31
|
|
Posted on:15th Aug 2010, 8:39am |
|
|
kia kia jaay Na tera qurb ha na baada ha kia kia jaay fir aj dukh b zyada ha kia kia jaay Hmay b arz e tmna ka dhab nhi aata mizaj e yar b sada ha kia kia jaay Wo mehrban ha mager dil ki hirs b kam ho talab, karam say zyada ha kia kia jaay |
alone123
|
Group: Members Joined: 19th Aug, 2010 Topic: 1 Post: 2 Age:
31
|
|
Posted on:19th Aug 2010, 7:39pm |
|
|
umeed kahan tak ya maan ko andhairay chalain gain udase bharay din kabhi to dhalain gain
kabhi sukh kabhi dukh yahe zindagi hai ya patjhar ka mosam ghari do ghari hai
naay phool phir say dagar pay khilain gain udasi bharay din kabhi to dhalain gain
bhalay taiz kitna hawa ka ho jhonka magar apnay maan main to rakh ya bharosa
jo bichray safar main tujhay phir milain gain udasi bharay din kabhi to dhalain gain
kahay koi kuch bhi magar sach yahi hai laihair pyar ki jo kaheen uth rahi hai
ushay ek din to kinaray milain gain udasi bharay din kabhi to dhalain gain
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:23rd Aug 2010, 8:46pm |
|
|
Husn Agar tum husn chaho to
meray chehray pe mat jao
k chehray bujh bhi jatay haiN
meri qamat ko mat dekho
K qamat TooT jati hae
talab hae husn ki to phir
meri gehrai maiN jhanko
meray andar jo insaaN hae
woh sab se khoobsurat hae
|
Malla
|
Group: Members Joined: 12th Jul, 2010 Topic: 4 Post: 78 Age:
30
|
|
Posted on:24th Aug 2010, 9:27am |
|
|
maryam dedi wa wa wa wa
|
|
For More Detail Click On Page No: 1 |
|