Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial | Videos
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Quran & Hadith dos n dont Download
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Back Bitting: In Our Daily Life

Religion and Culture   >>  Religious Questions
 
 
 
cheeko Group: Members  Joined: 07th Dec, 2007  Topic: 8  Post: 43  Age:  37  
Posted on:22nd Jan 2008, 5:28am
 

Back Bitting: In Our Daily Life

Back bititing : ye wo fall hai jo hum subha sham karte hain or is ko hum log bora he nahi samajhte jab ke ye humare mazhab islam main bhut he sakhti se mana kia gaya hai  magar majal hai hum log us per amal kar len itni ziada burai ki jati hai ek dosre ki pehlay kehte the ke ortain karti hain but ab tu mard bhi karte hain offices main hon , school , college ghar susral even kon si place hain jahan ye kaam nahi ho raha, ghibat karne wale ki dua kabol nahi hoti na he us ko khushian mayaser ati hain , wo hamesha uljhanon main giraftar he rehta hai magar wo nahi samjhta ke wo kar kia raha hai humare amal ka asar he humari lifes per hota hai aap sab ke comments lena chahti hon is per. khas kar hangama paa jee, hitman, rizwan , josh

~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  28  
Posted on:22nd Jan 2008, 1:25pm
 

Excellent Topic : Topic Of The Day

Shukriya mujhe "khaas kar" main shumaar karne ka ................. ab main kya kahon sab kuch tou app nay batadiya hai jo kay bilkul sahi hai aur ajkal ki  bhondi hakeekat hai ............ chalain app kay liyain ye hai :



                       ``` ``` ``` ``` ``` ``` ``` ```

Hazrat Abu Harera(R.A) Say Riwayat Hai K RASOOL ALLAH(S.A.W) Nay Irshaad Farmaya :: kya tum jaantay ho ghebaat kisko kehtay hain ?............................

Sahaba(R.A) Nay Arz Kiya ::  ALLAH aur Uska RASOOL(S.AW) hi zyada jaantay hain...........

App (S.A.W) Nay Irshaad Farmaya ::  Apne (muslim) bhai (ki ghair mojoodgi main us) k baray main aesi baat kehna jo usay naagawar guzray (agar wo sunnay tou)..................................

Kisi Nay Arz Kiya :: Agar main apne bhai ki koi aesi buraye zikar karon jo waki main usmain ho (tou kya ye bhi ghebat hai?)

App (S.A.W) Nay Irshaad Farmaya :: Agar wo buraye jo tum biyan kar rahay ho usmain mojood hai tou tum nay uski ghebat ki
Aur agar wo buraye usmain mojood hi naho tou tumnay us par bohtaan baandha.................

              ``` ``` ``` ``` ``` ``` ``` ```


Agar Kuch ghalat bol diya ho uskay k liyain mazirat











Sooth Group: Members  Joined: 18th Jul, 2007  Topic: 303  Post: 1941  Age:   
Posted on:22nd Jan 2008, 2:36pm
 

to cheeko bhai

Asalam-o-alaikum

i like ur post brother.mujhey ye topic bahut pasand hy.me es ko kab se discuss krna chahti thi.jab aik insaan paka muslim ho aur namaz bhi perhta ho sahi wali tu wo shhataan k qaboo me nahi ata phir shataan uss ko kisi na kisi tara ghaibat per oksata hy takay wo deen se dour ho.ghaibat krna apnay muslim bhai ka gosht(flesh) khanay k beraber hy.ghaibat tu gharon k ghar kherab ker dati hy.i hate ghaibat khuda hum sub ko es ghaibat ki bemari se dour rukhay(aameen).

Allah Hafiz

nikama Group: Members  Joined: 15th Oct, 2007  Topic: 47  Post: 1808  Age:  34  
Posted on:22nd Jan 2008, 8:41pm
 

hmmm

tu mut kero na,kiyoon kertay hoo back biting...

Look at me,I dont think ,I do it..

so start from home means start from urself .u first rest later...see uu

~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  28  
Posted on:23rd Jan 2008, 3:19am
 

For sooth

Cheeko female hain
josh Group: Members  Joined: 30th Jul, 2007  Topic: 47  Post: 2296  Age:  36  
Posted on:24th Jan 2008, 12:17pm
 

chughal khori!

intehaee buri adat hai,, ziada tar khavateen is beemari ka shikar hoti hain lekin kuch mard hazraat bi is kaam k bohat shokeen hotay hain. Allah kehta hai dosray ki toh mai na lagay raha karo, lekin is par amal bohat kam log kartay hain.........

khas tor say shadi k baad ziada tar khavateen apnay susraal ki 1 aik baat phone k thru ya khud ja kar apnay ghar batati hain aur jab tak bata na dain unhe sakoon nai milta... or kae females apni is adat ki waja say fasaad ka baes banti hain or sometime unki apni zindagi bi kharab ho jati hai..

aik to gheebat ka mazhabi aitbar say bi nuksan hai aur dunyavi lehaz say bi iska bohat nuksan hota hai.... laraee jhagray.. to behtar ye hi hai k is buri adat say bacha jaey...
raazdaar Group: Members  Joined: 18th Nov, 2007  Topic: 38  Post: 369  Age:  24  
Posted on:24th Jan 2008, 12:34pm
 

Well Said JOSH brother...

SALLAM TO ALL FRIENDS

Yai darasal aik bimari hai jaisa kai JOSH bhayee nai kaha.Aur is ki khasiyat auratoon main hai.Kuch loog aisai bi hain kai jo yai nahin jantai kai main kar kya raha hoon aur jab waqt ayee to pachtayee.Lakin yai uski adat hoti hai.Usko yai nahin lagta kai main aik borayee kar rahan hoon.

To is tarah kai logon ko kyaal rakna chahiyai bolnai sai pehlai.Khabi khabaar jo baat backbitting samji jati hai.Us kai liyai jis kai khilaaf hoo.Lakin is main us ka faida hoo.To shahid aisa karna chahiyai.Lakin aik baat yahan eham hai kai jis kai khilaaf boltai hain.Pehlai to khud hi usai us borayee sai rokain.

NOTE;-sorry if my words hurt anyone.

TAKE CARE

ALLAH HAFIZ

sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 44  Post: 4212  Age:   
Posted on:25th Jan 2008, 2:27pm
 

nice topic

ye bimari aaj kal mard hazrat main b barti chali ja rahi hai. aur koi es par control nahi kar pa raha. jis main kisi had tak main b shamil hoon lekin mere gheebat ka tareeqa kuch alag hai. main jis k peeche os ki jo buraie karta hoon wahi bat main os k moo par b bolta hoon. agar kisi k samne main os ki buraie ose dikhane ki himmat nahi kar sakta to peet peeche b nahi karta.

aap log muje bataye k es k mutaliq islam kia kehta hai.

1
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013