Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Khwab Ki Tabeer - What Is The Meaning Of Honey Bee?

Non Medical Discussion   >>  Discussion
 
 
 
saleem. Group: Members  Joined: 28th May, 2009  Topic: 11  Post: 59  Age:  30  
Posted on:10th Oct 2009, 1:05am
 

Khwab Ki Tabeer - What Is The Meaning Of Honey Bee?

salam merea sawal  members se ye hai ke ager khab(dream) main sehad ki makhi nazar aaey ya shehat ki makhi ne kata ho to es khab ki kya tabir hoti hai??kisi ko khab ki tabir ke bare main cuch pata hai??

What is the interpretation of seeing honey bee in the dream?
waseem08 Group: Members  Joined: 27th Apr, 2009  Topic: 13  Post: 1304  Age:  31  
Posted on:11th Oct 2009, 8:03am
 

saleem bhai salam

ager khab(dream) main sehad ki makhi nazar aaey

ans.to iss ki tabeer ye hy k apko khushi naseeb hogii yaa phr kahin se koi khush khabri milegii innshaALLAH.

ya shehat ki makhi ne kata ho to es khab ki kya tabir hoti hai??

ans.to iss ki tabeer ye hy k apko qarzz diya howa maal(jo qrzzdaar na deta ho) wapis mil jaygaa innshaALLAH.

kisi ko khab ki tabir ke bare main cuch pata hai??

ans.j han agr kisi ko ache khwaab nazar aaye to usse chahiye k kisi aalime deen yaa kisi dana(aaqual mand) ko batay or agr buray khwaab nazar aaye to outhne k bad wo kisi ko na batay or apne ulte kandhe pr pori AAOZOBILLAH SHAREEF prh kr 03 baar tho tho kr de or jo khwab ki tabeer janta hy usse chahiye k wo achi tabeer batay ya phr khamoosh ho jay ye khe kr k khawaab acha ny hy q k khawaab tabeer k mutabique waqiyaa hote hen wallaho aalaam.

saleem. Group: Members  Joined: 28th May, 2009  Topic: 11  Post: 59  Age:  30  
Posted on:12th Oct 2009, 12:27am
 

replay

waseem bhai thank you so much
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:12th Oct 2009, 1:33am
 

waseem sb

hmmmm to masha Allah apko yeh ilm bhi ataa hai..... hamaray aik azeez hain onhaiN aksar yeh khaab aataa hai k woh raastah bhool jatay haiN yaani (khaab maiN) jaanay pahchaanay raastay par chaltay howay achanak aisee jagah pahonch jatay haiN jahaaN say onhaiN ghar-wapsi ka raastah bilkul samajh nahi aataa... halaaNkay woh (khaab maiN) kuch dair hi qabal jaanay pahchaanay raastay say chal kar iss jagah pahonchay hotay hain hatta k same-wapsi ka raastah bhi nahi miltaa aur issi pareeshaani main onki aankh khul jati hai.....

jab mujh say iss khaab ki tabeer poochi gayee to maiN nay khamoshi ikhteyaar karli thee... ap kia kahatay /kartay ho :))

zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13610  Age:  32  
Posted on:12th Oct 2009, 3:38am
 

waseem

very very good

well done

waseem08 Group: Members  Joined: 27th Apr, 2009  Topic: 13  Post: 1304  Age:  31  
Posted on:12th Oct 2009, 6:53am
 

myrizvi bhai salam

apka shukriya zarra nawazish k liye or jhaan tal aziz k khwaab ki baat hy to uski tabeer ye hy k unhen bachpan me ek waqiya pesh aaya tah jis me wo ghr ka rasta bhool gay teh wohi baat ab unhen khwaab k zariye se preshaan krti hy agr wo wapis se uss jagah jay(jhaan se wo rasta bhool gay the) or phr khud apne aap ghr aajay(bageir kisi ki madaad se) to phr wo khwaab ny aayegaa wallaho aalam.
System Group: Members  Joined: 03rd Jun, 2008  Topic: 40  Post: 2267  Age:  32  
Posted on:12th Oct 2009, 4:05pm
 

waseem08

Interesting

ab appki aise post to read karni hi paren gi...    khwab ki tabeer ke lea app kitni aur konsi books ka mutalia ker chuke hain... 

i also have a one book.. i think name is  tabeer e royya... 

waseem08 Group: Members  Joined: 27th Apr, 2009  Topic: 13  Post: 1304  Age:  31  
Posted on:12th Oct 2009, 4:14pm
 

system bhai salam

bhai ap loogoon ki zarra nawazish hy wese bhut c kutub hy khwaab ki tabeer pr kon kon c read ki hy ye batana bhut mushkil hy iss k liye i am sory pr itna kahoonga k khwaab ki tabeer aasaan ny hy tabeer k lye bhut bhuuuut mutaliya ki zarroorat hy or mutalliye k elawa b khas nazare karam ki b.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:12th Oct 2009, 9:43pm
 

thanx waseem

i'll tell him...... waisay to mujhya bhi iss ilm say dilchaspi hai aur books bhi haiN meray pass but khaab ki tabeer nahi batlaa saktaa... apkay pass khasoosi "nazray karam" hai jo meray pass nahi... by da way apnay yeh "nazray karam" kaisay haasil kia aur hum (me n system) issay kaisay "hasil" karsaktay haiN.

aik baat aur ... kia raastah bhoolnay wala woh khaab mahaz aik nafseyati khaab hai (bachpan maiN raastah bhoolnay ki wajah say) yaa yeh khaab koi "pesh.goyee" bhi kar raha hai??? doosray yeh k agar ossay yeh pata hi nah ho k bachpan maiN kahaaN raastah bhoola thaa yaa pata ho magar wahaaN janaa mumkin nah ho to iss khaab say kaisay bachay???

 

Waterr Group: Members  Joined: 15th Jul, 2009  Topic: 59  Post: 3787  Age:  26  
Posted on:12th Oct 2009, 10:05pm
 

Waseem08 brother

Plz plz mujhe b batain mujhe khawab he nai atey serey sey.. Kamaz kum 5yr se nai aye iske kya reasn ho sakti ha? Meri neend gehri b nai ha balkey superficial aur medium gehri ha, aur mai lights off dark room and darwaza pura band kar k aakeelei soti ho warna neend nai ati,magar mera dil karta he khawab tou galti se aaya karain..kya iss ke waja ye ho sakti ha k mey kuch zada haqeeqat pasand aur pessimist hon?
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:12th Oct 2009, 10:30pm
 

Waterr aur khaab

agar apko neend maiN khaab nazar nah aayaiN to jagtay maiN khaab dekhna shoroo kardaiN... jo log jaagtay maiN khaab dekha kartay haiN woh baray azeem log howaa kartay hain jaisay Allama Iqbaal... jo jaagtay maiN pakistan (indian muslims k liyeh alehdah mumlikat) ka khaab dekha kartay thay... neend maiN to ordinary log khaab dekha kartay haiN lol 
Waterr Group: Members  Joined: 15th Jul, 2009  Topic: 59  Post: 3787  Age:  26  
Posted on:12th Oct 2009, 10:38pm
 

Apne b achi baat ke ha

Magar day dreaming is nt good..waisy maine 2 khawab day dream keye n both r fulfilled alhamdulalah..magar ye bohat chohtey theiy.. Khair mai serious hon ye aik masla hey daikhain na ghar walon k baqol mai qabar ke tarah kamra band kr k soti hon k dam phut ka chance kafi ha ye change be medical ke anayat he aur khawab na ana bhe aur zarorat se zada haqeeqat pasand hona magar khawab kyun nai atey? Banda real life mai nai khawab mai he relax ho jaye
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:12th Oct 2009, 11:11pm
 

paRhaakoo bachay:)

amooman aisay hi hotay haiN :) tanhaa room maiN isolate hokar paRhna aur sona onki adat see ban jati hai... but fikar not... practicle life (i mean k after marriage:) start hotay hi sab normal hoja.ega insha Allah
saleem. Group: Members  Joined: 28th May, 2009  Topic: 11  Post: 59  Age:  30  
Posted on:13th Oct 2009, 2:43am
 

waseem bhai

main apna pota khab batata hon jo main ne dekha tha plz es ki tabeer bataen.

main ne dekha tha ke mere bhai ne 2 two gold ki chain li thi khab main wo chain mera bhai apni choti cousin ko dyna chara tha main ye kehra tha k kyun dyre hon itna bara gift mere ko bora lagra tha to es pata nhi kya hoa us ne chan pheyki gusse se aisa kuch hoa tha to main ne uthai es box ke pichay chale gai thi wahan main ne box hataya to wahan sehad ki makkhiyan thi chain bhi leki thi main ne pher main ne pucha ke locit bhi tha mera bhi ko yad nhi tha pher use yad aaya pher yad nahi khab bus please ka tabeer bataen.. 

Waterr Group: Members  Joined: 15th Jul, 2009  Topic: 59  Post: 3787  Age:  26  
Posted on:13th Oct 2009, 2:59am
 

Dreamless sleep

Plz mujhe b batana he kuch..ye marriage musibat kahan se aa gai beech mai.. Har cheez ka haal ye nai hota.. Waisey myrizvi apki duwa ka thanks ..
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:13th Oct 2009, 4:24am
 

sorry 2 say but haqeeqat yehi hai k...

har samaji maslay k hull 'kaamyaab shadi' main posheedah hai... 4 e.g.

1. laRka /laRki ghair.zimmah daar hai... shadi kardo insha Allah zimma daar ho jayega /gi

2.koi ikhlaaqi borayee maiN molawwas horaha hai...idhar odhar taak jhaank karta hai, kharaab movies etc dekhta hai,,, shadi kardo, in harkatouN say baaz aajaayegaa

3. jawaan hokar bhi kamanay ki fikar nahi hai parents ki roTiyaan toR raha hai, shadi karko...kamanay ki fikar lag jayegi...as per quran agar koi muflis shadi karlay to Allah rizq deta hai

aik hadees maiN hai k koi nadaar shakhs imdaad k liyeh resaalat maa'b pbuh k pass aayaa to apnay farmaya k jaa'o shadi karlo... shadi karkay phir imdaad lenay aaya to phir kahaa jaa'o shadi karlo... aisa ghaleban 3/4 bar howaa phir woh kafi arsah tak nazar nahi aayaa to aap pbuh nay poocha falaan kidhar hai kaafi dinouN say nahi aayaa to sahaba RA nay kaha k woh to ab bahoot maal.daar hogaya hai.

iskay bar.aks hamara secular concept yeh hai k laRka pahlay kamaa.ay.. apnay paaoun par khara ho, kuch jaama poonji karlay tab oski shadi ka sochengay tab tak woh bay shak 30-40 ka hi kiyoun nah hojaa.ay aur iss dauran qism qism ki ikhlaqi boraaiyyouN maiN hi kiyouN nah paR jaa.ay

sorry 2 say but yeh haqeeqat hai k shadi bahoot say samaji masail ka hul hai... pur.sakoon neend nah aa.ay to shadi karlo.... menese normal nah ho to shadi karlo... tanhaayee say khauf aataa hai to shadi karlo... tanhaayee pasand hai to shadi karlo....... asal main Allah nay har baaligh jaan.daar ko couples maiN rahnay k liyeh paidaa /desighn kia hai... jab woh iski khilaaf warzi karta hai (daanistah /naa.daanistah yaa kissi real majboori k tehat yaa khushi say har soorat maiN) to ossay bahoot say probs ka shikaar honaa paRta hai... issi liye to kahtaa houn ... sorry 2 say but haqeeqat yehi hai k shadi bahoot say samaji masaail ka hull hai.

kaheen topic divert to nahi hogayaa... again sorry 2 say....... haaaaa haaaaaa

2.

Waterr Group: Members  Joined: 15th Jul, 2009  Topic: 59  Post: 3787  Age:  26  
Posted on:13th Oct 2009, 4:37am
 

Hahaha

Myrizvi apke is reply se mei khawab daikhney ke hasrat se baaz aa chuki hon.. Chotey prob ko haal karney k leye mai bara prob nai moul laina chahti.. Jahan itney saal khawab k begair guzara kya wahan abi kafii arsayy takk kar sakti hon.. Baqi meri neend ko koi prob nai bulky mai karwana b nai chahti plus koi samaji burai nai he mujh me.. Filhal mai apney rahey sahey khawab(shaid aa he jain) dabona nai chahti .. Apka thanks.. :)
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:13th Oct 2009, 4:49am
 

nafseyaati ilaaj

kissi shakhs k aik finger maiN halka halkaa pain rahta thaa... bara elaaj karwayaa magar koi afaqah nah howa... yeh life history sunkar aik doc nay nafseyati harbah istemaal kia aur oskay bazoo par zor say mukka maaraa woh iss new dard say cheekh oThaa... doc nay poocha ab finger pain ka kia haal hai, woh bola kaun sa pain????

agar chotay chtay qarzay tang karain to aik bara qarz lay kar choTay chotay qarzouN ki tangi say nijaat paalenaa chahiyeh lol

waseem08 Group: Members  Joined: 27th Apr, 2009  Topic: 13  Post: 1304  Age:  31  
Posted on:13th Oct 2009, 7:06am
 

myrizvi bhai salam

i'll tell him...... waisay to mujhya bhi iss ilm say dilchaspi hai aur books bhi haiN meray pass but khaab ki tabeer nahi batlaa saktaa... apkay pass khasoosi "nazray karam" hai jo meray pass nahi... by da way apnay yeh "nazray karam" kaisay haasil kia aur hum (me n system) issay kaisay "hasil" karsaktay haiN.

ans.khuda ki qasam se apni maa ki badoolat se.

aik baat aur ... kia raastah bhoolnay wala woh khaab mahaz aik nafseyati khaab hai (bachpan maiN raastah bhoolnay ki wajah say)

ans.ho sakta hy wallaho aalam.

yaa yeh khaab koi "pesh.goyee" bhi kar raha hai???

ans.waseem08 ko pata tha ap ye swal zaroor karenge wese bhai ustaad muhtram(:khwab ki tabeer b to koi na koi peshangoi hi hoti hena.

 doosray yeh k agar ossay yeh pata hi nah ho k bachpan maiN kahaaN raastah bhoola thaa yaa pata ho magar wahaaN janaa mumkin nah ho to iss khaab say kaisay bachay???

ans.bilkul bacha ja sakta hy pr uss k liye unko dimaghi toor pr wahaan lejana pregaa or uss k liye kisi wo kia kheten hy jo bande ko dimaghi tor pr apne bas me kr leta hy mujhe wo nam english me ny aata uski zaroorat hy wese apki dua se waseem08 ye kr sakta hy or agr pata na hoto b iss elm ki madad se wo yaad krwaya ja sakta hy.

Waterr Group: Members  Joined: 15th Jul, 2009  Topic: 59  Post: 3787  Age:  26  
Posted on:13th Oct 2009, 7:19am
 

Waseem08 bro

Ap mujhe b plz ans karain agar ap mujhse khafa nai already.mera prob serious ha mujhe khawab kyun nai atey
1 2  >>
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013