Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
 
    Start New Topic  My Profile
 

ALLAH ko Mana lo

Religion and Culture   >>  Religious Information
 
 
 
Sooth Group: Members  Joined: 18th Jul, 2007  Topic: 303  Post: 1941  Age:   
Posted on:18th Mar 2008, 1:27am
 

ALLAH ko Mana lo

oooo Bhaiooooyo ALLAH ko mana lo


ooo bhai ALLAH KO MANA LO ALLAH SAY DOSTI KAR LO ALLAH SAY PYAR KAR LO

BAKI SAAB BEWAFA HAI ....

BIWI KE 1000 ZAROORATIE poori karo aik na karo to kahiegi kay mayni tumhari ghar mai kuch nahi dekha ...


agar tumhari biwi tumhari 100 baatie man lay agar aik na mayni to husband kahengay kay tum jasi nafarmaan auraat hai he koi nahi

AULAAD KE NAKHRAY SEHTAY REHNGAY to aulaat aba aba kahengay agar thora

sa aullaad ko kasoooo to kahngay tu hai kon ...

oooooo yeh saab bewafa hai
"wafa Tum nai Dekho gay her giz kasi mai Zamana wo Aisa ajeeb aa raha hai.. ""

tu dil ko phero phero phero kidhar ALLAH ke taraf jo tumhari dosti ko chahta hai jo tum say mohabbat kar chuka hai yaktarfa yaktarfa jo tum say mutaalba karta hai .. ae banda mujh say pyar kar

mai tujh say pyar karta ho tu bhi mujh say pyar kar mai bhi tujhi chahta ho tu bhi mujhi chah ...

aik hadess mai ayta hai
"ALLAH  farmyaati hain jo mujh say mohabbat kartay hai tu un ke mohababt humesha ke hai un ka mehboob bhi baki rehta hai .. aur jo mujhi chor ker makhlooq say mohabbat kartay hai to un ke mohabbat bhi mit jayti hai .. un ka mehboob bhi mit jayta hai ...

JAAB ALLAH say mohabbat ho jayti hai ALLAH kay rasool say mohabbat ho jayti hai .tu ... MARNA PATA HAI KASA HO JAYTA Hai ..

marna payta hai ... humie to moot ka tasvuur bhi ho jayi to rang faak ho jayta hai ... aur jiss ko ALLAH aur rasool say ishq ho jayi to us ko moot say koi dar nahi rehta ...

tu bhayooo yeh humari dil ke dunia ujri pari hai mai tumhie kaasay baato .. kamray ka rang kharab ho jayi to log khetay hai ais ka rang thek karo .. paint karo .... sabza zara murjha jayi to khetay hai dosra lagayo ..... phool ke paatiya murjha jayi to khetay hai payni do ........
Ooo dil ke dunia murjha gayi aur dil ke dunia mai veraanay aa gayie

aur bahaar ko guzray howi arsa ho gaya pata he koi nahi kay kab bahar thi

aik zamana tha kay jaab dil ke dunia mard auraat ki ALLAH ke mohabbat say abaaad thi ....

abb to mohabbat dunia ke

ishq dunia ka
chaskay dunia kay
lazatay dunia kay
bahar dunia ke
doour dunia kay

ALLAH KE NAZAR MAI gir kay reh gayie .. ooooo banday ayo ayo dil ke dunia abaddd kari

chaman mai taakht par jiss dum shahie gul ka tajmul tha ...
hazaroon bulbulay thi baag mai aik shor tha gul tha
khuli jaab ankh nargis ke na tha juzz khar kuch baki
batata baag baan roo roo yaha guncha yaha gul tha


mai tumhie kia baato jiss mali ka chaman ujar jayi jiss zameedar ke khari kheeti ko aag lag jayi us ko to koi dosra hasta howa acha nahi lagi ga .. aur humari dil ke khaati ko urjaray howi zamana guzar gaya

jitni umer hai 20 saal hai 25 hai 30 hai

andar mai veraniya hai .. andar mai kaha say alfaz layo .. jo ander ke sehayoon ko bata saki mai kheta ho bahir maat dekho .. zayda checha maat dekho dhoka lag jayega .. andar dekhnay ke koshish karo gerbaan kay ander dekho apnay seeynay mai ander jhaank ker dekho koss dil ke ander ke verrnayoon ko dekhnay ke koshish karo

abb to raat bhi nahi aytiiii


right ko bhi lightay jal rahi hai . bedraam mai lighti
masjiddo mai lightay .. majid jag mang kar rahi hai
mayni aik admi kay bedroom mai aik fanoos dekha 25 lackh ka fanosss latka howa ..

ahayi ahayi .. asie BAHIR KE dunia roshan .. kabhi ander jhank ker dekha hota ... zayda khud ko banyogay sawaroogay ko apnay buryia tumhie nazar nahi ayengi ....

wo kia badnaseeb hai jISS ko aik sajda bhi ALLAH ke raah mai naseeb na howa ho .. ..

ABHI IJAZAT CHAHTA HO ...

BAS TARIQ JAMIL KE CASATE SUN RAHI THI TO SOCHA SHARE KAR DO APP LOGO KAY SAATH ...

fearless Group: Members  Joined: 19th Feb, 2008  Topic: 3  Post: 38  Age:  24  
Posted on:18th Mar 2008, 3:13am
 

Good Work

Aap ki post bohot, bohot achi hai, Bay-Shaq jo Koi dil main ALLAH TALAH ka Ishq Basa lay wo dunia ki Muhabbat aur Bewafaion se bach jata hai.

Duniya ka har Rishta, har shaks, har Muhabbat, har Ishq ki bewafai ka dar aksar rahta hai magar ALLAH TALAH kabhi Bewafai nahi karta

"Jab koi ALLAH ki taraf 1 qadam barhata hai to ALLAH 10 qadam us ki taraf barhata hai"


ALLAH hamain duniya ki bewafaion se bachaye

Aamin


ALLAH HAFIZ
~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  27  
Posted on:18th Mar 2008, 3:22am
 

Sooth.sis

apki post thought provoking hoti jarahi hain............good post.............

ab jab is duniya main aye hain tou yahan k rishton ko bhi tou nibhana hi paray ga na..............warna hokook ul ibaad kis khatay main jaye gay...........
goodman Group: Members  Joined: 11th Oct, 2007  Topic: 59  Post: 6922  Age:  31  
Posted on:22nd Mar 2008, 3:06am
 

Allah koo Rab Man Loo

sister i consider on this post .Bayshak ALLAH Har Cheez Per Qadar ha.Khush Naseeb ha woo loog joo ALLAH KAY HAZOOR SAJDA kertay ha.

Jiss nay ALLAH Koo apna RAB Man liya woo duniya aur AKHRAT may kamyab hoo giya ha.bas yahi fooz of falah ha.

I think u like Tariq Jamil .It is Ok but  you also consider other ULLAMAH also.

Thanks

 

Sooth Group: Members  Joined: 18th Jul, 2007  Topic: 303  Post: 1941  Age:   
Posted on:22nd Mar 2008, 4:33am
 

re

hv u ever listen Dr.tariq jameel???i'm much inspired from three persons moulana tariq jameel,Dr.zakir naik and Dr.israr ahmad.peace tv per jo baki scholars atay han un ko bhi mein sonti hon beside this mein Quran ki tilawat with translation sonti hon sath me different islamic books study ki han+tafsser of holy quran.
josh Group: Members  Joined: 30th Jul, 2007  Topic: 47  Post: 2298  Age:  35  
Posted on:22nd Mar 2008, 5:25am
 

bhenoo tum bi Allah ko mana lo.......

very nice post by sooth...

i like whole post but the title & starting of post is wonderful......

ch Babar Group: Members  Joined: 15th Jul, 2007  Topic: 32  Post: 1869  Age:  38  
Posted on:22nd Mar 2008, 5:55am
 

Sooth

Achi baatain likhi hain aap ne, laikin aap ne Hazrat Molana Tariq Jameel ki speech copy ki hae , Tariq Jameel Saib wali baat to samjh aati hae laikin Zakir naik aor israr ahmed main aap ne kya dekha hae ???? Zakir naik ki kai baatain fazool hoti hain.
goodman Group: Members  Joined: 11th Oct, 2007  Topic: 59  Post: 6922  Age:  31  
Posted on:22nd Mar 2008, 6:34am
 

Dr Israr Mafassar Quran

i listen Tariq Jamil.But i like DR ISRAR Ahmed as MAFASSER QURAN.U do not think that he is my last fav personality.But i like his speaches and school of thoghts but some my opinion also take against with his opinion.Because one stage Dr Israr advice me that u r craze of me.

But at this stage i was learning with him.In the current sanerio his endavours for Islam possitive and torch for Pakistan Nation.

Regarding Dr Zakir Naik i watch on T.V but i do not consider on his speaches.

I also did short course with Dr Israr Academy.Now what is ur suggestion.

raazdaar Group: Members  Joined: 18th Nov, 2007  Topic: 38  Post: 369  Age:  23  
Posted on:22nd Mar 2008, 10:08am
 

ALLAH ko manana itna asaan nahin....

SALLAM TO ALL FRIENDS

ALLAH ko manana itna asaan nahin jo kai ham kar rahain hain.Ham nai ghunnah zyada naiki kam kardi hai.Baatain zyada amal kam kar diya hai.Isi waja sai naishat zyada hoti hai lakin asar bohat hi kam hota hai.ALLAH ko khush karna sirf aur sirf us kai kahai hoyee baaton par amal karna hai.Boraiyoon sai bachna hai,Naiki ki taraf jana aur bolana bi hai.Jehad chahai jaisai bi ho karna hai.

Har musalman ko dosrai musalman ko apna bhayee samajna chahiyai.Musalmano main jo dusmani pehlayee us ka saat nahin balkai us kai khilaaf jana chahiyai.Ham sab ko shaitaan kai khilaaf aik hona chahiyai.Itifaaq sai dunya jeeti ja sakti hai.Ham jo zulam apnai bhaiyoon aur behnoon pai kartai hain inai rokna chahiyai.Hamain apnai hatoon sai shaitaan ko khatam karna chahiyai.

Is kai liyai sab sai pehlai hamain apnai nafs kai khilaaf jehad karna hai.Jab hamara jism hamarai kaboo main nahin balkai shaitaan kai kabo main hoo to is tarah ham kuch nahin kar saktai.San sai pehlai apnai app sai aur phir us kai baad apnai rah sai kantoon ko kahatam karna chahiyai.Jab kai do musalman lar rahai ho usai bajayee aur larwanai kai bhayee banana chahiyai.Tab hi hamari aik zuban aik quwat hogi.

Aur sari dunya main ISLAM ka raaaj chalai ga.Har musalmaan ko insaaf milai ga.Har chaotai barain,Ameer ghareeb kai saat aik jaisa salooq kiya jayee ga.ALLAH ham main yai sari khubiyaan layrr.Aur hamarain imaan ko ISLAM kai upar aur bi mazboot kardain.Aur apnai diyai hoyee rastai par chalnai ki tofeeq ata farmayee.AMEEEEEEEEEEEEEEN

NOTE:-sorry if my words hurt anyone.

TAKE CARE

ALLAH HAFIZ

eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 70  Post: 2100  Age:   
Posted on:14th Apr 2010, 10:00am
 

Sooth Sister

Thanks for sharing  a nice speech of Maulana Tariq Jameel Sahab. Maulana Tariq Jameel Sahab k biyanaat waqaee bht emaan afrooz hotay hyn.

Saeed Anwer,Inzamam-Ul-Haq,Muhammad Yousuf,Saqlain Mushtaq,Mushtaq Ahmad,Junaid Jamshed ki zindagion main tabdeeli lanay main Maulana Tariq Jameel sahab ka bht bara kirdaar hy.
1
 
 
 
Erectile Dysfuncion
ED causes
Male Menopause
Male Menopause – Myth About Male Menopause
Health Advice From China
Male Sexual Health Advice From China
Food For Male Libido
Male Libido - Foods to Increase Male Libido Naturally

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.

© Copyright 2003-2017 www.forum.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us