jo saas hi ko nah paTkay woh bahoo kia hai:) chacha Ghalib say maazrat k saath ... sehan maiN dauRnay phirnay k hum nahi qaa'il + jo saas hi ko nah paTkay woh bahoo kia hai :)
aurat kahti hai k jab main bahoo thee to mujhay achi saas nahi mili aur jab main saas bani to achi bahoo nahi milli ):
woh jo kahtay hain naa k wahshat main har aik naqsha ulTa nazar aataa hai... so yahaan bhi aurat nay tasweer ko ulTa pakRa howaa hai agar woh tasweer ko seedha karkay yeh sochay k .... jab main bahoo thee tab bhi aik achi bahoo thee aur jab main saas bani tab bhi aik achi saas bani.... agar har aurat pahlay achi bahoo, phir achi saas bannay ki koshish karay to saas-bahoo ka jhagRa hi khatam hojaye....
yeh to aik mantaqi baat howi jo apni jagah solah aanay durust hai.... lekin saas-bahoo k high tempor honay ki aik aur physical wajah bhi hai... jiski taraf log tawajjah nahi detay...
bahoo har maah aik makhsoos monthly cycle say guzarti hai. iss cycle k dauraan oskay harmones maiN paida honay wali tabdeeliyouN k sabab iss dauraan oska mizaaj chiR chiRa aur tabiat maiN bay.chaini paida hoti hai..... lekin ossay iss dauran amalan koi relaxation nahi miltaa... routine work load ho yaa logouN ka behaviour... sab oss say NORMAL demands kartay haiN... aur youN oska tempor losse hojata hai aur woh shauher samait saas ko bhi khari khari sonaanay lagti hai... aisaa chouNkay har maah (amooman) hota hai ... lehazaa bahoo nak-chaRhi, bad tameez, zabaan daraaz mash'hoor hojati hai... aur chouNkay woh aik doosray ghar say aayee hoti hai... lehazaa oskay yeh 'doosra' honaa karelay pay neem chaRhaa saabit hotaa hai...
doosri taraf saas apni omar k aik aisay daur say guzar rahi hoti hai jab woh apnaa 'aurat-pan' loose kar rahi hoti hai... jiss tarah balooghat ki nishaani periods k aghaaz say hota hai issi tarah boRhapay ki nishaani.... periods ka khatam honaa hai.... laRki ka jab periods start horaha ho yaa aurat ka jab periods khatam horaha ho... yeh dounouN adwaar oskay mushkil tareen hotay haiN... boRhapay maiN periods k khaatmay par bhi oskay hormones maiN tabdeeli k baa'es oska mizaaj NORMAL nahi rahtaa aur woh andarooni takleef k baaess yeh chaahti hai k koi aisay main oska khayaal rakhay... magar doosri taraf bahoo khud apni prob maiN mobtalaa hoti hai......... aisay main jab do ABNORMAL KHAWATEEN aamnay saamnay hoti hain to jang ka jo samaaN paidaa hotaa hai... iss say sabhi waqif haiN... magar iss jang ki aik basic wajahsay taqreeban hi naawaaqif (at least jang say motaserrah gharanay k afraad oss waqt iss phenomenon say naa waaqif hi hotay haiN)...
kia khawateen apni iss qudrati, by-default 'abnormality' ko control karkay aik achi bahoo aur baad azaaN aik achi saas banna pasand karengi.... takay onkay mahboob mard hazraat (beTay /shauher) pursakoon azdawaji zindagi guzaartay howay onkay liyeh zeyadah say zedah aarmdah, pur.sakoon ghar faraham karsakaiN.... aurat agar apnay aap par qaboo rakhegi to mard pursakoon rahega. mard agar pursakoon rahega to ghar k liyeh zeyadah say zeyaadah aasaaishaiN mohayya karkay aurtoun ko mazeed aish o araam faraaham karsakegaa... aik pursakoon o khush.haal ghar ka sara daaromadaar aurat k issi wahid behaviour par hai... woh kia kahti hai iss baray main?????
|